Vous êtes sur la page 1sur 18

Ashfaq Merchant Nauhas 2013 - 2014

Contents
1. Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .................................................. 3 2. Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) .............................................. 5 3. Marsiya ----- Janab e Qasim (A.s.) .................................................... 7 4. Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka .................................................... 9 5. Hay Jannatul Baqi ................................................................................ 11 6. Bezuban Aliasgar (A.s.) ...................................................................... 13 7. Abbas (A.s.) Chale Aao ....................................................................... 15 8. Ya Hasan Askari (A.s.) ........................................................................ 17

1. Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai


Weeran Hai Ab Sara Ghar, Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai.. Roie Na Kyun Aanthon Pahar Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai, Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai.2 Socha Na Tha Yeh Din Kabhi, Bichdenge Yun Apne Sabhi, Nauha Balad Ba Chashmetar..2, Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .....2 Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai.2 Baba Ushe Bulwaenge, Akbar (A.s.) Ushe Lejaienge Zinda Ishi Ummid Par..2, Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .....2 Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .....2 Har Ah Hai Dushwar Ab, Har Saans Hai Talwar Ab, Koi Nahi Hai Chara Gar..2 Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .....2 Sanson Ka Kaccha Sath Bhi, Gam Ki Andheri Raat Bhi, Kyajane Kab Hogi Sahar, .....2 Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .....2
3

Who Raat Ki Tariqiyan, Ya Subho Ki Mayusiyan Ya Ho Sulagti Dophar, ..2 Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .....2 Bahar Hilal Ek Shor Hai Taqdeer Ka Yeh Zor Hai Abaad Hai Basti Magar, Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai .....2 Sughra (S.a.) Hai Aur Tanhaie Hai

2. Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.)


Yeh Aho Buka Hai, Kiske Liye, Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Magmoom Fiza Hai Kiske Liye Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Yeh Aho Buka Hai Kiske Liye, Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Magmoom Fiza Hai Kiske Liye, Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Ashur Sahar Ubhra Suraj .....2 Hai Surkh Lahu Jaisa Suraj .....2 Yeh Khoon Rota Hai Kiske Liye Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Baghdadh Ke Pul Par E Yeh Kya Hai .....2 Be Waris Kiska Janaza Hai .....2 Sharhad Se Siwa Hai Kiske Liye Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Har Pal Aalame Deher Diya..2 Haroon Ne Kisko Zahar Diya .....2 Yeh Jor Jafa Hai Kiske Liye Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Kis Maan Ki Qamai Aaise Luti .....2 Zindan Me Kiski Umr Kati .....2 Har Zulm Rawa Hai Kiske Liye Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2
5

Lashe Se Fariste Lipte Hai .....2 Kudsi Sub Khaak Udhate Hai .....2 Mahol E Aza Hai Kiske Liye Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Lo Musea Kazim (A.s.) Jaate Hai .....2 Qabe Ke Sutun Tharrate Hai .....2 Kab Aaisa Hua Hai Kiske Liye Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2 Hamid Jo Sama Tere Bain Se Hai .....2 Mhehshar Ek Shor O Shain Se Hai .....2 Nauha Likha Hai Kiske Liye, Hay Kazim (A.s.) Maula Kazim (A.s.) ..2

