Vous êtes sur la page 1sur 3

Assignment No.

2 Urdu Urdu 101 Submitted to: FAISAL KAMAL HAIDRI Submitted By: Syeda Maida Tamkeen Zahra Student ID: BC 110401256 Subject: Urdu Q1. Hafeez Jalandhari geet nigari mein ehem muqam rkhty hain . Mukhtasir Jayeza lyein. Bakol Masood Qurashi
Urdu Adab mein geet ka zikar aaty he Hafeez ka naam zehan mein Youn ubharta hai jesy Urdu mein geet ko Hafeez kehty hain Hafeez Jalandhari January 1900 mein Jalandhar Bharat mein peda hoye.Hafeez ne apni shaeiri ka aaghaz 1911 mein kia.In k do majmoey NAGHMA-E-RAAZ 1925 or SOOZ O SAAZ 1933 ko shaya hoey. Jazbey k izhar k liye geet bunyadi sinf hai.Urdu geet ki bunyad Hindi geet pr hai lehaza is ki farm or zuban-o-bayanpr hindi ka gehra asar hai.Hafeez geet nigari ki duniya mein wahid geet nigar nahi hain. Bakol Dr. Syed Abdulah Hafeez Urdu k wahid geet nigar nahi magar munfarid geet nigar zaror hain Hafeez k geeton ka sab se numayan wasaf mosiqi (music)hai.Hafeez ka kalam khasosan un k geet or nazmein isi mosiqi ki marhon-e-minat hain. Ghataein chai hain ghanghor Ghataein chai hain ghanghor Ghataein kali kali Matwali Pur shore Ghataein chai hain ghanghor. Hafeez k geet apny andr soti aahang rakhty hain or ye he aahang geeton mein mithas or ghulawat peda krta hai. Rang de rang de kadeem rang Umer ghat gai to kya dor kat gai to kya Ye hawa-e-tund-o-teez rukh palat gai to kya Aa gai basant rut or ek patang de Rang de rang de kadeem rang. Hafeez k geeton mein neem dil shikastgi k gham ki jagah josh paya jata hai. Jag soz e ishq jag, Jag soz e ishq jag Jag kaam devta .. Fitna haey nu jag Bujh gaya dil mera..phir koi lagan lga

Sard ho gai aag.. Jag soz e ishq jag. Majmoi tor pr ye kaha ja sakta hai k Hafeez ne mozoaat mein wosaat peda krne k sath sath is sinf k asal mizaj ko barkarar rakhne ki koshish ki hai.

Q2. Majeed Amjad ki shayeri mein ehsas e tanhai ka wasf numayan nazar ata hai. Mukhtalif pehloun sy jayeza lyein.

Majeed Amjad dor-e-hazir k munfarid shaer hain.Majeed 29 January 1914 ko jhang sadar mein peda hoye.Matric or FA jhang se kia or BA Lahore se pas kia.Majeed amjad aik wasi-ul-mutaliya shaks thy.Unhein Farsi,Hindi,Arbi,Urdu or English pr abor hasil tha.Majeed ka tasavr e zindagi apny muasir shuraa (poets) se mukhtalif hai.Wo islah e dukh or dard k shaer hain magar un ka ye dard,dukh zati or shaksi hony k bawjood zamane k karb ka bhi tarjomaan hai. Aao na hum bhi tor dyein is dam e zeest ko Sang e asal pr phor dyein is jam e zeest ko. Wo insani taqdeer ki mehromiyon k bhi mufasar or shareh hain.Wo zamane se oncha hone k bawajood zamane k aandar bhi hain.Un ki nazam Accident mein geend (Ball) k pichy bhagty aik bachy k car k nichy aa jany ko pesh kia hai.Bachy k mathy k sindori hony or phir kala ho jany mein insani dukhon ki aik bari kahani chupi hoi hai.Majeed k halat e zindagi pr nazar dalein to hamein beshumar mehromiyan nazar aati hain js ny unhein tanhai pasand bana dia.Khandani halat, gharelu jhagre, zati hadsat, mali naasodgi,biwi se namuwafqat or muasharti rawaiyon se bezari ye sab anasir hain jinhon ny Majeed ki zindagi mein tanha pasndi ko jagah di.Magar heart ki baat ye hai k is karb naak sorat e hal nye na to Majeed pr sanata musalat kia or he unhein cheekh uthny pr uksaya. Bakol Majeed Amjad Is be-baha ghaflat ko apnana bhi to kathin hai.Phir diwareen mere gird uth aati hain Or phir khud aaghi ka dhundla sa muqadas dia meri hasti ki kabar pr timtimany laga. Dekh sake to dekh Jeevan k ye lykh Le kar is jag mein Sone ka kashkol Sab ek pal k mool Apne maan ki sugandh Pichy aaye hain Kya tu or kya main. Jo log ye kehte hain k Majeed ki shaeri pr un ki tanhai musalat hai to un ka ye kehna bilkul ghalat hai Bakol Dr.Syed Abdulah Main ne bohat kam ayse shaer dykhe hain jin k yahan zindgi ki holnak sanjeedgi Or muqadar ki sitam aarai k ayse dard naak tasavrat mojood hoon is k bawajood Us k qari ka majmoi tasur musarat or insbat mein aysa doob k bahar aata ho jitna Majeed k kalam se hota hai.

