Vous êtes sur la page 1sur 2

Salam e Hussain as

Hussain ibn e haider pey lakhon salam


Unpey lakhon durood unpey lakhon salam

Jin ko dhoke se Kufa bulaya gaya


Jin ke bachchon ko pyaasa rulaya gaya
Jin ke gardan pe khanjar chalaya gaya
Us Hussain ibne Haider pe lakhon salam

Kaun Shabbir woh jin ka nana Nabi


Jin ki maa Fatima jin ka baba Ali
Karliya jis ne naush shahadat ka jam
Us Hussain ibne Haider lakhon salam

Jin ka jhula farishtey jhulate rahe


Lohrian deke noori sulaate rahe
Jin sey sarey shifaa patey rahey
Us Hussain ibn e Haider pe lakhon

Jis ne nana ka wada wafa kar dia


Jis ne haq karbala mein ada kar diya
Apne ghar ko suparde khuda kar diya

Jis ne nezey pay bhi Quran par diya


Us Hussain ibne Haider pe lakhon salam

Ya elahi sadqa e ahley rasool


Yeh salaam aajizana ho forun kubool
Hum sub ki duaien hon maqbool (Ameen)
Hum sub ki duaien hon maqbool (Ameen)

Vous aimerez peut-être aussi