3. Marsiya ----- Janab e Qasim (A.s.)


Ammu Ko Sada Di Ke, Chacha Jaan Khabar Lo, Hota Hai Gulam Aap Pa Qurban Khabar Lo, Dunia Me Koi Dam Ka Hun Mehman Khabar Lo, Takleef Na Deta Magar Is Aan Khabar Lo, Ke Zurriyat E Haidar Ki Yeh Tawkeer Hui Hai, Ke Pamal Humein Karne Ki Tadbeer Hui Hai. Ada Ko Bhaga Kar Jo Lage Dhoond Ne Sarwar Pamal Mile Qasim E Nawshaha Sarasar (A.s.) Godi Ka Pala Pa Ragad Ta Tha Zameen Par Rokar Pisare Fatema (S.a.) Ne Peet Liya Sar Dekha Jo Hasan Ko Tane Sad Pash Se Lipte Chilla Ke Husain (A.s.) Ibne Ali (A.s.) Lash Se Lipte Yeh Keh Te The Jo Maut Ki Hich Ki Si Aaie Moh Khol Ke Hazrat Ko Zaban Khushk Dikhaie Makhdoom E Alam (S.a.) Ki Yeh Aawaz Sunaie Mai Sah Re Kausar Hun Tere Waste Laaie Pee Le Ise Aai Laal Ke Tar Khushk Gala Ho Dadi Tere Sukhe Hue Hoton Pe Fida Ho Lab Ban Kiye Qasim (A.s.) E Naushah Ne Ek Bar Pani Na Piyunga Ke Hai Pyase Shahe Abrar Dunia Se Safar Kargaya Woh Aainaye Rukhsar Lash Iske Chale Leke Shah Bekaso Beyar Dehodi Pe Jo Pohuche Jo Kaha Dekh Ke Sub Ko Aare Woh Aaie Hai Dulha Tha Banaya Jinhe Shab Ko Hay Hay Bal Qasim Ka Hua Shor Jo Dar Par Bano Ne Kaha Lut Gai Logo Meri Dukhtar Farzand Ke Lashe Lipat Ne Lagi Madar Sar Peet Ti Daudi Shahe Mazloom Ki Khwar (S.a.) Phir Kaun Rahe Binte Ali (A.s.) Jub Nikal Aaie Khaime Me Dulhan Reh Gai Aur Sub Nikal Aaie
7

Dehodi Se Jo Khaime Main Sheh Behro Bar Aaye Aaye Rote Hue Aur Sharm Se Gardan Ko Jhukaie Agosh Me The Lashaie Nawshah Uthaie Akbar (A.s.) Bhi The Humrah Padar Ashk Bahaie Khamosh Anees Ab Nahi Takat Hai Baya Ki Halat Kahun Kis Muh Se Shahe Kaun Ko Maka Ki.

4. Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka


Ya Husain (A.s), Ya Husain (A.s) .....4 Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom .....2 Gam Kya Hota Hai Bahattar Ka .....2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom Dunia Yeh Samajhte Hai Ke Lahu Bus Hum Hi Bhate Hai..2 Khoon Rota Hai Dil Patthar Ka .....2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.S.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom .....2 Ghodon Ke Sumon Ne Raunda Hai Zehra (S.a.) Ke Kale Je Ko ..2 Pamaal Hai Dil Paigambar (S.a.w.w.) Ka .....2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom .....2 Pani Ke Ewaz Shishmahe Ko Seh Shohba Teer Mila..2 Kya Haal Tha Gam Se Madar Ka .....2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.S.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom .....2 Challis Baras Sajjad (A.s.) Lahu Aankhon Se Bahaya Kiye..2 Who Dard Rida E Athar Ka..2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.S.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom Jo Karbobala Ke Shehra Me Aaludae Khoon Mila ..2 Har Gul Tha Gulshane Haidar (A.s.) Ka 2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom Chun Kar Jise Sham Ke Zulmat Me Sarwar (A.s.) Ne Kiya Raushan..2 Suraj Tha Hur Ke Mukaddar Ka ..2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.S.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom Majlis Matam Nauha Aansun Sadion Se Yeh Bhehta Lahu..2 Ejaz Hai Aale Athar Ka ..2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.S.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom
9

Yeh Aab O Giza Yeh Thandi Hawa, Har Nemat E Rabbe Ula..2 Sadka Hai Janabe Asgar (A.s.) Ka.2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom Gairat Se Ko Sar Khoon Rota Tha Naize Pe Na Rukta Tha 2 Kissa Sar Sher E Dilawar (A.s.) Ka..2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.s.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom Hamid Gam E Sheh Me Rote Raho Ashfaq Padho Nauha ..2 Quran Me Hukm Hai Dawar Ka ..2 Dunia Ko Nahi Malum Koi Pehlu Game Sarwar (A.S.) Ka Dunia Ko Nahi Maloom Ya Husain (A.s.)..

