Vous êtes sur la page 1sur 8

Depression Symptoms in Hindi

Avsad Ke Lakshan Pehchaniye

HRELATE.COM

Avsadek aesi mansik bimari hai. Jisme vyakti andar se bilkul akela aur ashant
ho jata hai. Avsad se pidit vyakti humesha dukhi rehta hai. Avsad mai ghire
vyakti samanya logo ki tarah vyavahar bhi nahi rakh paate hai.
Avsad hone ka mukhya karan agar kuch hai to wo hai tanav. Aajkal ki jindagi
mai logo ko tanav ne puri tarah se gher rakha hai. Kisi ko job naa mil pane ke
karan tanav hai. To koi apni kaksha mai behtar pradarshan karne ke liye
chinta mai duba hai. To koi apne baccho ki shadi ke liye chintit hai aadi.
Lekin jab bar bar tanav lena hamari aadat ban jaye to yeh ghatak ho sakta
hai. Iske atrikt jab sharir swasth nahi hai tab bhi avsad hone ka khatra hota
hai. Ham aapko batana chahte hai ki avsad grast vyakti kai bar mansik
santulan bhi puri tarah kho dete hai. Aur samasya adhik badhne par apni
jaan lene se bhi piche nahi hatta.
Lekin iska upchar sambhav hai. Yadi shuruwat mai hi iske lakshano ko
pehchan liya jaye to isse bacha jaa sakta hai. Aaiye aaj ke lekh mai jante
haiDepression Symptoms in Hindi.

hrelate.com

Depression Symptoms in Hindi: Lakshano Ko


Jane aur Dur Kare

hrelate.com

Har Wakt Sirdard Rehna


Jab hum kisi bat ko lekar jarurat se jyada chinta karte hai, to humare
dimag mai nakaratmak soch uttpan hone lag jati hai. Iske alawa iss soch
ka asar humare dimag par bhi asar dalta hai. Jissesir dardki pareshani
shuru ho jati hai. Iss stithi mai aesa mehsus hota hai jaise hamare jivan ki
mushkilo ka koi anta nahi hai.
Bhukh Na Lagna
Avsad se pidit vyakti mai bhukh na lagne ki samasya adhiktar dekhne ko
milti hai. Kyuki jab aap tanav se ghire hote hai aapka dimag tanavpurn
bato ko lekar uljha rehta jisse aapka dhyan bhukh ki taraf nahi jata hai.
Kam Bat Karna
Avsad se ghire vyakti ko logo se baat karne mai ruchi nahi rehti hai. Kai
bar aesa hota hai ki vyakti bahut jyada tanav mai hota hai tab wah bahar
ki duniya se khud ko bahut alag alag rakhta hai. Iske alawa aasapas mai
ho rahi ghatan chahe wo acchi ho ya buri kisi bhi bat mai dilchaspi nahi
leta hai aur sirf khud mai hi rehta hai tatha bahut kam bat karta hai.
YehSigns of Depressionmai pramukh hai.
hrelate.com

Internet Ka Adhik Istemal


Aajkal internet ka istemal humare jivan ka hissa ban gaya hai. Jiske bina koi bhi
kam aasani se nahi kiya ja sakta. Lekin avsad se ghire vyakti iska istemal kuch
jyada hi karte hai. Wo apna pura samay wahi dene lag jate hai aur unki jindgi ki
hakikat internet mai hi simat kar reh jati hai. Virtual life ko wo asli jindagi
samajhne lagte hai.
Anidra Ki Samasya
Avsad se grasit vyakti chintao mai itna kho jata hai usseanidraki shikayat ho
jati. Kyuki uska mastishk humesha vicharo mai ghumta rehta hai aur der raat so
nahi pata hai.
Akele mai Bat Karna
Kai bar to yeh tak ki nobat aa jati hai ki vyakti khud se bate karte karte
badbadane lag jata hai. aur man hi man sochta rehta hai. Aese log jindagi se
nirash rehte hai.
Gussa
hrelate.comAana

Bhawuk Ho Jana
Isse pidit vyakti bahut jaldi bhavuk hokar rone lagta hai. Use har chhoti chhoti
bat dil par lag jati hai aur wo unn bato ki gehrai mai khone lag jata hai. Jise
samanya vyakti nakar deta hai.

hrelate.com

Ekagrata ki Kami
Kai bar jyada kaam ya fir baccho mai padai ki tension ya dabav ki wajah se
ekagrata mai kami hone lagti hai. Jiske karan we apni shamtao ka puri tarah se
istemal nahi kar pata hai aur kisi bhi kaam ko karne mai apna pura
concentration nai de pata ha.
Pachan Shakti Kam Hona
Kai bimariyo ka shuruvaat humare pet se hoti hai. Parnatu yadi hum mansik rup
se swasth nahi hai to iska asar aapke pachan shakti par bhi padta hai. Isliye
aapne kai bar bar dekha hoga jo vyakti kafi samay se avsad ki bimari se pidit
hai wo apni sehat akasar kho dete hai. Yeh bhiSymptoms of Depressionhai.
Vajan Ka Badna
Kai logo mai bina kisi karan achanak se vajan badne lagta hai. Kyoki tanav ki
wajah se sharir mai aese hormones stravit ho jate hai. Jisse sharir ki
manshpeshiya fulne lag jati hai aur vajan badne lagta hai.
hrelate.com

Mahilao mai Aniyamit Masik Dharm


Jab bhi koi mahila avsad mai hoti hai to uske masik dharm aniyamit hone lagte
hai. Darahsal avsad ke chalte pituitary gland jo hormones ko control karti hai
unme parivartan aa jate hai. Jiske karanvash ovulation prakriya badhit hoti hai
aur mahila ki prajnan shamta par asar padta hai.

Upar aapne janaDepression Symptoms in Hindi. Yadi upar diye gaye lakshan
kisi vyakti mai dikhte hai to use sambhal jana chahiye. Avsad ki samasya
badhne ke baad ise thik karna bahut muskil ho jata hai. Isliye chinta karne se
bachna chahiye aur khusnuma logo ke sath pehchan banana chahiye.

hrelate.com

Vous aimerez peut-être aussi