Vous êtes sur la page 1sur 2

RAMAZAAN UL MUBARAK

ROZAH AUR ZAKAAT KAY BAAZ ZAROORI AHKAAM



COMPILED BY:
SHAYKH HAFIZ MUHAMMAD ISHAAQ
ROZAY KI NIYYAT : niyyat kehtay hain dil say qasd o iraaday ko, khwaa zabaan say kuch kahay ya na
kahay, rozay kay liye niyyat shart hai, agar rozay ka iraadah na kiya aur tamaam din kuch khaaya ya piya
bhi nahi to rozah na hoga, Ramazaan kay rozay ki niyyat raat say kar lena behtar hai, raat mein agar
niyyat na ki hoto zawaal say 1 ghanta pehlay tak din mein niyyat kar sakta hai ba-shart hai kay kuch
khaya ya piya na ho.


WOH CHEEZEIN JIN SAY ROZAH TOOT JAATA HAI :
1. Kaan aur naak mein dawa daalna
2. Qasdan apnay ikhtiyaar say muuh bhar kar qhai (vomiting) karna
3. Kulli kartay waqt halaq mein paani chala jaana
4. Aurat ya kisi mard ko chhunay waghairah say inzaal hojaana
5. Koi aisi cheez nigal jaana jo aadatan khaayi nahi jaati jaisay lakdi (wood), loha (iron) aur
kachchay gehon (wheat) ka dana waghairah
6. Lobhaan ya oodh waghairah ka dhunwa (smoke) qasdan naak ya halaq mein pahonchana,
beedi cigarette ya huqqah peena
7. Bhool kar kha-pee liya, yaad aanay par yeh khiyaal kiya kay ab to rozah jaata raha phir qasdan
kha-pee liya.
8. Raat ko samajh kar subah saadiq kay baad sehri khali
9. Din baaqi tha magar ghalti say yeh samajhkar kay aaftaab ghuroob hogaya hai, iftaar karliya, in
sab cheezon say rozah toot jaata hai magar sirf qaza waajib hoti hai kaffaarah ada karna laazim
nahi.
10. Albatta jaanboojh kar biwi say suhbat karnay ya khanay-peenay say rozah toot jaata hai aur is
soorat mein qaza bhi laazim aati hai aur kaffaarah bhi, kaffaarah yeh hai kay 60 rozay
mutawatir (continuous/without gap) rakkhay beech mein nagha hogaya to phir shuru say 60
rozay pooray karnay padengay, aur agar rozah ki taaqat nahi to phir 60 miskeeno ko dono
waqt (two times) pait bhar kar khaana khiladay.
WOH CHEEZEIN JIN SAY ROZAH NAHI TOOT-TA MAGAR MAKROOH HO JAATA HAI :
1. Bila zaroorat kay kisi cheez ko chabana ya namak waghairah chakh kar thook dena, tooth-paste
ya manjan ya koilay say daant saaf karna, in sab sooraton mein rozah makrooh hojaata hai.
2. Tamaamdin haalat e janabat mein (baghair gusul kiye) rehna.
3. Fisd karaana ya kisi mareez kay liye apna khoon dena.
4. Gheebat yaani kisi ki ghair maujoodgi mein buraayi karna, jo har haal mein haraamhai, rozay
mein uska gunaah aur badh jaata hai.
5. Rozay mein ladna jhakadna, gaali-dena, khwaa insaan ko dijaaye ya kisi bhi jaanwar ko ya be-
jaan ko, in sab cheezon say rozah makrooh hojaata hai.
WOH CHEEZEIN JIN SAY ROZAH NA TOOT-TA HAI AUR NAMAKROOH HOTA HAI :
1. Miswaak karna
2. Sar ya moochon mein tail (oil) lagaana
3. Aankhon mein dawa ya surmah daalna
4. Khushboo sunghna
5. Kisi qisam ka injection lagwaana
6. Garmi ya shiddat e piyaas ki wajah say gusul karna
7. Halaq mein bila ikhtiyaar dhunwa ya gard ka chala jaana
8. Kaan mein paani bila iraadah chala jaana
9. Khud-ba-khud qhai aajaana
10. Sootay huay ahtelaam(gusul ki haajat) hojaana
11. Agar khuwaab mein ya suhbat karnay say gusul ki zaroorat pesh aagayi aur subah saadiq honay
say pehlay gusul na kiya aur usi haalat mein rozay ki niyyat karli to rozay mein koi khalal waqeh
nahi hoga

