Vous êtes sur la page 1sur 5

Moqalma (2)

Jomla tafsilaat malahza farma lain aur es moamlay par aap se gofta'gu karne ki gozarish hai. shukarriya

Syed Mohammad Raza Madni Principal Govt. College, Mincin'abad Pakistan

"Kiya Aaqa Karim ki aamad kisi hadsay ya waqti zarorat ka nateja thi?"
sono Admin

Hasni ji lajawab, bohat khoob, bohat umda http://www.shairy.com/forum/kiya-aaqa-karim-ki-aamad-kisi-hadsay-ya-waqtizarorat-ka-nat-t25528.html-sid=421b8e763fd7c2e090a51e6d0d32d0a1 *MYSTERIOUS* Super Dooper Member

"Kiya Aaqa Karim ki aamad kisi hadsay ya waqti zarorat ka nateja thi?" jo lines aap ne highlight keen hain wo samajhne waalon k liye kaafi hain,, , shukar hai k aaj mere paas yeh ikhtiaar thaa k mai aap k thread lock kar sakoon... http://www.shairy.com/forum/eak-kaam yab- tajarba-t25556.html

urfi67 Forum Family Member JAZALALLAH,,,nice sharing Aatish Forum Family Member MASHALLAH http://www.forumpakistan.com/aaqa-karim-ki-aamad-t2117.html

Kiya Aaqa Karim ki aamad kisi hadsay ya waqti zarorat ka nateja thi?

Nahain, Bilkul nahain. Aaap ki aamad bohat pehlay say teh thi aur es amar say motalaq qadeem ambbiya karam kay haan paishgoyaan mojood hain. Batoor hawala chand eak ka tazkara kiay daita hoon: Jamasap Hazrat Zartusht kay khalifa-e-azam thay. Onhoon nay qiyamat tak kay paish aanay walay hadsoon ki paishgoyaan kein. Oon main Aap ka bhi zeikar baray wazay alfaz main mojood hai, malahza farmaein: Aaftaab ka kitabi hath bajanab zohra aur zohra ka gohar wala hath aatarad ki taraf aur aatarad ka rukh janab-e-zohal mah-o-mushtari yakja. Jab aisa ho to samjh lo kah sab kaam thek hoon gay. Zamana (moashra, halaat waghera) darust ho jaay ga. Badshah adal karay ga.(1) phir eak qiran* paray ga jis main Oulad-e-Hasham say eak mard-e-bazurg paida ho ga jo qad main miyana hai rang main gora na kala (saanv'la/gandmi), khoobsurat, khush kalaam, sahar biyan dawa-e-nabowat karay ga. Talwaar os ki burhan ho gi. Apnay mazhab ki zanjir bohat say logoon kay galoon main dalay ga. Os ka mazhab sathoon walaet main jaay ga. -------os ki Oulad-e-narina na rahay gi albata larki say naam chalay ga. Os ka dein din badin taraqi karay ga. (2) Dou tein hawalay Baebal Moqadas say dararj karta hoon: 1- Kiya tum nay kitab moqadas main kabhi nahain parha kah jis pathar ko mimaroon nay rad kiya** wohi konay kay siray ka pathar ho giya(3) yah Khuda'wand ki taraf say howa aur hamari nazar main ajeeb hai? Es liay mein tum say kehta hoon kah Khuda ki badshahi tum say lay li jaay gi aur os qoom ko jo os kay phal laay ga, day di

jaay gi (4) 2- Phir mein nay aasman ko khola howa daikha aur kiya daikhta hoon kah eak safaid ghora hai aur os par eak sawar, sawar hai (5) jo sach aur bahaq kehta hai aur woh rasti kay sath insaaf aur laraee karta hai. Os ki aankhain aag kay sholay hain aur os kay sar par bohat say taj hain (6) aur os ka naam likha howea hai.(7) Mein nay yah batain tumharay sath reh kar tum say kein. Likin madadgar yaeni Rooh-ul-Qodas jisay baap mairay Naam say bhijhay ga*** wohhi tumhain sab batain sikhay ga aur jo kuch mein nay tum say kaha hai wo sab tumhain yaad dalaay ga.(8) The Gospel of Barnabas kay bhi doo tein hawalay dekh lain: 1- As for me, I am now come to the world to prepare the way for the messanger of God, who shall bring salvation to the world. (9) 2- I tell you that thither shall come {even} the messanger of God, to behold the justice of God. Thereupon hell shall tremble at his presence. (10) 3- He is Mohammad, messanger of God, and when he comth into the world, Even as the rain maketh the earth to bear fruit when for along time it hath not rained, even so shall he be occasion of good works among men, though the abundant mercy which he shall bring. For he is a white cloud full of the mercy of God, which marcy God shall sprinkle upon the faithful like rain. (11) Sawal paida hota hai kah Aap Karim Arab main aur kisi makhsus ehad main hi kayoon tashreef laay? Khabeer aur Baseer, Allah kay doo sifati naam hain. Allah say ziyada koon jany ga kah kab kiya hona hai. Kab kiya karna hai ya kab kiya hona chahiay es ki Allah say ziyada baserat kisay ho gi. Zara Baebal kay es jumlay par ghoor karain: Es liay mein tum say kehta hoon kah Khuda ki badshahi tum say lay li jaay gi aur os qoom ko jo os kay phal laay ga, day di jaay gi. Allah sarkashi pasand nahain karta. Tawazan ki kharabi os kay takhleeq kiay howay kaenati nazam ko darham barham karti hai. Es liay her seh omoor ki zaroorat kay tehhat Aap Karim ka tashreef lana lazam teh pata hai. Qiyamat barpa karnay kay liay koee daleel aur hujat bhi to hona chahiay thi ta'kah insan kay pas shakaet ki gonjaesh hi na rahay. yah alaqa donya centre bhi to hai.

