Vous êtes sur la page 1sur 38

DEPAWALI MANAAI SUHANI

Depawali manaai suhani


Depawali manaai suhani
Mere sai ke hatho me jadoo ka paani
Depawali manaai suhani
Depawali
Shraddha ka depak bhakti ki jyoti
Shraddha ka depak bhakti ki jyoti
Satya prem ki jalti nishaani
Satya prem ki jalti nishaani
Depawali manaai suhani
Mere sai ke hatho me jadoo ka paani
Depawali manaai suhani
Depawali
Mere sai ki amritvaani
Mere sai ki amritvaani
Main to bhai re sai ki dewani
Main to bhai re sai ki dewani
Dwarkamai main ved puraani
Dwarkamai main ved puraani
Depawali manaai suhani
Mere sai ke hatho me jadoo ka paani
Mere baba ke hatho me jadoo ka paani
Depawali manaai suhani
Depawali
Depawali...

Jab Koi Nahi Aata Mere Sai Aate Hai lyrics


Jab koi nahi aata mere sai aate hai
Mere dukh ke dino mein vo bade kaam aate hai
Meri naiya chalti hai patvaar nahi chalati
Kisi aur ko ab mujhako darqraar nahi chalti
Mai darta nahi jag se sai sath aate hai
Mere dukh ke dino mein vo bade kaam aate hai
Koi yad kare unko dukh halka ho jaye
Koi bhakti kare unaki vo unaka ho jaye
Ye bin bole sab kuchh pahachan jate hai
Mere dukh ke dino mein vo bade kaam aate hai
Ye itane bade hokar dinon se pyar karen
Apne bhakton ke dukh ko vo pal mein door karen
Sab bhakton ka kahana sai man jate hai
Mere dukh ke dino mein vo bade kaam aate hai
mere man ke mandir mein baba ka vaas rahe
Koi rahe na rahe sai paas rahe
Mere vyakul man ko sai jaan jate hai
Mere dukh ke dino mein vo bade kaam aate hai

Baba Tere Charano Ke Sai Tere lyrics


Baba tere charnon ki sai tere charnon ki
gar dhool jo mil jaye.-2
sach kahata hun bas apani taqdeer badal jaye
Sunte hai tere rahmat din rat barsati hai
Is daya ke sagar se ek boond jo mil jaye
Baba tere charnon ki sai tere charnon ki
Ye man bada chanchal hai ise kaise mai samjhaun
Jitna ise samjhaun utana hi machal jaye
Baba tere charnon ki sai tere charnon ki ..
Nazron se girana na chahe jo saja dena
Nazron se jo gir jaye mushkil vo sambhal paye
Baba tere charnon ki sai tere charnon ki
Bas ek tamnna hai tum samne ho mere
Tum samane ho mere mera dam hi nikal jaye
Baba tere charnon ki sai tere charnon ki

Hari Om Hari Om Sai Om Sai Om lyrics


Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Chnadan ka tune tilak lagaya paani se tune deepak jalaya - 2
Door se dekha to deepak jala tha, woh to apna Sai Baba tha
Shirdi ke Baba Sai re muje apna roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Kashi bhi dekhi Mathura bhi dekha Shirdi na dekhi to kya tune dekha - 2
Door se dekha to patthar pada tha woh to apna Sai Baba tha
Shirdi ke Baba Sai re muje apna roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Tu Hai data tu hai vidhata tu hai pita aur tumhi ho mata - 2
Tu ne sabki bigdi banaye meri bhi bigdi bana de oh Sai
Shirdi ke Baba Sai re muje apna roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5

Satya pe chalna tune sikhaya kaun hai apna kaun paraya - 2


Jeene ki sachchi rah dikhai bhakti ki man main jyot jalai
Shirdi ke Baba Sai re muje apna roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Tere dwar pe bhakton ne Sai lambi lambi bheed lagaai - 2
Prem se sab ko darshan dena pyar se sab ko aashish dena
Shirdi ke Baba Sai re muje apna roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Shirdi ko tune swarg banaya shraddha saburi ka mantra sikhaya - 2
Teri mahimaa ki hai balihari pooj rahe tujhe nar aur naari
Shirdi ke Baba Sai re muje apnaa roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Andhe ko tune jyot dikhaayi bhukhe ko tune roti dilai - 2
Kodhiyan ko tune kaya dilaayi kya kahun teri leela hai nyari
Shirdi ke Baba Sai re muje apnaa roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Hindu bhi bola muslim bhi bola sikh bhi bola isaai bhi bola - 2
Nanak sai yeh shiv bhi sai allah bhi sai moula bhi sai
Shirdi ke Baba Sai re muje apnaa roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5
Bachche ko tune chalna sikhaya budhe ko tune jina sikhaya (2)
Beech bhanwar main naiya khadi thi, usko tune paar lagai
Shirdi ke baba sai re muje apnaa roop dikhlaai re
Hari om hari om sai om sai om
Sai om - 5

Deewana Tera Aaya lyrics


Hai ajab tarah ka saman teri shirdi me
Aata hindu hai musalman teri shirdi me
Aaye jitney bhi pareshan teri shirdi me
Kaam sabke huye aasan teri shirdi me
Deewana tera aaya baba teri shirdi me -2
Deewana tera aaya baba teri shirdi me - 2
Najraana dil ka laya- 2
Baba teri shirdi me
Deewana tera aaya baba teri shirdi me -2
Mil mujhko mere baba bharni tumhe padegi -3
Jholi main khali laya re baba -2
Baba teri shirdi me
Deewana tera aaya baba teri shirdi me
Main deewana ho gaya re main deewana ho gaya -2
Yu to hazaro manjar dekhe hain hasin maine
Dil ne sukoon paya re baba - 2
Baba teri shirdi me
Deewana tera aaya baba teri shirdi me
Main deewana ho gaya re main deewana ho gaya -2
Shirdi ko chod kar main kahi aur kaise jaun 2
Sab kuch to yahi paya re baba 2
Baba teri shirdi me
Deewana tera aaya baba teri shirdi me
Main deewana ho gaya re main deewana ho gaya -2
Wo ho ram krishna vishnu ya ho sherawali maiya 2
Mujhe tu hi nazar aaya re baba - 2
Baba teri shirdi me
Deewana tera aaya baba teri shirdi me
Main deewana ho gaya re main deewana ho gaya -2
Na kabhi main bhool paya teri shirdi ka vo manjar -2
Bhagwan nazar aaya re baba allah bhi nazar aaya
Baba teri shirdi me
Deewana tera aaya baba teri shirdi me
Main deewana ho gaya re main deewana ho gaya -2
Deewana tera aaya baba teri shirdi me - 2

