Vous êtes sur la page 1sur 93

1.

Raat kya dhali sitare chale gaye,


koi aur kya mila aap hume bhulate
chale gaye,
dosti ki baazi jeet to hum bi sakte the,
par aap ki khushi ke liye haarte chale
gaye…..
pyar se pyari koi majburi nahi hoti.
kami apno ki kabhi puri nahi hoti.
dilon ka juda hona ek alag baat hai.
nazor se dur hona koi mazburi nahi
hoti.
Tuje dhekne ko tarsati hain ankhen.
taras-taras kar bahut barsati hain
ankhen. baras-baras kar jab thak jati
hain ankhen. tuje phir dhekne to
tarsati hain ankhen.

badi gahrai se chaha hai tujhe,badi


duaon se paya hai tujhe, tujhe
bhulane ko sochu bhi kaise sakta hoo,
kismat ki lakiro se churaya hai tujhe
dil ki duniya mein koi gam na ho,
humari yeh dosti kabhi kam na ho,
khush raho tum sada yeh dua hai
meri,kya pata hum kal ho na ho.
had se na guzre koi ishq main
had se na guzre koi ishq main
milta vahi hai jo
naseeb main hota hai.
Har ek zajbat ko dua nahi milti
Har ek arzu ko zuban nahi milti
Muskan sajae rakho to duniya hai
sath
kyuki Aansu ko to ankho main bhi
Panah nahi milti.
IBTEDA ISHQ HAI HONA HAI
KYA
IBTEDA ISHQ HAI HONA HAI
KYA
AAGE AAGE DEKHO HOTA HAI
KYA
Humne jab kabhi khushi mehsoos ki,
Her kadam pe aapki kami mahsoos
ki,Door rehkar bhi aapki dosti kam na
hoi, ya baat humne Dil se mahsoos ki..
Duniya main 3 chezee kabhi bhi aa
sakti hai …paisa… …mout… …aur…
… aur… …aur… mera SMS..
Dost 1 sahil hai tufan k liye Dost 1
ayina hay armano liye Dost 1 mahfil
hai anjano k liye Dost 1 kwahish hai
aap jaise dost paane k liye.
D se Dosti, D se Dil, D se Dard, D se
Dillagi, D se Dewangi per D se itna bhi
Dur na ho jana ki S se SMS our C se
call bhi na kar sako…
Dosti achi ho tu rang lati hai, Dosti
gehri ho tu sabki bhati hai, Dosti
nadan ho tu toot jati hay, per dost
hamse ho tu itihass ban jati hai…
Promise me v r true frindz, i’m lamp
ur lite, i’m coke ur sprite, i’m saawan
u r baadal, i’m normal ur pagal. ha ha
ha
Sabse intelligent koun: TUM , sabse
smart koun: TUM sabse storng koun:
TUM in sab me TUM se zeyada koun:
HUM lakin dunia me sabse acha dost
kaun: HUM TUM
Na chahat hai sitaron ki, Na tamana
hay nazaroon ki, Aap jaoisa ek dost
mila tu kya zarorat hay hazaron ki..
Umid aise ho jo jeeny ko majbor kare,
raah aisi ho jo chanle ko majbur kare.
mahak kum na ho kabhi apni dosti ki,
dosti aisi ho jo milne ko majbur kare..
Ishq Mohbbat to Hazaro krte hai,
Gum E Judai Se Vo Sabi
Darte Hai,HUM To Na Ishq Na
Mohabat Karte Hai.
Bas AApki ek Smile Ke Liye SMS
Karte Hain..
a kalam jara ruk ruk kar chal , kya
ghazab ka mukaam aaya hai
jra thodi der thahar ja , teri nok ke
neeche mere yaar ka naam aaya hai
dil se aap ka khayal jatha nahi,aap ke
siwa koi yaad aatha nahi,hasrat hai
roz aap ko dekhen,par woh waqt
hamare samne aatha hi nahi.
vade pe hum unke aeitbaar nahi
kathe,zikr mohabbath ka sare bazaar
nahi karthe,darthe hai hum unki
rusvaye se, woh samajhthe hai hum
unse pyar nahi karthe
Majburi kya thi unhone batayi to hoti,
judai ki Baat yu sunaayi na hoti.. apne
kabar ki mitti bhi de dete unhe,
MERE MAUT ki khwaish jatayi to
hoti..
hey man great shayari but plz i wanna
hav sum welcome shayari as soon as
possible if anyone has it plz send it to
MANA KI TERI DEED KI QABEL
NAHI HO MEIN.
TEERCHI NAZAR SE DEKHO
MAGAR DEKH TO SAHI
HUM WOH NAHI JO TUJH SE
NAATA TOD DENGE
HUM TO TERE WOH DOST HAI
JO TERI SAANSE BAND HO JANE
PAR APNI SANSO KO TERI
SAANSO SE JOD DENGE
ehsaas use bhi hoga ek din apni jafa
ka
rula dega use ek din khayal meri wafa
ka
usne insaan sa sulook bhi na kiya
mujhse
jis insaan ko maine darja diya khuda
ka
Kaise kahe ke aap kitni khubsurat
hai,
Kaise kahe ke hum aap pe marte hai,
Yeh to sirf mera dil hi janta hai,
Ke hum aap pe hamari jawani qurban
karte hai…
jo kuch bhi mila hai usi mein khush
hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi
karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
zalim warna tujhe chahne ki khata
baar baar nahi karta
HUMNE KHUDA SE DUAHA
MANGE,
DUAHA MEI APNI MAUT MANGE,
KHUDA NE KAHA MAUT MEI
TUJHE DE DUGA,
PAR USKA KYA HONGA JISNE
DUAHA MEI
TUMARI SALAMATI MANGE.
Dil todna hamari adat nahi. Dil hum
dukhate nahi, Bharosa rakhna humari
dosti pe Dost banker hum kisiko
bhulate nahi………..
ANSU TERE NIKLE ANKH MERI
HO… DIL TERA DARKE DARKEN
MERI HO… KHUDA KARE
HAMARI DOSTI INTE GHARI
HO…. KE SANSE TERI RUKHE TO
MOUT MERI HO……… I LOVE U
NABEELA…..
D se Dosti, D se Dil, D se Dard, D se
Dillagi, D se Dewangi per D se itna bhi
Dur na ho jana ki S se SMS our C se
call bhi na kar sako
najane kis bat ki saza dii us ne
udas rehne ki adat C daal di us ne
jab mere pyar ko woh samjha nadan
to mere qaber kye sath apni kaber
bane di us ne
Mere hathon ki lakeron main tera
naam hota
Main tujh sye wafa ker kye badnaam
na hota
Mera sara safer tere yadon main kate
ga ab tou
Kash main bewafa insan na hota
Tere mohabbat ki mere sansain
gawahi dete hain
Main mere jata to muh pe ya ilzam na
hota
Sare wadon ko tere todh ker chala
gaya
Furqan kash to itna sang dil insane na
hota
main nahe to mere wafain usye sataye
gi
woh roye ga itna kye ankhain num reh
jaye gi
sochta hoga har ek pal main woh
mujhe kitna
har ek dar sye usse mere awazain aye
gi
tujhe ishq main kya pana kya khona
ha
ya ishq to hum garebon ka khilona ha
tu to khal ker kal chala jaye ga ek din
is ghum kye sath hamain zindagi bhar
ronaha
Humne jab kabhi khushi mehsoos ki,
Her kadam pe aapki kami mahsoos
ki,Door rehkar bhi aapki dosti kam na
hoi, ya baat humne Dil se mahsoos ki..
ek takdeer se nagar aate hai,
ek janjeer se nagar aate hai,
aakhir padhento kya padhen
har panne par tari tashveer nagar
aate hai.
vo agar jahar dekar hame marte,to
jamane ki najro me aa jate,
usne u kiya ki vakt par mujhe dava na
di.
Kabhi tum bhi humse baat kar liya
karo, Milne Milaane ki faryaad kar
liya karo, Ek hum hain jo har baar
shurwaat karte hain, Kabhi tum b
humein humse pehle yaad kar liya
karo
payar too ham ne bi kiya ,
wo hame kabi mud kar be nai deka ki
usai hum payar kartehi,
hamari payar me khaa kami tii ki
usni hamii tukrakar kisi orr se payar
kar liyaa
thare dewane hai hum
tum kitani be durr chali jhaoo
jab tak sas chalti rahi hum tume bulaa
na phagee
Deewane hai uske naam k is baat se
inkar nahi,Kaise kahe ki hame unse
pyar nahi,Kuchh to kasoor hai unki
adaon ka,warna hum akele to
gunehgar nahi..
Raat ko raat ka tohfa nahi dete,Dil ko
jazbaat ka tohfa nahi dete….Hum
aapko chaand bhi de dete
lekin,Chaand ko Chaand ka tohfa
nahi dete….
DIL KE CHHALON KO SHAYARI
KAHO TOH DARD NAHI HOTA,
TAKLEEF TOH TAB HOTI HAI
JAB LOG WAH WAH KARTE
HAIN.
bohot pyaari hai awaz tumhari
banado isse kismat hamari
me zindagi me aur kya chahu
agar mil jaye “dosti”tumhari
ek gair se mujhe itna pyaar kyunhai
inkaar karne par bhi mujhe ikraar
kyunhai.
meri taqdeer mein usse milna nahi
shayad phir bhi har mod per uska
intezar kyunhai.
tujhe dekha tau kismat thi humari ,
tune hume pyar kiya hasrat thi
humari , nibha na sake is ishq ko hum
galti thi humari,, marna tau hum bhi
chate the itni achi kha thi kismat
humari ,,,,,,,,,4 u piya love u always
teri yaadi itni thi ki tujhe bhoolna
asaan nhi honhga MAUNT KI
DHELLEJ PARKHADE HAIN PAR
TUJSE WADA HAIN KIYA ISLIYE
MARNA BHI ASAAANN NHI
HOONGAA 4 U MY PIYA
PIYA TERI TASVEER DIL MAIN
AISA LAGI HAIN JAISE KI KOI
MOTI CHUPA HOO IS DIL MAIN I
LOVE U PIYA DONT LIVE ME PLZ
UNNNN HARI ANKHOON MAIN
AJEEB SE KASHISH THI BINA
DEKHA RHA NHI JAANTA AREE
KOI UN SE JAAKER KEH DE KI
UN KE BINA HUMSE RHA NHI
JAANTA I LOVE U PIYA
UNHE YAAD NHI AAYI HUMARI
HUMAIN VISWAS NHI HOONGA
UNHE KISI SE PYAR HOONGA
HUMARE SIWA HUMAIN VISWAS
NHI HOONGA UNKI KIISII SE BHI
SHADI HOO JAAYE PHIR BHI
HUMAIN AISA LAGNGA KI YEH
HUMARI AAKHON KI DHOKA
HOONGA MISSING U PIYA
AEEE PYAR KARNE WALO PYAR
KERNA ITNA ASAAN NHI
HOONGA QKI SAPNE KO MEHEL
TOOT JAANE KA GUM SEH PANA
ITNA SAAN NHI HOONGA
MOHABAT TAU SAB KARTE
HAIN PAR HUMARA JAISE DIL
REKH PANA ASAAN NHI
HOONGA MISSING U
PIYAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA
AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA
AA LOVEEEEEEEEEEEE
UUUUUUUUUUUUUUUUUUUUU
PHHOLON KI BASTI MAIN AAEE
DOST KAANTE BHI BNANA PYAR
MAIN HASANE KI SIWA THODE
GUM KE ANSSOO BHI BHANA I
LOVE UUUUUU PIYA
iss hasrat main humari zindagi kat
gayi ki woh humse milne aange
humne un se laakk inejjaa ki par
unhene humse kha ki woh kisi aur ke
sath chale jaange
love u piya
Tujse naraz nhi zindagi hairaan hoon
mai hairaan hoon mai
Tere masoom sawalon se pareshan
hoon mai
Jine k liye socha hi nahi dard sambhal
ne honge
Muskaraye tau muskarane k karz
utaarne hoonge
Muskurau kabhi tau lagta hai jaise
hothon pe karz rakha hai