10

5. Hay Jannatul Baqi


As -Salamo Alaikum Ya Aayat Ul La Hil Uzama Fee Jannatil Baqi As - Salamo Alaikum Ya Hujajul La Hil Kubra Fee Jannatil Baqi As -Salamo Alaikum Ya Aaimatil Huda Fee Jannatil Baqi Hay Jannatul Baqi.....4 Woh Bine Saud (la.) Ne Zulm Dha Diya Jannatul Baqi Ko Munhadim Kiya Hai Labe Batool (S.a.) Pe Phir Se Marsiya.....2 Hay Jannatul Baqi.....2 Hay Shehre Mustufa (S.a.w.w.) Aur Yeh Sitam Aale Mustufa (S.a.w.w.) Pe Hai Zulm Har Kadam Wa Mohammada (S.a.w.w.) Ki Hai Hartaraf Sada ......2 Hay Jannatul Baqi.....2 Dha Diye Sitam Ne Woh Gumbad O Mazar Jin Pe Hai Jahan Ki Azmate Nisar Khana E Khuda Me Hai Ek Zalzala.....2 Hay Jannatul Baqi.....2 Aur Sayeda (S.a.) Ki Phir Tooti Pasliyan Kal Gira Tha Dar Giri Aaj Bijliyan Aaiye Najaf Se Aai Sher E Qibriyan (A.s.) Hay Jannatul Baqi.....2 Gark Apne Khoon Me Hai Noor E Panjetan (A.s.) Tukde Tukde Ho Gai Turbate Hasan (A.s.) Lab Pe Ambiya Ke Hai Hai Mujtaba (A.s.).....2 Hay Jannatul Baqi.....2 Khaaq Udrahi Hai Ab Kutch Pata Nai Kis Tarf Hai Markade Zainul Abedeen (A.s.) Shamiyon Ki Nasl Ne Phir Sitam Kiya.....2
11

Hay Jannatul Baqi.....2 Baqir Ul Uloom (A.s.) Ka Dha Diya Mazar Shehr E Ilm Gam Se Hai Aaj Bekarar Baab E Shehre (A.s.) Ilm Bhi Khoon Ro Diya.....2 Hay Jannatul Baqi.....2 Sadiq E Butool (A.s.)Ka Rauza Ab Kahan Ahle Bait (A.s.) Par Gira Gam Ka Aasman Arsh O Frsh Pa Hai Bas Nauha O Buka.....2 Hay Jannatul Baqi.....2 Hamid Aaj Hamd Hai Misle Marsiya Bujh Gaya Batool (S.a.) Ke Ghar Ka Har Diya Aaj Ki Namaz Hai Matam O Aza.....2 Hay Jannatul Baqi.....2

12

6. Bezuban Aliasgar (A.s.)


Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Diye Hai Tune Badhe..2, Imtehan Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Yeh Soch Soch Ke Insaniyat Sisakti Hai Kahan Woh Teer E Sitam..2, Kahan Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Zaieef Baap Hua Surkhru Khuda Ke Huzoor Hua Jo Ran Me Tera Khoon..2, Rawa Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Zameen E Karb Pe Sote Ho Is Tarha Aakhir Na Farsh Hai Na Koi ..2, Saiban Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Yeh Sochti Hai Ke Tum Yaad Kar Rahe Ho Ishe Behen Ko Aati Hai Jub..2, Hichkiyan Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Sukoon Mila Tumhe Dadi Ki Godh Me Aaisa Na Yaad Aaie Tumhe Phir..2, Yeh Maa Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Na Peene Deti Yeh Abid (A.s.) Ko Umr Bhar Pani, Yeh Teri Pyasi Yeh Sukhi..2, Zaban Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2
13

Sakina (S.a.) Qaid E Sitam Me Yeh Ro Ke Kehti Thi, Dila Do Mujhko Meri..2, Baliyan Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Kaha Pa Dard Utha Hai Kahan Aziyat Hai Zaban Se Kaise Kahe.2, Bezaban Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Tamam Umr Yahi Tha Rabab Ka Nauha Wahin Bulalo Mujhe..2, Ho Jahan Ali Asgar (A.s.) Zameen E Karbobala Bezaban Ali Asgar(A.s.)..2 Bilal Hai Tere Kunbe Ka Shair O Zakir Ata Ho Isko Zaban..2, Bezaban Ali Asgar (A.s.)

