Vous êtes sur la page 1sur 3

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein, Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga

Meri Jaan Ke Gore Haathon Per Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga

Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang, Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga

Reh Reh Ker Ro Padegi Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga

Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein, To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga

Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh, Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga

Aaj Meri Jaan Ne Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga

Usne Beti Hone Ka Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga

Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,

Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga

Apne Haathon Se Usne Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya Hoga

Khud Ko Majboot Bana Ker Usne Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga

Toot Jaayegi Tasveer Meri, Jab Uski Maa Ne Tasveer Ko Table Se Hataya Hoga

Ho Jaayenge Laal Mehndi Waale Haath, Jab Un Kaanch Ke Tukdon Ko Usne Uthaya Hoga

Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein, Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Hoga

Kaise Sambhala Hoga Khudko Jab Use Fairon Ke Liye Bulaya Hoga

Kaampta Hoga Jism Uska, Haule Se Pandit Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya Hoga

Mein To Majboor Hoon Pata Hai Use, Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne Paaya Hoga

Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska, Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya Hoga

Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga

Ro Padegi Aatma Bhi Dil Bhi Cheekha Or Chilaya Hoga

Aaj Apne Maa Baap Ke Liye Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga

Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga

Doli Mein Baithi Ik Zinda Laash Ko Char Kandho Per Kaharon Ne Uthaya Hoga

Vous aimerez peut-être aussi