Jogi Re Kya Jadu Hai Tere Pyar Me lyrics


Jogi re kya jadu hai tere pyar me - 2
Ho jaye tera jo bhi aaye tere darbar me - 2
Jane na jane na jag ko khabar kab hogi - 2
Jogi re kya jadu hai tere pyar me - 2
Surat teri badi hai pyari ankhiya hai noorani - 2
Nazar utaru teri jogi jau mai balihari - 2
Ha jogi re kya jadu hai tere pyar me - 2
Ho jaye tera jo bhi aaye tere darbar me - 2
Jane na jane na jag ko khabar kab hogi - 2
Tera darshan karkarke manu aur na mangu kuchh bhi - 2
Teri ek muskan pe waaru daulat maan badai - 2
Ha jogi re kya jadu hai tere pyar me - 2
Jogi re kya jadu hai tere pyar me - 2
Jane na jane na jag ko khabar kab hogi - 2
Tera roop hai sabse pyara satsang tera nyara - 2
Sabko naach nachaye jogi kaisa bhola bhala - 2
Jogi re kya jadu hai tere pyar me - 2
Jogi jogi jogi aaye tere dwar mein - 2
Tujhse hi hai sab hariyali mahaki dali dali - 2
Jo bhi tujhko dekhe jogi chhaye mukh pe lali - 2
Ha jogi re kya jadu hai tere pyar me - 2
Ho jaye tera jo bhi aaye tere darbar me - 2
Jogi jogi jogi aaye tere dwar me - 2
Mere dilbar mere rahbar saath sada tum rahna - 2
Doorna na hona mujhse jogi aisa mera kahna - 2
Jogi re kya jadu hai tere pyar me
Tu to kaisa data jogi deta kuchh nahi leta - 2
Dekar apna aapa jogi mukt haemin kar deta - 2
Ha jogi re kya jadu hai tere pyar mein...

Swarg Nark Sab Is Dharti Pe lyrics


Swarg nark hai is dharti pe, nahi gagan ke dekho paar
Achchha karam to sukh deve hai, bura karam hai dukh ka saar (x2)
Jo dukh pata prabhu se kahta, kyu prabhu tum dukh dete ho
Hamne kiya nahi kuchh esa, phir kyu nahi sukh dete ho
Yaad nahi hai us pranee ko, janam janam ke paap ka bhar
Achchha karam to sukh deve hai, bura karam hai dukh ka saar
Swarg nark hai is dharti pe, nahi gagan ke dekho paar
Achchha karam to sukh deve hai, bura karam hai dukh ka saar
Ek fakir jo nanga sove, tan dakne ko nahi basan
Dukh sah ke mann nirmal hoga, karle karle peer sahan
Dand bhog ke paap katega, karagar bana sansaar
Achchha karam to sukh deve hai, bura karam hai dukh ka saar
Swarg nark hai is dharti pe, nahi gagan ke dekho paar
Achchha karam to sukh deve hai, bura karam hai dukh ka saar
Sukh dukh dono ek samana, dono prabhu ka hai vardan
Andhakar to din bhi sang mein, yahi prabhu ka parichay gyan
Prabhu ka sumiran narayan kar, dukh ka jo karta sanhaar
Achchha karam to sukh deve hai, bura karam hai dukh ka saar
Swarg nark hai is dharti pe, nahi gagan ke dekho paar
Achchha karam to sukh deve hai, bura karam hai dukh ka saar
Bura karam hai dukh ka saar, bura karam hai dukh ka saar

Dukh Sukh Dono Kuchh Pal Ke lyrics


Dukh sukh dono kuchh pal ke, kab aaye kab jaaye
dukh hai dhalte suraj jaisa, shaam dhale dhal jaaye (x2)
Dukh to har pranee ko hovye, ram ne bhi dukh jhela
dhairya prem se van mein rahe, prabhu chaudah barsh ki bela
Garmi mein nadiya hai khaali, savan mein jal aaaye
dukh hai dhalte suraj jaisa, shaam dhale dhal jaaye
o shaam dhale dhal jaaye
Dukh sukh dono kuchh pal ke, kab aaye kab jaaye
dukh hai dhalte suraj jaisa, shaam dhale dhal jaaye
o shaam dhale dhal jaaye
Prabhu ka sumiran jisne karke, har sankat ko khela
asali jeevan usaka samjho, ye jeevan ka mela
Raat andhrei bhor mein suraj, esa phir kal aaye
dukh hai dhalte suraj jaisa, shaam dhale dhal jaaye
o shaam dhale dhal jaaye
Dukh sukh dono kuchh pal ke, kab aaye kab jaaye
dukh hai dhalte suraj jaisa, shaam dhale dhal jaaye
Aaye pariksha dukh ke kshad mein, mann tora ghabraaye
sah sah ke dukh saha naa jaye, aankhiya bhar bhar aaye
Ram ka sumiran narayan kar, bajrangi bal aaaye
Dukh sukh dono kuchh pal ke, kab aaye kab jaaye
dukh hai dhalte suraj jaisa, shaam dhale dhal jaaye
O shaam dhale dhal jaaye, shaam dhale dhal jaaye

