Vous êtes sur la page 1sur 25

MAQSOOD HASNI KI PUNJABI SHAERI----EAK MOTALA

Prof. Arshad Shahid

Maqsood Hasni di shakhsiat

Prof. Drs Dr. Urdu Mr. Maqsood Hasni, Syed khandan nal talaq rakhday nay. Ohnaan
da lamma qad tay sharer dubla patla ay. Aawaz saaf shafaf tay lehja mitha tay bara
naram ay. Khat aali dari tay ser tay morvai val nay. Rang gandmi pakh marda ay.
Shalwar qameez pehan day nay. Aih holya tay sarapa doroon e ohnaan di shanakht
kara dainda ay. Aj kal Sher-e-Rabani Colony, Kasur Pakistan vich vassoon rakhday
nay.

O ek sadha lo banday nain tay hamaesh khud’dari da bana pae rakhday nay. Koe
lalach, ohda tay dark hoof ohnaan noon khareed naein sakda. O sachi gal kar
dainday nay. Kisay kursi walay di jhothi tareef naein karday.

Prof Maqsood Hasni horan di shakhasiat baray kujh likhna mairi majal tay basat
vich naein kayoon jay o eak hama’jehhat tay hama’geer shakhasiat day malak nay.
Mairi ohnaan nal sangat odoon toon shoro hoe si jadoon 8 july 1995 vich mein
lecturer ho kay govt. college kasur vich pehliwar hazri lae hazar hoya se.

Ohnaan ek novaikli tay unjan jaga tay mainoon ainj chalna sikhya jivain ek piyo
apnay bal noon ongal phar kay chalna sikhanda ay. Mein ohnaan di shafqat, piyar,
mohabat, pidri dalasay ejaz tay inksar, sabar tay shukar, tahamal, bardast tay
burd’bari apnay andar aidaan masus kar riya waan jivqain aih sariyaan khobiyaan
ohnaan apni rat nacoor kay mainoon dan kitiyaan hon.

Mein ohnaan di 12 sala sangat noon akhraan da bana taan naein day sakda ay par eak
namani jae koshesh zaroor kar sakda haan Pae ohnaan diyaan galaan yaraan bailiaan
agay khol kay rakhaan taan jay o vi ainaan toon lab chok sakan.

Nafasyaat day mahar akhday nain pae her banday di shakhsiat day bohat saray ang
honday nain tay her vada banda apnay qalboot vich bohat sariyaan khobiyaan lokae
rakhda ay. Vailay kovailay os di hayati day lokay hoay part khul day rehnday nay.
Ohda othna baithna, khan pina, Milan malan tay thang tay vicharoon toon parda
othda rehnda ay.

Mein jadoon vi Prof. Maqsood Hasni baray sochna waan mainoon samjh naein andi pae
mein gal khithoon shoro karaan tay kithoon na karaan. O insane di tot pajh noon
khonvein akhein vaikhday nay. Jadoon insanaan da khoon vagda vakhday nay taraf
taraf danday nay. Tv tak band kar daiday nay tay ohnaan noon kujh vi changa naein
lagda. Ohnaan da jussa shishay wangar tirak janda ay. Nafsa nafsi day ais door
vich ay novaikli missal mildi ay pae o avday toon ziyda lokae baray fikar’vand
rehnday nay.

Jangaan vich maran alaan noon vaikh kay manji jogay ho janday nay. O akhday nay
pae Allah nay insane noon kina sohna banaya ay tay havas tay loba day maray ohnoon
noon dhandaan dair nain laanday.

Jaivain dunyaan di her zaban avda lamma chora adbi laikha patar tay pachokar sanbh
sanbh rakhdi ay israan o zaban apnay likhan aliaan noon vi naein bhul di. O ohnaan
noon avday jivan sathi da darja pardan kar di ay. Punjabi zaban nain vi avday
piyariaan noon kidi naein bulya. Sufi sadaein insan miter reh nay. Ohnaan diaan
galaan sochay motiaan vangar lokae day dil diaan aakhaan noon bhandiaan rahyaan
nay tay bhandiaan rehan giaan.

Prof. Maqsood Hasni vi ek sufi tay darvaish nay. Ohnaan day mazaj vich insan dosti
rachi basi hoe ay. Ohnaan di zaat avday dostaan, sathiaan, rafiqaan, tay baili
mitraan lae bari motbar tay izzat aali ay. O tay mainoon Punjabi adab day sachay
sochay tay vakhray kalasek vangoon ohnaan’day sagvain japday nain kayoon jay o vi
Punjab di dharti day sofiaan vagoon insan tay vasaib nal juray hoay vakhali daiday
nay. Ohnaan day tehqiqi takhliqi tay zabaan tay kamaan vich insan dosti bari dongi
tay bari japdi ay. Ohaan baray mainoon ay akhdaan koe jijhak masus naein hondi pae
o aj day baray vaday insan miter safi nay.

Porf. Maqsood Hasni avday paishay nal anj juray hoay nay jaivain jisan diaan
hadyaan nal mas. Mainoon ohnaan nal 12 sal di sangat vich ohnaan vich gharoor tay
takabar jae lanat nazar naein aae. Ohnaan day monh tay vi koe ohnaan di ninda kar
da ay tay bura naein manaday sagoon ninda karn aalay day ehsan’mand honday nay tay
pehlay toon vad kay ohda dhiyaan tay khayal rakhday nay. Israan o aap e sharminda
ho janda ay.

Mainoon kadi kadi anj japda ay pae Allah Tala di zaat nay shaed saray da sara ijaz
tay inksar ohnaan noon dan kar dita ay.

Jadoon koe cheez mangeay odoon naein mildi jadoon koe cheez na mangeay odoon mil
jandi ay. Khaesh day mojab kayoon naein milda tay baivaqta kayoon mil janda ay aih
o sawl ay jehra sadyaan toon insan avday nal karda aa reaa ay.

Aih ek haqiqat ay pae chand lokein ek thaan tay rehn sehn lag paein tay moashra
tay vasaib ban janda ay par tazeeb tay saqafat odoon bandi ay jadoon Prof Maqsood
Hasni vargay sabar tay shaker lok roshni da minar ban kay avidi qoom tay dharti di
pehriaan iltaan noon avday ravaeay nal badal kay tay sohnay vartavay rahein ohnaan
day dilaan noon monawar kar dainday nay.

Prof. Maqsood Hasni jehy insan’dost lok e kalchar di neen di it rakhday nay. O hon
aaliaan tangeaan sakhtiaan noon divtavaan da amrat samjh kay pi janday nein tay of
vi naein karday. Haan lokae day dukh ohnaan noon zakhmi zaroor kar dainday nay.
Lokae di pira apnay ji jussay tay jar day nay. Avday mitraan koloon vi aiha jae
tovaqo rakhday nay. Prof. Maqsood Hasni vargay lokaan di fikar day la’oo nal e
vasaib tay moashray phalday phulday nay. Aihi jaiay lokaan lae Allah koloon
salamti mandiaan rehni chahidi ay. Post subject: Prof. Maqsood Hasni di shakhsiat
Posted: Thu Sep 25, 2008 2:36 pm
www.shaeri.com
`

www.paklover.com par Prof. Drs Dr. Urdu Dr. Mr. Maqsood Hasni ka eak interview
laga tha yahaan os kay kuch hisay dostoon ki dil chispi kay liay paish karta hoon.
1. What are you’re:

a-long range goals: ensan ko mukhtalif hawaloon say taqseen kiya jata raha hai. En
main eak hawala lisani bhi hai. Chahata hoon lisani hawala say kaam karkay sabat
kar doon kah tamam zobanain sounds kay hawala say hesas eshtarak aur qurbat ki
hamal hain. kaam kiya hai aur kar raha hoon.
Ahal-e-qalam ko daraj-e-bala moaamlay main mutfeq Karna.
Ensan ki koe eak bain-ul-aqwami zoban ho.
b-short range goals: chotay motay samaji aur zaati kaam.
C-objectives: ensan ko ensan kay qareeb lanay ki apni se koshesh.

2.What do you really want to do in life?


Koe aisi tehreer choor kar jaoon jo ensan kay liay mofeed, kar’aamad aur ossay eak
dusray kay qareeb la’ay.

3.How would you evaluate your ability to deal with conflict?


Salaheat hoti to koe fun para na takhleeq kar layta?!
Allah tovaqal koshesh say kaam sanwar hi jata hai.

4.Which is more important:


Takhleeq aur kargozari aur os ki noeat doo alag estalahain hain.
a- creativity: takhleqi amal main jamood, zindgi ko zang aalod kar
deta hai.
B-efficiency: kargozari hi to sab kuch hai.
C-Why? Bachay ki padaesh kay sath os ki parvaresh aur taleem-o-tarbiat juray howay
hain. yah donoon omoor lazam-o-malzoom hain.

5. Describe the most rewarding experience of your career thus far?


khedmat

6.In what kind of work environment are you most comfortable?


Kaam kay waqt kamal tanhae

7.Do you have any hobbies? Kitab bini.


Es hawala say auroon ki madad karna.
a- What do you do in your spare time?
Falto waqt hota hi kab hai?!

8. What is the toughest part of a job for you?


Kisi ghalt baat ko hazam karna. Es k elava kabhi kuch mushkal nahain
Samjha.

9. What was the most difficult decision you ever had to make?
Kisi say bhi tarak-e-ta’alaq

10.Tell about your:


a-favorite subject: Zindgi
b-worst subject: Aaram talbi.
Her cheez manevat rakhti hai es liay
borae main say acha lay liya ja’ay.
Baz omoor main koe mukhsus pemana nahain muslan
Shaljum, kado, baygun mujhy psand hain jabkah
Aam toor par raenda-e-ghaza hain.

11. Anything you have done or experienced of which you are most proud?
Done: Kuch bhi nahain
Experienced: Bardast, sabr aur tahma

12.What qualities would you look for in a person?