ZAKAAT KAY CHAND ZAROORI MASAAIL

ZAROORIYAAT E ZINDAGI :
Jaisay rehna ka makaan, istemaal kay kapaday, bartan, sawaariyaan (car-scooter waghairah) par zakaat
waajib nahi.
ZAROORIYAAT E ZINDAGI KAY ALAAWAH :

Agar kisi kay paas 7 tola (87 gram 480 miligram) sona (gold) ya 52 tola (612 gram 360 miligram)
chandi ya 52 tola chandi ki qeemat kay barabar naqad paisay ya samaan e tijarat ho to is par zakaat
waajib hogi.

Agar kisi kay paas sona ya chandi, naqad ya maal e tijarat kam miqdaar mein ho (yaani in mein say kisi
ka nisaab poora na ho) lekin in mein say koi 2 cheezein bhi itni miqdaar mein ho kay unko milaanay say
chandi kay nisaab ki qeemat kay barabar hojaaye to us par bhi zakaat waajib hogi.

Agar kisi nay qarz liya ho to qarz ada karnay kay baad agar nisaab kay baqadar maal hoto zakaat waajib
hogi warna nahi.

Taweel muddati tijarati, sanati qarza-jaat (long-term industrial loans) ka hukumalag hai. Tafseel kay liye
dekhiye (kitaab) Aap zakaat kaise ada karay ? Az : (Mufti Taqi Usmaani Sahab)

ZAKAAT KI TAREEKH :

Chaand kay maheenay ki jis tareekh ko aadmi sahib e nisaab bana hai aglay saal usi tareekh ko apnay
saaray maal ka hisaab karkay zakaat nikaalna hoga.

Agar kisi ko woh tareekh yaad na ho to ab koi chaand ki tareekh mutaiyin (fix) karkay aaendah usi
tareekh ko hisaab karkay zakaat ada karay aur ahtiyaatan kuch ziyaadah ada karay.

MAAL KAY HAR HISSAY PAR SAAL KA GUZARNA ZAROORI NAHI :

Jaisay kisi kay hisaab ki tareekh 1
st
Ramazaan ho aur woh saal bhar sahib e nisaab raha aur 1
st
Ramazaan
say ek din pehlay bhi agar uskay paas mazeed maal sona, chandi, naqad ya maal e tijarat aaya ho to uski
bhi zakaat dena hoga agarchay uspar ek hi din guzra ho.

Usi tarah nisaab kay upar jo maal hai sirf uski nahi kul maal (saara maal) ki zakaat dena hoga. Jaisay : kisi
kay paas 10 tola sona hoto 7 kay upar waalay 2 tola ki nahi balkay kul 10 tolay ki zakaat dena hoga.

ZAKAAT KI MIQDAAR :

2 feesad (percent) kay hisaab say zakaat ada kijiye. Maslan Rs. 100 rupiye mein Rs. 2.50 (dhaayi)
rupiye, Rs. 1000 rupiye mein Rs. 25 rupiye, ek lakh mein Rs. 2500 rupiye.

MASARIF E ZAKAAT :

Fuqraa (jin kay paas nisaab kay baqadar maal na ho)

Masakeen (jo kisi bhi maal kay maalik na ho) zakaat kay mustahiq hain inko zakaat maalikana ikhtiyaar
kay saath dena chaahiye aur apnay qareebi rishtedaar, padosiyon, ahle taalluq mein jo mustahiqqeen
ho unki khud fikr kar kay un tak zakaat achchay andaaz mein pahonchana chaahiye usi tarah jin deeni
idaaron mein zakaat ka masraf ho aur qaabil e aitemaad ho zakaat ada ki jaa sakti hai, usmein
mustahiqqeen ki madad aur ishaat e ilm e deen ki wajah say dohra (double) ajar hai.