piya jo beente the tere sang woh


humare pal gujarate mere sath woh
haseen pal bas yaad karke unhe hi
haqqeqat man lente hain un pal ko
kya pta ho na aisa kal love uu piyaaa
piya tujse dur hooker hi humain
huamin pta chala ki nhi jee pante hum
tere bin aaee khuda koi rasta milne ka
dikha de qki ab kant tee nhi yeh pal
tere bin
Paas aa kar sabhi door chale jate hain
Hum akele they akele hi reh jate hain
Dil ka dard kis ko dikhayein
Marham lagane wale hi zakham de
jate hai
Chaho to dil se hame mita dena,
Chaho to hamko bhula dena,
Par ye vaada karo a dost,
Ki jab yaad aye hamari to rona mat
bas muskura dena.
humara imithan aise lente hain jaise
hum par viswas nhi, viswas ki baat
chodo un ko hum par itna se bhi
aitbaar nhi 4 u piyaa
log rista aapno se tod lete hai
nata gairo se jod lete hai,
humse to ek phool bhi nahi tuta,
log jane kaise dil tod dete hai
Aaj hum hai, kal hamari yaade hongi,
Jab hum na honge, tab hamari baate
hongi,
Kabhi paltaoge jindagi ke ye panne,
To shayad apki aankhon se barsaate
hongi
Dil Ke Kareeb Aaake Woh Jab Door
Ho Gaye…,
Saare Huseen Khwaab Mere Choor
Ho Gayey…
Humne Wafaa Nibhayee to
Badnaamiaa Milli…
Jo Log bewafaa Theye woh Mashhoor
Ho Gayey…
Dua mangi thi aashiyane ki…
Chal padi andhiya zamane ki…
mera gam koi na samaj paya…
kyun ki hume aadat thi muskarane
ki…
Koi hamein samjhe, na samjhe…
Hum khud ko samajh gaye…
Pyaar ki khushi ke liye…
Unki zindagi ki raah se hatt gaye.
Dil jab tuta hai to awaz nahi aati,
Har kisi ko mohobat rash nahi aati,
Yeh to apne apne naseeb ki bat hai
Koi bhoolta hi nahi,
Aur kisi ko yaad hi nahi aati.
Jab sawan main tanha bheegoge,
jab angan khalee paoge,
jab sahil say takrati lehron main,apni
tanhae main kho jaoge,
jab raat ke tanha daman main,tum
chaand ko adha paoge,
jab khud say batain karte karte,tum
door kahin kho jaoge,
jab dil ki baat chupane ko,ham se
nazar tum churaoge,
main tum se mohabat karti hoon,har
baar ye sunna chahoge,
in sab lamhon main jaan lena ki,tum
tum nahi >>HUM<< ban jaoge…
Yaad karoge tum ek din is pyar ke
zamane ko,
chale jayenge jab hum kabhi na
vaapas aane ko,
karega mehfil me jab zikr hamara koi,
to tum bhi tanhayi dhundoge aansu
bahane ko…….(L)
E mere dost,
Hamane jo dil ki bate kahi vo hamari
nadani mat samajana,
Hamari bevakufi samaj kar use kabhi
bahar mat nikalana,
Nahi to hamare jane ke bad
pachhatayenge, hamari yaad ayegi,
Hame apne dil se kabhi juda mat
karana,
Varana hame duniya se judai ka
rishta judana hoga,
Hum khuda se dua karenge ki,
Hamari umar aapko lag jaye,
Hamari hisse ki jo thodi khusiya he vo
aapko mil jaye,
Lekin hamse kabhi bevafai mat
karana,
Ise bura sapana banakar bhul jana
pade
E yaar esi nadani mat karana,
Hamare jaise dost ko bhulakar bhi
kabhi andekha na karana,
Hame apne dil me nahi, dil ke kone
me bhi na sahi
Lekin jaha tumhare dookh hai vaha
jagah de dena,
Ab dookh ke sath kuchh rishta sa ban
gaya hai,
Aur hum janate hai dookh kya hota
hai,
Islie Dard ka, dookh ka rishta
nibhalenge,
Koi hame khushiya de to khush ho
usame manane vale nahi hai,
Lekin hum dusaro ko khushiya de kar
khush rahane valo me se hai,
E dost ,
Aankh kabhi bhigi mat hone dena,
Kyoki bhigi palako ko sukhane me
der lagati hai
Ek bat yaad rakhana,
Aankho ki kitabo me aansuo ki
kahani hai,
Rah jaye to moti hai , bah jaye to pani
hai,
Jeene ki rah dikhakar E dost maut ki
manjil pe mat pahuchana,
Dookh me samel na ho to koi gum
nahi
Lekin ejafa mat hone dena,
Hamare es phool dil ko kabhi thes mat
pahuchana,
Agar ye nadani aap karenge to bhi
hum aapko duae denge,
Lekin khuda ka dar rakhana,
Ab tak hum akele duniya chhodana
chahate the,
Lekin ab hamari maut aapki dosti ki
mohtaj ban gai hai,
Islie ab hum aapki dosti ko sath lekar
jayenge,
Hamari jeendagi ko sahara dekar, use
kabhi mat chhodana
Hamane kabhi bhi hamare liye khuda
se khushiya mangi nahi hai,
Dusaro ki khusiya hi mangate aye hai,
Lekin aap hamako kabhi khud se juda
mat karana,
Varana hamari maut sirf maut ban
jayegi , utsav nahi,
Kuchh bhi ho jaye, par apani
bhavanao ko samabhalana,
Use kabhi bikharane mat dena.
tujhe jo ilzam hum par lgana hain
lagale tujhe koi ehsaan hum par
btaane hain btadee ab tau humain is
duniya se jaana hain tujhe bachana
hain tau bacha le
galti humari hi thi ki humne begano se
rista jooda dosto ki mehfil main
humne dushmano se rista jodaaaa
humari kya hai dosto hum tau jee
lenge unse keh do ki kisi aur ko na
kahe humain tum se pyar hain verna
pyar ke naam par bhi log viswas
kerna chod denge
kaise akhein char ker lu
kaise aietbaar ker lu
apni dhadkano ko kaise itna bekaraar
ker lu
kaise tujko dil mai dedu
kaise tujse pyaar ker lu
Hazaro mazile hongi, hazaro karwa
honge, nighahein humko doondegi na
jane hum kaha honge
humain tau yaar koi pyar karne wala
nhi mila hum tau unme se the ki apne
pyar ko khudA SE BHI MANGE LE
humari us khatha ko maaf ker dena jo
humne aap se ki hain ho sake tau us
pyar ko phir se jawan ker dena ho
humne aap se ki hain
apni dil ki kasti samunder mat lana
doobne ka khatra hain apne ansoo
logo ko mat dekhana werna log
kahnge ki pyar jtaane ka naya tarika
hain
Paas aa kar sabhi door chale jate
hain, hum akele they akele hi reh jate
hain dil ka dard kis ko dikhayein
marham lagane wale hi zakham de
jate hai
Dil jab tuta hai to awaz nahi aati, har
kisi ko mohobat rash nahi aati, yeh to
apne apne naseeb ki bat hai koi
bhoolta hi nahi, aur kisi ko yaad hi
nahi aati.
Log apna banake chod dete hai rishta
gairo se jod lete hai..
hum to ek phool bhi na tod sake log to
dil bhi tod dete hai
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun
hoti hai, ajeeb khel khelti hai yeh
kismat jise hum pah nahi sakte usi se
mohabbat kyun hoti hai.
Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna,
yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi
naam ho, per dosti ka ehsaas kabhi dil
se kam na karna.
Chaand ne chandni ko yaad kiya,
premi ne premika ko yaad kiya,
par hamare paas na chand na
premika, isliye is nacheez ne apne
DOST ko yaad kiya..!! FOR U
SHIVANI
hasane k bad rulati hai dunia pyar
karne k bad thukaratihai dunia kya
zindagi me koi kasar seh gai thi jo
marne kbad bhi jalati hai dunia
hey Piya you got sum kool stuff I relly
love dem tell me who r u girl??? lagta
hai kisne tumara dil dukhaya hai
well take my email id we can cht if u
want I really like ur shayari
something really happened to me as
well
jab uski dhun mein raha karte they,
hum bhi chup chap jiya karte they
ankhon mein pyas hua karti thi, dil
mein toofan utha karte they
log aate they gazal sunne ko, hum uski
baat kiya karte they
sach samajhtey they uske waadon ko,
raat din ghar mein raha karte they
ghar ki diwaaron ko sajane ki khatir
uska naam likha karte they
aksar hi yahan wahan ki baaton mein
usko bhulan ki koshish kiya karte
they
kal use dekh kar yaad aaya kabhi
hum bhi mohabbat kiya kartey
they !!!
yaad aayi yaad aayi phir tumhari
yaad aayi
aisa lagta muje tauuuu…
aisa lgata hai muje tau maar dalegi
judaai
ye judaayi ye judaayi maar dalegi
judaayi
Aabhi jao aabhi jaon ishq de tumko
de saja
aake mai reh sakonge bhulke meri
wafa
kuch nazar nahiiiii
kuch nazar aaye na mujko
ankhon mai bas tum ho chaye
tumho chahye ankhon mai bas tumho
chahye
tum nahi aate tumari yaad aati sanam
kya batau kis tarah mujko rulati
sanam
ab muje khamoshiyon mai
ab muje khamoshiyon mai dhadkane
deti sunayiii
dhadkane deti sunayi
dhadkane deti sunayi
duriyan majburiya hai hale dil kaise
kahu
tanha tanha bebasi ka dard mai kaise
sahu
tum kaho tau chod duuuu
tum kaho tau chod duuuu ek pal mai
ye khudayi
ek pal mai ye khudayi chod du mai ye
khudayi
yaad aayi yaad aayi phir tumari yaad
aayi
aisa lgta hai muje tau maar dalegi
judaayi
2. Piya Says:
November 6, 2007 at 2:35 pm
Is dil pe lagte hai Jo woh zakhm
dikhte nahi, apno se milte hai jo woh
dard mitte nahi, mai paas apne nahi
bas dur jabse hai tu
Acha hai haste hue ho jaye hum tum
juda ye koi na puchle woh humsafer
kaun tha, ab tau muje yaad nahi saath
mere kabse hai tu
Unke liye pyaar main humne sab kuch
luta diya….
Unhe pasand thi roshini aur humne
khud ko jala diya…khud ko jala diya..
Kabhi hasata hai pyaar,
Kabhi rulata hai pyaar,
Har pal ki yaad dilata hai yeh pyaar,
Chaho ya na chaho,
Par hamesha unake hone ka ehsaas
dilata hai yeh pyaar………..
dil hi dil me apko yad karthe hai
shayad hamari doniya apkoo achi nai
lagi
isliya appa nai hai chood hamere sir
ko apna liya
pata nai woo ka ha hogi
jaha be rahi wa hami yadda kare
rooj hamari nam ka aasu bahai
app ni hari neede haram kiya lakein
app
jah bi rahi kush rai
app kai liyaa ham ni sab kuch chodaa
app kai liyaa ham ni sab kuch chodaa
app ni too hami beach rasti pai chood
kar chali gai
shyad app nai acha hi kiya hamri sat
warna to ham kaha woti hami patta hi
nai
Hum aise aashik hain jo gulab ko
kamal bana denge, Uski har adaa par
ghazal bana denge.. Agar wo aa jayegi
mere jindgi me, To lalu ki kasam
Bihar me bhi Tajmahal bana denge..
koi ladki hume thukra de uska hume
gum nahi gum to usko hona chahie ki
uski kismut me hum nahi
Har aahat ehsaas dilayegi,har hawa
kissa hamara sunaegi,hum itni yadein
bhar denge aapke dil mein Na chahte
hue bhi aapko Yaad hamari aategi….
Husn kitna khoobsurat hai aapki
aankhon mein, meri sari aish o ishrat
hai aapki aankhon mein, ho gaya hai
aasma ko apni jannat pe ghuma, is
zami pe meri jannat hai aapki
aankhon mein!!!
MAIN KAHAN MERA KHAYAL
KAHAN
AB NEEND AANE KA SAWAL
KAHAN
TERI AANKHON NE KIYA WO
JAADU
WARNA QUDRAT MEIN WO
BAAT KAHAN!!!
Tujhase mera nata gahra lagta hai
Mere dil pe shyad tera pahra lagta
hai,
Ye meri diwangi hai ya pagalpan,
Jise dekhu uska chehra tera chehra
lagta hai
tere dekhne ya na dekhnese koi gham
nahi,teri na dekhne ki ada ,dekhne se
kum nahi
i love your eyes
i love your style
i cherish your wave
i adore your smile
what can i say
ur 1 of a kind
24/7 on my mind
my eyes wanna c u
ma lips wanna kizz u
ma hart wantz 2 tel u
hw much i luve u
i waz lost bt nw found
blind bt nw cn c
dat u n i r ment 2 b
luv is a ting wich b’z xplaind
it touch’z da hart
n effect’z da brain
so wen i say i luv u
plz believe me
this cum from ma hart
4 it’z jus 4 u
kuch kuch hota hai
wen i tink of u
dil thou pagaal hai
wat cn i do
ham aapke dil mein rehtey hai
alway’z n 4eva
ham dil daychukey sanaam
2 u n onli u
3. a rose is a rose
bt not ma hart
cum n c it thru
u’ll neva feel apart!!!!
i love you
reply me at

