Vous êtes sur la page 1sur 3

Swasth Aur Sehatmand Kaise Rahe - Best

Fitness Tips in Hindi

1. Sham ko samay se sona or subah jaldi uthkar morning walk par jaana aur
vyayam ya yoga karana health ko fit banaye rakhne ka best tarika hai.
2. Bahar se aate hi pasine mai pani peene or chhaya mai baith kar jyada der
tak hava khane se, sir aur chhati mai dard paida hota hai.
3. Agar aap ek achi aur gehri neend sona chahte hai to sone se pehle apne
mind ko tension free karne ki koshish kare fir sone ke liye bistar par jaye.

Body Building Tips in Hindi Body Kaise Banaye

4. Digestion matlab pachankriya ko theek rakhne ke liye khana sahi samay par
khaye.
5. Khana khate samay beech-beech mai thoda-thoda pani peena chahiye lekin
bhojan karne ke baad lagbhag 1 ghante tak pani nahi pina chahiye.

6. Dinbhar kursi par baithkar kaam karne wale vyakti ko morning walk par
jarur jana chahiye.
7. Kahi bhi bahar se ghar aane ke baad, kisi bahari vastu ko haath lagane ke
baad, khana banane se pahle, khane se pahle, khane ke baad or baathroom ka
upayog karne ke baad haatho ko acchi tarah saabun se dhoye. Agar aapke
ghar mai koi chota baccha hai tab to yah or bhi jaruri ho jata hai ar use haath
lagane se pahle apne haath acchi se jarur dhoye.
8. Junk food, soft drink aur artificial shakar se bane juice aadi ka upayog na
kare.Koshish kare ki raat ka khana 8 baje tak ho or halka-phulka khana ho.
9. Khane ki kisi bhi vastu ko khula na chode. Kachche aur pake huye khane
ko alag-alag rakhe. Khana pakane aur khane ke liye upyog mai aane wale
bartano, friz, ovan aadi ko bhi saaf rakhe. Kabhi bhi geele bartano ko raick mai
nahi rakhe, na hi bina sukhe dibbo aadi ke dhakkan lagakar rakhe.
10. Ghar mai safai par khaas dhyaan de, visheshkar rasoi aur shauchalayo
par. Paani ko kahi bhi ikattha na hone de. Sink, washveshan jaisi jagaho par
niyamit roop se safai kare aur finayal, floor cleaner ka upayog karte rahe.
11. Fitness Tips in Hindi: Khana pakane ke liye unsaturated vegitable oil
(jaise soyabeen, sunflower, makka ya oliv oil) ke prayog ko praathmikta de.
Khane mai shakar aur namak dono ki maatra ka prayog kam se kam kare.
12. Concentration badhane aur apne mind ko relax tension free karne ke liye
meditation, yoga aur dhyaan ka prayog kare.
13. Khane mein salaad, dahi, doodh, daliya, hari sabjiyo, saabut daal aur
anaaj ka prayog avashy kare. Khaana pakane tatha peene ke liye saaf paani ka
upyog kare. Sabjiyo aur phalo ko achi tarah dho kar prayog mein laye.
14. Apne aaraam karne aur sone ke room ko saaf-suthra, havadaar aur khula
rakhye. Chaadarye, takiyon ke gilaaf aur pardo ko badalte rahe aur mattress
ya gaddo ko bhi samay-samay par dhoop lagaye.

Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay

15. Koi bhi ek vyaayaam roj kare. Iske liye rojana kam se kam aadha ghanta de
aur yoga ke tarike badalte rahe, jaise kabhi aerobics kare to kabhi sirf walk
kare. Agar kisi bhi excersise ya yogaj ke liye waqt nahi nikal pa rahe to office ya
ghar ki seedhiyaa chadhane aur tej chalne ka lakshy rakhe. Koshish kare ki
office mein bhi aapko bahut deer tak ek hi position mein na baitha rehana
pade.
16. Jyada tel, masaalo se bane hue bhojan ka upayog na kare. Khane ko sahi
temperature par pakaye aur jyada pakakar sabjiyo aadi paushtik tatv nasht na
kare. Saath hi ovan ka prayog karte samay temperature ka khaas dhyaan
rakhe.(Fitness Tips in Hindi)
17. Fresh sabjiyo aur phalo ka prayog kare. Aksar upyog mein aane wale
masaale, anaaj aur dusri saamagri ko sahi tarike se store kare aur expayari
date wali cheejo par tareekh dekhane ka dhyaan rakhe.
18. 45 ki umar ke baad apna routine checkup karwate rahe aur agar doctor
aapko koi aushadhi deta hai to use niyamit le. Prakrti ke kareeb rehane ka
samay jarur nikalen. Bacho ke saath khele, apne paaltu jaanwar ke saath
daude aur ghar parivaar ke saath halke-phulke manoranjan ka bhi samay
nikale.

www.KyaKyuKaise.com

Vous aimerez peut-être aussi