14

7. Abbas (A.s.) Chale Aao


Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Saadat Hai Be Parda.....2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Maloom Nahi Tumko Kya Guzri Hai Behna Par Seh Roz Ke Pyase Par Makhtal Mein Chala Khanjar Shabbir (A.s.) Ka Du Pursa..2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Hai Aas Fakat Aabid (A.s.) Be Aas Garibon Ki Mai Tanha Muhafiz Hun Bhaiya Ke Yatimon Ki Do Sath Mere Phehra..2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Ummat Ne Jalaya Hai Phir Ghar Meri Madar Ka Koi Bhi Nahi Nasir Auld E Payambar (S.a.w.w.) Ka Pardes Me Hai Tanha.2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Sharmate Ho Kyu Bhai Kya Jurm Tumhara Hai Taqdeer Me Pyason Ke Shayad Yahi Likkha Hai Pani Ka Nahi Shikwa..2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Badla Woh Tumhara Ab Leta Hai Sakina (S.a.) Se Istarha Se Cheene Hai Zalim Ne Gohar Uske Behta Hai Lahu Taza..2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Baba Mere Shahid Hai Tum Jub Se Gaye Bhaiya Hota Hai Mujhe Tabse Ehsas Yatimin Ka
15

Tum Maan Ho Zainab (S.a.) Ka..2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Kutch Bhi To Nahi Sar Par Kis Tarha Milu Jaa Kar Tum Hi Ho Mera Parda, Tum Hi Ho Meri Chadar Aaie Hai Mere Baba..2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2 Us Malikai Gairt Ka Nauha Yeh Takallum Tha Mumkin Ho Agar Bhaiya Kutch Chadare Le Aana Jana Hai Humein Kufa..2, Abbas (A.s.) Chale Aao Nauha Tha Yeh Zainab (S.a.) Ka.....2

16

8. Ya Hasan Askari (A.s.)


Uth Gai Is Jahan Se Hasan Askari (A.s.) Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Ruhe Zehra (S.a.) Chali Bain Karti Hui Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Behre Girya Hai Hur O Malak Inso Jaan Sog Me Aaj Duba Hua Hai Jahan Chand Me Noor Hai ..2, Kho Gai Chandni Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Zindagi Bhar Rahi Tum Pe Zor O Jafa Chain Se Kab Zamane Ne Rehne Diya Hai Zindan Me..2, Kat Gai Zindagi Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Gam Ke Saaye Zamane Pe Cha Ne Lage Mustafa (S.a.) Khak Sar Par Udha Ne Lage Gyarvi Shamme..2 Rushd O Hidayat Bujhi Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Karz Kab Tablig Ka Yeh Utara Gaya Tum Ko Zehre Daga Deke Maara Gya Ghar Me Zehra (S.a.) Ke Phir..2, Teergi Chagai Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Hay Maula Hamara Na Kyun Hum Kahe Aao Pursa Imam E Zamana (A.t.f.s.) Ko De Gam Se Behal Hai Hujjat E Aakhri Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Tum Ko Turbat Mili Aur Kafan Bhi Mila Yaad Aati Hai Lekin Humein Karbala
17

Yad Aata Hai..2, Begor Lasha Koi Ya Hasan Askari (A.s.).....2 Ai Faseel Aaise Izhar E Nafrat Kare Qatl Jisne Kiya Uspe Lanat Kare Dar Haqeeqat Hai..2, Ajr E Risalat Yahi Ya Hasan Askari (A.s.).....2

18

Vous aimerez peut-être aussi