Vous êtes sur la page 1sur 1

Jo ghair the wo isi baat par humaare hue

Jo ghair the wo isi baat par hamare hue


Ke hum se dost bohat be'khabr hamare hue
Kisay khabar wo mohabbat thi ya raqabat thi
Bohat se log tujhe dekh kar hamare hue
Aab ik hajoom-e -shiksta dilaan hai sath apne
Jinhain koi na mila humsafar hamare hue
Kisi ne gham to kis ne mizaj-e-gham bakhsha.
Sab apni apni jagah chaaragar hamare hue
Bujha ke taaq ki sham'en na dekh taaron ko
Isi junoo.n main to bar'baad ghar hamare hue
Wo aitamad kahan se Faraz lain ge
Kisi ko chor ke wo ab ager hamare hue
( Ahmed Faraz )

Vous aimerez peut-être aussi