Vous êtes sur la page 1sur 5

ZIKR KE FAZIAL

mere bhaioon yeh Allah ka bada hi fazal hua kay Allah nay hum sub ko deen ki nisbat par jama
farmaya aur Allah nay hum sub ki kamiyaabi apnay deen mein rakhi hai
merey bhaioon muqaamo mein sab say afzal muqaam kaaba tullah ka hai
mahinoon mein sub say afzal mahina ramzaan ka hai
aur raaton mein sub say muqaddas raat shabb-e-qadr ki raat hai
dino mein sub say afzal din juma ka hai
ussi tarah waqt mein sub se afzal waqt fajr aur asar ka waqt hai is mein hum sab zikr karnay
walay banay kyonki is waqt mein farishtay tabdeel hotey hai, fajr mein jo farishtein aatay hai woh
asar mein wapis hote hai aur jo asar mein aatein hai fajr mein wapis hotey hai aur Allah kay
yahaan arz kartay hai kay humnay aapkay banday ko zikr ki halat mein daykha hai.
meray bhaion aaj hum say jo gunaah ho rahay hai woh ghaflat ki wajhay say ho rahay hai aur is
ghaflat ko door karnay kay liye hum sub zikr karnay walay banay takay ghaflat hum say door ho
jaaye aur yeh tassawur dil mein aajaye kay Allah mujhay dekh rahay hai.
Hadees :-
Allah kay zikr say badkar kisi aadmi ka koi amal azaab e qabar say najaat dila nahi sakta.
ek hadees ka mafhoom hai ki jannat walon ko jannat main janay kay baad duniya kay kisi
cheez ka afsoos nahi hoga siwae us ghadi kay jo ghadi Allah kay zikr kay baghair duniya
mein guzar gayi ho
aur ek hadees ka mafhoom hai ki jo shaks Allah ka zikr kasarat se karta hai woh nifaq say
bari hai
aur ek hadees ka mafhoom hai jo banda Allah ka zikr karta hai woh zinda hai aur jo banda
zikr nahi karta woh murda hai
ek hadees ka mafhoom hai ki ek shaks kay pass maal ho aur ussay taqseem kar raha ho
aur ek shaks Allah ka zikr kar raha ho - to dono mein Allah ka zikr karne wala afzal hai

Rozana subah-o-shaam hum sub 3 tasbeehat ka ehtemaam karay:


1) isteghfar (100 baar) - isliye padhay kyonki hum se subah o shaam gunaah hote hai unko yaad
karke hum Allah se nadamat ke saath istighfar ke zariye tauba karein.
ek hadees ka mafhoom hai kay khata(gunaah) to har shaks karta hai magar behtarein khata
karnay wala woh hai jo istaghfar karay.
ek hadees ka mafhoom hai kay jo banda nadamat kay saath apnay gunaaho par tauba o’
isteghfar karta hai to agar us kay gunaah samundar kay jhaag kay barabar bhi hoto Allah
unko muaaf karta hai
2) teesra kalima (100 baar) - isliye padhe is mein Allah ki badayi aur azmat hai, aur unki badayi
aur mohabbat hamare dilo may ajaye aur duniya ki mohabbat dil say nikal jaye.
ek hadees ka mafhoom hai jab banda subhanallah kehta hai uskay badlay mein jannat
mein ek daraqt laga diya jata hai
3) darood-e-sharif (100 baar) - isliye padhe kyonki Huzoor (SAWS) ke karodo ahsanaat hum par
hai jin ka haq hum nahi ada kar saktay isliye roz subah-o-shaam darood-e-sharif Huzoor
(SAWS) par bhejay.
ek hadees ka mafhoom hai kay Huzoor (SAWS) nay farmaya jo mujh par ek baar durood
bhejayga Allah us par dus rahmatein nazil karta hai.
ek hadees mein huzoor (SAWS) nay farmaya qiyamat kay din meray qareeb wo shaks hoga
jo mujh par ziyada darood bhejayga.
GHUST KAY ADAAB
1) mere bhaioon, yeh Allah ka bada ahsaan aur fazal hua kay Allah nay hamein maghrib ki namaz
ba jamat padhnay ki toufeeq ata farmayi aur thodi dair deen ki nisbat par jama farmaya
2) hadees ka mafhoom hai kay -“ thordi dair deen ki nisbat par ghour o’ fikr karna 60 ya 70 saal
nafil ibadat say afzal hai ”
3) yahan baithkay hamay is baat ki fikr karna hai kay kaisay meri zindagi mein aur meray ghar
walon ki zindagi mein aur saaray alam mein kaise deen aam ho jaye.
3) Allah nay hum sub ki kamayabi apnay mubarak deen mein rakhi hai aur jis kisi ki zindagi mein
deen hoga Allah usay duniya o’ akhirat dono mein kamiyab farmayengay aur jis kisi ki zindagi
mein deen na hoga usay duniya o’ akhirat mein na-kamiyab farmayengay aur deen meray
bhaioon zindagi mein mout say pehlay lana hai aur ek baar mout agayi to phir ek
baar subhanallah kehnay ka mouqha na diya jayega
4) aur deen 2 cheezo ka naam hai - Allah ka hukum aur Nabi (SAWS) ka tariqha
5) jab kabhie bhi duniya mein deen ka bigaad aata to Allah apnay nabiyon ko is deen kay khatir
duniya mein bheja, kum o’ besh 1,25,000 nabi is duniya mein aaye aur har nabi nay ek Allah
ki taraf logon ko bulaya aur jo log unki baat manliye woh kamiyab ho gaye jo log unki baat
na maani woh nakaam hue. aur jab tak nabiyon nay deen ki mehnat ki to logon ki zindagi
mein deen aata aur jab nabi chalay jatay to phir bay-deeni aam ho jati.
6) aur aapkay aur mere aaqha Hazrat Mohammed Mustafa (SAWS) aakhri nabi hai aur unkay baad
koi nabi ya rasool aanay walay nahi hai (aaj say 1400 saal pehley Huzoor (SAWS) ki nabuwat kay
zariye Allah nay is deen ko mukammal farmaya) aur yeh deen kay kaam ki zimmaydari
(kaar e nubuwwat ka kaam) har emaan walay ka kaam hai kay ………
khud bhi naik amal karay aur naik amal ki dawat day (amar bin maroof) aur
khud bhi buraye say rukay aur dusron ko bhi rokain (nahi anil munkar)
7) adaab: ab jo aanay wala amal hai woh ghust wala amal hai is mein 4 aamal ho……
ek saathi yahan baith kar dawat ki baat chalaye
ek saathi dua o’ zikr mein rahein, Allah say talluq joday aur ijtemaye hidayat ki dua karein
ek saathi istaghbaal mein rahein
aur ek amal ghust ka ho jis mein 3 sathiuon ka hona ahem hai
i) pehla ameer: jis ka kaam yeh hain ki jamaat ko dua kara kar ek baazo say rastay ka haq ada
kartay hue layjaye, gali mein 3rd kaleema aur bazar mein 4th kaleemay ka vird karay aur kise kay
ghar par jaye to ek baazo ho kar khaday aur apnay nazron ki khaas hifazat karein
ii) dusara rahbar : - jis ka kaam yah hai ki aapnay muslamaan emaan walay bhai ko acchay andaaz
mein mutakallim sahab say milaye.
iii) teesra mutakallim :- jin ka kaam yeh hai kay muqtasar si emaan aur emaan walay ki qadar o’
qeemat bata kar apnay bhai ko naghad lenay ki koshish karien. agar koi uzar pesh karein to
ussay dawat de kar choord-dein ke khood bhi aye aur apne bhaioon ko bhi saath laye.
is rastay kay- fazial:
is rasstey mein ek baar subhanallah kehein gay to 7 lakh bar subhanallah
kehnay ka sawab milayga.
aur is raastey mein ek baar kadam rakhegay to 700 kadam ka sawab milayga
aur jo gard, methi Allah kay raastay mein jis badan ko lagay uspar Allah nay jahanum ki aag
haraam farmaye hai.
Aur wapisi mein nadamat kay saath isteghfaar kartay hue aaye kay jaisa kaam karna tha
waisa na kar sakay aur naa-hi us ka haq ada karsakay takey Allah hamay aaendah kay liye
qubool farmaye- to is key liya sub bhai taiyaar hai naa …………. (insha-allah)
TARGHEEBI BAAT
meray bhioon yeh Allah ka buhot hi bada fazal o’ karam huwa ke hum sub ko deen ki nisbat
par jama-farmaya.
hadees ka mafhoom hai kay thordi deir deen par ghour o’ fikr karna 60 ya 70 saal nafil ibadat
say afzal hai.
Allah nay meray bhaioon, hum sub ki kamiyabi apnay mubarak deen mein rakhi hai aur jis kisi ki
zindagi mein deen hoga Allah usay duniya o’ akhirat dono mein kamiyab farmayengay aur jis kisi ki
zindagi mein deen na hoga usay duniya o’ aqhirat mein na-kamiyab farmayengay aur deen meray
bhaioon zindagi mein mout say pehlay lana hai aur ek baar mout agayi to phir ek baar subhanallah
kehnay ka mouqha na diya jayega

is deen kay khatir Allah nay insaano ki rahbari kay liye nabiyon ko is duniya mein bheja. aur nabi
nay loogon ko maqlooq ki ibadat say choordakar khaliq ki ibadat yaani Allah ki ibadat kay taraf
bolaya. saaray nabiyon nay is deen ki khatir takleef bardasht ki magar saaray nabiyon ki takleef
ek taraf aur Huzoor (saws) ki takleef ek taraf.
aur aap kay aur hamaray Nabi Hazrat Mohammad (saws) ko jab nabuwat mili to Aap (SAWS) nay
makka mein taqreeban 13 saal deen ki mehnat ki. hamaray nabi Huzoor (SAWS) aur Sahaba (R.A)
nay takleef is liye bardasht ki takay deen hum tak pahonchay……jaise Huzoor (SAWS) ka taif ka
safar, Hazrat Bilal (R.A) ka raat bhar maar khana , Hazrat Khabbab (R.A) ka angaar par ghaseetay
jana yeh sub takleefein in hazraat ne sirf Allah ke deen kay liye bardasht ki.
aur aasi azeyatein aur takleefien muslamnon par kuffar o’ mushrikeen ki taraf say hue to Sahaba
(R.A) nay pahlay habsha (ek shaher) ko hijrat ki. magar wahan bhi kuffar o’ mushrikeen nay unko
yaani Sahaba (R.A) ka peecha na choorda aur habsha kay loogon ki taraf say Sahaba (R.A) ko koi
nusrat ya madad na mili.

