Vous êtes sur la page 1sur 3

janab e sadar

kuch din pehlay numl main taqreeri muqabla munaqqid hona tha
to main numl k cordinator ko fone kia k zara muje taqreer k muzoaat bata dijiay
uno nay kaha abi batae daitay hain
pehla dunya main thikhanay do hi too hain
dosra aur manzar badal gya
teesra ye apnay bas ki baat nahi
aur aakhri ab tera kia hoga kaalia.....
janab e sadr main nay bhi musammam irada kar lia k main isi muzoo par taqreer
karon ga
kyn k ye dard main hi mehsoos kar sakta hn
janab e wala kala honay k do bht baray faiday hain
pehla faida

kala dunya ka wo wahid rang hai jo har rang pay char jata hai

aur dosra faida


k suraj doobnay k baad aap muje nai dekh saktay.......sirf
mahsoos kar saktay hain
sadr e zi waqar meri aaj ki taqreer us din k naam k jis main paida hua
meri aaj ki taqreer us hasina k naam jo kal bhi zinda thi aur aaj bhi zinda hai
meri aaj ki taqreer islamabad ki un khubsurat larkiyon k naam jo yahan pay pai hi
nai jatin
meri aaj ki taqreer is function ki management k naam jinhon nay farewell k sath
sath walimay ka bhi touch dia hai
janab e wal to baat shuru karta hn apni paidaish say..... 30 august 1989
amawas ki raat thi.....har taraf ghup andhera tha....bijli maamool k mutabiq ghair
hazir
kaalay coat walay aglay roz yom e siyaah mananay ka irada rakhtay thay
ganga raam hapatal main sannata chaya hua tha....mareez ghoray baich kar so
rahay thay
k achanak zacha o bacha khanay main khamoshi nay dam tora

oyaaaaen

aur pora haspatal astagfirullah astagfirullah k cheekhon say gonjh utha


bachay maaon k seenon say lipat gae
nafsa nafsi ka aalam tha.....na baap ko baitay ki fikar.....na bahi ko behan ki fikar
sadar sahib wahan koi bamb nai phata,,,,,,koi khudkush hamla awar nai ghusa

ye haseen o jameel nojawan paida huwa


janab e wala mere walid e muhtaram pay ye baat bht nagawar guzri aur wo
harbara k operation theatre ki janib niklay
k wahan say ayat ul qursi parhtay huay nurse bahir nikli aur boli bhai jan banda kala
hota hai
banda shadeed kala hota hai...banda toot kala hota hai par ye kia hota hai
sadar sahb yehi nai mufakaer e islam tahir ul qadri sahab nay awam say sadqa o
khirat ki apeel ki k qaomon pay aisi balain aati rehti hai
aur hukoomat pakistan nay aglay roz yom e siya nai balkay yom e kaala siyaa
mananay ka elaan kar dala
janab e wala aap ko to pata hai na k kaalon k sath bachpan hi say ziyadti hoti hai
ab aap ishtiharat ko hi dekh lain
pampers k ishtihar main hamesha gora bachi hi kyn aata hai
cerelac hamesha goray bachay hi kyn khatay hain
nido hamesha goray bachon ko hi kyn chahiay
kia hum kalon ko araam deh neend ka haq nai ponchta
kya hamain cerelac kha kar ultian aati hain
ya kia hum nido hazam nai kar saktay janab e wala..
sadar e zi waqar muje bachpan hi say tv par kaam karnay ka bht shoq tha
magar main jab tv par kaam karnay gia to muje inkishaf hua k tv ka size kafi chota
aur mera siz bht bara tha
chnachay main nay cinema screen ka rukh kia
han muje aaj bhi yad hai wo din 30 aktober ka din
na taaron nay dobnay say inkar kia na suraj nay tuloo honay say
chiryan chehchaha rahi thin kawway bait ul khala say ho aay thay
aur main ghar say nikla janab e wala main poncha aur mera audition lia gia
aik camera idhar aik camera udhar
na janay kitnay kilo electron volt mere nazuk say chehray par maray gae aur main
select hogia
janab e wal muje to baad main inkishaf hua k wo koi film nai balkay fair nd lovely ka
ishtihar tha
aur han janab e wala jab wo ishtihar tv pay chala to meri tasveer k sath ye asghar
sahb k sath jo bhaiti hain un ki tasveer thi

aur upar likha tha istemal say pehlay aur istemal k bad
janab e wala mera kia hoga, mere rang k sath mera muqaddar bhi kaal hai
filmon say thokar khanay k bad main nay parchoon ki dukan kholi
aik shaks aya muje kehnay laga k bahi daal kis tara lagai hai
main nay kaha 80 rupay kilo....kehnay laga k acha haath dho k 2 kilo pack kar do
janab e wal phir main nay naya business start kia
han... main nay tail ki rehri lagai....janab e wala wahan bhi mere sath hath hua
aik shaks aya aur pocha bahi yeh tail asla hai
main nay kaha bahi aap check kar saktay hain
janab e wal us nay machis nikali aur check kia
aur tail waqai asli nikla, aur main jahan jahan say kaala nai bhi tha wahan say bhi
kaala hogia
han janab e wal america chay hum say 100 saal aagay ho magar un ka sadar muj
say 10 mint peechay hai
sadar aali zi waqar aap muj say pochatay hin k mera kia hoga
main aik professor hn kaalay ilam ka....lux walay mere peecha phirtay hain
unain dar hai k kahin main un ka sabun na istemal kar ln
tv walay mere peechay peechay phirtay hain......aik dafa qiston par lia tha wapis nai
kia
janab e wala main to sprita nai pi sakta hath lagata hn to wo coke ban jati hai
main haj par ja nahi sakta ehram main aaon to aisa lagta hai k chunay mian kawwa
phasa hua hai
lakin phir bhi janab e wal phir bhi numl k bahi larkian mera roz intezar karti hain
kyn k mian unki bus ka driver hn
sadar aali zi waqar aakhir main sirf itna hi kehna chahoon ga k
kia huwa k agar hn main kala
khata hn main bhi biscuit gala
muje bhi us qoum nay aaghosh e mohabbat main hai pala
buzurg jis k chalaya kartay thay NLC ka dala
na lag sakay ga aaj mere mun ko tala
par pappu can dance sala dance sala

Vous aimerez peut-être aussi