Vous êtes sur la page 1sur 1

Akhri Umar hai kiya Ronaq-e-Dunya Dekhon

Ab to Bus Ek hi dhun hai k madina Dekhon


Ya Khuda Hajj pe Bula Aak me kaba dekhon
Kash ek bar main phir meetha mdaina dekhon
phr musyr mujhe wo waqoofe arafat
jalwa me muzdalfa aur mina ka dekhon
jhoom kar khoob karon khana kaba ka tawaf
phr madinay ko chalon gunbade khizra dekhon
sabz gunbad ka haseen jalwa dikhade ya rab
masjide nabvi ka pur noor minara dekhon
Ab to bus ek hi dhun he ..........
Subah hoti hai sham hoti hai
umar yunhi tamam hoti hai
poori kab arzo madine ki
shahe khairul anam hoti hai
utho attar taiba chalte hain
unki rehmat to aam hoti hai
Ab to bus ek hi dhun he ..........
ksi sorat hamara ab yahan par ji nahi lagta
hamen bade saba lejaa ura k unk kooche me
Ab to bus ek hi dhun he ..........
Ilahi dikhade jamale madina
karam se ho poora suwale madina
haye doori ko hogya arsa
kab ye hazr ghulam hota he
kab madinay me hazri hogi
jane kab mera kam hota hai
Ab to bus ek hi dhun he ..........
Izn miljae gar madinay ka
kam banjaega kaminay ka
muddat se mere dil me he armane madina
roze pe bulalijiye sultane madina
ab sindh k jungle me mera ji nahi lagta
bus mujh ko bulalijiye gulastane madina
Ab to bus ek hi dhun he ..........
Bechain dil ko ab tak samjha bujha k rakha
magar ab to is se aaqa nahi intezar hota
raz wo bulaenge ye yaqeen to he lekin
jane kon se sin me kon se mahine me
Ab to bus ek hi dhun he ..........

Vous aimerez peut-être aussi