* sacha, sucha, baat ka pakka, humdard, ensan dost,
* piyar karnay wala, lehaz
aur maravat wala, bila’emteyaz khayal rakhnay wala
* Mukhsus daeray ka qedi na ho
* seraf apni hi na manvata ho
* Khof-e-Khoda rakhta ho likin molvi ki se cheez na ho.
* Na shitan na fareshta, seraf aur seraf seda sadha ho.
* Kitab dost aur kitab ka ehtram karnay wala ho.
13.What do you do when you're having trouble solving a problem?
Moaamlay par ghoor karta hoon. Os kay mukhtalif pehlo’oon ko
Dekhta hoon. Emkanaat dekhta hoon. Pher Allah ka naam lay kar
puri deyanat say dat jata hoon.
Mukhalft ko bhi masla samjh liya jata hai. Mein essay masla nahian
banata. Agar mukhalfat mabni bar haq ho to tasleem kar layta hoon aur
apni ghalti kotahi ki moaafi ka talib hota hoon. Moaafi ya mazrat
ko apnay liay aar khayal nahain karta. Ghalti ghalti hai.
Sach aur darust apni haet Nahain badal saktay.
“Mein tehni tay nahain behna” say kiya ho ga

14.How would you want to be remembered?


Hoe modat kah mar giya Ghalib par yaad aata hai
Her ek baat pay kehna kah yoon hota to kiya hota

15.If you could meet anyone:


a- dead: father (Famous Punjabi poet late syed ghulam Hazoor Shah)
jis ko mein nay hamesha apnay khoon ki gardesh main mehsus kiya
hai.
b- alive:, ensan dost, piyar karnay wala man jany wala, munwa
laynay wala, seraf aur seraf mera.
c- woh would it be:
Koe bhi ho sakta hai
Dr. Afzal Shaheen
1-Adbi zooq keisay peada howa?
Walid sab ko parta likhta aur shaeri kartay dekh kar.

2-Rozana motala kay liay kitna waqt mukhsus kar rakha hai?
Fixed to nahain tahum pharnay kay liay 4-5 ghentay to hotay hi hain.

3-Sab say pehlay kiya likha?


Afsana

4-Kis kis zoban main likhtay hain?


Urdu, English, Punjabi, Pothohari, Gojri, Saraeki, Mivati Waghera

5-Kiya kisi adbi shakaseat ko dekh kar adbi zooq parwan chara ya yah fitri shooq
hai?
Donoon hi,
Walid sahib ko dekha aur pher khud hi chup chup kar likhnay laga. Dar tha walid
sahib ghossa na hoon kah school ka kaam kab kartay ho. Jab onhain pata chala to
naraz nahain howay balkh kush howay tahum school ka kaam baqaedgi say karnay ki
taqeed ki.

6-Kis kis senaf main taba aazmae ki?


Shaeri: Hyku, nasri shaeri, tarjama
Nasar: Afsana, mazah
taqeeq, tanqeed
lisanyaat
Nafasyaat, samajyaat, tarekh, pakistanyaat
Ghalibyaat, Iqbalyaat, Khayaam, Dy Nazir Ahmad
Sakhtyaat, wajoodeat, alamat nagari
Waghera waghera
7-Assar-e-hazar kay koon say shaer pasand hain?
Meri pasand ka ta’alaq mowad say hai. kisi ki bhi koe cheez pasand aa sakti hai.
Es hawala say sab, kuch na’kuch acha zaroor likhtay hain.
8-Shaeri main *** asatza say mashwara kiya?
Syed Ghulam Hazoor Shah, Ahamad Yar khan Majboor,
Dr. Baidil Haidri, Dr. Khaja Hameed Yazdani
9-Aap kay khayaal main shaeri k liay kiya eshq hona zarori hai?
Nahain
10-Aap ka zareya-e-rozgar?
shoba-e-taleem say wabasta hoon.
11-Moshaeroon aur adbi taqrebaat main kam kam ya zeyada jatay hain?
pehlay pehal zeyada jata tha ab taqreban nahain jata.
12-Aap kay kitnay sheri majmoay shaya ho chukay hain?
Teen
13-Aap ki kul kitni kitabain shaya hoe hain:
19
14-dusra mowaad kitna shaya howa ho ga?
koe andaza nahain, hazaar bara soo say kiya kam article hoon gay.
15Koe adbi awad mila?
Baidal haidri awad ka élan howa tha.
16-Aap kis adbi shakhasiat say zeyada motasar hain?
Ghalib
17-Kayoon?
Woh her lamha zindgi kay qreeb’tar rehta hai.
18-Ghalib bara ya Meer bara shaer hain?
Donoon,
Ghalib fikar main jabkah Meer ki zoban apna jawab nahain rahti.

19-Kiya aap kisi adbi tanzeem/group say wabasta hain?


Nahain, bilkul nahain.
20-Kiya aap nay akhbaar-o-rasael main likha?
Bohat.
21-Aap ka aazad aur nasri nazam kay baray main kaya khayaal hai?
Yah sari shaeri hai essay shaeri tasleem kar layna chahiay. Es mozoo par meri eak
kitab bhi hai. (Urdu main nae nazm)
22-Asar-e- hazar main kis ko bara shaer mantay hain?
Bara shaer woh hai jis ki shaeri bari hai, to achay shear to sab kay haan mil
jatay hain. jis ko hum chota shaer keh rahay hotay hain baez oqaat os kay haan
kamaal ka shear mil jata hai jo baray shaer kay haan dhonday say nain milta.
23-Media ka aap say kaisa taalaq hai?
Mein seyasi leader nahain hoon.
24-Ab tak hum nay kiya adbi taraqi ki?
Halaat aur waqt kay sath aur lisani tabdelioon ka hamaray ahal-e-qalam nay sath
deya hai.
25-Kiya aap apnay juniors ki hosla-afzae kartay hain?
Bilkul, yah to bohat hi zari hai.
26-Bara ya acha shaer/adeeb honay kay liay kitaboon ki tadaad ka zeyada hona
zarori hai ya kalaam ki pukhtagi?
Kitaboon ko kayoon’kar nazar’andaz kiya ja sakta hai.
Moshahida, tajarba, mashwara, ghoor-o-fikar, tajzeya waghera say khayalaat main
pukhtagi aati hai aur lafz estamal say kamaal ka darja hasal kartay hain.
27-Aap ki pazerae kay liay kabhi koe taqreeb hoe?
Hoti rahi hain.
28-Kin adbi tanzemoon ki kargozari say mutmin hain?
Yah sab dokandari kay mutradaf hain.
En sab say zeyada internet kay forum khedmat sar anjaam day rahay hain.
29-Adab say hat kar koe shooq?
Bachoon say khailna
Apnay bachoon say?
Koe bhi aur kisi ka bhi---bachay to bachay hain.
30-Aap kay halqa-e-ahbab main koon shamil hain?
Un’gint naam hain.
31-Kiya takhliqi mushkalaat ka samna karna para?
Kayoon nahain
Yah alhami aur nahaet zimadari ka amal hai. Kisi eak satar par bhi rok saktay
hain.
32-Qadeem aur jadeed shaeri main faraq mahsoos kartay hain?
Haan fiqri aur lisani, donoon hawaloon say.
33-Koon se shaeri achi lagi, qadeem ya jadeed?
Qadeem nay apnay ehad ki namaendgi ki jabkah jadeed, jadeed ehhad ki namaenda hai.
aur yah hamesha say hai.
34-Ab tak aap nay kiya adbi khedmat sar-anjaan de?
Koe bhi nahain,
bas thora bohat likha parha hai.
Hum Meer-o-Ghalib thoray hain.
35-Aap ki waja-e-shohrat?
Koe bara kaam nahain kiya to pher Shohrat hi nahain, waja ka sawal kaisay othta
hai.

36-Aap zindgi main kiya banna chahtay thay?


