Vous êtes sur la page 1sur 3

Dimag Tez Kaise Kare 5 Gharelu Nuskhe Aur Tarike Hindi

Mein
kyakyukaise.com /dimag-tez-kaise-kare-gharelu-upay-aur-tarike-hindi-mein/
By Govind
Dimag Tez Kaise Kare: Aaj ke yug mein hamari lifestyle, khan paan aur rahan sahan ke sath hamari vichardhara
bhi badal rahi hai. Chahe chote bacho ka class room ho ya bade logo ki naukri har jagah competition hai, aur koi bhi
piche nahi rehna chahta, har koi ek dusre se aage nikalne ki koshish mein pryaas karta hai aur sachayi ye hai ki sirf
sochne se kuch nahi hota mehnat se hi saflta milti hai aur agar mehnat sahi tarike se sahi disha mein ki jaye to
success milna sawbhavik hai.
Dosto class room mein sabhi bacho ko ek hi teacher padhata hai fir bhi kuch hi bache aese hote hai jo sharp aur
active hote hai aur umeed se behtar result late hai, thik isi parkar se job mein sabhi employees ko kaam karne ke
liye ek jesa mahol milta hai fir bhi kuch hi log aese hote hai jo extra ordinary perform karte hai, abhi aap soch rahe
honge ki jab sab kuch ek jesa hi milta hai to koi dusra aap se behtar kese perform kar pata hai. Dosto farak hai soch
ka, yaddasht (memory) ka, kisi bhi kaam ke liye aapke attitude ka aur dimag (mind) par control ka. Jo log acha
result late hai unka dimag dusro se tej hota hai aur unka najariya bhi alag hota hai.
Jis vyakti mein ye sabhi gun ho uska self confidence bhi adhik hota hai jisse vo mushkil kaam ko bhi aasani se kar
paate hai. Aaj is lekh mein hum dimag tez karne ke gharelu aur ayurvedic nuskhe janege jisse aap bhi
average se behter ban sakte hai.
Jane Yaddasht Badhane ke Natural Upay

Dimag Tez Kaise Kare : Brain Boost


Tips in Hindi
Dimag Tej Karne ke Gharelu aur
Ayurvedic Nuskhe

Jadatar log brain power badhane ki medicine lene


ki sochte hai, par agar hum ghar par hi kuch
nuskhe sahi tarike se kare to kisi parkar ki
medicine liye bina bhi apna aur chote bacho ko
mind active aur sharp bana sakte hai, in gharelu
upayo ko karne se mansik tanav (tension) bhi kam hoti hai.

1. Haldi Powder
Haldi ka paryog har ghar mein hota hai, isme mein curcumin naam ka rasayan hota hai jo na kewal cancer jesi
bimari ke ilaj mein kargar hai balki brain ko bhi healthy aur active rakhta hai. Haldi dimag ki mari hui aur inactive
koshikao ko active karne mein kaafi helpful hai.

1/3

2. Brahmi aur Kesar


Brahmi dimag tej kearne ki utam ayurvedic ashhudhiyo mein se hai, har roj iske sevan se memory boost hoti hai.
Aadha chammach brahmi ko 1 chammach gungune paani mein mila kar pine se dimag ki shamta badhti hai aur
dimag tez hota hai, chote bacho ka mind sharp karne ke liye ye upay utam hai.
Kesar ka paryog depression, tension, jada gussa aana aur neend na aana jesi samasyao ko door karne mein hota
hai. Ye sab pareshaniya dimag ko kamjor karti hai aur jab aap in sab samasyao se door jaoge tab aapka mind relax
ho jata hai aur memory badhti hai.
Jane Gussa Kam Karne ke Upay
Jane Depression ka ilaj Kese Kare

3. Daalchini Powder aur Tulsi


Vese to daalchini hamari kitchen mein paryog hone wala ek masala hi hai par ye ek ayurveda aushdhi bhi hai. Raat
ko sone se kuch der pahle 1 chutki dalchini powder ko shahad mein mila kar sevan karne se mansik tanav kam hota
hai aur dimag tez hota hai.
Tulsi mein antioxidant aur antibiotic gun hote hai jo dil aur dimag mein blood ka circulation acha karte hai.

4. Shankh Pushpi
Shankhpushpi dimag ki shakti badhane ki achi jadi buti hai. Rojana 1 cup gungune paani mein chammach shankh
pushpi mila kar lene se dimag mein blood circulation sahi rehta hai jisse brain ki capacity badhti hai.

5. Jatamansi (Spikenard)
Jatamansi ayurveda ki utam dawa hai jisme anek parkar ke aushdiya gun hote hai jo anek bimariyo ke upchar mein
paryog hoti hai. Iske ilava dimag tej karne aur dimag ki kaary shamta badhane mein ye ramban ilaj ka kaam karti
hai. 1 cum gunguna doodh le aur usme 1 chammach jatamansi ko ache se mix kar ke piye. Din mein 2 baar is upay
ko kare, dimag tez hone ke sath aapki yaddasht bhi badhegi.

Upar likhi hui kuch home remedies to hamari rasoi mein maujood hoti hai, aur kuch aap ko Baba
Ramdev patanjali ya pansari ki shop se mil sakti hai.

Hum sabhi chahhte hai ki hamare bache study mein aur sports jesi activities mein behtar perfom kare aur agar aap
school, college mein padhte hai ya fir kisi job ke liye exam ki tyaari kar rhe hai aur aapko kisi bhi answer ko yaad
rakhne mein mushkil hoti hai to yha bataye hue memory boost karne ke tips aapko lessons yaad rakhne mein
madad kar sakte hai. Inke ilava yoga, exercises aur healthy food bhi aap ko fit aur active rahne mein madad
karenge.

2/3

Dosto Dimag Tez Kaise Kare, Brain Boost Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye
aur agar aapke pass memory tej karne ke gharelu upay aur desi nuskhe hai to hamare sath share kare.

3/3

Vous aimerez peut-être aussi