Nadi Kinare Khada Hai Pagle lyrics


Nadi kinare khada hai pagle, phir bhi tu hai pyasaa
Hari ka naam to paas hai bande, phir kyun chhode aasha
Is jag ki nadiya mein dekho, prabhu ka jal hai pyara
Chhal chhal kal kal nirmal hai jal, prabhu sumiran ki dhara
Jeevan ki gati aiso hai, jas jal mein pade batasha
Hari kaa naam to paas hai bande, phir kyu chhode aasha
Nadi kinare khada hai pagle, phir bhi tu hai pyasaa
Hari ka naam to paas hai bande, phir kyun chhode aasha
Bahti nadiya ki dhara mein, jee bharkar jal bhar pee le
Janam janam ki pyas bujhe hai, is jeevan ko jee le
Mrag trishna ki bhatak mite, aur mann ki mite bipasa
Hari kaa naam to paas hai bande, phir kyu chhode aasha
Nadi kinare khada hai pagle, phir bhi tu hai pyasaa
Hari ka naam to paas hai bande, phir kyun chhode aasha
Jal darpan tu dekh le mukh ko, prabhu jal hi tann dhota
Nirmal tan mann ho javye re, roj laga le gota
Shyam das hari jal ka pyasa, jeevan tola maasa
Hari kaa naam to paas hai bande, phir kyu chhode aasha
Nadi kinare khada hai pagle, phir bhi tu hai pyasaa
Hari ka naam to paas hai bande, phir kyun chhode aasha

Jo Karte Rahoge Bhajan Dheere Dheere lyrics


Jo karte rahoge bhajan dheere dheere - 2
To mil jayega vo sajan dheere dheere - 2
Jo karte rahoge bhajan dheere dheere - 2
Agar unse milane ki dil mein tamanna - 2
Agar prabhu se milene ki dil mein tamanna - 2
Dil mein tamanna dil mein tamanna dil me tamanna
Agar hari se milene ki dil me tamanna - 2
Karo shudh antah karan dheere dheere - 2
Jo karte rahoge bhajan dheere dheer - 2
To mil jayega vo sajan dheere dheere - 2
Jo karte rahoge
Koi kaam duniya me muskil nahi hai - 4
Muskil nahi hai muskil nahi hai - 2
Koi kaam duniya me muskil nahi hai - 2
Jo karte rahoge yatan dheere dheere - 2
To mil jayega vo sajan dheere dheere - 2
Jo karte rahoge
Karo prem se bhakti seva hari ki - 2
Pooja hari ki pooja hari ki
Karo prem se bhakti pooja hari ki - 5
To mil jayega vo ratan dheere dheere - 2
Jo karte rahoge bhajan dheere dheere
To mil jayega vo sajan dheere dheere - 3
Jo karte rahoge

Tumne Aagan Nahi Buhara lyrics


Tumne aagan nahi buhara
Kaise aayenge bhagwan
Chanchal man ko nahi sambhala
Kaise aayenge bhagwan
Har kone kalmath kasay ki lagi hue hai dheri
Nahi gyan ki kiran kahi har kothari andhari
Agan chaubara andhiyara,kaise aayenge bhagwan
Tumne aagan nahi buhara, kaise aayenge bhagwan
Hriday tumhara pighal na paya, jab dekha dukhiyara - 2
Kisi panth ko lele tumse paya sahara
Sukhi hai karuna ki dhara - 2
Kaise aayenge bhagwan, tumne aagan nahi buhara - 2
Kaise aayenge bhagwan, nirmal man ho to raghunayak
Maa sabri ke ghar jaate - 2
Shyam sur ki bah pakad kar, vidur ghar jaate - 2
Ispar tumne nahi vichaara, kaise aayenge bhagwan - 2
Tumne aagan nahi buhara - 2
Kaise aayenge bhagwan - 2

Bhaj Le Prani Re Agyani lyrics


Bhaj le prani re agyani, do din ki jindgani
Jagat mein kyu bhatak raha hai
Jagat mein bhatak raha hai

Jhooti kaya jhooti maya, jagat mein bhatak raha hai


Chakkar mein kyu aaya, jagat mein bhatak raha hai
Nar tan mila hai tujhe, kho kyu raha hai is bheed mein
Nar tan mila hai tujhe, kho kyu raha hai is bheed mein
Kanchan si kaya teri
Uljhi hai vishyon ke beed mein - 2
Sukh aur dara vaibhav sara, kuchh bhi nahi tumhara
Vyarth sir patak raha hai
Bhaj le prani re agyani, do din ki jindgani
Jagat mein kyu bhatak raha hai
Jagat mein bhatak raha hai
Chanchal gumani man, ab to janam ko sambhal le - 2
Phir na milega tujhe awasar aisa barambar re - 2
Re agyani taj naadani bhaj le sarang praani
Vyarath sir patak raha hai vyarath sir patak raha hai
Bhaj le prani re agyani, do din ki jindgani
Jagat mein kyu bhatak raha hai
Jagat mein bhatak raha hai

Shyam Teri Banshi Baje Dheere Dheere lyrics


Shyam teri banshi baje dheere dheere
O lala teri banshi baje dheere - (x2)
Baje dheere dheere shree yamuna ke teere
Bahe dheere dheere shree yamuna ke teere
Shyam teri murali baje dheere dheere
Shyam teri banshi baje dheere dheere
Shyam teri murali baje dheere dheere
It mein mann shukh ut mein dhan shukh
Beech mein kanhaiya chale dheere
Ho beech mein kanhaiya chale dheere
Shyam teri banshi baje dheere dheere

It mein lalita ut mein bishakha


Beech mein radhe chale dheere
Shyam teri banshi baje dheere dheere
Baje dheere dheere shree yamuna ke teere
Shyam teri banshi baje dheere dheere
Shyam teri banshi baje dheere dheere
It mein mathura ut mein gokul
Beech mein yamuna bahe dheere
Shyam teri banshi baje dheere dheere
O lala teri banshi baje hole hole
Baje dheere dheere shree yamuna ke teere
Shyam teri banshi baje dheere dheere

Agar Shyam Sundar Ka Sahara Na Hota lyrics


Agar shyam sundar ka sahara na hota
To duniya me koi hamara na hota (x2)
Mere shyam mere shyam
Mere shyam mere shyam (x2)
Jab se mili hai daya hamko inaki
To rahe badal di meri jindagi ki
Nazare karam ka ishara na hota - 3
To duniya me koi hamara na hota - 2
Agar shyam sundar ka sahara na hota
Inhi ke sahare jiye ja rahe hai
Naam ka amrit piye ja rahe hai - 2
Mera bigada jeewan savara na hota - 3
To duniya me koi hamara na hota
Agar shyam sundar ka sahara na hota