RAMAZAAN KI KHAAS DUAAEN :
DUA E IFTAAR : allaahum-ma laka sumtu wa alaa riz-qika af-tartu
IFTAAR KAY BAAD KI DUA : zaha-baz zama-u wab tal latil urooqu wa sa-batal ajru in-shaa allaah
KISI DOOSRAY KAY YAHAAN IFTAAR KARNAY PAR DUA : af-tara inda-kumus saa-e-moona wa a-kala
taaa makumul abraaru wa sal lat alaikumul malaa-e-kah
SHAB E QADAR KI KHAAS DUA : allaahum-ma in-naka afu-wun tuhib-bul afwa fafu an-nee
RAMAZAAN KA KHAAS ZIKR : Laa e laaha illal laahu astagh firul laah.
As alukal jan-nata wa aoozu-bika minan-naar
EED KI RAAT IBADAT KI FAZEELAT : farmaaya Rasoolullaah (SAWS) nay jo shakhs dono eed ki raaton ko
jaag kar ibadat ka ahtemaamkaray uska dil us roz murdah na hoga jis roz sab kay dil murdah hongay.
MASNOONAAT E EED UL FITR (EED KAY DIN KI SUNNATEIN)

1. subah ko bahot saweray utthay
2. sharah kay mutabiq apni araish karna
3. gusul karna
4. miswaak karna
5. umdah say umdah kapday jo paas moujood ho pahenna
6. khusboo lagaana
7. eed gaah jaanay say pahlay koi shireen (meethi) cheez khana
8. eed gaah mein bahot saweray jaana
9. eed gaah jaanay say pahlay sadqay fitr day dena
10. eed ki namaz eed gaah jaakar padhna yani shaher ki masjid mein bila uzur (excuse) na padhna
11. jis raastay say jaaye us kay siwa doosaray raastay say waapis aana
12. paidal jaana
13. aur raastay mein ( allaahu akbar allaahu akbar laa e laaha illal laahu wal laahu akbar allaahu
akbar wa lil laahil hamd ) aahista aahista awaaz say padhtay huay jaana chahiye
(az : Tuhfatul abraar)

AMAAL E JUMAH
(murattib : Hazrat Muhi yus Sunnah Maulana Shah Abraar ul Haq sahab Noorullaah Marqadahoo)

Yaani jumah kay woh amaal jin ki hadees e paak mein khaas fazeelat aayi hai aur in par amal karnay say
har-har qadampar ek saal nafil namaaz aur ek saal nafil rozay ka sawaab milta hai.
(riwayat kiya isko Imaam Tirmizee Rh./Imaam Aboo Dawood Rh./ Imaam Nisai Rh./ Imaam Ibn
Maajah Rh. nay )
Mullah Ali Qaari Rh. nay Sharh e Mishkaat mein baaz Aimmah e hadees say naqal
kiya hai kay ahadees e saheehyah mein itni ziyaadah fazeelat kisi aur amal mein nahi aayi hai, woh 6
amal hain :

1. Gusul karna
2. Masjid jaldi jaana
3. Paidal jaana
4. Imaamkay qareeb baithnay ki koshish karna
5. Koi laghoo kaam na karna
6. Khutbah ghaur say sunna

In kay alaawah aur bhi chand amaal hai jin ka jumah kay din khaas ahtemaamkarna chahiye

1. Sooray Kahaf ki tilawat ( para no. 15 , total ayats -110 )
2. Durood e shareef ki kasrat, kam say kam 300 baar
3. Salaat tul tasbeeh (ki nafil namaaz) padhna
4. Dono khutbo kay darmiyaan jab imaammimbar par baithay to dil hi dil mein dua karein
5. Ghuruub e aaftaab (maghrib) say pehlay dua karna kay us waqt dua qubool hoti hai

MASLAH : hukum yeh hai kay khutbah kay dauraan kisi qisam ka zikr, tilawat, tasbeeh durust nahi
khutbah ghaur say sunna waajib hai dauraan e khutbah khateeb ki dua par ameen bhi baghair haath
uthaaye dil hi dil mein kahay aur jab Rasoolullaah (SAWS) ka naam aaye to durood e shareef dil hi dil
mein padhay. Agar kisi ko kuch roak-toak karna ho to sar aur haath kay ishaaray say kar saktay hain,
zubaan say nahi, albatta khateeb ko ijaazat hai. (Durr e Mukhtaar o Shaami : Volume 2, Page : 158-159)