Professor to ban giya.
37-Adbi taraqi kay liay koe tajveej?
Jo likho puray vajood ki deyant’dari kay sath likho dusra apni zoban kay sath
bay’wafae na karo. Os ki taraqi kay liay koshesh kartay raho.
38-Koe ******?
Sach kay sath juray raho. Borae ko dil say hi sahi, burra zaroor kaho aur os ka
alamti ezhar bhi katay raho.
39-Koe pasand ka shear?
Aaena kayoon na doon kah tamasha kahain jisay
Aisa kahaan say laoon kah tujh sa kahain jisay
(Ghalib)
Modat hoe hai yaar ko mehman kiay howay
Josh-e-qada say, bazm, charaghaan kiay howay
Ghalib ki yah puri ghazal mujhy bohat pasand hai
40-koe aap ka taza shear/kalaam?
Mein shaer nahain hoon. Yah char satrain aap kay liay araz kiay deayta hoon:
Jub shab palkoon par
Koe dard sitara otarta hai
Hasti kay gulaab saray
Haldi say ho jatay hain
Prof. Yonis Hasan kay sawalaat ka jawab:
1- Walad sahib kab aur kahaan say hijrat karkay aa’ay?
Amratsar, 1929 ya 1931main.
2- Walad sahib kay aaba-o-ajdaad ka kis khita say taalaq
tha aur sadaat kay kis silsalay say taalaq hai?
Iran, hasni
3- - walida sahiba kay aaba-o-ajdaad ka kis khita say taalaq
tha aur sadaat kay kis silsalay say taalaq hai?
Iran, Kazmi
4- Walad mohtaram ki zindgi ka mukhtasar mukhtasar khaka peash karain.
Baray nafess, wazaydar, sachay, suchay, kharay, sakhi mazaj,
Wada kay pakay, naram’kho, naram dil, sada, mohabat karnay walay, eman’dar, kisi
ki dil aazari nahain kartay thay, taba kay hawala say taraqi pasand, shair,
Qalaam-ullah par bari gheri nazar thi, kaar-kun tarek-e-pakistan, her kisi ko
Allah ka shukar gozar honay ki taqeed kartay, koe acha karta to bar bar shukarreya
ada kartay, haan ghalt baat par talkh ho jatay thay.
5- oon kay sath jo waqt guzra kaisa tha?
Bara khoob’surat, woh waqt pher kabhi nahain aaya.
6- Walida mohtarama ki zindgi ka mukhtasar sa khaka peash karain.
Sada orat thein. Shahab namay ki “Maan ji” ki se. bari mehman’nawaz thein, mohalah
ki char nasloon ko Quran aur dusri taleem de.
7-Kitnay behan bhai hain, oon kay naam, aap kis kay qareeb hain?
ab panch, eak behan foat ho gaein. Mein Allah bakhshay marnay wali kay qareeb tha.
Syed Manzoor Hussain
Syeda Afzal Bagum
(Late) Syeda Masoom akhtar
Syed Mahboob Hussain
Syed Maqsood Hasni
Syeda Nusrat shagufta
8- Ebtadae taleem main kis ka hessa hai?
Walad marhoom:
Taleem.
Walida ka saliqa warsa main mila hai.
9- Sab say pehlay kis school main gay aur kahaan tak parha?
Govt. M C primery school nazd porani mandi, kasur pehli say panchveen tak.
!0- Dusray emtehanaat kahaan say pass kiay?
Board of Intermediate and secondary education, Lahore
Punjab university,
Allama Iqbal Open University,
Brunswick University
11- School kay elava koe aur taleem?
Islami:
Molana Abdal ghafoor, Molana Mohammad Yousaf
Bibal course
Voice of Profescy School
Bibal course the church of criest
12- Kin ussatza kay fikri mahool main rahay?
Syed Ghulam Hazoor
Ahmad Yar khan Majboor
13-Shoroo main kis qesam ki kitaboon ka motalia kartay thay?
Kahaniyaan, afsanay, shaeri
Mazhabi rasael-o-kutab
!4- en kutab kay motalay say kis qesam ka zehan bana?
Ensani tafreeq say nafrat
Ensani azmat
Ensan kay buray amaal say karahat
Molvi SA magar baad main taraqi pasand
15- Ba’qaeda motalay ki kab aadat pari?
Ebtada say
Walad sahib shaer thay onhain dekh kar sooq peda howa.
16- Ebtada main aap ki tehreroon main kis qesam kay nazreyaat thay?
Ensan dosti,
sula-e-kul
Maghrab khsusan Amreka kay khlaf nafrat
17- Aap kay asloob ki enfaradeat kab nikhar kar samnay aae?
Mukhsus asloob tarkeeb patay eak waqt darker hota hai.
Kuch ho hi ja’ay ga.
18- Aap nay kis qesam kay halaat main likhnay ka aaghaz kiya?
Walad retired ho gae thay. Bahai sahib apnay bivi bachay lay kar tilak gay thay.
Dusray bhai sahib la’parwa thay. Es Kay bavajood moashi halaat buray na thay. Bas
acha khany pinay ko mil jata tha. Ghar ka mahool mazhabi tha. Dast-e-sawal daraz
karnay ka rovaz hi na tha. Mein mazhabi tha likin daqyanusi mazhabi nahain. Ab
mazhabi nahain, haan khuda khofi rag rag main saraet kar gae hai.
19-Kasur ki sata par kis qesam ka ilmi-o-adbi mahool tha?
Bara shandar ilmi-o-adbi mahool tha. Allah bakhshay Prof. Akram Hoshyarpuri baray
mutharak thay.
Khaleel Aatesh aur Ahmad yar Kan Mujboor ka bara shohra tha.
Bahar say adeeb shaer bhi aatay rehtay thay.
20-Es ilimi-o-adbi mahool say kia asar liya?
Likhnay ki tahreek hoe likin koe fiqri asar nahain liya.
21-Es mahool main kis qesam ka adab takhleeq ho rahatha?
Rovaeti
22-Os door main aap ki kis qesamki kitabain samnay aaein?
Koe nahain haan afsanay aur shaeri wagheri ki
23-Marshal law kay door main mazahmti adab parwan chara?
Haan ji, kayoon nahai
24-App nay bhi mazahmti adab takhleeq kiya?
Ji haan,
bohat sara
24-Mazahmti adab takhleeq kartay waqt kisi cheez ko fokas kiya?
Halaat, shakas aur os ki zarootain
25- Z.A. Bhuto kay nazreyat say kis haad tak matasar thay?
Bhuto sahib bohat baray aadmi tay aur oon kay nazreyaat tesri dunyain kay liay fit
thay.
26-Bhuto sahib kay nazreyaat ko apni tehriroon main jaga de?
Etna shaoor kahaan tha. Haan jo bhi pisay tabqay ki baat karta hai acha lagta hai.
Mera sara kaam halaat aur zaroot ka marhoon-e-mint raha hai.
27-Kiya zindgi main kabhi aisa moqa bhi aaya kah maus aur baad’dil ho gay aur
zindgi ka maza jata raha?
bhi maus aur baad’dil nahain howa. Pechlay denoon eak surat pech aae pher mein nay
socha jo meray liay hai mil kar rahay ga.
28-Kiya zindgi main senaf-e-nazak say mohabat hoe, agar hoe to----------?
Nahain bilkul nahain,
Allah nay bacha’ay rakha.
Dusra waqt hi nahain mila.
Tesra yah sab waqt barbad karnay kay mutradaf hai.
Chotha anjaam mausi aur sefar rehta hai.
29-Eshq ki haad tak kissay piyar raha?
Qibla walad sahib say. Woh thay hi aisay.
Woh ab bhi meri yadoon main puri tavanae kay sath zinda hain.
30-Zindgi main aanay wali khush’gowar tabdeliaan agar hoon to tazkara kijiay ga?
Wohi likhna parhna, awal ta aakhar kaam raha hai
Koe bibi aa jati to shaed yah sawal karna zeyada manasab rehta.
Mujhy kisi nay pasand nahain kiya agar kiya to meray ilm main nahain aur mujhy
pasand karnay ka moqa hi dasyaab nahain hoe.
31- Kiya zindgi main kabhi aisi dagar par bhi chalay jo ravaet say hat kart hi?
Mein nay kabhi ravaet ka sath nahain deya. Meray nazdeek mojoda ko samnay rakh kar
likha ja’ay.
Mojoda guzray kal ka nateja/samra hota hai.
32- Zindgi kay baray main kiya nazreya hai?
Zindgi to somundar hai. Es main ertash rehna chahiay. Tabdeliaan aati rehni
chahiein. Na’ay assool, na’ay zabtay,na’ay taqanoon, na’ay atwaar, na’ay fasafay
waghera ko jaga milti rehni chahiay. Warna yah khari nadi ki manid ho jati hai aur
pher boo choor jati hai. Ranj-o-allam, dukh, aazmaeshain waghera essay jala
bakhshtay hain.
Shaed semaab ki tara meri halat rahi aur mein kisi eak midaan tak medood nahain
raha.
33-Nasri aur sheri asloob kay baray main kuch batlaeay.
Her funpara (nasar ho kah nazam) apna alag say vajood aur shanakht lay kar janam
layta hai. Meray haan bhi kuch aisi hi surat rahi ho gi. Makhi par makhi marna
mujhy pasad nahain.
34-Bachpan aur larkpan main taba ka Milan kisa tha?
Sanjida nahin tha tahum chanchal bhi nahain keh saktay.
35- Os door main kin shora aur adeboon ka motal kiya?
Meer sahib, Ghalib, Khaja Dard
Nasar kazmi, Faiz
Dy Nazir Ahamd, Alama Mohammad Hussain Aazad, Kirishan Chandar, Munshi Preem
Chand, baydi waghera
Prof. Yonus Hasan kay sawalaat ka jawab
36- `Mukhtalif malazmatoon kay doran parhnay likhnay ka silsala jari raha?
Ji haan,
Allah kay fazal say jari raha
37-Afsana nigari ka shooq kab peda howa, sab say pehla afsana kis parchay main
chapa?
Yah senaf shoroo say mujhy pasand/pariay thi aur hai. Pehla afsani Karachi kay
“Masarat Dijust” main shaya howa.
38- Nasri nazam likhnay ka kab aaghaz howa? Es kay mostaqbal kay baray kiya kehtay
hain?
Afsanay kay sath hi
Pehli nazam Lahore kay kisi parchay main lagi thi
Es ka motaqbal roshan nahain to andhair bhi nahain
Essay khud ko manvanay kay liay abhi kuch waqt lagay ga.

39-Hyku likhnay ka kis say shooq peda howa? Es senaf main taba aazmae say pehlay
aap kay samnay koon koon say hyku nigar thay? kiya kisi say matasar howay?
kisi say nahain, khud say likha
Dr. Mohammad Amin, Haider Gardezi, Akhtar Shamar
Mein kisi say matasar nahain hoa
40-Mazah likhnay ka kab aaghaz howa? Kahaan kahaan likha?
Kasur say haft roza “tarap” nikalta tha os main faqaeya aur mazhya kalam likhnay
shoro kiay pher kae parchoon main likha. Parchoon kay naam ab yaad nahain
41-Tahqeeq kay midan main kab aa’ay? Kin mohaqaqein say matasar howay? Jo tahqeqi
kaam kiya os ki adbi haseat?
Takhleq’kar mohaqaq bhi hota hai aur naqad bhi. Yah johar mujh main pehlay say
Allah kay fazal say mojood tha.
Mera apna andaaz-e-fikar hai. Mein taqleed main kuch bhi nahin kar sakta.
Noeat to koe naqaad hi bata sakta hai?
42-Tanqeed main kab aa’ay? tanqeed main koe ahum makaam?
Sath sath yah bhi chalti rahi.
Mein kiya janoon yah kaam meray sava koe bhi naqad kar sakta hai.
43-ghalib say kab hello hi hoe? Ghalib ki shaeri par likhnay ka kab aaghaz howa?
Kis qesam kay mazamein likhy?
Ghalib to hamesha say mera apna raha hai.ebtadae mazmoon
Os ki fikar say motalaq hain.
44- aap ka asloob kis haad tak dusroon say mukhtalif hai?
Meari hi kiya her kisi ki alag say asloob hota hai.
45-Kiya kisi kay asloob kay assar liya?
Nahain bilkul nahain
46-kiya aap ka asloob aalamti raha hai?
Ji haan es ki zaroot rehti hai.
Jab koe baat khul kar na ki ja sakay to yah likhnay walay ka hatyaar banti hai.

