Vous êtes sur la page 1sur 2

Mei nok-e-sina Jab Khatima ba qaid huwa foje shah ka Kausar pe qaafila gaya pyaasi sipaah ka Ghar luta

gaya janaab-e-risaalat panaah ka Khaak urh rahi thi haal ka ye baargaah ka Haaye maqtal mein aayi Fatima Zehra barehna sar Chillayi Zere tegh hai baba mera jigar Areh unnis saw hein zakhm tan-e-Chak chak par Areh Zainab nikal Hussain tarapta hai khaak par Haayi Pohonchi behan jo bhai ke maqtal mein nawhaghar Dekha sar-e-hussain he neze ki nok par Are Sadqe gayi luta gaye ghar wadagah mein Haaye junbish labon ko he abhi zikre Ilaah mein (Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura) x2 Mein noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (Nana dekho nawaasa kahaan aagaya) x2 Meine karbobala ko mu'allah kiya Khoon mera aaj khaak-e-shifa ban gaya Meine bachpan ka waada wafa kardiya Mera waada huwa pura Mera ghar mere bachhe meri zindagi aap ke deen pe sab meine qurbaan ki Mere maathe pe woh tha do ab aakhri Bar sare noke neza sawaari chali Mera waada huwa pura Deeno qura(n) bache tera kaaba bacha Ta qayamat rahegi azaan ki sada Madressa bangayi aaj se karbala Haaye nana magar mera ghar na raha Mera waada huwa pura Chakkiyan peesne waali maa ki qasam Meri aaghosh mein tora akbar ne dam Kaise laashe jawaan laaya suwe haram Apne wade pe kehta raha gham pe gham Mera waada huwa pura Kitne laashe uthaaye hein ik roz mein Kitne aansun bahaaye hein ik roz mein Sekro(n) teer khaaye hein ik roz mein Saare wade nibhaaye hein ik roz mein Mera waada huwa pura Bhai bat-tees barson se jo saath tha Meine waada nibhaane mein woh khodiya Khaagayi uske shaano(n) ko ye alqama Woh gaya aur darde kamar degaya Mera waada huwa pura Mere Aise Apne Uski Mera nana ye dulha ye kamsin jawaan ronda gaya dasht mein al amaan bete ko pehchan paayi na maan dulhan ne khud tordi churiyaan waada huwa pura

Haan woh Asghar jo Sughra ki thi zindagi Jis ki khaatir woh bimaar bachhi meri Chhote chhote se kurte jo seeti rahi Uska khun apne chehre pe malke abhi Mera waada huwa pura Mere nana Sakina ka gham dekhiye Umr itni si itne sitam dekhiye Jalti reti pe uske qadam dekhiye Kitne majboor hein aaj hum dekhiye Mera waada huwa pura Shaam "Rehan-o-Sarwar" jo dhalne lagi Sar se Shabbir ke ye saada aati thi Ay behen ab yahaan se qayaadat teri Mere wade ki khaatir zuroori huwi Mera waada huwa pura Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puri Mei noke sina par hun

Vous aimerez peut-être aussi