Vous êtes sur la page 1sur 7

.

Shayaries

Bhoolne waale se koyi keh de zara


is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana


Na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa keh raha hai zamana
Khud meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana

Is hasrat se mila kya mujhko


Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki.
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahri raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,


Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.

Wada to ker lete hain


Nibhana bhool jate hain
Lagaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain

Kuch na kisi se bolenge


tanhaai mein ro lenge
hum be-rahbaron ka kya
saath kisi ke ho lenge
Khud to hue rusvaa lekin
tera bheid na kholenge
jeevan zeher bhara saagar
kab tak amrit gholenge
neend to kya aaegi
maut aai to so lenge

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai


tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale


mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........
Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaaya mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale...
Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......
Aakhri daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale
Tera Chehra, Teri Yaadain
Her Pal Mere Saath Raheen
Teri Batein Dharkan Ban Ke
Rug Rug Main Din Raat Baheen

Neend Uri Aankhon Se Ab To


Jeena Bhi Dushwaar Hua
Tu Hai Ab Is Dil Ki Dharkan
Main Tera Dil Daar Hua

Is dil ne tujh main jaane kya dekha


Zindagi ki dhoop, muhabbat ka saweraa dekha
Khoye khoye si zindagi thee meri
Tu aaye to khuli aankh ne bhi sapna dekha

Dil si cheez hai, dene ko hai de day


Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo


Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai


Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Mohbbat karna koi zulm nahi,


Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasool se

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De


Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshan
Tanha Na Rehta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Ashq Mile To Pee Lete Hain


Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Mujhe Is Baat Ka Gum Nahi Key Badal Gayaa Zamaana


Meri Zindagi To Sirf Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon Se


Khushbu aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se

Woh to Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega


Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna


Jab Door Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,


Aankhon Se Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar


Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha..


Agar tamanna thi aazmane ki..
Hum to behust youn hi ho jaate..
Kya zaroorat thi muskurane ki

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa


aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa.......
Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa .........
kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakhari shammen bhi bujhaane ke liye aa

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain


Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Gum Ke Railey Hain


Ab Tumhain Kya Batayein, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain
Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
janta hoon sababe-taato-zahad
par tabeeat idhar nahin aati
Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati
kab kis munh se jaoge Ghalib
sharm tumko magar nahin aati

Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski


Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi

Badnaam mere pyaar kaa afsana hua hai


deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai .
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khana hua hai .
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...

Bebasi jurm hai hauslaa jurm hai


zindagi teri ik-ik adaa jurm hai
aye sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai
yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai
kya sitam hai ke tere hasin sheher mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai
Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai
Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai

Tum mujhe bhool kar to dekho


Har khushi routh jayegi
Jab akele tum baithogi
Khud-ba-khud meri yaad aayegi

Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke


Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon


Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunehgar To Nahi

Vous aimerez peut-être aussi