dil toota ek awaz ayi,cheer ke dekha


ek cheez nikal ayi,socha kya hoga is
khali dil me,pani se dhoker dekha to
tasvir apki nazr ayi…love u Tousee..
Ishq ke bhi aadaab hoa kertey
hein……jaagti aankho mein bhi
khuaab hoaa kertey hein…..her aik ro
ke dikhaaye yeh zaroori to
nahi…….khuskh aankho mein bhi
sailaab hoaa kertey hein………:(
Kar baithe hum kuchh khata jaankar,
Jo usko bewafai lagi,
Humne socha ke wo maaf kar denge,
Par haath apne judaai lagi,
Humne ek pal mein usko gawa diya,
Jisko paane mein saari khudai lagi…:(
aansuo ko bahut samjhaya tanhaai me
aaya karo
mehfil me yu hamara mazak na
banaya karo
is par aansu tadp kar bole- itna logo
mein aapko tanha paate hai
isliye bin bulaaye hi chale aate hai
Us rishte ka koi anjaam koi aagaaz
nahi tha
ada thi usme par mujh mein koi
andaaz nahi tha,
kal maine poochha, uske paas koi raaz
nahi tha
aaj poochha usne aur mere paas
alfaaz nahi tha…..
bewaffa sanam se achi cigarette hoti
hai,
bewaffa sanam se achi cigarette hoti
hai,
4. dil ko zyalati hai magar lobo ko
tho chuti hai..

wah wah……… dua hai ki unki


duniya me koi gham na ho,dua hai ki
unki muskan kabhi kam na ho,agar
nikle aansu kabhi unki palko se,dua
hai ki wo aansu ki vajah kabhi hum
na ho !
Tum toh kehti thi main aaungi har
gali har darwaaze ke piche phir kyu
nahi aayi mere janaje k piche
ha,main kehti thi aaungi har gali har
darwaaje k piche par tumne nahi
dekha ek janaja aur tha tere janaje k
piche
Khuab dekhe bhi nahi aur toot gaye,
Vo hamse mile bhi nahi aur rooth
gaye,
Hum jagte rahe duniya sooti rahi,
Ek baarish hi thi jo hamare sath roti
rahi

Ek sharabi ki daasta
Humko toh bear ne loota
Ciggrate main kaha dum tha
Apni toh kashti hi vaha doobi
Jaha viski ka drum tha
Ques- Why do couples hold hands
during their wedding day?
Ans- It is just a formality like two
boxers shaking hands before fight
begins
laut jaati hai dumiya gam hamara
dekhkar,
jaise laut jaati hai lehar kinara
dekhkar,
tu kandha na dena mere janaze ko,
kahi mai phir zinda na ho jaoo
tumhara sahara dekhkar