47-Nazm ya nasar main ezhaar main say kis main ezhaar acha lagta hai?
Donoon main
Nazam kay liay taba ka mozoo hona zari hota hai jabkah nasar main aisi surat
nahain.
48-Nudrat aur jidat kis say sikhi?
Mood banta hai
Yah jazbay aur khayaal ka ejaaz hota hai
49-Kin ilmi-o-adbi anjamoon kay member rahay?
Mujhy yaad nahain likin bohat se ka member raha
50-Koon se anjmanain qaem kein?
Aazad press socity, Urdu socity, United Islamic world council
51-Gher main honay wali majlasoon kay baray kuch bataein.
Yah to bohat hoein balkah her dusray tesray hoti rehti thein. khoob ronaq rehti.
mukhtalif adbi amoor par guftagu rehti. Yah sab, mein khud hi manage kiya karta
tha.
52-En anjamanoon main koon koon se asnaf-e-adab par guftagu hoti?
Yah koe mukhsus na tha.
53-Urdu adab kay fragh kay hawala say en anjamanoon nay kiya khidmaat sar anjaam
dein?
Apni se koshesh thi sab kuch waqt ki dhool main gom ho giya.
Prof. Akram Hoshyarpuri (mahoom) hosla afzae kartay rhtay thay. Allama Abdul
Ghafoor Zafar rooh-e-ravaan thay. Prof. Mohammad babar waghera ki mujhy moaavnat
rahi.
Qarardadain aur mazamein akhbar-o-rasael mai shaya hotay.
54-En anjamanoon kay maqasad bataeay.
Nafaz-o-tarvej-e-Urdu
Ensani bhai chara
Ensan dosti
Sulah-e-kul
Haan uiwc seraf aur seraf musalmanoon kay ethaad say motalaq thi.
Es kay members puri dunyaan main thay.
55- Lagan ar shooq kay sath koon se cheez thi jis nay zindgi main aagay barhnay ki
tagheeb de?
Mera hamesha say nazreya raha hai apnay khaylaat ka kisi na kisi hawala say ezhaar
kar doo. Ezhaar kay jazbay nay mujhy hameshsha mutaharrak rakha
56-Kin adwar main takhleqi kaam taizi main raha?
Kab kami aae? Kayoon?
Moaamla hameshsha eak sa rara.
Bimari ki surat mainkami aae.
57-Kis senaf main hamesha likha aur kabi kami nahain aae?
Jazba jis kay liay fit howa ossi senaf main likh dala.
58-Lisanyaat kay shobay ko khud chuna ya hadsati toor par aa gay?
Yahaan Prof. Azhar Ali Kazimi howa kartay thay. oon kay motalaq mashhoor tha kah
woh mahar-e-lisanyaat hain. Shooq howa kah dekhoon yah kiya hai. Pher kiya tha jot
giya. Yah shooq aur tasnagi khatam honay ko nahain aati
59-Lisanyaat ki waja say kisi dusri senaf par assar para?
Haan afsana aur tanz-o-maza matasar howay hain
60-kin kin qalmi namoon say likha?
Qazi jarar Hasni, M. A. zahid, S.M. Muntazar, Maqsood sa Hasni
Likin en namoon ki tehrerain mehfooz nahain. Un’gint afsanay (shapay, unshapay),
mazmoon aur nazmain gom ho gaein ya chori ho gaein ya kisi nay lay kar wapas
nahain kein.
Prof Niamat Ali baray zaheen mehnati aur behtarein damagh kay malik hain onhoon
nay khas lisani hawala say kuch sawal bajwa’ay hain. Mein oon kay sawalaat ka
jawab denay main fakhar mehsoos karta hoon:

1- Zoban ka safar kab tehrao, oljhao aur pachidgi ka shakar hota hai?
Tazabzab, sakoot aur la’yaenat kay door main.
Bay’fikri aur sakoon kay door main.

2-Zoban ka khameer kin kin aanasar say othta hai?


Kiya en aanasar ka taalaq waseab say bhi hota hai?
Shakhas kay aalaat-e-notaq aur moaawan aalaat-e-notaq.
En say say aavazain nikalti hain aur en hi kay hawala say estamaal main aati hain
aalaqa, mahool, zarorat, aab-o-hawa, mosam
Moaashrat/ motalqa waseab kay rovaeay aur rujhanaat zoban ki taraqi ka sabab
bantay hain.
Kam az kam doo ashkaas *** ki moaashtat aur zoban eak ho
Eak se aavaz nikalnay par qadar hoon
Mahajrat ki surat main main bhi mahajar sar’zameen par doo eak zoban bolnay walay
ashkhaas apni zoban main goftagu karkay aasodgi mehsoos kartay hain. oon ki nasal
bhi aisa kar kay aasodgi mehsoos karti hai.
Es main asbeat ka bhi dakhal hota hai.

3-Zoban kay mazaaj aur rovaeyoon ko samjhnay kay liay kin pehlo’oon ka janna
zarori hota hai?
Os kay mohavray ko janna zroori hota hai.

4-Kiya mukhtalif zobanoon kay milaap say eak nae zobaan banti hai?
Nahain, bilkul nahain, yah nazreya bara gumrah’kun hai.
Haan zobanain kisi bhi zoban ki taraqi ka sabab banti hain.

5-desi aur ba’desi zoban kay bahum alfaz say zobanoon main jidat aati hai ya
mafaheem maim gehrae peda hoti hai kay hawala say kuch farmaein?
• Ezhaar ko vosat milti hai
• Lafzoon ka talafaz badal jata hai
• Na’ay lehjay tarkeeb patay hain
• Na’ay alfaz tarkeeb ptay hain maslan: eain+nak
• Na’ay marakbaat bantay hain

6- Kiya zoban kay rasam-ul-khat main bhi tabdeli aati rehti hai ya nahain?
Aati nahain lae ja sakti hai ya lae jati hai. Jis tara Turki kay sath howa. Es say
zoban ko noqsan ponchta hai:
Porana warsa zaya ho jata hai
Kuch aawazain baqi nahain rehtein. Maslan Urdu aur Roman Urdu khat ko hi dekh
lain.Urdu khat aur dev nagri khat ko malahza farma lain. Punjabi aur gurmakhi ki
misal mojood hai.
Urdu kay pas 63 say zeyada aawazein hain Raman Urdu main likhtay waqt marakab aur
mutradaf aawazoon say kaam chalana parta hai.

7-Mukhtalif zobanoon main kiya koe qadar mushtarek hoti hai?


Ji haan, maslan:
a- Bohat sari aavazain mushtarek hoti hain
b- Zarab-ul-Amsaal aur mohavray mushtarek hotay hain
c- Marakab aavazain eak se milti hain
d- Eak dusray kay alfaz layti hain ya yoon keh lain bohat
say alfaz mushtarek hain jis tara Urdu main tumbakoo
. Punjabi main tamakoo japani main tabakoo
es hawala say un’gent misalain de ja sakti hain

8- zoban main vosat kin aanasar say hoti hai?


o takhliqi azhaan
o zarooratoon ka bhar jana
o Azhaar ki aazadi
o Taghaeraat
o Samaji moaashi aur masharti tabdeliaan
o Aazmaesh ki surat-e-haal
o Enqalaab
o Pareshani, baycheni aur eztarabi kafeyaat
o dukh aur karab
o Agar qomoon main khud say zinda rehnay ka sha’oor
aur mada ho to woh motaharak rehti hain

simabi firat
Kuch kar guzrnay ka janoon aur jazba
moqablay ki aadat/jazba
harkat masalsal harkat
malghobeat ka shidat say ehsaas
jis tara afsanay main “wahdat-e-ta’assarr” kay bagher afsani, afsani nahain
rehta bilkul ossi tara lachak’pazeri kay ba’gher zoban koonvain ka mandak hoti
hai.

9 badesi, desi jabkah desi badesi ki zoban bolnay ki koshesh kartay hain. badesi
Hakam ki zoban kis tara matasar karti hai aur os kay asraat kis qesam kay moratab
hotay hain?
assal moaamla rabtay ka hai. Badesi ki khaesh hoti hai kah woh baat ko behtar toor
par samjha sakay desi chahata hai kah ossay os ki zoban main samjhaya ja’ay. Woh
yah bhi chahata hai kah Hakam kay zeyada nazdeek ho.. es say na’seraf alfaz ka
tabadal hota hai balkah lehjay bhi tabdeel hotay hain. woh apnay apnay nahvi set
up kay motabaq alfaz detay laytay rehtay hain. Arbi manay na manay Urdu, Punjabi,
pothohari, Saraeki, Mivati, Sindhi, Barahvi waghera main hoor,ahwaal, okaat wahad
hain. tazkeer-o-tanees main Pashto apna mazaj rakhti hai aur woh liay gay alfaz ko
apnay lisani set up kay motabaq lay gi. bilkul essi tara zima ko zuma, qufli ko
qulfi, khalvat ko khilvat boolna Urdu Punjabi waloon kay liay aeb nahain.
Mumkinility, voteraan, sportraan, moteraan, motaraein, horain, Urdu Punjabi
waghera main kab ghalt hain. yahhi surat-e-hal maeni ki hai. Dusri zobanoon main
kuch kay kuch ho jatay hain.

10- kiya Hukaran tabqay ki zoban ghalib rehti hai ya maqami zoban/zobanain/boliaan
bhi baqi rehti hain?
koe zoban apna vajood tayagnay kay liay teyar nahain hoti. Ko zoban mar nahain
sakti jabtak os kay doo bolany walay mojood rehtay hain. Haan albata tabdeliaan
aati rehti hain aur yah bura amal nahain. Amrekan, Bartanvi, Faransisi, Pakistani,
Hindustani angrayzi main zameen aasman ka faraq hai. Yahhi surathal Arbi Urdu
Punjabi waghera ki hai.
Hamaray haan baray dafatar main angrayzi ka raj hai likin bahar essay koe pochta
nahain es kay bavajood na’danesta toor par bool chaal main angrayzi alfaz aa jatay
hain. eak door main yahhi surat Arbi aur Farsi ki thi. Jo alfaz bila jawaz dakhal
kiyay jatay hain ehsas-e-kamtari ka saboot hotay hain likin jo juz-e-zoban ho
jatay hain aeb nahain samjay ja saktay masla:
I mean aap wahaan kayoon nahain gay ya I think hum ko yah done kar layna chahiay.
Yah Urdu set up kay motabaq hain likin enhain achi nazar say nahain deka ja’ay ga.
Ab yah jumlay dekheay:
Hamaray haan ki laydiaan aasman ki horoon say kisi tara kam nahain hain.
(laydiaan, horoon)
Tamamam omeedwaran apnay apnay sportran kay sath polling station kay bahar kharay
natejay ka entazar kar rahay thay. (sportran, polling station)
Lari addy par har sheharko janay wali moterain khari thein. (Moterain)
Yah jumlay qatae ajnabi nahain hain aur es qesam ki guftagu aam toor par sonay ko
mil jati hai.
Maeni ko hi dekh lain:
***y, animal aur, saer, tamasha jaloos kab apnay assal maenoon main estmal hotay
hain.
Mukhtasar yah kah zobanain marti ya khatam nahain hotein, hakam aur mahkoom eak
dusray say mataar hotay hain. yah oon ki rabtay ki zaroorat aur majbori hoti hai.

