Vous êtes sur la page 1sur 3

Janab G Singh-ji say eak Mokalma

Respected Dr Maqsood Hasni Ji


I applaud you to have positive views in context of Sufism and Sikhism but your
statement above in brown fonts is hard to swallow because Sufis are coming from
Islam and practicing it right way; however, Sikhism is not coming from any
existing religion, people try to link it with their religions but facts expressed
in Sri Guru Granth Sahib dispute that strongly.
Guru Nanak (Sahib)declares in Sidh gosht (one of his main Bani )that
he has searched for those persons who are truly into the Almighty guided by Guru,
religion is insignificant in his eyes. If ever he questions others, it is the
dishonesty and hypocrisy displayed by various religious and sectarian- views-
gurs.
So your calling Nanak (Sahib) House as a one of Sufi chain is a mistake. Sufis
were considered true Muslims and treated with extreme respect by Nanak
(Sahib)house.
Use of word “Baba” doesn’t prove any sufi-link because this word was commonly used
for those who were wise like in Sikh History, there was a wise Sikh called Baba
Budda and so on. Sufis practiced Holy Quran and give priority to the Almighty
instead of indulging in self satisfying urges, Sikhism doesn’t take anything from
Holy Quran particularly at all.
Isn’t it enough to have so much respect for each other as Sikhs and Sufis? Is it
necessary to convert each others in words?
Thanks for sharing your thoughts.
With regards
G Singh

G Singh Sahib,

Aap nay mairi morozaat par tovajo di, ghoor farmaya aur jawab say nawaza es ehsan
kay liay shukar'gozar hoon.

Mahajar alfaz jab kisi dusri zoban/walaet main dakhil hotay hain to wo apni asal
halat, haiat, surat maniviat ya estamal barqarar nahain rakh patay. Es ki waja
kalchar ki tabdili hai. Onhain ekhtayari zoban/walaet ki nahv, mazaj aur zarorat
ko paish-e-nazar rakhna hota hai. Agar wo ekhtayari zoban/walaet kay asoloon,
zabtoon aur fikri zaroratoon ka khayaal nahain kartay to onhain ekhtayari
zoban/walaet main lambi umer mayassar nahain aati. Onhain bahar'surat ehtayari
zoban/walaet ki ongli pakarna hi parti hai aur yah oon ki fitri zarorat, majbori
aur kamzori hoti hai.

Peer
Farsi say bar-e-sagher ki zobanoon main dakhal howa. Yahaan aa kar es ki maniviat
yaksar tabdeel ho kar reh gae. Hamaray haan yah lafz batoor "Rohani Shakas"
estamal hota hai. Maslan Peer Abdul Qadir Jilani (RA)
Peer Mehar Ali Shah (RA)
Peer Khushi Mohamad waghera waghera.

Darvaish
dar aur vaish say marakab hai. Yah lafz bhi apni assal maniviat say bohat door ho
giya hai.

Bazurg
bhi Farsi say bar-e-sagher ki zobanoon main warad howa hai. Es kay assal maeni
borah (old) kay hain likin yah lafz Oliya Karam kay liay estamal hota hai.

Faqeer
Arbi say aaya hai. Yah doo maenoon main mustamal hai:
1- Sahib-e-faqar, jo taqva ekhtayar karta hai.
2- Bhik mangnay wala goya yah lafz phakeer kay liay estamal hota hai.
maktobi shakal Arbi wali rehti hai.

Mint'maar
ko koe Angraiz angraizi ka lafz kabi aur kisi halat main nahain manay ga.

Baba

Arbi kay lafz zaeef kay motradaf hai. Moqami ho giya hai aur kae maenoon main
estamal hota hai:
taya, dada nana waghera reshtoon kay liay estamal hota hai.
Borhay (old man) kay liay bola jata hai

Syed family kay her mard kha woh abhi paida howa ho, kay liay bhi boltay hain.
Baba batoor reshta estamal hota hai. Maslan Baba jani halan'kah walid sahib 22
saal say ziyada umar kay nahain hotay
Batoor sabqa ya lahqa ehtaraman bolnay main aata hai' Maslan Baba Bulle Shah, Baba
Fareed, Rehman Baba waghera waghera

Koe nazriya, Fakri nazam ya Mazhab jo insan ki taqseem karkay fasaad aur jhagray
ka darwaza nahain kholta aur jo kholta hai nafrat ka nishana banta hai. Yah thos
aur atal haqiqat hai kah insan, insan ka aur inan ki kidmat aur kaam aanay kay
liay hai. Her kisi kay dukh sokh ka sathi hai. Taqseem say, aamar aur estabdai
qovatain estakam paarti hain aur manfi halqoon ko panpanay ka moqa milta hai.
Shitan ki ban aati hai. Insan ki taqseem aur tafreeq say estabdadi qovatain
wasael, zehan, aur mehnat par qabaz ho jati hain. Yahaan tak kah wo insani danish
ko bhi mati bana laiti hain. Es tara estahsal kay darwazay khol jatay hain.