Dard kafi hai bekhudi ke liye maut


jaruri hai jindigi ke liye kaun marta
hai kisi ke liye hum to zinda hai bas
aapki kush ke liye
kamhoshi me bhi ek awaaz hoti hai
qaid bulbul ki arzoo parwaz hoti hai
har koi tajmahal bana to nahi sakta
par har kisi ke dil me ek mumtaz hoti
hai
Dil ke dard ko dil todne wala kya
jane,
pyaar ke riwazon ko yeh zamana kya
jane,
Hoti hai kitni taqleef qabr main ,
Upar se phool charane wala kya jane
Khuli aankhon se sari ummar dekha,
Aik esa khwaab dekha jo kabhi apna
nehi tha,
Aaj tak woh shaks is dil main hai,
Jo ke uss waqt bhi mera nehi tha
Charlie and Sardarji were having
dinner.
Charlie says,”Pass the wine u divine”
Sardarji think how poetic
Sardarji saya,”Pass the custard u
bustard”
A Tamil say,”Tamil terima”
Sardarji angrily say,”Hindi tera
baap”
Kashmir ki wadiyon main, barfilli
hawoan main, jheel k kinare baithe
Ranjha ko Heer ne kya kaha ?
????????????????????????????
Ullu k Patthe hero mat ban, sweater
pehan le
Bikhre aasuon k moti hum pee na
sake
Teri yaad main sari raat hum so na
sake
Bah na jaye aansuon main tasweer
tumhari
yahi soch kar hum ro na sake
Jisne humko caha use hum caha na
sake
Jisko humne caha use hum pa na sake
Ye samajh lo ki DIL todne ka khel
nahi
Kisi ka humne toda aur apna hum
bacha na sake.
raaz ki baaten likhi aur khat khula
rehne diya , jaane kyun rusvaiyon ko
silsila rehne diya , umer bhar saath
reh ker wo na samze dil ki baat , do
dilon ke darmeyan ik fasla rehne
diya , apni fitrat wo badal paye na
iske bawjood , khatam ki ranjish
magar gilla rehne diya….
kuch is terha teri palaken meri
palakon se milla de,aansu tere saare
meri palakon per saja de,tu har ghadi
har waqt mere saath raha hai,haan ye
jism kabhi door kabhi paas raha
hai,jo bhi gum hain ye tere unhe mera
pta de,kuch is terha teri palaken meri
palakon se milla de,aansu tere saare
meri palakon per saja de,muj ko to
tere chehre pe ye gum nahi
jachta,jayeej nahi lagta mujhe gum se
tera ye rishta,sum meri guzaarish ise
chehre se hata de….sum meri
guzaarish ise chehre se hata de….kuch
is terha teri palaken meri palakon se
milla de,aansu tere saare meri
palakon per saja de..
Muddat ke baad chaha tha kisi ko,
socha tha har hasrat puri karenge !
Har shaks ne toka tha mujhe, socha
tha ab nigaho se roka karenge !
Chaha tha teri chahato ko is kadar,
socha tha ye zindagi bhi tere naam
karenge ! Teri saanso ki mahak aaye
zism se rooh tak is kadar, socha tha is
bejaan zamin ko gulistan karenge ! Is
jahan mein to mulaqat mukkammal
na ho sake shayad, par saato janam us
jahan mein tera intzaar karenge…
Katal vaadon ka ker gaya koi , ashk
aankhon me bhar gaya koi , berukhi
aap ki aada theri , liye armaam aaj
mar gaya koi , kal naye zakham
mujhe dhoonde ge , aaj ek zakham
bhar gaya koi , dekta reh gaya ye
jahan saha , nazer se waar kar gaya
koi , tum kal dariche pe nahi aayi ,
suna hai raat mar gaya koi..
…… Tum se millne ki justjoo bhi
hai,dil me tu rubroo bhi hai,humne
socha is dil ko jala dalen phir socha
yaar is dil me tu bhi hai,zindgi me
jaida kabhi chaha hi nahi,jis jis ko
paya use kuch is terha se kho diya
jaise zindgi me kabhi koi aaya hi
nahi,wo kehte hain ke majboor hain
hum na chahte huye bhi door hain
hum,churali unho ne hamari dhadkne
phir bhi kehte hain ke Be kasoor hain
hum………..
Sukun mil gya muje badnam
hoker,unke har 1 ilzam pe yu bejuban
hoker.
Log pad hi lenge unki aankhon mein
meri mohabbat,
chahe karde wo inkar Anjan Hoker.
Hum ruthe to kiske bharose..kaun hai
jo aayega hume manane ke liye..ho
sakta hai taras aa bhi jaye aapko,par
dil kahan se layein aapse ruth jaane k
liye…
Hamari dastan use kaha kubul
thi,meri wafayen uske liye fizool
thi,koi aas nahin lekin itna bata
do,maine chaha use kya ye meri bhool
thi.
Na jeene ki khushi na marne ka gam,
Gam hai to unse na milne ka ,
Jeete hai is aas par kabi wo hmare
kehlayenge,
Marte nhi isiliye ki wo akele reh
jayge..
Is se pehle k raat ho jaye,kyun na
khwabon se pehle ek mulakat ho jaye.
Apne mobile se ek pyara sa sms hi kar
do. jis se shor bhi na ho aur baat ho
jaye..
Maana ki nasib me mere koi sanam
nahi, fir bhi koi shikwa koi gam nahi,
tanha the aur tanha jiye jaa rahe hai,
badnasib to wo hai jinke nasib me
ham nahi…
Jab kabhi apko koi gam sataye.
.koi bat dil ko na bhaye
.ankhen sagar chalkaye
.yaad karke dekhna hame
.kya pata ek ansu kam ho jaye.
Jab tanhai mein me Aapki yaad Aati
hai.
dil se ek fariad Aati hai . kudha rakhe
AAP KO sada salamat.
kyunki hamari khushi
Aapki khushi ke bad Aati hai.
Gam ki aahat bhi na aaye apke dar pe
,
pyar ke samandar ka aap kinara ho .
kbhi bhul se jo tapke apki aankh se
moti ,
thame wahi jo aapko sabse pyara ho.
Agar khushi se mare to tumhe pa kar
marenge,
Agar gam se mare to tume khokar
marenge,
Gam hoga na koi duniya se jaane ka,
Jaise bhi mare tere hokar marenge.
Koi hamari tarah mnaye to bataana
koi hamari tarah staaye to bataana.
Pyar to kar leta hai koi bhi,
koi hamari tarah nibhaaye to bataana.
manzil bhi uski thi, rasta bhi uska
tha;
ek main akela tha, kafila bhi uska tha;
sath-sath chalne ki soch uski bhi
thi,fir rasta badalne ka faisla bhi uska
tha;
aaj kyu akela hoon, dil sawal karta
hain;
log to uske the, kya khuda bhi uska
tha????
wo roye to bahut par muh-mod ke
roye,
bade majbur hoge wo jo dil tod ke
roye;
mere samne kar ke meri tasvir ke
tukde,
pata chala k badme unhe jodke
roye…….
meri ruha vich mera yarr vasada
usdi akhha vich mera didar vasada.
sanu apne dard di parwah nahi,par
rab kare har waqt rahe mera yarr
hasada
Is dil se teri yad bhulai nahi jati,
ye payar ki daulat hai roj lutai nahi
jati,
kis dil se kahte ho tumhe dilse bhula
du,
har roj to ye dunia basai nahi jati.
