Vous êtes sur la page 1sur 14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

iqbalurdu.blogspot.in

http://iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra ()

Allama Iqbal Poetry

Masjid To Bana Di Shab Bhar Mein Iman Ki Hararat Walon Ne Mann Apna Purana Papi Hai, Barsoun Mein Namazi Ban Na Saka Though the mosque was built overnight by the believers Our heart being old sinner for years devout could not be

Kya Khoob Ameer-e-Faisal Ko Sannosi Ne Paigham Diya Tu Naam-o-Nasb Ka Hijazi Hai Par Dil Ka Hijazi Ban Na Saka What a beautiful message did Sanusi give to King Faisal By descent you Hijazi are, but in heart Hijazi could no be

Tar Ankhain To Ho Jati Hain, Kya Lazzat Iss Rone Mein Jab Khoon-e-Jigar Ki Amaizish Se Ashak Piyazi Ban Na Saka Though eyes become wet there is no pleasure is in this weeping If by mixture of afflictions blood tears pink could not be

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

1/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Iqbal Bara Updeshak Hai, Mann Baaton Mein Moh Leta Hai Guftar Ka Ye Ghazi To Bana, Kirdar Ka Ghazi Ban Na Saka Iqbal is a good advisor, fascinates the heart in moments He did become hero in talk, but one in deeds he could not be.

Suna Hai Main Ne, Kal Ye Guftagoo Thi Karkhane Mein Purane Jhonparon Mein Hai Thikana Dast Karwan Ka I have heard this was the talk in the factory yesterday The artisans only in old huts have their abode

Magar Sarkar Ne Kya Khoob Council Haal Banwaya Koi Iss Sheher Mein Takiya Na Tha Sarmaya Daron Ka But what a good council hall the government has made In this city the capitalists did not have any abode

Karkhane Ka Hai Malik Mardak-e-Na Kardah Kaar Aysh Ka Putla Hai, Mehnat Hai Isse Na-Saazgar The owner of the factory is a useless man He is very pleasure loving, hard work does not suit him
iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829% 2/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Hukm-e-Haq Hai Lesa Lil-Insani Illah Ma Saaa Khaye Kyun Mazdoor Ki Mehnat Ka Phal Sarmaya-Dar Gods command is Laisa lil Insani Illa Ma Saa Fruit of laborers work should not be usurped by the capitalist

Utha Kar Phaink Do Bahir Gali Mein Nayi Tehzeeb Ke Ande Hain Gande Throw them out in the galley The new civilizations eggs are rotten

Election, Memberi, Council, Sadarat Banaye Khoob Azadi Ne Phande Election, membership, council, presidency The nooses of independence are very strange

Mian Najjar Bhi Cheele Gye Sath Nihayat Taiz Hain Yourap Ke Rande The carpenter has also been pared The Europes planes are very sharp

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

3/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Takrar Thi Mazara-o-Malik Men Aik Roz Dono Ye Keh Rahe The, Mera Maal Hai Zameen One day a dispute arose between the farmer and the owner Each of them was saying that the land belonged to him

Kehta Tha Woh, Kare Jo Zaraat Ussi Ka Kahait Kehta Tha Ye Ke Aqal Thikane Teri Nahin The farmer said that the field belonged to the cultivator The owner said that the farmer had become demented

Pucha Zameen Se Main Ne Ke Hai Kis Ka Maal Tu Boli Mujhe To Hai Faqt Iss Baat Ka Yaqeen I asked the land as to whose property it was It replied that it was believing only this:

Malik Hai Ya Mazara-e-Shourida Haal Hai Jo Zair-e-Asman Hai, Woh Dharti Ka Maal Hai Whether it be the owner or the wretched farmer
iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829% 4/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Whatever is under the sky is property of the land

Sham Ki Sarhad Se Rukhsat Hai Woh Rind-e-Lam-Yazil Rakh Ke Maikhane Ke Sare Qaeede Balaye Taaq That eternal rind has departed from the border of Sham Shelving away all the rules and etiquette of the tavern