11-kisi zoban kay acha ya bura honay kay baray aap ki kiya ra’ay hai?
Koe zoban achi buri nahin, tamaam zobanain rabtay ka zareya-o-wasela hain. Urdu
kay sewa tamaam zobanain aavazoon kay hawala say ka’zoor hain. es bunyaad par
onhain acha bura nahain kaha ja sakta. Haan ezhaar kay haala say koe ra’ay de ja
sakti hai. Apni kami aur ka’zori ko marakab aavazoon say woh pura karnay ki
koshesh karti hai.

12- Es jaded door main matrook ho janay walay alfaz ki koe ehmeat baqi hai?
Kayoon nahain, woh os ehad ki masharti, moaashi, samaji, nafasyati aur saqafti
hawaloon ka warsa hai. Guzra kal onhein kay hawala say jana aur pehchana ja sakta
hai. Lafz kiya mahavroon ki surat badal gae hai aur wo soo tara say estamal main
aa rahay hain. En matrook alfaz, mahavraat main tabdeliaan aur aslobi tagheraat
say zoban ki taraqi ki rafter ka andaza kiya ja sakta hai.
Karvat layna, karvat badaln darust samjha jata hai: maslan
woh hal likh chala hoon karvat badal badal kay
Satyanaas marna, satyanaas karna/hona mostamal ho giya hain
Kitabi aur bazaar ki zoban mukhtalif hoti hai. Adakaeyaan ko kitab wala kab adaoon
kay maenoon main tasleem karnain gay.

13-kiya boliaan zobanoon kay sath sath chalti rehti hain?


a- haan sath sath chalti rehti hain
b- matasar karti hain
c- matasar hotihain

14-kiya boliaan zobanoon ki takhleeq main moaawan sabat hoti hain?


boolioon say zobanain takhleeq nahain hotein.
Haan
• taraqi karkay zobanain ban jati/sakti hain
• Zobanoon ki taraqi main moaawan sabat hoti hain.
• zobanoon kay ezhaar ko vosat mayasar aati hai.
Jan kay (Jan bojh kar), mokmakao aisay alfaz Urdu kay liay ajnabi nahain hain.
Yahhi surat badesi zobanoon ki hai. Glass ba’maeni pani/lassi waghera pinay ka
pimana, daftar bamaeni office, ct ba’maeni cd, tamasha, jaloos waghera aam estamal
kay alfaz hain. Mahajar apni assal par reh nahain sakta aur Yah asool-e-firat hai.

15-zoban main avazoon ki ehmeat kiya hai?


Zobanain hain hi avazoon ka majmoah. Aavaz ki tabdeli say maeni badal saktatay
hain.
Zikar aur zakar kay moenoon ko dekh kar baat samjh main aa jati hai.

16- En aavazoon ki kitni aqsaam hain?


Urdu main doo tara ki avazain hain:
1. a- alap paran
2. b- maha paran
• dusri zobanoon main marakab aavazain bhi milti hain. Maslan sheen ko sh say
likha jata hai. Za’ay Farsi ko ion say wazay kiya jata hai Essi tara
mutbadal/mutradaf aavazoon say bhi kaam chalaya jata hai. Maslan Arbi Pakistan ko
Bakistan parh sakay ga.
• Japani main do tara kay sign hain. Hera gana, Kana kata. Cheni aur Korean ki bhi
kuch es say mukhtalif surat nahain.
• Aavazoon kay makhaz un’haad aur un’gint hain.

17- Kiya khita ki tabdeli say aavazoon ki noeat tabdeel hoo jati hai?
Ji haan, aalaqa ki tabdeli say faraq aata hai.
Mivaat aur Chatoor aur pher Rajistan main sheen ki aavaz nahain wahaan seen say
kaam chalaya jata hai. Maslan basher say baser
Punjabi walay zuma hi bolain gay halankah zima bool saktay hain.
Essi par hi moqoof nahain aavazoon ko wahaan ka kalchar, nafasyaat, rasam-o-ravaj,
mazaj aur rovaeoon ko apnana parta hai.

18- Avazoon kay zeer-o-bum say alfaz kay maeni-o-mafaheem main faraq aata hai?
Kayoon nahain, maslan
Roko, mat janay doo
Roko mat, janay doo
Maenoon main zameen aasman ka faraq aa giya hai.

19-kiya aavazain farad kay andar ki aakasi karti hain?


ji haan.
Boolnay kay andaz say shakhas ka batan jan liya jata hai.

20- Aavazoon ko samajhnay aur haqeqat tak rasae kay liay kin lovazmaat ki zaroorat
hotai hai?
Aavazoon ko samjhnay kay liay hessi nazaam ka fa’aal aur kisi noqs say pak hona
bay’haad zarori hota hai. Dusra tajarba aur mashaeda bari ehmeat kay hamal hotay
hain.

21-aavazoon kay hawala say aap nay kis noeat ka kaam kiya hai?
Taqabli aur eshtaraki motalala
Mein nay zobanoon main sanjain talashnay ki koshesh ki hai aur es main say kuch
kaam net par kisi na’kisi forum par dastyaab hai.

22- Aavazoon par kaam kartay waqt aap ko kis qesam ki dushwari peash aae?
Mehnat karna pari hai warna koe mushkal pash nahain aae.
Bazaar main, mukhtalif tabqoon say bohat kuch mil jata hai, bas ghoor karnay ki
zaroorat hoti hai.

23- Aavazoon say koon sa ilm mayasar aata hai?


• Ensan ka batan
• Lafz ki nafasyaat
• Lafz ka kalchar
• Kaenaat say reshta aur os say motalqaat say aaghi

24- Medikal aap ka midan nahain to pher yah kansar par kaam kis tara kar dala?
Ensan ki pira ko dekh kar

25-zobanoon kay khandanoon kay hawala say kiya kehtay hain?


Mein es nazreay ko tasleem nahain karta. Aavazoon kay makhaz kahein bhi alag say
nahain. Tahum traces wahaan kay mahool, halaat, zaroorat aalaat-e-nutaq aur
moaavan aalaat-e-nutaq kay zeer-e-assar tarqeeb patay hain aur yah fitrat ki teh
kiya giya asool hai.
Respectble Doctor!!!
Ap Ka Goftary Sukhan La Jawab
Ap Sy Mudabna Ek Sawal Hain
Ap K Nazr Main Jo Log Net Main Love Marg Krty Hain
Ya Aj Kal Net Jes Tarqy Sy Use Horaha Hain Es K Bary Ap Kyia Kehna Chahengy ...
Kia Net K True Larka Or Larki Ek Dosry Ko Select Karsakty Hain
Ya Pher Ye Sab K Haqdar Man Bab Hain??
What Do U Think About This All
I Really Wana The Answer!!!
So Waiting
laila,
Band mothi main kiya hai, jan pana koe aasan kaam nahain. Es ki teen suratein ho
sakti hain:
1- Nahaet qemati cheez ho sakti hai
2- Muthi khali ho sakti hai
3- Koe kharaab pareshan’kun aur takleef’deh cheez ho sakti hai
Pehli surat ki kiya baat hai jab’kah dusri surat bhi koe takleef’deh nahain.
En donoon kay bar’aks tesri surat gowara nahain ho sakti.
Net kay hawala say shaadi ka moaamla kuch es say mukhtalif nahain. Mein tasleen
karta hoon arsa tak guftagu sood’mand sabat hoti hai eak dusray ko jana ja sakta
hai. Zehni hum’aahngi ho sakti hai. Reh gae baat shakal-o-surat ki, jab zehan
nahain milta to es ka taveez banana hai. Assal baat to zehni hum’aahangi ki hai.
Dusri baat yah kah her koe lafzoon ki nafasyaat kab janta hai. Her koe alfaz kay
pas-e-sakht kayoonkar jhank sakta hai. Asloob ki hira pheri say sab kab agha/waqaf
hotay hain. Goya maash moaafaq aa saktay hain badi bhi sabat ho saktay hain.
Mein es baat ka munkar nahain hoon kah aamnay samnay mail molaqaat wali mohabat
zaroor kamyaab ho sakti hai. Bay’shamaar mohabat ki shadiaan na’kaam hoti dekhi
gae hain. os ki vaja yah hai kah shaadi say pehlay aur shaadi kay baad ki
tarjehaat aur toaqaat mukhtalif hoti hain. Arrange shadeaan bhi na’kaam hoti dekhi
gae hain. Sachi baat to yah hai kah es moaamla main kuch hatmi kaha nahain ja
sakta.
Mein samjhta hoon shaadi kay baad fareqain par lazam aata hai kay woh eak dusray
ki zaroot ban jaein. Mazi kay her qesay ko yaksar faramosh kar dain. Eak dusray ki
zarooyaat ka khayaal rakhain. Dukh such main sath dain. Mohabat dain mohabat lain.
Onch nich main tahamal aur dar’guzar say kaam lain.
Net par ya kisi aur hawala say shaadi ho, hain to donoon ensan hain. Oon ki
khashat, tovaqooaat, omedain eak dusray say wabasta hoti hain. ekhtalafaat
mazakraat aur guftagu say hal kar lain. Soo gaz rasa siray pay ghant, mohabat aur
mukhlasi kay hawala say fareqain eak dusray ko fath kar saktay hain warana sari
umar kil kil hi rehti hai.

Aap kay sawal baray achy lagy hain. Mazeed kuch puchain gay to aur acha lagay ga.
Dayri kay liay mazrat kha hoon. Jawab hazar hain:
1. Koe hum’dard aur piyar karnay wala mil ja’ay.
2. Jab koe jhoot bolta hai.
3. kitabain
4. Doo glass pani pi layta hoon ya oth jata hoon.
5. Yah to aam se baat hai aur watera bhi lihaza main bhi os hasi main shareek ho
jata hoon.
6. Achi ka to pata nahain haan teen adtain buri zaroor hai:
a- sigrate pita hoon
b- dokha kha kar bhi etmad/etbar kar layta hoon
c- Khatoon tulba ko gila rehta hai kah zati guftagu k liay waqt nahain deta.
7. os ko kiya kaha ja sakta hai shaed os k hawala say mujh say koe ghalti, kotahi
ya pher zeyadi ho gae ho. Aaenda os say acha peash aanay ki koshesh karta hoon.
8. Bohat kam khata hoon. Aaghaz say 24 ghentoon main eak aur aadhi chapati khata
hoon.
9- Cell phone, qalam, kaghaz aur chashma
10. kanghi ki aur bas, khayaal kiya aana hai. Mein koe yousf sani nahain jo khud
ko dekhta rahoon
11. Soota hi aadhi raat ko hoon. Likhta parhta rehta hoon.
12. koe 10-15 mintue pehlay
13. kaam to kaam hai aur ossay karna hai. Mujhy qatan bura nahain lagta. Yah
mamool ki baat hai.
14. Kuch na khanay ki aadat say khafa rehtay hain.
15. *Koe aala pa’ay ka tehqeqi/takhliqi kaam ho ja’ay.
* Marnay say pehlay koe acha sangi/sathi mil ja’ay.
16. Ji haan.
17. Kalam, kaghaz aur chashma.
18. Allah ka bar bar shukar ada karta hoon.
19- Mein syed hoon, unkal kiya log baba ji kehtay hain, bura nahain, acha lagta
hai. Mujhy bacha banna kabhi kush nhain aaya.
20. Jis mahinay koe buri khabr na milly
21. Maan baap

here are my questions

1-aap ne bohat se article likhey hein..un mein se aap ka favourite kon sa hai?