Mere shyam mere shyam


Mere shyam mere shyam (x2)
Koi nahi tha duniya me apna - 2
Kanahaiya se milna lagta hai sapna - 3
Kanhaiya ne humko pukara na hota - 3
To duniya me koi hamara na hota - 2
Agar shyam sundar ka sahara na hota
Bhawar me thi naiyya diya hai kinara
Inhi ki kripa se chale hai gujara - 2
Kripa bhari dristi se nihara na hota - 3
Agar shyam sundar ka sahara na hota - 3
To duniya me koi hamara na hota - 2
Agar shyam sundar ka sahara na hota 2

Lagan Tumse Laga baithe Jo Hoga Dekha Jayega lyrics


Lagan tumse laga baithe
Jo hoga dekha jayega - 2
Tujhe apana bana baithe
Jo hoga dekha jayega - 2
Kabhi duniya me rahte the
To chhup chhup yaad karte the- 2
Lo parda hata baithe
Jo hoga dekha jayega - 2
Tumhare ek ishare per
Ye dil pukhkhta bana baithe
Jo hoga dekha jayega - 2

Lagan tumse laga baithe


Jo hoga dekha jayega - 2
Deevane ban gaye tere
To phir duniya se kya matalab - 2
Sabhi se dil hata baithe
Jo hoga dekha jayega - 2
Lagan tumse laga baithe
Jo hoga dekha jayega - 2
Tumhari berukhi se
Dil ye mera toot jayega - 2
Ye mera toot jayega
Ki hum jeewan luta baithe
Jo hoga dekha jayega - 2
Lagan tumse laga baithe
Jo hoga dekha jayega - 2
Tujhe apana bana baithe
Jo hoga dekha jayega
Jo hoga dekha jayega

http://www.infodarpan.com/hindi-bhajans-collection.html

Mann Mein Khot Bhari Aur Mukh Me Hari lyrics


Mann mein khot bhari aur mukh mein hari - 2
Phir mandir mein jaane se kya fayada
Mail mann ka naa doya badan dho liya
Phir ganga nahane se kya fayda (x2)
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Mann mein murat prabhu ki utaari nahi - 2
Hai sabse bada to bhikhaari vahi - 2
Dhan daulat pe tu kyu gumaan kare - 2
Jab sang hi naa jaye to kya fayada - 2

Mann mein khot bhari aur mukh mein hari - 2


Phir mandir mein jaane se kya fayada - 2
Tu rooj ramayan hai padhta magar - 2
Vyarth hai padhke mann na utaari agar - 2
Naa maane pita maa kahana jo tu - 2
Phir ramayan padhne se kya fayada - 2
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Phir mandir mein jaane se kya fayada
Updesh to achhe tu deta phire - 2
Aur karta karam tu sada hi bure - 2
Phale khud per karo amal baad mein
Gyan duje ko dene ka hai kayada
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Phir mandir mein jaane se kya fayada
Mail mann ka naa doya badan dho liya
Phir ganga nahane se kya fayda
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Teertho pe gaya tu magar mann tera - 2
Kaam krodh mein dala tha jispe dera
Mann kaa kaam jo sabse bada na kiya
Charo dhaamo mein jaane se kya fayada - 2
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Phir mandir mein jaane se kya fayada
Mail mann ka naa doya badan dho liya
Phir ganga nahane se kya fayda
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Mann mein khot bhari aur mukh mein hari
Phir mandir mein jaane se kya fayada

Kuchh Pal Ki Jindgani lyrics


Kuchh pal ki jindgani ek roj sabko jana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Kuchh pal ki jindgani.....

Mal mal ke tune apne tan ko jo hai nikhara


Itro ki khusbuo se mahake sharir saare - 2
Kaya ye saath hogi ye baat na bhulana - 2
Kuchh pal ki jindgani ek roj sabko jana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Kuchh pal ki jindgani.....
Mann hai hari ka darpan mann mein ise basale
Karke tu karm achchhe kuchh punya dhan kama le (x2)
Kar daan aur dharm prabhu ko agar hai paana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Kuchh pal ki jindgani ek roj sabko jana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Aaayegi vo ghadi jab koi bhi na saath hoga
Karmo ka tere saare ek ek hisaab hoga (x2)
Ye sochle abhi tu fir waqt ye naa aaana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Kuchh pal ki jindgani ek roj sabko jana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Kuchh pal ki jindgani.....
Koi nahi hai tera kyu karta mera mera
Khul jaye need jab bhi samjho vahi sabera (x2)
Har bhor ki kiran sang hari ka bhajan tu gaana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Kuchh pal ki jindgani..
Kuchh pal ki jindgani ek roj sabko jana
Barso ki tu kyo soche pal ka nahi thikana
Kuchh pal ki jindgani.....

Lakhon Mehfil Jahan Mein Yunto lyrics


Laakhon mehfil jahan mein yunto
Teri mehfil si mehfil nahi hai - 2
Swarg samraat ho ya ho chaakar
Tere dar per hai darja barabar
Teri hasti
Teri hasti ko vo jisne jana

Koi aalam me aamil nahi hai - 2


Darbar khake thokar jo thak kar
Aagaya agar tere dar per
Tune nazaro
Tune nazaro se jo ras pilaaya
Vo bataane ke kabil nahi hai - 2
Lakhon mehfil jahan mein yunto
Teri mehfil si mehfil nahi hai
Jeete marte jo teri lagan mein
Jalte rahte virah ki agan mein
Hai bharosa
Hai bharosa tera hey murari
Tu dayalu hai katil nahi hai - 2
Tera rasta laga chaska jisko
Lagta baikunth usko feeka sa
Doob kar
Doob kar koi bahar na aaya
Isme bhaware hai sahil nahi hai - 2
Lakhon mehfil jahan mein yunto
Teri mehfil si mehfil nahi hai - 2
Karma hai unki nishkaam seva
Dharma hai unki ichchha mein ichchha
Saup do inke
Saup do inke haatho mein dori
Ye kripalu hai tang dil nahi hai - 2
Lakhon mehfil jahan mein yunto
Teri mehfil si mehfil nahi hai - 2

Ek Din Aisa Aayega lyrics


Tod chalega jag se naata sada sada so jayega
Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega
Dhan daulat riste naate sab pal mein chhut jayega
Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega
Jinko tu apna kahta hai ye na tere apne
Tu rahi hai jeewan path ka ye sab sare sapne hai

