Vous êtes sur la page 1sur 7

Kaghaz Par Jigar

Maqsood Hasni
Kaghaz Par Jigar

Chand ki kirnoon say bhik mangi


Os nay kasay main doo kirnay rakh dein
Ghazal ankhoon ki thandak ho ja’ay
Seep nay marvareed diay
Kah dil os ka pur’sakoon ho ja;ay
Qos-e-qaza nay surkhi bakhshi
Kah rukh os ka
Misal-e-yaqoot ho ja’ay
Tablay ki thaap nay
Ghongro ki jhankar nay
Mayous na kiya
Naseem-e-sahar say bhi
Dast-e-sawal daraz kiya
Qabroon kay katboon say
Ghazal ki bhik mang kay laya
Soraj say thori hidat lay li
Simaab say bai’qarari lay li
Lehar nay baghawat day di
Golaab kay pas bhi giya
Os nay kasay ko bosa diya
Aur apni ek pati rakh di
Kasa labraiz ho giya
Kush tha,
Aaj mehnat rang la’ay gi
Woh mairi ho ja’ay gi
Daman maira khusoon say bhar ja’ay ga
Ghazal kay cehray par
Hosein sa koe,
Onwan likh day gi
Khloos ki tashtari main saaja kar
Jab ghazal paish ki
Jisarat pay woh mairi
Bhiphar gae
Zabt ki patri say otar gae
Kasay main thook diya
Boli-----------------------,
“Bhikari!
Apna khon-e-jigar nichoor kar lao
Ghazal say,
Zindgi ki khushboo aa’ay
Rahtoon kay liay
Lahoo ki ek boond
Kaenat say bhari hai”
Phir os nay
Apni chati say joda karkay
Apni bachi
Mairi goud main rakh di
(mein nay daikha)
Mumta ki nigahoon main ghazal thi
Mumta ki bahoon main ghazal thi
Bachi kay laboon par
Bachi ki onglioon main
Bachi ki sansoon main
Magar bachi to
Sarapa ghazal thi
Phir os nay bachi mujh say lay li
Mairi goud main sharmindgi
Darmandgi
Pasmandgi rakh di
Apni aur mangay ki cheez main
Kitna faraq hota hai
Woh laeq-e-sad iftakhar thi
Pu’waqar thi
Os ka sar tana howa tha
Maira sar jhuka howa tha
Kah ghazal kay cehray par
Bhik ka paiwand laga howa tha
Ghazal ka badan zair-e-atab tha
Mein bhi to haar giya tha
Woh muskara rahi thi
Ghazal satpata rahi thi
Ijtihaad ka dar wa howa
Rovaet ka diya bujh giya
Haqiqat say parda oth giya
Shair nahin,
Mein to bhikari tha
Khorsheed zaef ho giya
Mahtaab zard par giya
Golaab murjha giya
Tablay ka bhaid khol giya
Jhankar tham gae
Nadamat somondar pi gae
Kasa doo lakht howa
Jo jis ka tha
Lay giy
Ablees kirchiaan chonnay laga
Bhikari mar giya
Qbroon ko
Apna diya mil giya
Shair jaga
Zaat main kho giya
Khamshi cha gae
Ab zaat thi
Shair tha
Aankhoon main lahoo ki bondain
Hath main qalm
Kaghaz par jigar tha

Vous aimerez peut-être aussi