2-aisi koi jaga jahan aap ja ker basaira kerna chahein..aur aisi jaga jahan aap
sair ke liye jana chahein?

3-writers mein se kis se zyda inspire hein?


4-koi aisa lamha jo pachhtawey ka bais bana ho?

5-koi aisa kaam jisey kerney ki tamana hai?

6-family mein aap ko kya keh ker bulaya jata hai dr. ya naam se??

7-perney mein zyda taskeen hoti hai ya parhaney mein??

8-jab kisi se miltey hein to sub se pehley kis baat se mutasir hotey hein..koi
achhi ya buri baat??

9-agar kabi aap ko nai nasal pe kitab likhney ke liye kaha jaye to us ka mozoo kya
rakhein ge?

10-Aap ki pehli kamiyabi konsi thi jis pe aap ko bi bohat naz hua ho?

11-jaisa ke aap ne firmaya ke aap shadi ke umeed,war hein..to shadi pasand ki


kerein ge ya ghar walon pe chhor de ge??

12-aap ka koi pasandeeda sheir??

13-Pl mein naye aaney walon ke liye kya kehna chahein ge?

14-PL administration ke liye koi baat?

15-Aap ki pasandeeda personality konsi hai aur kis waja se wo pasandeeda hai?

1-aap ne bohat se article likhey hein..un mein se aap ka favourite kon sa hai?
Eak na’eak den zaroor meray qalam say niklay ga.

2-aisi koi jaga jahan aap ja ker basaira kerna chahein.aur aisi jaga jahan aap
sair ke liye jana chahein?
1-Kasur
2-kitabgah

3-writers mein se kis se zyda inspire hein?


Ghalib

4-koi aisa lamha jo pachhtawey ka bais bana ho?


Jo gozar giya soo guzar giya, afsus aur pastawa kaisa aur kayoon?

5-koi aisa kaam jisey kerney ki tamana hai?


Bay’nazeer funpara takhleeq karna chahata hoon

6-family mein aap ko kya keh ker bulaya jata hai dr. ya naam se??
Bhai sahib Safdar kehtay hain, yah naam abba ka diya howa hai hai, baqi dr. sahib
kehtay hain

7-perney mein zyda taskeen hoti hai ya parhaney mein??


Donoon main

8-jab kisi se miltey hein to sub se pehley kis baat se mutasir hotey hein..koi
achhi ya buri baat??
Kush kalaami say

9-agar kabi aap ko nai nasal pe kitab likhney ke liye kaha jaye to us ka mozoo kya
rakhein ge?
Nae nasal ki zahanat. Nae nasal bala ki zahein hai.

10-Aap ki pehli kamiyabi konsi thi jis pe aap ko bi bohat naz hua ho?
Qabal-e-zikar kamyabi yaad nahain.

11-jaisa ke aap ne firmaya ke aap shaadi ke umeed,war hein..to shadi pasand ki


kerein ge ya ghar walon pe chhor de ge??
Ghar walay kahan sab oth ga’ay. Bhai sahib hain jenhain apni khabar nahain. 80 say
tajawaz kar ga’ay hain. jo mujhy pasand kar lay gi say shaadi kar loon ga.

12-aap ka koi pasandeeda sheir??


Go hath ko junbash nahain aankhoon main to dam hai
Rehnay doo abhi sagar-o-mina meray aagay (Ghalib)

13-Pl mein naye aaney walon ke liye kya kehna chahein ge?
Mehnat say kaam kartay rahain yahaan kay sab log apnay say hain.

14-PL administration ke liye koi baat?


Her kisi ki hosla’afzae karain. Burd’bari aur tahamal say kaam laytay rahain

15-Aap ki pasandeeda personality konsi hai aur kis waja se woh pasandeeda
hai?
1- Ghalib
2-Zindgi say jura rehta hai.

. 'sanjeedgi aur matanet' ki app ke nazdeek kia ahmiat he ?

2. Allah ki rah mein waqt lagana app ke nazdeek buhat ahem he, ager din ko taqseem
karein to kitna waqt laga pate hein ?

3. dunia ki kon se napaidaar cheezain hein *** se app ko lagayo he?

4. 'tum naki ko nahi pohench sakte jebtek dilpassend cheeze kharch na karo' iss
silsile mein kia paishraft he ?

5. deen ka kon sa kaam nafs peh garaan guzerta he aur kon sa sahil ?

6. dunia ka kon sa kaam na chete hove bhi kerte hein ?

7. ap ny PL kesa join keya ?

8. ap ka pasandeda ketab?

9. lebas k mamely mai kaisy hai ... or kesy mezaj k malik hai ap ?

10. zendage ka vo lamha jo ap chaty hai k lut aye ?

11.zendage ka koi khoshgawar or na qabely faramosh waqeya tehrer kary ?

12. khoshe melte hai tu kesa lagta hai ... or eska ezhar kesy karty hai ?

13.tarteb dy apny nazarye k mutabeq ... dulat.... shuhrat.... ezat...muhabat.

14.jazbo ka ezhar karna asan lagtahia ya mushkel ? or kestarah karty hai ?

15.faisala karty waqt dil o demagh ke jang ho to kes ke bat manyngy ?


16. subah ka sabsy pehly ehsas?

17. apne erd gerd logo ka wo konsa ravaya hai jesy bahot koft hote hai or dil
chahta hai k kash log ye kam karna chordy ?

18. agar koi jan sy be aziz rot jaye to kesy manaty hai ?

19. ap k nazar mai shade kesa bandhan hai ... or arange shade k haq mai hai ya
love marrge .. agar ha tu qu or agar nahi tu qu ?

20. u hee chalty chalty kabe u hee koi mil jata hai ... bechar jata hai .... os
shakhs k bary mai kuch batayee jo u hee mila or bechar gaya ... pher abe tak un
lamho k khoshbo sanso sy na gayee ?

21. ap ka pasandeda khoshbo?

22. ensan sada sekta rehta hai ... ye batayee k ap ny kes kes sy seka hai abe
tak... or ap k pasandeda shakhseyat ?

23. ye sawal or en k jawabat lekhty hoye jo kaifyat hai os ko batayee?

1. 'sanjeedgi aur matanet' ki app ke nazdeek kia ahmiat he ?


kisi bhi shakhaseat ka johar hain en kay ba’gher kuch bhi nahai.
Bachoon kay moaamla main en say hatna parta hai.
Her jaga, her mujlas aur her kisi kay sath enhain sath lay kar chalna darust
nahain.
Kisi ahmaq k hawala say yah baray khatar’nak hain.
Es main halki se kush’tabi shamal kar li ja’ay to etdal khatam nahain hota.
Taari kar lanay ki surat main log zeyada door tak sath nahain chal paein gay.
Her waqt mumkin nahain warna bohat kuch reh ja’ay ga aur shakhaeat main yaksaneat
se peda ho ja’ay gi.
2. Allah ki rah mein waqt lagana app ke nazdeek buhat ahem he, ager din ko taqseem
karein to kitna waqt laga pate hein ?
Banday ka her lamha Allah hi k liay hai. Ensan doo haqooq say jura howa hai
1- haqooq’ullah 2- haqooq-ul-ebad
dusray haq kay hawala say koe lamha nahain bachta, deyanat aur eain ossi tara
karna hai jis tara karnay ka haq hai to yah bhi Allah k liay ho ga.
Her kaam main her hawala say Allah ki kush’nodi aur raza moqadam rehni chahiay.

3. dunia ki kon se napaidaar cheezain hein *** se app ko lagayo he?


Dunya ki her cheez khoob surat aur apnay hawala say kaam ki hai haan agar os ki
haet ka satyanas na mara ja’ay. Ossay os ki fitrat k motabaq liya jana chahiay.
Mein apnay Allah kay hawala say her cheez ko os kay moqaam k tanazar main dekhta
hoon aur nafrat nahain karta. Ya es hawala say meri nafrat aur mohabat banti hai.

4. 'tum naki ko nahi pohench sakte jebtek dilpassend cheeze kharch na karo' iss
silsile mein kia paishraft he ?
Yah baat sola aanay sach hai,
zara ghoor karein baantnay walay ka hath kahaan hota hai. Es hawala say jama
karnay ka sawal hi nahain othta.
Denay wala hi mazeed ka haq’dar ther sakta hai.

5. deen ka kon sa kaam nafs peh garaan guzerta he aur kon sa sahil ?
Deen ko pacheda kar deya giya hai. Yah to resham say zeyada malaem aur punghat say
kahein bhar’kar aasoda hai.

6. dunia ka kon sa kaam na chete hove bhi kerte hein ?


Jabar ki haan main haan malana.
7. Ap ny PL kesa join keya ?
yahaan k log apnay say mehsus howay aur pher essi ka ho raha.
Dusri jagoon par bhi likhta hoon likin pehlay ki tara nahain. Kam kam

8. ap ka pasandeda ketab?
Kitab say bhar’kar kuch bhi nahain.
Quran-e-majeed
Dewan-e-Ghalib
Kulyaat-e-meer v-1

9. (a) lebas k mamely mai kaisy hai.