Tutega jab sapna tera sab apna kho jayega


Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega
Jab se jag ko apna samjha jab se rab ko bhoolgaya
Janmo se tu aaata raha har bar garbh mein jhoolgaya
Ab bhi waqt hai sunle bande baad mein tu pachhtayega
Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega
Bachpan tera beet gaya aur jaati teri jawani hai
Ye jeewan kal kal bahta ek nadiya ka pani hai
Haath guru ka thamle varna beech bhawar dubjayega
Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega
Rah jayega lakh chauraasi jisne guru ko paya hai
Bade bhagi hai guru sang jisne jeeawan safal banaya hai
Guru charno se preeti karli ant guru mein samayega
Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega
Tod chalega jag se naata sada sada so jayega
Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega
Dhan daulat riste naate sab pal mein chhut jayega
Ek din aisa aayega, ek din aisa aayega

Mera Chhota Sa Sansar Hari Aa Jao Ik Baar lyrics


Mera chhota sa sansar, hari aa jao ik baar
Mera chhota sa sansar, hari aa jao ik baar
Jogi ka vesh bana karke, is tan par bhasm rama karke
Jogi ka vesh bana karke, is tan par bhasm rama karke
Mai alakh jagaunga, hari aa jao ik baar
Mera chhota sa sansar, hari aa jao ik baar
Hari aa jao hari aa jao
Mera chhota sa sansar, hari aa jao ik baar
Madhuban ki rangili kunjan mein - 2
Tum chhupna radha ke man mein - 2
Ye papiha kare pukar - 2

Hari aa jao ik baar, mera chhota sa sansar


Hari aa jao hari aa jao
Mera chhota sa sansar, hari aa jao ik baar
Ghanshyam murari madhusudan
Aao aao meinre pyare mohan - 2
Ye dukhiya
Ye dukhiya kare pukar
Hari aa jao ik baar, mera chhota sa sansar
Hari aa jao hari aa jao
Mera chhota sa sansar, hari aa jao ik baar - 4

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaya Nahi lyrics


Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya fayada
Kabhi girate huve ko uthaya nahi
Baad aansu bahane se kya fayada
Mai to mandir gai, puja aarti ki
Puja karte huye ye khayal aa gai
Kabhi maa baap ki sewa ki hi nahi
Sirf puja ke karne se kya fayada
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya fayada

Mai to satsang gai guruvani sooni


Guruvani ko sunkar khayal aa gai
Janma manav ka leke daya na kari
Fir manav kahlane se kya fayada
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya fayada
Maine daan kiya maine japtap kiya
Daan karte huye ye khayal aa gai
Kabhi bhukhe ko bhojan khilaya nahi
Daan lakho ka karne se kya fayada
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya fayada
Ganga nahane haridwar kashi gai
Ganga nahate hi man meinin khayal aa gai
Tan ko dhoya magar man ko dhoya nahi
Fir ganga nahane se kya fayada
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faida
Maine ved padhe maine shashtra padhe
Shashtra padhate huye ye khayal aa gai
Maine gyan kisi ko bata nahi
Fir gyani kahelane se kya fayada
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya fayada
Maat pita ke hi charno meinin charo dham hai
Aaja aaja yahi mukti ka dham hai
Pita mata ki sewa ki hi nahi
Fir tirtho meinin jane se kya fayada
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faida
Kabhi girate huve ko uthaya nahi
Baad aansu bahane se kya fayada

Vyarth Chintit Ho Rahe Ho lyrics

Vyarth chintit ho rahe ho


Vyarth dar kar ro rahe ho
Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho
Jo hua achchha hua
Jo ho raha achchha hi hai
Hoga jo achha hi hoga
Yah niyam sachcha hi hai
Per bhula do bojh kal ka
Aaj tum kyu doh rahe ho
Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho
Hue bhooli bhoolo ka phir
Aaj paschatap kyun
Kal kya hoga aanishchit hai
Aaj phir santaap kyun
Jut pado kartavya me tu
Baat kiski jo rahe ho
Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho
Kya gaya tum roo pade
Tum laye kya the kho diya
Hai kiya kya nasht tumne
Aisa kya tha kho diyaa
Vyarath glani se bhara mann
Aansuo se doh rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Leke khaali haath aaye
Jo liya yahi se liya
Jo liya naseeb se usko
Jo diya yahi per diya
Jankar dastoor jag ka
Kyu pareshan ho rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Jo tumhara aaj hai kal


Vo hi tha kisi aur ka
Hoga parso jane kiska
Yah niyam sarkar ka
Magn ho apana samjhna
Dukho ko sanjo rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Jisko to tum mrityu samajhate
Hai vahi jeewan tumhara
Hai niyam jag ka badalana
Kya paraya kya tumhara
Ek kshad me kangaal ho kshad
Bharam dhan se ho rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Mera tera bada chhota
Bhed ye mann se hata do
Sab tumhare tum sabhi ke
Fasle man se hatado
Kitne janamo tak karoge
Paap kar tum jo rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Hai kiraye ka makan na
Tum ho isske na tumhara
Panch tatvo ka bana ghar
Deh ko inka sahara
Is makan me ho musafir
Is kadar yu so rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Utho apane aap ko
Bhagwan ko arpit karo
Apani chinta shok aur bhaye
Sab usse arpit karo

Hai vahi uttam sahara


Kyu sahara kho ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Jab karo jo bhi karo
Aarpan karo bhagwan ko
Sada kardo samarpan
Tyag kar abhiman ko
Mukti ka aanand anubhav
Sarvda kyu kho rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Vyarth chintit ho rahe ho
Vyarth dar kar ro rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Sansar Ke Logo Se Aasha Na Kiya Karna lyrics