Teri bewafi ne hame mar dala,
hamse hua na dil ka smbhala,
jindgi se use hanth dhone pare hai
tere jaise sapoo ko jisne bhi pala.
Ashiq ki shaql kuch kuch bhoot honi
chahiye
Aql uske dimaag mein 6 soot honi
chahiye
Ishq karne ke liye kaleja hi kafi nahi
Ashiq ki jhange bhi mazboot honi
chahiye
hum kisi ka dil churane ki adat kaam
rakte hain, najane Q loog mera dil
churake oss mean ghum rakte hain..?
Ek jaam ulfat ke naam, ek jaam
mohabat ke naam. Ek jaam wafa k
naam, puri botal bewafa ke naam,
Aur pura theka doston ke naam
Khuda kisiki muhabbat pe fida na
kare,
Agar kare to zindagi bhar judaa na
kare..
khushi meri jaan har raat ke bad
sawera atahein
ek sitare ke baat dusra sitara ata hein
jis ki tagat miti woe hote hein duur
abhi hum hein (mohabbat) mat pao
apne ap ko majbur.
Safar mai karaha tha lekin sadau
saman uaka tha !
Mai bas raazdar that uska urna sare
razz uske the !!
Wo diraya mai payasa baidha tha
warana sare samunder uske the!!
Wo dhoup mai baithda tha chun de ne
ke liya warna sare darkth sayadar
uske the!!!
Uum tho maine bazahir risk batatha
longoun maine magar darparda sare
hath uske the!!!
Main jab kamal ke bulandi pe jake
suncha aye umar ya thou sare kamal
uske the!!!!!!!!!!!!
Chal rahithi mehfela chal rehethe dur
jam kiya tha koun kartha gour!!!
is mein tha meri hasrathoun ka koon
jinhe pee kar kahe rahathe log ek jam
aur ek jam aur ek jam aur !!!!!
chand per apka naam likne ki dil
karta hai. (2)……………..
per kya kare kambeqt ye kayal subah
subah ata hai
Dard ko dard samj dil me dabaya hai,
unnko kya pata unnhone kya paya,
or maine kya lutaya hai,
chehre pe mere muskurahat ki
Chadar,
par dil me Aarzoo tujhe chaupaya hai.
“ye dua hai rab se tere siva koi
bandagi na mile
ya tou tu mile jindagi me ya jindagi na
mile”
jis chahat se chaha tha tumhe
us chahat ko akhir manzil na mili
but i will love you for ever my cb…..
u r unique no one can stand on ur
place…
u r my crazyness,my heartbest,my
air,my day and whole of me
Is bedard zamaane se har gam
chupana padta hai
Zakhm hazaaron ho dil pe fir bhi
muskurana padta hai.
Dekh kar ye badon ki duniya mere dil
ke kone mein.
Ek chota sa bachcha bada hone se
darta hai.
Aisa lagta hai ki har imtihaan ko
hamara hi pata de diya hai.
Tum se door jaa raha hoon jaane
kaise jii paaoonga,
Dil se aawaz dena mujhe , waqt nahi
hoon laut aaoonga.
Naam mein kya rakha hai hum to
tumhare deewane hain,
In majnuon pe dhyaan mat do ye to
jalti shama ke parwaane hain.
Dard Ke Tufaan Dil Me Uthathe hain,
Lamhe sadiyon ke tarha katate hai,
Hum mitana chahe jo kabhi aap ke
nakss kaha mitate hai,
Humesha tanhaiyon ki majliss me
humne aap ka intazar kya,
Aap ki khatir kambkhat dil ne,
Dard me simti hui gehraiyon se bhi
pyaar kiya.
Dil ki yeh AARZOO hai, koi Dilruba
mile,
Lo ban gaya naseeb, Ki hum tumse aa
mile,
dekhein humein naseeb se ab apne
kya mile
ab takk toh jo bhi dost mile, bewafa
mile.
5. AASU TERE NIKLE AAKH
MERI HO… DIL TERA DHADKE
DHADKEN MERI HO… KHUDA
KARE HAMARI DOSTI ITNI
GEHERI HO…. KE SASE TERI
RUKHE TO MAAUT MERI HO…
Mil kar judaa hue tu na soyaa
karenge hum,
ek duusare kii yaad mein royaa
karenge hum,
AaNsuu chhalak chhalak ke
sataayenge raat bhar,
motii palak palak mein piroyaa
karenge hum,
jab duuriyon kii aag dilon ko
jalaayegii,
jismon ko chaaNdanii mein bhigoyaa
karenge hum.
Agar de gayaa daGaa hamen tuufaan
bhii ‘Qateel’
saahil pe kashtiyon ko Duuboyaa
karenge hum….
Milta tha sukoon jinko dekhkar …
najro ko unka wo sitara na mila..
dikha sake jo andhero ko roshni…
humko wo humara rahnuma na mila..
Tum meri kon ho?Tum se haii taluk
kaisa?
Tum kissi dhund mein lipti hue
tanhaii ho
Meri shuhrat ho , Dua ho meri ruswaii
ho
Baat karti ho kabhi chup mein bikhar
jati ho
Kiyun meri rouh ke goshoon pe sitam
dhati ho
Gungunati ho tu mehsoos ye hota hai
mujhey
Jaisey daryaaon ke Sahiil se sada aati
ho
Dour jata hoon tu daman se lipat jati
ho
Pass aata hoon tu khaboon mein utar
jati ho
Tum meri kon ho??Tum se haii taluk
kaisa??
kaash Khvaabo.n hii me.n aa jaao
bahut tanahaa huu.N
yaa mere zahan se yaado.n ke diye gul
kar do
mere ehasaas kii duniyaa ko miTaa do
ham-dam
raat taare nahii.n a.ngaare liye aatii
hai
in barasate huye sholo.n ko bujhaa do
ham-dam
dil kii dha.Dakan ko sulaa jaao bahut
tanahaa huu.N
a.Ndherii raat me.n jab chaa.Nd
khilane lagataa hai
tumhaare pyaar ke diipak jalaake
rotaa huu.N
tumhaare aane kii jab aas jaane
lagatii hai
mai.n in chiraaGo.n ko Khud hii
bujhaa ke rotaa huu.N
zindagii aisii miTaa jao bahut tanahaa
huu.N
sochate sochate jab soch bhii mar
jaatii hai
vaqt ke qadamo.n kii aahaT ko sunaa
karataa huu.N
ashk thamate hai.n to aaho.n kaa
dhuaa.N uThataa hai
raat bhar yuu.N hii ta.Dapataa huu.N
jalaa karataa huu.N
baar-e-Gam kuchh to ghaTaa jaao
bahut tanahaa huu.N
khwaab bahut achha dekh rahe ho…
per meri ye arzoo hai ki…
mein tumhe ek pathhar mar doon…
jisme I MISS U likha ho…..
aur woh tumhe aake lage….
aur tumhara khwaab toot jaye….
tum jag jao aur tumhari aankhein
khul jayein…
aur jise yaad kiya ho …. woh samne
aa jaye
aag ho to jalane me.n der kitanii
lagatii hai
aag ho to jalane me.n der kitanii
lagatii hai
barf ke pighalane me.n der kitanii
lagatii hai
chaahe ko_ii ruk jaaye chaahe ko_ii
rah jaaye
qaafilo.n ko chalane me.n der kitanii
lagatii hai
chaahe ko_ii jaisaa bhii ham_safar ho
sadiyo.n se
raastaa badalane me.n der kitanii
lagatii hai
ye to vaqt ke bas me.n hai ke kitanii
mohalat de
varnaa baKht Dhakane me.n der
kitanii lagatii hai
mom kaa badan lekar dhuup me.n
nikal aanaa
aur phir pighalane me.n der kitanii
lagatii hai
soch kii zamiino.n me.n raaste judaa
ho.n to
duur jaa nikalane me.n der kitanii
lagatii hai

