Vous êtes sur la page 1sur 3

Lambe Ghane Kale Baal Pane ke 5 Best Hair Oil Tips in

Hindi
kyakyukaise.com /baalo-ke-liye-tel-lambe-ghane-hairs-ke-ayurvedic-oil-tips-hindi/
By Govind
Lambe Ghane Baalo ke liye Tel: Pollution, tension aur unhealthy diet ki wajah se balo ka jhadna tutna, kam umar
mein baal safed hona, do munhe baal aur ganjapan jesi samasya aam ho gyi hai. Agar aap hairs ki problems se
pareshan ho gaye hai aur inse chutkara pana chahte hai to sabse pahle jaruri hai ki baalo ko nutritions mile. Healthy
food kha kar, balo ki care kar ke aur tel se malish kar ke hum apne baalo ko poshan de sakte hai. Is lekh mein hum
aap ko hair massage oil ke bare mein janenge jinke paryog se baal kale, lambe, ghane aur sundar bante hai sath hi
baalon ka girna rukta hai aur naye baal ugane mein madad milti hai. Aaiye jane natural ayurvedic hair oil tips in
hindi.
Jane Baalo se Dandruff Hatane ke Upay

Kya Baalo Par Tel Lagana Chahiye


Bahut se log aese bhi hai jo hairs par oil ka istemal
nahi karte, aesa karne se baal bejan aur rukhe hone
ke sath sath balo ki jade kamjor hone lagti hai jisse
hair fall aur hair loss jesi problem hone lagti hai. Baalo
ki malish karne se sir ki koshikao mein blood ka
circulation badhta hai jisse stress kam hota hai aur
baalo ki jade majbut hoti hai.
Jane Safed Baal Kale Kaise Kare

Lambe Ghane Baalo ke liye Tel : Natural Hair Oil Tips in Hindi

1. Nariyal ka Tel (Coconut Oil)


Rukhe aur bejan baalo ke ilaj ke liye coconut oil ko kafi acha mana gya hai. Nariyal tel ko gunguna kar ke
balo ki malish karne se baalo ki nami wapis aati hai.
Hair wash karne se 1 ghanta pahle nariyal tel se baalo ki massage karne se baal mulayam hote hai.
Baal patle ho gye ho ya jhad rahe ho nariyal tel se malish karne par baalo ko majbuti milti hai aur baal
girna band hote hai.

2. Til ka Tel (Sesame Oil)


Til ka tel skin aur hairs ke liye kafi acha hota hai, isme vitamin E, B, magnesium, calcium aur protein paryapat
matra mein hota hai. Ye tel sabhi parkar ki hair problems mein asardar hai. Chahe baalo mein russi ho ya sir

1/3

mein juye.
Til ke tel ko normal tarike se bhi paryog kar sakte hai ya fir aap ise raat ko sone se pahle sir par lga kar
subah dho sakte hai.

3. Sarso ka Tel (Mustard Oil)


Sarson ke tel mein omega 3 aur 6 paryapat matra mein hota hai. Is tel ko hair massage ke liye best mana jata hai.
Is oil se malish karne par baal ghane lambe aur kale hote hai.
Jane Baal Ugane ke Ayurvedic Nuskhe
Jane Balo ka Jhadna Rokne ke Gharelu Upay

4. Jaitun ka Tel (Olive Oil)


Olive oil khane mein to healthy hota hi hai par sath mein is oil se massage karne par baalo ka girna aur
jhadna bhi dur hota hai aur baal sundar dikhte hai.
Baalo ke sath sath olive oil chehre ki jhuriya hatane aur skin ko soft banana mein bhi asardar hai.
Jaitun ka tel baalo ko dandruff se bachata hai aur hairs growth process ki bhi tej karta hai.

5. Badam ka Tel (Almond Oil)


Badam ke tel mein vitamin E, D, magnesium, calcium aur minerals hote hai jo baalo ki massage ke liye
faydemand hai.
Badam ke tel se rukhe baalo mein jaan aati hai, baalo ka tutna rukta hai aur naye baal ugane mein bhi
asardar hai.
Badam ka tel baalo ko ghana aur teji se lamba karne mein bhi faydemand hai.

Balo ki Malish ke Fayde : Hair Massage Benefits in Hindi


1. Baalo ki deep conditioning karne le liye baalo ki massage acha option hai, iske liye thode se tel ko gunguna
kar ke baalo ki jado tak malish kare aur 1 ghante baad sir shampoo se dho le. Isse baal soft ho jayenge.
2. Regular balo par tel lagane se sir mein blood circulation badhta hai jisse baalo healthy rehte hai, hair
damage nahi hote aur baal jhadna rukte hai.
3. Balo par tel lagane se baal safed nahi hote.
4. Baalo mein dhool mitti ke kan nahi jamte aur baal gandagi se bache rehte hai.
5. Baal shiney aur silky hote hai aur do munh baalo se bhi chutkara milta hai.
6. Dry baalo ke ilaj ke liye hair oil massage best treatment hai. Oil na lagane se sculp dry hone lagta hai jisse
sir mein khujli aur dandruff jesi samasya hone lagti hai. Tel lagane se sir ki khushki dur hoti hai aur dandruff
khatam hoti hai.
7. Hair massage se balo ki growth badhti hai aur baal teji se badhne lagte hai, agar aap long hairs paana
chahte hai to rojana baalo par tel lagaye.

2/3

Baal Sundar Kaise Banaye


Best Hair Care Tips in Hindi
Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
Dosto Lambe Ghane Baalo ke liye Tel, Ayurvedic Natural Hair Oil Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame
comment karke bataye aur agar aap ke pass baal badhane ke liye oil ya fir balo ka jhadne rokne ke tarike aur baal
ugane ke tel ya desi nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

3/3

Vous aimerez peut-être aussi