Sansar ke logo se aasha na kiya karna - 2
Jab jab mann vichalit hohari naam liya karna
Sansar ke logo se aasha na kiya karna
Jeewan ke sagar me toofan bhi aate hai - 2
Jo prabhu ko bhajte hai prabhu unko bachate hai
Bhagwan ko aaata hai bhakto par kripa karna
Sansar ke logo se aasha na kiya karna
Tu samjhle e bande prabhu tujhse door nahi
Bhakto ko kast mile hari ko manjoor nahi
Hari khud hi aayenge tu unko rata karna
Sansar ke logo se aasha na kiya karna
Yaha dava na jamalena ye desh begana hai - 2
Is shahar me e prani tujhe laut na aana hai
Ye maya nagari hai yaha mann na fasa lena
Sansar ke logo se aasha na kiya karna
Jab jab mann vichalit ho hari naam liya karn
Sansar ke logo se aasha na kiya karna

Daya Kar Daan Bhakti Ka lyrics


Daya kar daan bhakti ka
Hame parmatama dena
Daya karna hamari atma
Ko shudhta dena - (2)
Hamare dhyan mein aao
Praphu aankho mein bas jao (2)
Andhere dil mein aakar ke
Param jyoti jaga dena
Daya kar daan bhakti ka
Hame parmatama dena
Baha do prem ki ganga
Dilo mein prem ka sagar (2)
Hame apas mein miljul kar
Prabhu rahna sikha dena
Daya kar daan bhakti ka
Hame parmatama dena
Hamara dharma ho seva
Hamara karma ho seva (2)
Sada hi maan ho seva
Usse bhaktchar bana dena
Daya kar daan bhakti ka
Hame parmatama dena
Vatan ke vaste jeena
Vatan ke vaste marna (2)
Vatan per jaa fida karna
Prabhu hame sikha dena
Daya kar daan bhakti ka
Hame parmatama dena
Daya karna hamari atma
Ko shudhta dena
Daya kar daan bhakti ka
Hame parmatama dena

Ud Ja Hans Akela lyrics


Ek dall do panchhi re baitha kaun guru kaun chela
Guru ki karni guru bharega chela ki karni chela re sadhu bhai
Ud ja hans akela
Maati chun chun mahal banaya
Log kahe ghar mera
Na ghar tera na ghar mera chidiya rain basera re sadhu bhai
Ud ja hans akela
Ek dall do panchhi re baitha kaun guru kaun chela
Kaudi kaudi maya jodi jod bharela thaila
Kahat kabeer suno bhai sadhu
Sang chale na dhela re sadhu bhai
Ud ja hans akela
Ek dall do panchhi re baitha kaun guru kaun chela
Maat kahe ye putra hamara bahan kahe ye mera
Bhai kahe ye bhuja hamari naari kahe ye nar mera re sadhu bhai
Ud ja hans akela
Ek dall do panchhi re baitha kaun guru kaun chela
Pet pakad ke maata roye bah pakad ke bhai
Lapat jhapat ke chidiya roye
Hans akela jai re sadhu bhai
Ud ja hans akela
Ek dall do panchhi re baitha kaun guru kaun chela
Jab tak jiye mata roye bahan roye dasmasa
Barah din tak tiriya roye
Bhed kare ghar vasa re sadhu bhai
Ud ja hans akela
Ek dall do panchhi re baitha kaun guru kaun chela

Maya Ke O Pujari Aage Ki kuch khabar Hai lyrics


Maya ke o pujari aage ki kuchh khabar hai
Is ghar se aur aage ek dusara bhi ghar hai - 2
Itna na zulm kar tu dharti bhi kaap jaye
Warna tu dukhi ki aahe tera nisha mitaye - 2

Ab bhi zara sambhal ja darr maut ka agar hai


Is ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai
Maya ke o pujari aage ki kuch khabar hai
Is ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai
Jo paap kargaye the aur ab bhi kar rahe hai
Kutte ki maut dekho vo paapi mar rahe hai - 2
Mar kar na chain paaye papo ka ye asar hai
Is ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai
Maya ke o pujari aage ki kuch khabar hai
Is ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai
Kyu bhoolta hai usko ek din padega jaana
Mahalo ko chhod kar pagale jangal mein ho thikana - 2
Kuchh to saaman karle lamba bada safar hai
Is ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai
Maya ke o pujari aage ki kuch khabar hai
Iss ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai
Rawan vo kansh bali be maut mar gaye hai
Tulsi va sur meera mar kar bhi tar gaye hai - 2
Pusto ka naam duba hari bhakat sab amar hai
Is ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai
Maya ke o pujari aage ki kuch khabar hai
Is ghar se aur aage ek dusra bhi ghar hai

Kabir Vani lyrics


Nahaye dhoe kya bhaya
Jo mann ka mail na jaye
Meen sada jal me rahe
Dhoye baas na jaye
Dhoye baas na jaye kabira
Dhoye baas na jaye
Jaati nahi jagdeesh ki harijan ki kaha hoye
Jaat paat ke beech me doob maro mat koe

Magan gaye so mar rahe mare jo magan jahi


Tin ke pahle vo mare hot karat hai naahi
Kabira khada bazar me sabki mage khair
Na kahu se dosti na kahu se bair
Satya naam jane bina hans lok nahi jaye
Gyani pandit soorma kargaye mue upay
Bhav bina bhakti nahi bhakti bina nahi bhav
Bhakti bhav ek roop dou ek subhav
Jin khoja tin paiya gahre pani baith
Mai to bauri bangayi rahi kinare baith
Kaami krodhi lalachi inpe bhakti na hoye
Bhakti kare koi soorma jaat baran kul khoe
Guru aagya mane nahi chale atpati chal
Lok ved dono gaye aaye sir par kaal
Kabira aaye sir par kaal
Hum vaasi us desh ke jaha jaati baran kul nahi
Shabd milava ho raha deh milava nahi
Kaami ka gur kamini lobhi ka gur daam
Kabira ka gur sant hai santan ka guru ram
Shabd sambhale boliye shabd ke haath na pav
Ek shabad aushad kare ek shabad kare ghav
Guru ko sir par rakhiye chaliye agya mahi
Kah kabir ta daas ko teen lok bhay naahi kabira
Ghayal ki gati aur hai auran ki gati aur
Prem baan hriday laga raha kabira thaur
Ham vaashi us desh ke jaha paar bramha ka gher
Deepak jale agam ka bin baati bin fer
Na kuchh kiya na kar saka na karne jog sharir
Jo kuchh kiya hari kiya bhaya kabir kabir