Dil ki dararo se rishne laga hai lahoo


jiska aks dekhkar
Ye wohi mera apna hai ya koi aur
hai..
Saklo surat bhi wohi hai labo pe
muskaan bhi wohi hai
Najre bhi lagti hai jaani pahchaani
piche se,
magar jhakta koi aur hai..
maiN nazar se pee raha hooN ye
samaaN badal na jaay
na jhukaaO tum nigaahaiN kaheeN
raat Dhal na jaay
miray ashk bhee haiN iss meiN ye
sharaab ubal na jaay
miraa jaam Choonay waalay tiraa
haath jal na jaay
abhee raat kuch hai baaqee, na uTha
naqaab saaqee
tiraa rind girtay girtay, kaheeN phir
saNbhal na jaay
miree zindagee ke maalik, miray dil
pe haath raKhna
tiray aanay kee khushee meiN miraa
dam nikal na jaay
mujhay phooNknay se pehlay, miraa
dil nikaal lainaa
ye kisee kee hai amaanat, miray saath
jal na jaay..
Mujhe bas itna kehna hai….
Kabhi main yaad aaoon to..
Kabhi tanhai ki raatain …
Tumhain ziada sataein to..
Kabhi titli na bolay to ……..
Aur jugnoo lout jaye to ……
Kabhi jab dil bhi bhar jaye ……..
Koi jab sunn na paye to …
Agar sab dost sathi bhi …..
Jo tum se rooth jaaein to…
Kabhi jab khud se lar lar kar …..
Thakan se choor ho jao …
Kabhi chahtay huay bhi khud
akelay….
Ro na paao to …….
Apni aankhon ko band karna ….
Mujhay aawaz de dena …
Aur phir meray tasawur se ……
Jo chaho batain keh dena ……
Meray kandhay pe sir rakh kar …….
Tum jitna chaho ro lena ………
Phir khud main jab loat jao to …
Ussii duniya me chalay jana …..
Magar bas itna kehna hai …..
Ke jab bhi dukh ya khushiyon
main……
Humaiin dil se pukaro gay …..
Humaiin tum saath pao gay …….

chal re dil dewane uth yahan se ab


yahan koi nahi hai tera ,, jo tha wo
kho gya hai ,, jisko chora bas us ke he
chahat dil mein liye ja rahe ho, door
door bahut door ,, jahan koi na hoo ,,
bas tere yaad sath hoo,, jindgi mein na
kisi ke ho sake na koi mera ,, bahut
chaha ke kisi ko khush rakh paon,,
afsoos usne mere dewangi ko dil lagi
samjha,, logon se suna tha mohabat
bahut dard dete hai,, aaj us dard ka
ehsas huwa ,, acha hai mera dil tut
gya,, jaa rahe ho tumse door tumhre
khushi ke liye,, ab kabhi na lot ke
aaongi ,, kabhi nahi ,, kabhi
nahi,,,,,this is my own creation for
sajid ,, luv u alot

tu kahin bhi rahye tujh per mera


ilzam tu hai
terye hathon ki lakeron main mera
naam tu hai
tu mujhye apna bana ya na bana teri
khushi
tu zamanye main merye naam se
badnam tu hai
Main aur meri tanhaai aksar yeh
baatein karte hain
Tum laakh chupao chehre se ehsaas
hamari chahat ka,
Dil jab bhi tumhara dhadhka hai
awaaz yahan tak aayi hai.
I love shayari alot
Its really good to see such wabsite n
shayari’s craze in all
All the best
And keep up the good work

Khade hain khwab hateli par rakh


kar,
Sach ki aas main jugnu lamhe;
Tumhari dastake gum ho rahi hain,
Na aane kai bahane dhundhte ho;
Samajhna hai, samajh jao,
Jo jana hai, chale jao;
Magar ye dil kyu ab keh raha hai,
Zara thehar jao, zara thehar
jao…………….

Mujhe yaqeen to nahin, magar yehi


sach hai,
Main tumhare waaste umrein guzar
sakti hoon;
Yehi nahi kai tumhe jeetne ki
khwashish hai,
Main tumhare waaste khud ko bhi
hara sakti hoon………..

Dil ki hasrat zuban par aane lagi,


Tum ne dekha aur zindagi muskurane
lagi;
Ye ishq hai ya meri deewangi,
Har surat main surat teri nazar aane
lagi……..