Sada,
jo mil ja’ay pehan lita hoon likin saaf aur dhula howa hona chahiay.
Bay’taeteeb na ho.
Salae saliqay ki ho.
Zeyada’tar shalwar qamez
9- (b)kesy mezaj k malik hai ap ?
sada
shaks k motabaq ghul mil jata hoon.
zooq aur field kay hawala say baat cheet karta hoon.
Ahmaq ki haan main foran haan mila dita hoon.
Kisi ko dukhi nahain dekh sakta.
10. zendage ka vo lamha jo ap chaty hai k lut aye ?
Maan k ghar main bitay saray k saray (achay buray)lumhay

11.zendage ka koi khoshgawar or na qabely faramosh waqeya tehrer kary ?


Pata nahain zindgi main kiya kiya howa
MA main kamyabi hoe to abba nay jis andaz say galay lagaya bhool nahain sakta.
Abba aur maan jab othay oon lamhoon ka karab aaj bhi meray dil-o-damagh par mojood
hai.

12. khoshe melte hai tu kesa lagta hai ... or eska ezhar kesy karty hai ?
Khushi yah kiya hoti hai,
baad’qesmati say mujh say kinara’kash rehti hai. Woh mujhy apnay laeq nahain
samjhti.

13.tarteb dy apny nazarye k mutabeq ... dulat.... shuhrat.... ezat...muhabat.


1-Ezzat+ mohabat
2- baqdar zaroorat dulat
3- shorat bhi mil ja’ay to buri nahain likin damagh main khlal ka mojab na banay.

14.jazbo ka ezhar karna asan lagtahia ya mushkel ? or kestarah karty hai ?


bohat mushkal baba yah to qeyamat hotay hain.
esharoon aur kinayoon say
15.faisala karty waqt dil o demagh ke jang ho to kes ke bat manyngy ?
andar ka ensan bara zabardast hai. Kab ghalt karnay deta hai.
16. subah ka sabsy pehly ehsas?
Allah ki shukar’gozari ka ehsas

17. apne erd gerd logo ka wo konsa ravaya hai jesy bahot koft hote hai or dil
chahta hai k kash log ye kam karna chordy ?
Jhoot--------robaro jhoot
Ghraz k hawala say chapolosi
Apni zaat say aagay na bhana
Mein mein ki takrar
Apny mafaad k bagher kisi ka kaam na karna
Hotay hoy enkar
Jantay howay enkar ya khmshi
18. agar koi jan sy be aziz rot jaye to kesy manaty hai ?
Maintain tarlay, aur kiya karna hai
Mazrat karkay
Pher say ghalti na dhoranay ka wada karkay. (pabandi rahay na’rahay yah alag baat
hai)

19. ap k nazar mai shade kesa bandhan hai ... or arange shade k haq mai hai ya
love marrge .. agar ha tu qu or agar nahi tu qu ?
Sanjida amal samjha ja’ay to donoon thek hain.
Gher’snjidgi ki surat main doon ghalt.

20. u hee chalty chalty kabe u hee koi mil jata hai ... bechar jata hai .... os
shakhs k bary mai kuch batayee jo u hee mila or bechar gaya ... pher abe tak un
lamho k khoshbo sanso sy na gayee ?
Jo thokra kar giya os kay motalaq sochna bhi jurm aur pap.
Jissay halaat ya qaza lay gae woh kab bholtay hain. oon k sath guzray pal roh ko
gudgadatay rehtay hain.

21. ap ka pasandeda khoshbo?


Golaab
Mithay bool

22. (1)ensan sada sekta rehta hai ...


Haan yah darust hai.
(2) ye batayee k ap ny kes kes sy seka hai abe tak...
Bohat say log hain kis kis ka zikar karoon pher bhi:
Abba (Sufi shaer thay), ammaan bari naek serat khatoon thein
bilkul shahab’namay ki “maan ji” ki se,
Ghalib (motalah k hawala say),
Baba Ahmad Yar Khan Majboor (Mera mphil ka maqala en par hai)
Dr. Wafa Rashdi, Dr. Baidil Haidri,
Dr. Syed Moen-er-Rehman, Dr. Khaja Hamid Yazdani, Dr. Sabar Aafaqi,
Dr. Abu Saeed Noor_ud_din waghera waghera
(3) ap k pasandeda shakhseyat ?
hadi Hazoor hazrat Mohammad (sabDarood parho)
mazloom Hussain
adbi Meer (Sahib) aur Ghalib
asakar Fateh Ali Tepu

(2) 23. ye sawal or en k jawabat lekhty hoye jo kaifyat hai os ko batayee?


Koe khas nahain, aam aur ommumi se.
Es qesam k sawal jawab roz hotay

PROF. MAQSOOD HASNI KI PUNJABI AUR “PUNJABI’NAMA” SHAERI

Prof. Maqsood Hasni kisi makhsus aur teh’shuda daeray main moqaied shakhsiat ka
naam nahain. Woh insan say piyar kartay hain aur oon ka yah piyar qate bailos hai.
Woh insane ko kisi bhi tafreeq kay bagher eak dusray kay qareeb daikhna chahtay
hain. Dunyan kay kisi bhi khitay say motalaq kisi bbhi insan ko koe dukh parishani
ya takleef hoti hai to woh tarap tarap jatay hain. Insan say oon ka eshq oon ki
takhliqat main bhi nazar aata hai.

Woh Angraizi, Urdu, Punjabi aur Punjabi’nama main kehtay hain. Oon kay
Punjabi’nama kalaam ko Punjabi ka naam daina Punjabi zoban kay sath ziyadti ho ga.
Maslan yah nazam malahza ho, es ko koon Punjabi tasleem karay ga:

AJ TEEK
Pehlaan ser matay pa dheryo
Mutbal niklo taan juti rakheo
Jug na ay ki vartaro
Mahari samjh maan ay gal
Aj teek na aae

Ya phir yah nazm malahza ho:

MITI RANGA

Bin parnayoon dil na chanan


Jad aakhaan soon chati maray
Havas nay roray vatay
Charoon pasoon
Mun aangan na gehna ban nay
Babal na chita parna
Baybay na ser na chita chira
Payraan ni miti ranga ho jana ay

Oon kay Punjabi’nama qalam main mukhtalif rang nazar aatay hain. Kahein Saraeki ka
goman guzarta hai to kahain yah Pothohari mehsus honay lagti hai. Kabhi Gojri aur
Maivati lehjay parnay ko miltay hain to khain Rajistan kay basi maloom hotay hain.
Ghaliban es ki vaja oon ki insan say mohabat hai. Lehjoon ki tabdili ki aur doo
wajo bhi nazar aati hain:
1- parhnay wala osay apni zoban ki shaeri mehsus kary aur os ki dilchaspi
baqarar rahay
2- insani zobanoon ki aawazoon kay nazam main sanaj sabat karna chahtay hain

oon ka Punjabi kalam bhi eak lehjay aur eak mohavray ka hamil nahain. Kabhi
amrat’sari to kabhi hoshyar’puri Punjabi likhtay hain. Kasur ya Bhati ki Punjabi
oon kay haan door tak nazr nahain aati.

Prof.Maqsood Hasni kay mata pita Amrat’sar kay thay. Enhoon nay kabhi yah alaqa
daikha hi nahain likin es alaqa ki mohabat oon kay haan apna jawab nahain rakhti.
Amrat’sar ki galioon ka yoon zikar kartay hain jaisay yah oon ki janum bhomi rahi
ho. Es mohabat kay bavajood oon kay kalam main es alaqay ka kahain koe hawala ya
zikar tak nahain milta.

Mein nay aksar on ki zoban say sona hai kah insan digar fitri sanjoon kay elawa
aawazoon kay hawala say bhi intahae qurbat rakhta hai. Oon ka kehna hai kah insan
ko insan say char tabqoon nay door kiya hai:
a. Siyasatdanoon nay
b. Mazhabi thaikay’daroon nay
c. Moqtadra qowatoon nay
d. Moash par qabaz jagir’daroon aur sarmaya’daroon nay

Oon ka kehna hai kah insan ko mahirein-e-lisanyaat hi qareeb la saktay hain.


Lisani masla hal ho janay kay baad insan, insan kay qareeb aa ja’ay ga aur apnay
masael eak dusray say share ka sakay ga aur daraj-e-bala charoon tabqoon kay
azaem-e-baad ko jan sakay ga. Yah charoon tabqay apnay mafadaat kay liay eak
dusray ko lara kar oon ki salahitoon aur zahantoor ko apnay mafad kay liay estamal
main latay hain. Es tara oon ki chodrahat khtam honay ka naam nahain lay rahi. Jab
tak insan, insan kay qareeb nahain aa’ay ga mafad’parast yah chroon tabqay oon kay
khoon ki holi khailtay rain gay.

Oon kay khayaal main Hindustani (Urdu+Hindi) hi wahad zoban hai jo kora-e-arz ki
zoban bannay kay laeq hai. Apnay es moaqaf kay liay bhi oon kay pas mazboot dalael
hain ta’hum woh dusri zobanoon aur bolioon kay khatam karnay kay bhi haq main
nahain hain shaed yahhi waja hai kah onhoon nay Urdu Angraizi kay elawa
“Punjabi’nama” main shaeri ki hai. Oon ki yah shairi inter-net kay mukhtalif
forumoon par nazar aati hai. Es shaeri ka reshta seraf bar-e-sagher kay logoon ya
es miti say hi nahain woh insan kay sanjay dukhoon ki nisha’dahi kartay hain aur
en dukhoon kay charay kay liay kehtay hain. Woh insan ko khaab-e-khargosh say
jaganay ki koshesh kartay hain. Kabi baap kay dil ki dharkanoon ko samnay latay
hain to kabhi baiti kay chairay ki bai’basi kay khad-o-khal ko namayaan kartay
hain. Kabi insane ki bhookpiyas aur os kay nataij ko samnay latay hain. Woh
himamat banddhatay hain, kuch kar guzarnay ka hosla daitay hain balkah oksanay kay
bhi gona’gar hotay hain. Oon kay khayaal main shakhas ko midan main jan harni
chahiay na’kah en char tabqoon kay gobar’alod charnoon main.

Kahain kahain romani andaz bhi ekhtayar kartay hain. Yah bhi kamal ka hoti hai
tahum wahaan bhi insan kay dukh aur pira ko faramosh nahain kartay. Whaan bhi os
ka koe na’koe masla zaroor paish kar daitay hain. Oon ka yah andaz bhi bhala
mehsus hota hai.

Woh apnay qalam main alamti aur estarati andaz ka bohat ziyada estamal kartay
hain. Oon ki tashbihaat baray kamal ki hoti hain aur oon ka janum insan kay karab
ki kokh say hota hai. Kahein anjabiat aur baigangi ka ehsas nahain hota.