Meri Sunlo Maruti Nandan lyrics


Meri sunlo maruti nandan, kaato mere dukh ke bandhan
Hey mahaveer bajarangi, tumhe kahte hai dukh bhanjan - (x2)
Mujh per bhi karuna karna, mai aaya sharan tumhaari
Mai jode haath khada hun, tere dar ka bana bhikhari
Tum sabse bade bhandari, mai paani tum ho chandan
Hey mahaveer bajarangi, tumhe kahte hai dukh bhanjan
Meri sunlo maruti nandan, kaato mere dukh ke bandhan
Hey mahaveer bajarangi, tumhe kahte hai dukh bhanjan
Tera naam bada duniya mein
Sab tera hi gun gaye, iss jag ke sab nar naari
Charno mein sheesh navaye, kar bhav se paar mujhe bhi
Hey baba sankat mochan, hey mahaveer bajarangi
Tumhe kahte hai dukh bhanjan
Meri sunlo maruti nandan, kaato mere dukh ke bandhan
Hey mahaveer bajarangi, tumhe kahte hai dukh bhanjan
Maine teri aash lagayi, baba hanuman gusaai
Jab bheed padi bhakto pe, tune hi kari sahaayi
Veeran kare hai duhaayi, prabhu deejo mohe darshan
Hey mahaveer bajarangi, tumhe kahte hai dukh bhanjan
Meri sunlo maruti nandan, kaato mere dukh ke bandhan
Hey mahaveer bajarangi, tumhe kahte hai dukh bhanjan

Kaamna Hriday Ki Suna Ke Dekh Le lyrics


Kaamna hriday ki suna ke dekh le
Dukh-bhanjan kast hare ge gun gaa ke dekh le - 2
Jeewan bhar khushiya denge sharan aake dekh le - 2
Dukh-bhanjan kast hare ge gun gaa ke dekh le - 2
Kaamna hriday ki suna ke dekh le
Dukh-bhanjan kast hare ge gun gaa ke dekh le
Bal-buddhi-vidhya ka bhandhar milega
Jeewan main har pal sukh ka sansaar milega - 2
Nij saare bhakto ka piyara hanuman - 2
Jane in baato ko duniya jahan - 2
Charno main sir yeh jhuka ke dekh le - 2
Dukh-bhanjan kasht hare ge gun gaa ke dekh le - 2
Kaamna hriday ki suna ke dekh le
Dukh-bhanjan kasht hare ge gun gaa ke dekh le
Sankat se door kare deen dukhiyo ka sangi
Hai Mahaveer Vikram Baldhari Bajarangi - 2
Karta jo vandan Pawan Putra ka - 2
Hota hai jeevan safal uska - 2
Bhakti mein aatma ramaa ke dekh le - 2
Dukh-bhanjan kast hare ge gun gaa ke dekh le - 2
Kaamna hriday ki suna ke dekh le
Dukh-bhanjan kast hare ge gun gaa ke dekh le - 2
Jeevan bhar khushiya denge sharan aake dekh le - 2
Dukh-bhanjan kast hare ge gun gaa ke dekh le - 2
Kaamna hriday ki suna ke dekh le
Dukh-bhanjan kast hare ge gun gaa ke dekh le

Radha ka bhi shyam Lyrics - Geet Gata Chal


Shyam teri bansi pukare radha naam
Log karen meera ko yunhi badnam

Saanwre ki bansi ko bajne se kaam


Radha ka bhi shyam wo
To meera ka bhi shyam
Jamuna ki lehren bansibat ki chhaiyan
Kiska nahin hai kaho krishan kanhaiya
Shyam ka deewana to sara brij dhaam
Log karen meera ko yunhi badnam
Kaun jaane baansuriya kisko bulaye
Jiske man bhaye wo usi ke gun gaye
Kaun nahin bansi ki dhun ka gulaam
Radha ka bhi shyam wo to
Meera ka bhi shyam
Shyam teri bansi pukare radha naam
Log karen meera ko yunhi badnam
Saanwre ki bansi ko bajne se kaam
Radha ka bhi shyam wo
To meera ka bhi shyam

Ek Radha Ek Meera lyrics


Ek radha, ek meera
Dono ne shyam ko chaha
Antar kya dono ki chah me bolo
Ik prem deewani, ik daras deewani
Ek radha, ek meera ...
Radha ne madhuban me dhundha
Meera ne man mein paya
Radha jise kho baithi
Wo govind aur daras dikhaya
Ek murali ek payal, ek pagali, ek ghayal
Antar kya dono ki prit me bolo
Ek suurat lubhani, ek murat lubhani
Ik prem deewani, ik daras deewani ...
Meera ke prabhu giridhar nagar
Radha ke manamohan

Radha din shringar kare


Aur meera ban gayi jogan
Ek rani ek dasi, dono hari prem ki pyasi
Antar kya dono ki tripti me bolo
Ek jeet na maani, ek haar na maani
Ik prem deewani
Ik daras deewani ...

Bhor Bhai Din Char Gaya Meri Ambe lyrics


Bhor bhai din chad gaya meri ambe
Bhor bhai din chad gaya meri ambe
Ho rahi jai jai kar mandir which aarti jai maa
Hey darbara wali aarti jai maa
Hey pahadawali aarti jai maa
Kaahe de maiya teri aarti banava - 2
Kahe de pava wich baati mandir which aarti jai maa
Tu hai cholewaali aarti jai maa
Hey pahadawali aarti jai maa
Sarv sone de teri aarti banava
Agra kapoor pava baati madir wich aarti jai maa
Hey maa pindi waali aarti jai maa
Hey pahadawali aarti jai maa
Kaun suhagan deeva balya meri maiya
Kaun jagega saari raat mandir wich aarti jai maa
Sachchiya jyotiya waali aarti jai maa
Hey pahadawali aarti jai maa
Kaun suhagan deeva balya meri maiya
Jyot jagegi saari raat mandir wich aarti jai maa
Hey maa durgaraani aarti jai maa
Hey pahadawali aarti jai maa
Jug jug jive tera jamuve da raja
Jisne tera bhawan banaya mandir wich aarti jai maa

Hey meri ambe rani aarti jai maa


Hey pahadawali aarti jai maa
Sindir charan tera pyanu yash gave
Jo dhyave so yo fal pave
Rakh vane de laaj mandir wich aarti jai maa
Sone mandira waali aarti jai maa
Hey pahadawali aarti jai maa
Bhor bhai din chad gaya meri ambe
Bhor bhai din chad gaya meri ambe
Ho rahi jai jai kar mandir which aarti jai maa
Hey darbara wali aarti jai maa
Hey pahadawali aarti jai maa

Mann leke aaya mata raani ke bhawan mein.2 Badaa sukh paaya.2
Mata raani ke bhawan mein.
Jai jai maa, ambey maa

Mann leke aaya mata raani ke bhawan mein.2

Jai jai maa, jagdambey maa. Jai jai maa, ambey maa

Jai jai maa, jagdambey maa.