Teri mohabat main dono jahan chod


jayenge,
Wafa main teri har muqam jhod
jayenge;
Chaya hai kuch iss qadr tera ishq
hum par,
Kai teri dhadkan main apni zubaan
chod jayenge………….

Tum sitaro main jagmagate ho,


Chand main roz aate jaate ho;
Meri sunte nahi ghadi bhar ko,
Mujhko apni sunaye jaate ho;
Dil ka afsana bhool jaati hoon,
Tumhara chehra jab dekhti hoon;
Wo bhi hota hai ek manzar,
Jab hum khud ko bhi bhool jaate
hain………

Chehre pae mere zulf bikhrao kisi din,


Kya roz garajte ho baras jao kisi din;
Raazon ki tarah uttro mere dil main
kisi shab,
Dastak pae mere haath ki khool jao
kisi din……..

Wo mujhe
apne dil main basa le tou
Main uss ki dhadkan dhadkan pae
Apne lab rakh doon
Wo mujhe
Ankhon main chupa le tou
Main uss ki palak palak pae
sitare bhar doon
Lekin wo tou mujhe
Apni mutthi main rakhta hai
Jahan main
Saans bhi uss se maang kai leti
hoon……………..

Kahungi tumse wo hurf saare


Jo roz khwabo ki sar zameen par
Main chupke chupke chun rahi hoon
Jo keh raha hai dil mera
Wo saari baatein bhi sun rahi hoon
Sambhaal rakhe hain khwab saare
Jo tum ne meri palkon par boo diye
the
Bedhiyani main bekhayali main
Ajaab kuch hurf tum ne keh diye the
Sambhaal rakhe hain main ne ab tak
Sonchti hoon
Fursat kai kisi lamhe main
Tum se milungi tou kya kya
kahungi…………
Kabhi aisa ho
Tum aao aur hum
Ek dusre kai saamne baith kar
Apni baatein karen
Lafz khatam ho jayen
Phir hum
Ek dusre ki ankhon main
Der tak ek dusre ko talaaste rahen
Aur yuhi ek dusre ko dekhte dekhte
Pathar ho jayen
Kabhi aisa ho
Kabhi aisa ho!!!!!!!!!!!!!!!

Jis ki baaton main pyar ki khusboo


hai,
Jis kai lehjae main dil rubai hai;
Jis ki ankhon main khwab hain mere,
Neendh uss ne meri churayi
hai…………
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do
Dil machalta hai aur saans
rukti hai,
Ab toh seene mein aaj mujhe utar
aane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do
Shokh nazron ko sharm aati hai,
Thartharaate hue labon ko chain
paane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do
Raat tanha hai aur sard mausam hai,
Shola-e-ehsaas ko ab aur bhadak
jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do
Behke hain hum fizaa jo behki hai,
Dil ko dil rooh ko rooh mein sama
jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do
Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai,
Haule haule is shab ko tum guzar
jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do
Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai,
Yuhin baahon mein is raat ko kat
jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek
jaane do.

Khawaish Hi Nahi Alfaaz Ki,


Chahat Ko To Zarurat Hai Bas
Ehsaas Ki,
Paas Hote To Manzar Hi Kya Hota,
Door Se bhi Khabar Hai, Hume Aapki
Har Saans Ki..!!

abhi jab lout kar phir tum hamare


dar pe Aaye ho.
toh yeh tum se kah diya kiss ne,
ki tum bin rah nahi saktaye,
ki ye dukh sah nahi sakte,
chalo ye maan lete hain,
ki tum bin hum bohot roye,
kai raaton ko na soye,
mager ek baat hai jana,
ki tum nakaam loutogi,
agar tum jan-na chaho,
ki aisa Qu kia humnay,
to sun lo gaur say jana,
purani ik riwayat tor di humne,
MOHOBAT CHOOR DEE HUMNE!!
MOHOBAT CHOOR DEE HUMNE!!

Insaan hone ka mujhe ehsaas na hota,


Jo ek dhadkta hua dil paas na hota;
Badi aam si ho jati zindagi,
Agar zindagi main aap sa khaas na
hota.

Dur tak meri nazar hai ,


Tere wajood ka pata nahi ;
Ankhein band karlu ,
Tu mere samne hai mujhe pata nahi .

Dhoop ki shidaat baani kaali ghata


mere liye,
Haath uthaa kar uss ne jab maangi
DUA mere liye.

Hume tum bhool math jaana kisi ki


muskurahat se,
Hamesha yaad rakhna chudiyoon ki
jhan jhanahat se.

Jab bhi tum se mila hoon ek saar,


Ek naye ladhki lagi ho tum;
Ek sip talq ek sip shireen,
Meri coffee main ghool gaye ho tum.
]Tera haath haath main aa gayaa,
Kai chiraag raah main jaal gayee;
Mujhe sahiil ho gayee manzilaein,
Kai hawa kai rukh bhi badal gayee.

Ye udaasi ye pehlte saaye,


Hum tujhe yaad kar kai pachtaye;
Hum jo aaye tou reh guzar na mili,
Wo jo aaye tou manzilaein laye.

Aaj hai pyaar ka faisla aey Sanam,


Aaj mera muqadar badal jaye ga;
Tu agar sangdil hai tou parwah nahi,
Mere nagme se pathar pighal jaye ga.

Kya iss ki ye shaan nahi hai,


Koi shai be jaan nahi hai;
Ishq main jeena ishq main marna ,
Ye jazba asaan nahi hai.

Tu ne dekha hai kabhi ek nazar


shaam kai baad
Kitne chup chaap se lagte hain shajar
shaam kai baad
Laut aaye na kisi roz wo awaare
mizaaj
Khole rakhte hain isi aas pae dar
shaam kai baad.

Kya khata mujh se hue mujhko batata


bhi nahin,
Paas aata bhi nahin paas bulata bhi
nahin
Baat dil ki wo mere chehre se padh
leta, magar
Apne chehre pae koi baat wo lata bhi
nahin
Wo jo rutha tou mere dil ka chaman
ruth gaya,
Waaye hasrat kai koi dil ko lubhata
bhi nahin.
Mujhe jab bhi tera ehsaas hoga,
Samajhti hoon tu mere paas hoga;
Ussi ko zindagi samjhungi,
Mohabat ka jo lamha raas hoga.

Tumhe jab kabhi mile fursatein


Mere dil ka bojh uttaar doo
Main bohat dinoo se udaas hoon
Mujhe koi shaam udhaar doo
Mujhe apne roop ki dhoop do kai
chamak sakhe mere khaal wo khaad
Mujhe apne rang se rang doo
Mera saara zankh uttaar doo
Meri wehshatoo ko badha diya hai
judaiyo kai azaab ne
Mere dil pae haath rakho zara,
Meri dhadkano ko qaraar doo.
Tumhe subaah kaisi lagi kaho meri
khwahisho aki diyaar ki
Jo bhaali lagi tou yahin raho usse
chahato se nikhaar doo.

Tum me agar himaat ho you duniya se


baghawat kar lo,
Warna maa baap jahan kehte hain
wahan shaadi kar lo.

Ek baat kahu gar sunte ho


Tum Mujh ko ache lagte ho
Kuch chanchal se kuch chup chup se
Kuch pagal pagal lagte ho
Ek baat kahu gar sunte ho
Tum Mujh ko Ache lagte ho.
Main tassavur bhi judai ak bhala
kaise karoo
Main ne kismat ki lakhiroo se churaya
hai tujhe.

Shabnami subhahain, jagti raatein


Shaams wo qamar ki saari saatein
Jaise mere saath rahi hain,
Kuch lamhe pehli baar hue hain
Kuch nazme pehli baar likhi hain
Kuch jazbe pehli baar kahe hain
Mohabat jab se aejaaz hue hai
Shaam tou jaise tamaam hue hai.
Meri itni si khwahish hai kai
Main ek asmaan hota aur
Tu meri zameen hoti
Tou jhuk kar tere saare gham
Apne khandon pae dho leta
Teri taklife aur khatnaiyaa
Khud main saamo leta
Mere badaalo se baarishe
cham cham baraste tou
Tujhe sairaab kar detein
Wo pyari pyaas ko pi kar
Tujhe shadaab kar detein
Mere suraj ki kirnae tujh par padhti
tou
Badi anmol ho jayee
Hawa se milkar nayee ek sakaal main
dhaalti
Ghazal kai bol ho jaatein
Main tujh se ruth ta tou tarik raat ho
jata
Magar phir bhi mera chanda tere
saath ho jata
Kahin taare chamak padhte
Goh mera husn badhane ko
Lekin betaab rehte wo tere anchaal
sajane ko
Par jaana main ne maana
KAi aisa ho nahin sakta
Na jaane kis ki saazish hai
Magar phir bhi meri itni se khwahish
hai.