Q3. Jadeed Urdu Ghazal aur urdu nazam Faiz Ahmad Faiz k Bagher mumkin nahi. Mukhtasir note likhein.
Faiz Ahmad Faiz ka shumar pur gou shuraa mein nahi hota.Faiz ka sheri kalam bohat muktasir hai khas tor pe ghazlein to nazmon k muqable mein bohat he kam hain.Faiz ka taluq Narowal tehsil Kala Qadar k Qasbe se hai.Un ki wiladat 13 February 1911 mein hoi or un ka intkal 20 November 1984 ko Lahore mein hoa.Un k kulyat mein 100 k kareeb ghazlen hain.tadad k etbar se dykha jaye to ye bohat kanm sarmaya hai.Magar shaer k kalam ki khasosiyat isy bra shaer bnati hain.Faiz ko dykha jaye to unhon ne aik taraf ghazal mein naye (new) rujhanat ko farogh dia hai or dosri taraf ghazal ki classici riwayat ko bhi barkarar rakha hai. Faiz apni ibtadai ghazlon mein riwayti andaz mein husan o ishq k mamlat beyan karty hain. Husan marhoon e josh bada e ishq minat kash fasoon Ishq minat kash qrar nahi husan majbor e intzar nahi Faiz ki shaeri ka aik imteeazi wasf jo un k pore kalam mein jari o sari hai ,wo un ka rajai lehja hai. Saba phir hamein pochti phir rahi hai Chaman ko sajane k din aa rahey hain. Ghazlon ka gudaz, ras or rachao khalistan Faiz ki apni ijaad hai. Tumhari yad k jab zakham bhare lagty hain Kisi bahany tumhein yad krny lagty hain. Ghazal ki riwayat ko pesh e nazar rakha jaye to har dor mein ghazal gou shuraa ne ramz o ema se kam lia hai.Faiz ne bhi apne mein ramz o ema k is rujhan ko aagy brhaya hai. Wo baat sare fasany mein jiska zikar na tha Wo baat unko bohat nagawar guzri hai. Nazmon mein taghazul ka husan paya jata hai.Faiz ny ghazlon k sath sath nazom pr bhi apni shaeri k johar azmaye hain.un ki kuch mashhor nazmmein ye hain Zindan ki aik sham, Zindan ki aik subh, Zindan nama, Aye roshniyon k Sheher, Daricha wgera.Faiz ne apni nazmon mein asiri ko apna mozo bnaya hai.Faiz ayse shaer hain jinhon ny apni nazon mein Imagery k zariye jaan dal di hai.is ki behtareen missal Zindan ki aik sham, or Yaad hain. Bakol Gopi Chand Narang Chand misroon ki madad se Faiz aysi rangeen besaat bicha dyte hain K hawas is k talisam mein kho jaty hain.
Al muktasir ye k Faiz Ahmad Faiz k bina Jadeed Urdu ghazal or jaded Urdu nazam dono na mukamal hain.Faiz Dunya e adab k aasman pr chmakta hoa wo sitara hain j ski roshni kbhi maand ni par sakti.

Vous aimerez peut-être aussi