Vous êtes sur la page 1sur 2

aaj katl kar diya maine us khwab ka

chand lafz ke tukde uthaye

aur nabz kat di uski !

fir ,poori shab use god mein liye

rota raha uski maut pe!

salon pehle mujhe yahin mila tha

is dil ki kisi kone mein,chipa hua

khamosh , sahma . . . shayad

sharminda tha apni paidaish se!

wo janta tha ki uska muqaddar wo haqeeqat nahi jiski parchai thaw o !

woe k jhoot tha

aur us epatatha ye !

maine bade ait-e-haat se use uthaya tha

aur use saunp di haveli apni armanno ki

uski khamoshi pe, apne

kwahison ke shabd jar diye

uske naksh pe apne zazbaat sajaye

aur palkon pe pehen use main intezaar karne laga

ki shayad ho uske haqueeqat mein tabdil hone ka !

par mil nahi pata tha usse meian kabhi

jaise koso dooor garam raeth pe

vaham banta hai paani ka

ya ek parchai utarti hai chand ki


kabhi kabhi geele aangan mein

dil ke dharat pe tanga

ek adhpaka sa khwab tha wo

jise saalon jalaya dil pe tandoor pe

apni har murid rakh kar daali

par wo paka nahi

saari ______ raakh kar daali par wo abhi paka nahi tha

ab wo khwab zinda nahi

par uski laash ab bhi yahi hai

dil mein kahi saji hui

jaise koi bandhan tod bas paas samet le dor uski

ya aainaa tod de khud ke aks se jhunjhla kar

par tukde bator le kanch ke nangi un liyon se

mohabbat mein riwaaz hota hai

murde rishto pe mazaar banane ka !

Vous aimerez peut-être aussi