Har lamhe ke saath badalte hai


humare ehsaas.
Har ehsaas ke saath badalti hai
humari zindagi.
Kabhi dard ka ehsaas, Kabhi khushi
ka ehsaas,
Kabhi zindagi khone ka ehsaas, Kabhi
kuch paane ka ehsaas,
Maine apne ehsaas shayri ke roop
mein likhne ki koshish ki hai.
Yaar woh humko be-panaah kar gaye,
Phir zindagi mein humko fanna kar
gaye,
Chaahat thi unke ishq mein fanna
hone ki,
Magar woh laut kar ane se mana kar
gaye.

Sula mujhe apni baahon mein,


Na kare kabhi mann uthane ka,
Maut bhi aa jaye agar teri aaghosh
mein,
Na ho afsos zindagi kho dene ka.
Palat k dekh zalim
tamanna hum b rakhte hain
kisi se wada kya hai muskurane ka
warna
aankho me samandar hum b rakhte
hain

Hum to pehle se hi aapke hai


sanam,kya zarorat hai hamey
aazmane ki
yad na karo to koi gham nahi ,par
khawahish na karna kabhi bhool jane
ki

Suntey hain k mil jati hay har cheez


duaa sy
Aik roz tumhain mang kah dekhain
gy KHUDA sy
Dunyan bhi mili hy, gham-e-dunya
bhi mila hy
woh kyoon nahi milti jisy manga tha
KHUDA sy

Saans jab tak hai mere dil main,


Tumhara intezar kar lunga,
Tum khush raho is duniya mein,
Mein gum se bhi pyaar kar lunga
Aik baat kahoon Agar sunti ho ?
Tum Mujh ko achi lagti ho
Kuch chanchal si , kuch chup chup si
kuch pagal pagal lagti ho
hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut
Tum apni apni si lagti ho
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagti ho
Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana
yeh kiss uljhan mein rehti ho?
Kiya baat hai hum se keh daalo
Aik baat kahoon Agar sunti ho ?
Tum Mujh ko achey lagti ho

Bin dekhe aapki tasveer bana sakte


hein,
Bina milay aapKa haal bata sakte
hein,
Meri Muhaabat mein itna dum hai ke,
AapKi aankhon ke aansu apni
aankhon se gira sakte hein..!!

Guzre hue lamho ko yaad karna acha


lagta hai
Us ko apni har saans ke sath yaad
karna acha lagta hai
Us ka zikar karna us se batein karna
us ke naam ke saath apna naam acha
lagta hai

Guzre hue lamho ko yaad karna acha


lagta hai
Us ko apni har saans ke sath yaad
karna acha lagta hai
Us ka zikar karna us se batein karna
us ke naam ke saath apna naam acha
lagta hai
Haqiqat main na khayalon main uski
qurbat main waqt guzarna acha lagta
hai
Ye faasle ye dooriyan mit jayengi, wo
meri DULHAN ban jayegi
ye soch kar kitna acha lagta hai

Aaj kuch kami c hai tere Baghair,


Na rang na roshni hai Tere Baghair,
Waqt apni raftar se chal raha hai,
Bas dharkan thami c hai Tere
Baghair,
Na barish hai na dhuaan,
Phir bhi dil mein tapish c hai Tere
Baghair,
Buhat roka hai badal ko barasne se,
Phir bhi aankhon mein nami c hai
Tere Baghair
6.
may zindagi kay rastay may chup
chup kay bikhar jata.
agar aik roz bi apni tanhai say dar
jata..
kal samnay manzil thi or pichay thi
awaz uski..
rukta to safar jata…..
chalta to bichar jata….

jo batien keh nahi sakta mein akser


farez kerta hoon,
chalo mein farez kerta hoon mein tum
se piyar kerta hoon
Dil k bazar me dolat nahi dekhi jati,
Pyar ho jaye to surat nahi dekhi jati,
Ek hi insan par luta do sab kuch.
Kyun k psand ho chez to keemat nahi
dekhi jati
7.
Chand Agar Roshan Hai To Roshni
Aap Ho,
Phool Agar Mehak Hai To Khushbo
Aap Ho,
Barf Agar Thandi Hai To Thandak
Aap Ho,
Zinda Agar Hum Hai To Zindagi Aap
Ho…
YE ARZU THI KAY AISA BHI
KUCH HOWA HOTA,
MERI KAMMI NAY TUJHE BHI
RULA DIYA HOTA,
MAIN LOT ATA TERE PASS EK
LAMHE MAIN,
TERE LABO NAY MERA NAAM
TO LIYA HOTA

Log puchte hai tum kyun apni


mohabbat ka izhaar nahi
karte,
Humne kaha jo lafzon me bayaa ho
jaaye,
Utna hum kissi se pyaar nahi karte
kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume.
kisi ke dil ko dukhana na aaya hume.
kisi ke liye tadapna to seekh liya.
par apne liye kisi ko tadpana na aaya
hume..
meri ankhen rakh lo pre mujhe kuch
khuwab de do
jis mein tumhari jhalak ho
aisa sehrab dedo
chalo choro sari batein ek bat man jao
meri sari umer lelo
bas ek pal ka sath dedo

Hasti ko muhabbat me fana kon kare


ga,
Ye farz siwa mere ada kon kare ga,
Hathon ki lakiron ko zara dekh
najomi,
Ye dekh mere sath wafa kon kare ga
Woh jo milti hai bhula deti hai,
Jane kya baat hai dil us ko dua deta
hai,
Woh mujhe pyar se rothay mein
hasane wali,
yaad ati hai to hanste mein rula deti
hai.

phir miloge dubara, yeh vaada karlo,


saaton janmon saath nibhaoge yeh
vaada karlo,
bahut kuch kehna hai abi tumse baki,
mujhe apna banane ka vaada karlo.

uski qurbat may qarar buhat hai .


uska milna duswar buhat hai .
jo meri hatho ki lakeeroon main nahi .
us shaks say humay pyaar buhat hai .
Khamosh raat ke pehlu mein sitare na
hote,
In aankhon mein rangin sapnay na
hote,
Hum bhi na karte DOSTI aapSe,
Agar aap itne ache na hote..!!

Sitam ko HumNe beruKhi samjha,


Pyar ko HumNe bandagi samjha,
Tum jo chaahe samjho humen,
HumNe to tumhen apni ZINDAGI
samjha..!!

chand k liye sitare hazaron honge,


magar sitaron k liye chand ek hai,
AAP k liye loog hazaron honge,
magar hamare liye AAP ek hain,

DREAM GRIL
KHAWAB HI KHAB MEIN EK
KHWAB DEKHA
US KHAWAB MEIN EK HOOR KO
DEKHA
WOH HOOR BHT PYARI THI
AUR WOH KOI NAHIN
WOH TUM THI MEHAK
BCZ I LOVE NA
IS LIYE
U R MY DREAM GRL

Wo DIL hi kia jo tere milne ki


tamanna na kare
Main tujhko bhool k Zinda rahon
KHUDA na kare
Rahega PYAR tere saath Zindagi ban
kar…
Ye or baat hai k meri Zindagi WAFA
na kare

Badalna ata nahi humko Mousamon


ki tarha
Har ek roop main tera Intezaar karte
hain
Na samait sakogi jise Qayamat tak…
Qasam KHUDA ki tumhain itna
PYAR karte hain

Vous aimerez peut-être aussi