Ye Agar Sach Hai To Hai Kis Darja Ibrat Ka Maqam Rang Ek Pal Mein Badal Jata Hai Ye Neeli Riwaaq If so, how much is this the occasion for admonition The blue sky changes its colors in a moment

Hazrat-e-Karzon Ko Ab Fikr-e-Madawa Hai Zaroor Hukm Baradari Ke Maide Mein Hai Dard-e-La Yutaaq Cursor certainly would be concerned with remedial measures In the belly of obedience has started unequaled convulsion

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

5/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Wafad Hindustan Se Karte Hain Sir Agha Khan Talab Kya Ye Chooran Hai Pe-e-Hazm-e-Falasteen-o-Iraq Sir Agha Khan is demanding the delegation from India Is this the digestive for devouring Iraq and Palestine

Mehnat-o-Sarmaya Dunya Mein Saf Aara Ho Gye Dekhiye Hota Hai Kis Kis Ki Tamanaon Ka Khoon Capital and labor are in confrontation with each other Let us see how many peoples expectations are destroyed

Hikmat-o-Tadbeer Se Ye Fitna-e-Ashob Tal Nahin Sakta 'Wa Qad Quntum Bihi Tastaajiloon' With cleverness and prudence this mischief cannot be delayed Because Wa qad kuntum bihi tastajilun

Khul Gye Yajooj Majooj Ke Lashkar Tamam Chashme-e-Muslim Dekh Le Tafseer-e-Harf-e-Yansiloon Gog and Magog all have been released The Muslim eye will see the meaning of Yansilun

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

6/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Jaan Jaye Hath Se Jaye Na Sat Hai Yehi Ek Baat Har Mazhab Ka Tat Life may be lost but truth should not be lost This one principle is the core of all religions

Chatte Batte Aik Hi Thaili Ke Hain Sahu-Kari, Biswah Dari, Saltanat They are the birds of the same feather, Banking, land-lordship, monarchy

Ye Aaya-e-Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par Gita Mein Hai Quran To Quran Mein Geeta This new verse was revealed to me from the jail That the Quran is in the Gita and the Gita is in the Quran

Kya Khoob Huwi Aashti-e-Sheikh-o-Barhman Iss Jang Mein Akhir Na Ye Hara Na Woh Jeeta How well friendship developed between Sheikh and Brahmin In this battle after all neither this nor that was winning

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

7/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Mandar Se To Bezar Tha Pehle Hi Se Badri Masjid Se Nikalta Nahin, Ziddi Hai Masita Badri was already disgusted with the temple Masita does not step out of the mosque, he is stubborn.

Raat Machar Ne Keh Diya Mujh Se Majra Apni Na-Tamami Ka Last night the mosquito related to me The whole story of his failures

Mujh Ko Dete Hain Aik Boond Lahoo Sila Shab Bhar Ki Tashna Kaami Ka They give me only one drop of blood In return for the whole nights labor

Aur Ye Biswadar Be-Zehmat Pe Gya Sub Lahoo Asami Ka And this land owner without any effort Sucked all the blood of the cultivator

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

8/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Gaye Ek Roz Huwi Unth Se Yun Garm-e-Sukhan Nahin Ek Haal Pe Dunya Mein Kisi Shay Ko Qarar The cow one day started saying to the camel Nothing in the world rests in one condition

Main To Badnaam Huwi Tor Ke Rassi Apni Sunti Hun App Ne Bhi Tor Ke Rakh Di Hai Muhar I am ignominious by breaking my rope I hear you have also broken your nose string

Hind Mein App Tawazooye Siasat Hain Aham Rail Chalne Se Magar Dasht-e-Arab Mein Baikar Though you are important in India for political reasons But due to railway the Arabian desert finds no use for you

Kal Talak App Ko Tha Gaye Ki Mehfil Se Hazar Thi Latakte Huwe Honton Pe Sadaye Zanhaar Till yesterday you were avoiding the cows companionship The voice of never on your hanging lips was persistent

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

9/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Aaj Ye Kya Hai Ke Hum Par Hai Inayat Itni Na Taha Aaeena-e-Dil Mein Woh Deerina Ghubaar What is the matter that you are so favorable to me today That old displeasure does not exist in your heart today

