Vous êtes sur la page 1sur 2

Aatma Hatya (SUICIDE HINDI)

Aaj koi kahi fir marega, vahaa kahi pe door.

Aaj koi kahi fir marega karke kisi ko dukh se choor.

Kahte hai kavi manushya hai ek phool,

Are mai kaheta hu, suno tum,

Hum to hai "BLOODY FOOL".

Koi kahi mar gaya pyaar ke naam par,

Are kya pyaar ne kahaa tha tumse marne ke liye par.

Liya karza kam ke naam par,

Mar gaye tum kam ke hi naam par.

Are yaar chodo tum phool banna,

Bano manushya chodo aatmahatya karna.

Zara socho uske baare mein,

jisko apni maut saamne dikhti ho,

Are, kya tum ptthar ke bane ho.

Ek baar bhi socha tumhare peeche kon bacha hai,

Kya unka bhi dil dukhana ek kala hai.

Fanda pehente hai jaise koi mala,

Are yaar himmat hai to pahna use varmala,


mere yaaro karna mat ye galti tum,

Sifarish hai ye meri, na thukrana tum.

Aaj khi pe koi phir marega, vahaan pe door.

Vous aimerez peut-être aussi