Sou gaz rassa siray pay ghanth, Aap Karim to hamaisha say aur hamesha kay liay hain. Zara ghoor karain; Kalma taeba jo Musalmi ki ibtada aur jar hai, yoon hai: La : Nahain Ela : Mahbood (12) Ella : Siva Allah : Allah (13) Mohammad : Hamad kiya giya, jis ki hamd ki gaee ho (14) Rasool : tarseel karnay wala Allah : Allah Allah kay sewa koee mabood nahain Mohammad Allah kay rasool Allah aur Mohammad (Aap Karim par un'haad daroud-o-salam) kay liay koee tha, hai ya ga ka sigha mojood nahain. Goya oon (Donoon) ka hamaisha say hona sabat hai. Woh kab nahain thay aur kab nahain hoon gay?! Woh to assr hain. Hum assr ko kiya janain. Hum to essay dinoon, mahinoon, saloon aur sadyoon wala waqt samjhtay hain jabkah assr in say bala'balatar hai. (15) Tasleem ki baat dusri hai. Assr ko tasleem na karnay say os par kiya assar ho ga, kuch bhi to nahain, haan tasleem karnay walay par zaroor assar moratab ho ga. Hum Zamanay kay liay hain. Kitaab parho gay to aaghi milay gi nahain parho gay to kitaab ka kiya bigray ga. Jotay jahar kar pehno gay to noqsan say bach jao gay warna jotoon ki sehhat par kiya assar paray ga. Chori nahaion karo gay to pols kay jotay nahain khao gay, bayizati nahain ho gi, ghar way dar badar nahahin hoon gay, moashray ka tawazan kharab nahain ho ga. Zana na karnay say: lashaoor ko noqsan nahain ho ga Khoof damagh ko kamzoor honay say bacha'ay ga Viraj zaya nahain ho ga jis kay sabab jisam mutwazan rahay ga Gher kay ghar tumhara bacha na honay ki surat main mama kehlanay say mehfooz raho gay Ab yah sab kartay ho to zamanay ko kiya ziyaan ho ga, nahain kartay to os ka ossay kiya faeda ho ga, kuch bhi nahain. Wo to waisa hi rahay ga jaisa kah wo hai. Tasleem to yah hai: Zoban say iqrar karo Dil say mano kah jo iqrar kar rahay wo ossi tara say hai Amal her doo amoor kay motabaq ho Zamanay ko waqt yah phir khita-e-arz say makhsus nahain kiya ja sakta kayoonkah es ka taalaq hameshgi say hai. Kalaam malahza farma lain es ka mokhtab insan hai nakah koee makhsus Qoom Qabila ya khita-e-arz kay log. Goya zamanay****kay jitna qareeb jao gay otna hi nikhro gay, phalo gay, pholo gay, taraqi karo gay. Zamanay*****ki mohabat jab eshq ka roop ekhtayar karti hai to Iqbal ka yah kaha samjh main aa jata hai: Ki Mohammad say wafa to nay to Hum(16) teray hain Yah jahan cheez hai kiya, loh-o-qalam tairay hain

-----------------------------------------------------------------------------------------Nosherwaan aadal badshah ka ehad Jamasap Nama, p.15 asal kitab yand main hai Issay eak fazal irani nay, naam daraj nahain, farsi main tarjama kiya jabkah Urdu tarjama Mohammah-ul-Wahdi nay kiya aur yah kita daftar nazam-ul-mashaekh dehli nay motalia-e-aam-o-khas kay liay 1912 main paish ki. Aakhri nabi Anjeel Mati baab No. 21 v. no. 43, 44, yah baat Anjeel Murqas kay baab No. 12 v. No. main bhi daraj hai. Kitab-e-Moqadas, Baebal Society Anarkali Lahore, 1972 Maraj shareef Aap ki Shareat kisi eak qoom, khita-e-arz ya kisi eak ehad tak mahdood nahain. Aap Karim ka peghaam her bashaoor makhlooq kay liay hai aur os ki aataat oon sab par wajab hai. Makashfa baab 19 V. No. 11, 12 13 . Kitab-e-Moqadas, Baebal Society Anarkali Lahore, 1972 Yohanna, baab No. 14 v. 25, 26, 27 Kitab-e-Moqadas, Baebal Society Anarkali Lahore, 1972 The Gospel of Barnabas chp.72 p.91 Oxford at clearendon press 1907 The Gospel of Barnabas chp.136 p.175 Oxford at clearendon press 1907 The Gospel of Barnabas chp.163 p.212 Oxford at clearendon press 1907 Jis ki ibadat ki jaay Esam-e-zaat Already hamd wala, yaeni aaj hi nahain Es ko asab-e-Kaf, Hazrat Ozer (pbh)aur Hazoor ki meraj kay tanazar main daikhain gay to moamla wazay ho jaay ga Allah * 20 saal ** Hazrat Hajra aur Hazrat Ismaeel (pbuh) *** Aap Karim nay jumla ambya ki tasdeeq ki aur oon ki talemaat ko barhaq kaha. Meem Masee aur Mahammad donoon kay sath hai. M+ASE, Mo+Hammad. Sura Fatiya main Hamd kay sath al ka sabqa hai jo ossay makhsus banata hai issi tara hamd kay sath meem ki jurt ossay mukhus suft kay darjay par faez karti hai. **** Allah aur Mohammad *****jo sab kay liay aur sab oon kay liay hain

Vous aimerez peut-être aussi