Jab Ye Taqreer Suni Unth Ne, Sharma Ke Kaha Hai Tere Chahne Walon Mein Hamara Bhi Shumaar Hearing this speech the camel bashfully said I am also to be counted among your lovers

Rashak-e-Sad Ghamzada-e-Ushtar Hai Teri Aik Kulail Hum To Hain Aesi Kulailon Ke Purane Bimaar The envy of hundreds of camels ogle is your one frisk Since long I am the lover of such a frisk

Tere Hangamon Ki Taseer Ye Phaili Ban Mein Be-Zubanon Mein Bhi Paida Hai Mazaq-e-Guftar The effects of your tumults have spread in the forest such That speech has produced its taste even among the speechless

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

10/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Aik Hi Ban Mein Hai Muddat Se Basera Apna Gharche Kuch Paas Nahin, Chara Bhi Khate Hain Udhar I am living only in one desert since a long time As I have nothing I am fed on borrowed money

Go Safand-o-Shutar-o-Gao-o-Palang-o-Khar-e-Lang Aik Hi Rang Mein Rangeen Hon To Hai Apna Waqar If goat, camel, cow, leopard and the lame donkey All exist in the same condition we shall have prestige

Baghban Ho Sabaq Amoz Jo Yak Rangi Ka Hum-Zuban Ho Ke Rahain Kyun Na Tayoor-e-Gulzar If the gardener learns the lesson of uniformity Why should not the gardens birds live in harmony

De Wohi Jam Humain Bhi Ke Manasib Hai Yehi Tu Bhi Sarshaar Ho, Tere Rufaqa Bhi Sarshaar Give me also the same cup as only this appears proper You should be intoxicated, your companions should also be intoxicated

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

11/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

Dalaq-e-Hafiz Bacha Arzad Ba Maish Rangeen Kun Wanghash Mast-o-Kharab Azrah-e-Bazar Byar The patched garment of Hafiz is worthless, color him with wine Then bring him to the market, lost and intoxicated

Dekhiye Chalti Hai Mashriq Ki Tijarat Kab Tak Shisha-e-Deen Ke Ewz Jaam-o-Saboo Leta Hai Let us see how long this business of the East lasts People are buying cups and jars instead of dins goblets

Hai Madawaye Junoon Nashtar-e-Taleem-e-Jadeed Mera Sarjan Rag-e-Millat Se Lahoo Leta Hai The cure of Love is the new educations lancet My surgeon is drawing blood from the Millats vein

Farma Rahe The Shiekh Tareeq-e-Amal Pe Waaz Kuffar Hind Ke Hain Tijarat Mein Sakht Kosh

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

12/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

The Sheikh was giving a sermon on the mode of operation The infidels of India are very hard working in business

Mushriq Hain Woh Jo Rakhte Hain Mushriq Se Lain Dain Lekin Humari Qoum Hai Mehroom-e-Aqal-o-Hosh Polytheists are those having trade relations with polytheists But our nations people are lacking in intelligence and sense

Napaak Cheez Hoti Hai Kafir Ke Hath Ki Sun Le, Agar Hai Gosh Musalman Ka Haq Neewosh Unclean is the article touched by the infidel Should listen if Muslims ears are amenable to truth!

Ek Badah Kash Bhi Waaz Ki Mehfil Mein Tha Shareek Jis Ke Liye Nasihat-e-Waaiz Thi Baar-e-Gosh A drunkard was also present in the sermons assembly To whom such talks as those of the preacher were irksome

Kehne Laga Sitam Hai Ke Aese Quyood Ki Paband Ho Tijarat-e-Saman-e-Khurd-o-Nosh

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

13/14

1/31/13

Allama Iqbal Poetry : Bang-e-Dra ()

He said, It is atrocious that in such restrictions Are imprisoned the dealings in articles of eating and drink

Main Ne Kaha Ke App Ko Mushkil Nahin Koi Hindustan Mein Hain Kalmia Go Bhi Mai Farosh I said, There is no difficulty for you As in India Muslims also are liquor sellers!

iqbalurdu.blogspot.in/search/label/Bang-e-Dra %2829%

14/14

Vous aimerez peut-être aussi