Prof. Maqsood Hasni ka mohavra rovait say qate hat kar hota hai. Oon say barh kar
shaed hi koe shair itna rovaet’shkan raha ho ga. Rovait main pala posa yah
shakhas, insane kay moamla main kisi rovait ko khatar main nahain lata. Ghaliban
yah andaz onhonoon nay apnay rohani ustad Ghalib say liay hai. Na mazmoon rovaet
say laga rakhtay hain aur nahi oon ki zoban rovaet ki qaid main moaed hoti nazar
aati hai. Baray wasooq aur yaqeen say kaha ja sakta hai kah aata kal na’seraf
onhain insan dost kay laqab say malqoob karay ga bal’kah onhain rovaet shikan ka
naam bhi day ga. Insan na’qadara aur ehsan shanas sahi likin Waqt aur Zamana kisi
ka paband nahain. Os ka apna chalan rovaeya aur andaz hai. Wo es qisam kay
insanoon ko apnay daman main sint sint kar rakhtay hain.

Prof. Maqsood Hasni jitna naram malaem aur raisham ka sa boltay hain oon ki shaeri
ki zoban otni naram malaem aur raishmi nahain. Talkhi ko ba’khobi mehsus kiya ja
sakta hai. Baz’oqat yah khayaal aur mazmoon ka taqazi hoti hai aur baz’oqat oon ka
shairi andaz-e-taqalam ka hisa hoti hai. Haan yah talkhi mukhsus tabqoon ko giraan
guzarti ho to alag baat hai likin jin halqoon ki wo aawaz hoti hai onhain es main
taskeen ka saman mayassar aata hai. Maslan yah lainain malahza hoon:

Rab hath mairy vaylay de doraan diti

Nak nak dub jan deo

Pani ochhay wagda

Suraj lahanday char da

Dheaan day mapay

Azlain namanay

Ay vaykhan lae

Sadyaan narkain sar day balday reh nay

Oon ka yah moamla Punjabi aur Punjabi’nama shaeri tak hi mahdood nahain yah
asloob-e-takalam lehja aur andaz oon ki Angraizi aur Urdu shaeri main bhi nazar
aata hai.

Prof. Maqsood Hasni ki shaeri ka Dr. Aslam Saqab (Malair Kotla, Bharat) nay
Gurmakhi main tarja kiya. Prof. Amjid Ali Shakar (Principal Govt College, Shadra
Lahore) nay oon ki Urdu nazmoon ka jabkah Nasrulla Sabar (Late) nay Urdu Hyku ka
Punjabi main tarjama kiya. Ali Dipak Qazalbash nay Pushto jab’kah Mehar kachilvi
(late) nay Sindi main tarjama kiya. www.ebazm.com aur “skylark” (Bharat) main
Angraizi main tarajum shaya howay.

Ba’qool Dr Aslam Saqib Maqsood Hasni nay 500 sal ka safar apni es mukhtasar umer
main teh kar liya Hai.

Prof Niamat Ali nay apnay M phil kay maqalay may oon kay kalam kay baray kuch
sahib-e-ra’ay hazrat ki aara darj ki hain, malahza hoon:

Dr. Farman Faraypuri

Oot Say
The “Oot Say”, is the name of his poetic collection. Its study shows that the poet
has kept nothing hidden rather expressed each and everything openly and in a clear
cut way. He voices each thing not from behind the screen but in an obvious way. He
expresses his thoughts with extreme sympathy, pathos and passions. Evidently the
poems are short and sentences brief, but intrinsically, the poems and sentences
are very lofty and stalwart. They are not lines but red roses, delicate the touch,
charming to see, refreshing to smell. But in their effectiveness, they are just
like flickering flames, the burns of miserable hearts, and the fire bombs for the
world of oppression and suppression.
(Prof Dr Farman Fateh Puri. Karachi, letter write on 5th June 1991)

Dr. Gohar Noshahi

Sooraj Ko Roak Lo (Stop the Sun)


“Sooraj Ko Roak Lo” Maqsood Hasni’s poetry is the poetry of a peculiar creative
minded poet of the present age. The triangle of self, environment and universe is
the base of his thought provoking and creative trends. He knows the art of feeling
the problems of life. Rare images, metaphors and symbols have blessed his poetry
with freshness and vigor. His poetry, no doubt, is a sound voice of the preset
age.
(Dr. Gohar Noshahi Muktadra Quomi Zuban Islam Abad. Letter: 18Sept, 1991)

Dr Baidil Haidri

Sitar-e-Bunti Ankhein (Stars Weaving Eyes)


I also accept that creation is creation and translation is translation .But a
translator can translate one thing in hundreds of ways. It is possible if the
translator has knowledge, insight, intuition and language and he also roasts
idioms in the stale translation may look like a creation. So the work has been
performed by Maqood Hasni very well in his book “Sitar-e-Bunti Ankhein” which is a
translation of Turk poetry.
(Dr.Baidal Haidery Kabeer Wala. Letter: 19 June, 1998)

Prof. Maqsood Hasni nay Rabayaat-e-Khayaam ka salasi main tarjama kiya jis par
Tanveer Abbas Naqvi nay ra’ay di:

”Sheryat-e- Khayyam”
Maqsood Hasni’s work is praiseworthy, first of all, with the respect that he has
discussed some new aspects of Umar Khayyam. Secondly, it is not less than an
uphill task to keep the stream of criticism continue even when one is living in
suburbs of centers. Maqsood Hasni has in “Sharyat-e-Khayyam” translated umar
Khayyam’s Rubies (Quadrats) into three lined stanzas.
(Tanveer Abbas Naqvi column Sr-e-Sham Lahore)

Prof. Maqsood Hasni ki Angraizi share kay baray Prof. Niamat Ali ka kehna Hai:

”He stresses upon the worth and value of human relations. He wants to find pure
hearts filled with pleasing sweet desires for themselves and for others. He wants
to have human relations free of doubt and double dealing.”
(www.thinkertalk.com)
Net par bhi oon kay adbi kaam aur shaeri ko izzat ki niga say daikha giya hai.

Mein nay inter-net kay mukhatlif forumoon say challis kay qareeb oon ki nazmain
muntakhib ki hain. En nazmoon ko Prof. Maqsood Hasni ka namaenda kalam qarar diya
ja sakta hai.
Prof. Maqsood Hasni ki shakhsiat ko oon ki shaeri kay hawala say kisi mukhsus
khool
main moqaed nahain kiya ja sakata. Es hawala say oon ki shaeri bhi kisi mukhsus
khanay main fit nahain ki ja sakti.

Awal ta aakhar oon kay haan bila’tafreq-o-imtiyaz insan mad-e-nazar rehta hai.
Yahhi waja hai kah oon ki shaeri main insan ka dukh sukh hi mad-e-nazar rehta hai.

Woh fikri hawala say ravaet shikan aur ravaet taraz shair hain.

Woh lisani hawala say bhi ravaet kay paband nahain rehtay.

Na’ay mohavray nae tarkibaat, na’ay marakabaat aur nae tashbihaat paish karna
oon kay qalam ka khasa aur shooq hai.

Ooon kay qalam say nisbatan alamti shaeri hoti hai.

Oon ka kuch kalam main moqami zobanoon ka aamaiza mojood hai.

Oon ki Punjabi shaeri ka baish’tar hissa mukhtalif Punjabi lehjoon aur rangoon par

ostawar nazar aata hai.

Kuch kalam Gojri, Pothohari, Rajistani, Saraeki, Mivati ya Rajistani hai jissay
Punjabi
samjh liya giya giya hai ya kaha jata hai bilkul ossi tara jis tara baba-e-urdu
nay
dakni kalaam ko Urdu kalam samjh liya.

Woh ziyada’tar insan ki bai’basi, bai’chargi, bhuk nang piyas aur insan kay digar
samaji-o-moashi masael ko ahata-e-tehreer main latay hai.

Woh na’seraf amraz ki tashkhis kartay hain balkah moalja bhi tajveez kartay hain.

Insan ko kuch na’kuch karnay ki targheeb daitay rehtay hain. Yah seraf shaeri main

hi nahin oon kay afsanay aur tanz-o-maza say motalaq mazameen ka bhi khasa hai.

Istahsali tabqoon kay khalaf taqat kay estamal kay haq main nazar aatay hain.

Onhain molvi aur wa’az bannay ka koe shooq nahain es kay ba’vajood kahein
na’kahein molvi aur wa’az ka sa andaz zaroor nazar aa jata hai.
Oon ki shaeri eak roshan khayaal aur taraqi pasand shakhas ki shaeri hai.

Oon ki shaeri main tanzia andaz bhi parhnay ko milta hai.

Kaein kaein maqalmati andaz bhi ekhtyar kartay hain. Yah doo tara ka hota hai:

1- Kisi shakas say moqalma


2- Apni zaat say guftagu

Oon ki shaeri kay doo saliqay hain:

1- shakas say kaenat ki taraf marjiat


2- kaenat say shakhas ki taraf wapsi

woh shakhas ki shanakht gom ho janay kay sakht khalaf hain. Es par kisi toor
maslihat
karnay ko tayar nahain hain. Oon kay khayaal main shanakht bar’qarar rehnay say
hi
vajood baqi reh sakta hai.

Oon ki shaeri kay motala say yah haqiqat khalti hai kah zindgi karna koe aasan
kaam
nahain. Zinda rehnay kay liay masalsal aur muwatar mehnat aur jid-o-johad karnay
ki
zarorat rehti hai.

Oon ki Punjabi shaeri KO lisani hawala say nae aur ajeeb’tareen shaeri ka naam
diya
jasakta hai.

Oon kay kalaam main auroon kay dukh dard main ronay aur apni se koesh karnay ki
talqeem milti hai.

Woh hasad say ziyada moqablay aur koshesh ka daras daitay nazar aatay hain.

Oon kay haan bukhal say ziyada bantnay ka amal pasandida amal nazar aata hai.

Oon ka kalaam parh kar yoon lagta hai, eak davash galyoon main nangay paoon bhaga
phirta insan kay almiay ka rona ro raha hai aur insan ko khab-e-khargosh say
jagnay ki
talqeen kar raha hai.

References

1. www.shairi.com
2. www.ebazm.com
3. www.yoindia.com
4. www.raaheaadab.com
5. www.thinkers.com
6. www.pegham.com
7. www.paklover.com
8. www.shairfamily.com

Vous aimerez peut-être aussi