RAMAZAAN UL MUBARAK INFO & CHECKLIST

maah e ramazaan hijri calendar ka 9
th
(nawwa) maheenah hai
maah e ramazaan mein hi ghazway badar ka tareeqi waaqiah pesh aaya tha
ramazaan ka chaand dekhay to yeh dua padhay : Allaahum-ma a-hil lahoo alai-naa bil yumni wal ee-
maani was salaa-mati wal islaami wat taufee-qi limaa tu-hib-bu wa tarzaa rab-bee wa rab-bu kal laah
maah e ramazaan ka pehla ashrah rahmat, doosra ashrah maghfirat aur aakhiri ashrah jahannum say
khulasi ka hota hai
maah e ramazaan mein ibadat ka sawaab : 1 farz = 70 farz kay barabar aur 1 nafl = 1 farz kay barabar,
ramazaan ka har har second qeemti hai lihaza usko zayah honay say bachayen. Is kay liye hum ramazaan
kay maheenay ka ek time table banaaye kay subah saher say raat tak hum kis waqt mein kya karein ? issay
ibadat mein asaani aur waqt idhar-udhar (cell phone, shopping, fb, etc.) zayah honay say bach jaata hai
maah e ramazaan kay rozay farz hain, khush dili aur ibadat ki niyyat say rozah rakhkhen, rozah rakhnay say
hamaray andar taqwa paida hota hai aur raat mein taraweeh (ki namaaz) ka ahtemaamkarein
maah e ramaaz mein quraan e majeed nazil hua, isliye is maheenay mein khoob quraan ki tilawat kijiye aur
jin hazraat ko quraan dekh kar padhna nahi aata woh ab hi say seekhnay ki fikr karein
maah e ramazaan mein shab e qadr ki raat ki ibadat hazaar maheeno ki ibadat ka sawaab hai, isliye aakhiri
dus dino ki taaq raaton mein uski talaash karein
maah e ramazaan mein kisi roze-daar ko iftaar karanay par roze-daar kay barabar sawaab milta hai (iftaar
karanay walay ko) aur iftaar party mein israaf aur rizq kay zayah honay say parhaiz karein. Aur jo hazraat
masajid mein iftaar kartay hain to us mein masjid ki safaayi ka khaas khiyaal rakkhen.
maah e ramaaz mein khaas kar har namaaz ba-jamaat ada karein (sunnaton aur nawafil kay saath ) aur
sehri mein kuch jaldi uthkar tahajjud ki namaaz ka ahtemaam zaroor karein aur degar nafil namaazon ka
bhi ahtemaamkarein (jaisay : ishraaq, chaast,tahiyatul masjid, waghairah)
khoob taubah, zikr (tasbeeh) aur dua ko kasrat say karein aur dua mein khaas jannat ki talab aur jahannam
say panaah maangay
maah e ramazaan mein khaas aur har maheenay mein aam : apni aankh, kaan, zabaan, dil, dimaagh,
tamaam azaa, maal aur waqt ki har gunaah say hifazat karein
maah e ramazaan kay aakhiri ashray mein aitekaaf jaisi azeem ibadat hoti hai, aitekaaf karnay wala
gunaahon say bacha rehta hai aur uskay liye tamaam neakiyaan karnay walay banday ki tarah sawaab likha
jaata hai
eed ki namaaz eed gaah mein ada karein aur eed kay din ki sunnaton ka ahtemaam zaroor karein (jo upar
di gayi hain) usmein bahot bada sawaab hai
eed ki namaaz say pehlay sadqay fitr zaroor ada karein
eed ul fitr - 1
st
shawwaal ul mukarram (kay maheenay) ko manaayi jaati hai
ramazaan kay farz rozon kay saath saath shawwaal kay 6 rozon ka bhi ahtemaam karein kay us mein saal
bhar rozay rakhnay ka sawaab hai
maah e ramazaan ki ziyaadah tafsilaat kay liye padhiye kitaab Tohfay Ramazaan Mufti Salmaan
Mansoorpuri Sahab
PUBLISHED & PRINTED BY:
MAKTABAH TALEEM E BAALIGHAAN
(Established: 2004)
Viqar Nagar, Cellar Oxford High School, Begumpet Old Airport, Sec-bad-03.
Rector : Shaykh Hafiz Muhammad Ishaaq (Khateeb Masjid e Arqam) Ph : 98854 79221
Principal: Hafiz Abdul Hafeez (ImaamMasjid e Arqam) Ph : 99666 63017
Evening maktab for school/college going students & working people for learning:
1. Nazirah Quraan 2.Noorani Qaaedah with Tajweed rules
3. Deeniyaat 4. Urdu

Vous aimerez peut-être aussi