1. Main jaanu vaishnav mata, Tere unche bhawan ki mayaa
Bheyrav par krodh mein aake, Maa tune trishul uthaya
Wo parwat jaahan pe tune, Shakti ka roop dikhaya
Bhakton ne wahin pe maiiya, Tere naam ka bhawan banaaya
Badaa sukh paaya.2 Mata raani ke bhawan mein.
2.

Tere tej ne jwaala maiiya, Jab jab ujiyaara faiylaya


Shaah akbar nange pairo, Tere darbaar mein aaya.
Teri jagmag jot ke aage, Sradha se sees jhukaya
Teri bhawan ki sobha dekhi, Sone ka chatra chadaya.
Badaa sukh paaya.2 Mata raani ke bhawan mein.
Mann leke aaya mata raani ke bhawan mein.2

3.

Hey chint purni mata, Teri mahima sabse hai nyaari


Diye bhai daas ko darshan, Tu bhakton ki hai pyaari

Jo kare maa tera chintan, Tu chinta har de saari.


Tere bhawan se jholi bhar ke, Jaate hain sabhi pujaari
Badaa sukh paaya.2 Mata raani ke bhawan mein.

4.

Maa naina devi tune, Ye naam bhagat se paaya


Maina gujjar ko tune, Sapne mein daras dikhaya
Aadesh pe tere usne, Tera mandir banwaya.
Jivan bhar beth bhawan mein, Maa tera hi gun gaaya.
Badaa sukh paaya.2

Mata rani ka Dhyan Dhariye


Mata Rani Ka Dhyan Dhariye
Mata Rani Ka Dhyan Dhariye
Kaam Jab Bhi Koi Kariye 2
Jai Mata Di Jai Mata Di Mil Ke Sab Jan Bolo-2
Mata Rani Ka Dhyan Dhariye..
1. Koi Muskil Ho Pal Me Talegi
Har Jagah Pe Saflta Milegi
Koi Muskil Ho Pal Me Talegi
Har Jagah Pe Saflta Milegi
Sachche Dil Se Pranam Kariye-2
Kaam Jab Bhi Koi Kariye
Jai Mata Di Jai Mata Di Mil Ke Sab Jan Bolo-2
Mata Rani Ka Dhyan Dhariye
2. Roop Inka Sabse Nirala
Isi Roop Se Hai Jag Me Ujala
Roop Inka Sabse Nirala
Isi Roop Se Hai Jag Me Ujala
Isi Roop Se Hai Jag Me Ujala
Naam Inka Sada Sumarie -2
Kaam Jab Bhi Koi Kariye

Jai Mata Di Jai Mata Di Mil Ke Sab Jan Bolo-2


Mata Rani Ka Dhyan Dhariye..
Kaam Jab Bhi Koi Kariye
3. Devi Maa Ki Karo Dil Se Bhakti
Bhakti Deti Hai Jeene Ki Shakti
Devi Maa Ki Karo Dil Se Bhakti
Bhakti Deti Hai Jeene Ki Shakti
Bhakti Deti Hai Jeene Ki Shakti
Jag Me Phir Na Kisi Se Dariye-2
Kaam Jab Bhi Koi Kariye
Jai Mata Di Jai Mata Di Mil Ke Sab Jan Bolo-2
Mata Rani Ka Dhyan Dhariye
Kaam Jab Bhi Koi Kariye
Mata Rani Ka Dhyan Dhariye
Kaam Jab Bhi Koi Kariye

Mann Tera Mandir Aankhein Diya Bati


Mann Tera Mandir Aankhein Diya Bati
Hothon Ki Hai Thaliyan Bol Phul Bati
Rom Rom Jeeba Tera Naam Pukarti
Aarti Ho Maiya Aarti
O Jyotanwaliye Maa Teri Aarti
Hey Mahalaksha Maa Gauri
Tu Apni Aap Pehchaney
Teri Kimat Tu Hi Jane
Tu Bura Bhala Pehchaney
Yeh Kehtein Din Aur Ratein
Teri Likhi Na Jaye Batein
Koi Mane Ya Na Mane
Hum Bhakt Tere Deewane
Tere Panv Saari Duniya Patharti
Man Tera Mandir O Jyotanwaliye Maa Teri Aarti
Hey Gunvanti Satvanti
Hey Patvanti Rasvanti
Meri Sunna Yeh Vinanti
Mera Chola Rang Basanti
Hey Dukh Bhanjan Sukh Dati
Hume Sukh Dena Din Rati
Jo Teri Mahima Gayein
Vo Mangi Muradein Payein
Har Ankh Teri Aur Niharti
Mann Tera Mandir O Jyotanwaliye Maa Teri Aarti
Hey Maha Kal Maha Shakti
Hume De De Aisi Bhakti
Hey Jag Janani Maha Maya
Hai Tu Hi Dhup Aur Chhaya
Tu Amar Ajar Avinashi
Tu Anmit Puranmashi
Sab Kar Ke Dur Andhere
Hume Baksho Naye Sawere
Tu To Bhakton Ki Bigdi Sanwarti
Mann Tera Mandir O Jyotanwaliye Maa Teri Aarti
O Tere Panv Sari Duniya Patharti
O Latanwaliye Maa Teri Aarti
O Har Aankh Teri Aur Niharti
O Jyotanwaliye Maa Teri Aarti
O Tu To Bhakton Ki Bigdi Sanwarti
O Latanwaliye Maa Teri Aarti

Vous aimerez peut-être aussi