Tasavaaf aur es say motalaq logoon kay motalaq kae nazreay miltay hain:

1- Tasavaaf ko Islam nahain samjha jata aur es say motalaq motzaad


nazriay mojood hain.

2- Yah log naam kay mosalman hain likin Islami Shara say door hain.

3- Yah rohaniat say motalaq log hain.

4- Nammay log yah field ekhtayar kartay hain aur bai'amli paida kartay hain.

5- waghera waghera

Bahar'toor jo bhi sahi in kay liay unhaad ehtaram aur mohabat mojood rahi hai.

Sufiya kay nazdeek:


Bari zaat seraf Allah/God/Bhagwan/Ehvar/oom ki hai.
Insanoon main rawa'dari aur bhai charay ki fiza paida honi chahay.
Insanoon main mohabat kay jazbaat ko parwan charna chaheay.
Ejaz aur inksar sufi'ism ka imtiyazi wasaf hai. Sufi khud ko namana hi samjhta
hai. Mashaekh, ilm/aaghi ki dolat say mala mal hotay hain es kay ba'vajood ejz oon
ka khasa rehta hai.
Dast-e-sawal daraz karna oon kay mazhab main nahain hota.
Jo hasal karta hai logoon main taqseem kar daita hai.
Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat takabar say door bhagtay hain.
Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat ko ilm hota hai kah takabar rooh ko kha jata hai.
Ab Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat aur Alim ka diyanat'dati say moazna kar lain woh to
apnay seva kisi aur ko salamti wala/sachay mazhab par samjhta hi nahain. Her gher
kay liay kafar ka fatwa/parwana os ki ghutli main mojood rehta hai.

Moqadas Guru Garanth Sahib mairay samnay pari hai. Mujhy es main say seraf eak
lafz nikal kar dikha dain jo:
Takabar ki hosla'afzae karta ho.
Mohabat aur bhai charay say door lay jata ho.
Khoon kharabay ki dawat daita ho.
Insan ko Insan say door kar dainay par aamada karta ho
Daan aur kirpa ko mukhsus karta ho.

Aap ka moaqaf hai: "Sikhism doesn’t take anything from Holy Quran"*
Aap ka yah bhi kehna hai:"Sufis were considered true Muslims-----"
Yah bhi aap hi ka kehna hai: "Sufis ---- treated with extreme respect by Nanak
(Sahib)house."
Ghoor farma lain aap kiya keh rahay hain. Sri Guru Garanth Sahib main Kitnay
Mashaikh ka kalaam shamil hai, aap khud hi farma dain to acha hai.

Hazrat Guru Nanak Sahib (RA)ki aakhri rasomaat par tanaza khara howa. Es say kis
amar ki nishan'Dahi hoti hai?!

Hazrat Guru Nanak Sahib (RA) mairi aur aap ki soch say kahein baray thay. woh sab
kay aur sab kay liay thay.

Khuda kay liay Hazrat Guru Nanak Sahib ko mahdood na karain. Oon say jo mohabat
karta hai ya onhain izzat aur ehtaram ki nazar say daikhta hai ya woh jin say
mohabat kartay, woh sab apis main mota'aq hain. Jo bhi hawala mojood hai, insan
qareeb to aata hai. Insan ko aaj eak dusray kay qareeb aanay ki zarorat hai. Guru
Garanth Sahib, Kalaam Baba fareed, Kalaam Shah Hussain, Kulyaat-e-Bulle Shah ka
taqaza yahhi hai kah insan tamam tafreqaat say bala ho kar, dusray insan kay
qareeb aa'ay. Insan ki taqseem kay darwazay band karnay ki sae ki jani chahiay.

Insani taqseem kay sabab aamar qowatoon ko shakti mil rahi hai jo aaj aur aatay
kal kay liay khatar'nak haqiqat hai. Jahan kahein koe sanjh milti hai, os kay
hawala say insan ko qareeb lanay ki koshesh honi chahiay. Hazrat Alama Shah Sufi
Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib eak gher motnaza shaksiat kay hamil hain, oon kay
hawala say dorioon ko mitaya ja sakta hai aur mitaya jana chaheay.
----------------------
* es par baad main tafsili baat ho gi

Vous aimerez peut-être aussi