jab kuffar o’ mushrikeen kay zulm bohat badgaya tab Allah ki taraf say Nabi (SAWS) ko madine
ko hijrat karnay ka hukum hua. to Sahaba (R.A) nay makkay say madina hijrat ki (aur jo Sahaba
(R.A) makkay say madina hijrat ki unko muhajir sahaba kehtay hai aur madiney mein rahnay
walay sahaba jisnay hijrat karnay walon ki nusrat ki unhay ansaar kethay hai). madine walon nay
hijrat karnay walon ki har etebaar say nusrat aur madad ki tab ja kar saaray duniya mein deen
pehla.
Hadees:
ek hadees ka mafhoom hai – Huzoor (SAWS) nay farmaya :
“agar hizrat ka taqaza na hota to mein bhi ansaar mein say hota”.

aur ek hadees ka mafhoom hai kay : “jo shaks neiki ki taraf bolata hai woh aisa hai jaisa
khud neiki karnay wala”

aur ek hadees ka mafoom hai kay : ”Allah kay rastay mein ek din aur ek raat ka nikalna
duniya aur jo kuch bhi us mein hai ussay behtar hai”

to jab tak yeh hijrat wa nusrat ka amal hota rahega Allah apnay fazal say ussay deen pahelnay ka
zariya banayengay.

to meray bhaioon hum bhi hijrat ki shakal lay kar aap kay muqaam par aye hai deen kay liye aur
aap logon say guzarish hai kay hamari nusrat karien yaani humari taleem mein sath dein,
mulaqaat karaien, deegar deeni umoor mein saath dein, is say hum sub ko deen ka fayeda hoga.
hamari taleem ka waqt_______aap say guzarish hai kay is mein shirkat farmayein aur apnay dost
ahbaab ko bhi laykar aaye. (subhaan allahi wabi hamdihee……..)
MUSHWARAY KAY ADAAB
1. mushwara Allah ka pasandeeda amal hai
2. Huzoor (SAWS) ki sunnat hai aur Sahaba (R.A) ki seerat hai aur hamari zaroorat hai
3. mushwara 3 cheezon ka ho
24 ghantay kay umoor tay karlein
hum jaisa - Allah kay rastay mein nikalein hai ussi tarha yahan kay logon ko bhi
nikalein
agar is masjid mein masjid war jamaat baitey ho to ussay mazboot karnay ki fikr
karein aur na baitey ho to bithanay ki fikr karein.
4. mushwara mein saaray alam ki fikr lay kar baithay
5. deen ka faidah dekh kar rai dein
6. mushwara mein maan’nay kay jazbay say baithay , manwanay kay jazbay say na baithay
7. apni rai ko amanat samajh kar dein
8. kisi sathi ki rai ko na kaatein
9. qidmat aur elaan mein khud ko pesh karein doosray umoor main rai dein
10. apni rai par israar na karein
11. mushwara dilon ka joard hai
12. mushwara say pehlay mushwara na karein aur mushwara kay baad tabsayrah na karein
13. mushwara mein aksariyat aur akhiliyat ki koi ahemiyat nahi
14. mushwara say pehlay sub ki rai alag-alag hoti hai magar mushwara kay baad sub ek rai ek
hojati hai
15. har ahem kaam chahay deen ka ho ya duniya ka us mein mushwara karein, magar aurat ko
ameer na-banayein
16. mushwara karkay jo kaam mein nuqsaan ho us par afsoos nahi hota

TALEEM KAY ADAAB


1. taleem mein halqa bana kar baithay
2. ba adab – ba wuzu baithay
3. ho sakay to 2 rakat nafil padhkar – Allah say hidayat ki dua karein
4. taleem mein 3 hisay hai
kitaab ki taleem
quraan kay halqay
6 (che) number ka muzaakirah
5. Allah aur uskay Rasool (SAWS) ki dil mein mohabbat lay kar baithay
6. dhiyaan aur tawajjuh say sunay
7. taleem karne walay ku ya kitaab ko dekhein
8. taleem say dil taasuur laynay wala banay (yani asar lanay wala)
9. amal ki niyyat say aur dusooron tak pahonchanay ki niyyat say sunay
10. Huzoor (SAWS) ka naam aye to durood padhein
11. jannat ka tazkerah ho to dil khus ho aur jahannum ka tazkirah ho to dil mein khauff ho.

6 NUMBER :
1. imaan
2. namaaz
3. ilm o zikr
4. ikraam e muslim
5. ikhlaas e niyyat
6. dawat e illallaah

Vous aimerez peut-être aussi