Vous êtes sur la page 1sur 1

MAA

Nahi janta maa gussa kun hoti hai,par jab bhi ye dil dukhta hai uski aankh num hoti hai,
Ungli pakad kar Jisne chalna sikhaya,roya jo main to hansna sikhaya,thokar mujhe lagi to
wo roti hai,
Aur jab bhi ye dil dukhta hai uski aankh num hoti hai.
Saara din mere sath bitaya raat bhar maine use jagaya,par jab main sota hun to kya wo
soti hai,
Aur jab bhi ye dil dukhta hai uski aankh num hoti hai.
Ajnabi duniya se usne milaya,rishte naato ko usne samjhaya,bhala is pyar ki koi kimat
hoti hai,
Aur jab bhi ye dil dukhta hai uski aankh num hoti hai.
apne dard ko usne dabaya,meri khushi mein hi khud ko hansaya,har samay laad k beez
wo boti hai,
aur jab bhi ye dil dukhta hai uski aankh num hoti hai.
Ye duniya hai achhi ye usne bataya,pyar kara aur mujhko bhi karna sikhaya,
To kun wo apni khushi mein bhi roti hai,kun mere dukh mein uski aankh num hoti hai,
Aur jawab yahi hota hai,ki wo MAA hai isliye uski aankhe num hoti hai.
Wo MAA hai isliye uski aankhe num hoti hai…….

Dedicated to all the mothers of this world…

From the bottom of my heart-


Harshit

Vous aimerez peut-être aussi