Vous êtes sur la page 1sur 3

Likoria Safed Pani ka ilaj ke 10 Gharelu Nuskhe Hindi Mein

kyakyukaise.com /safed-pani-shvet-pradar-likoria-ka-ilaj-upchar-gharelu-upay-hindi/
By Govind
Likoria (leucorrhoea) ko shvet pradar ya white discharge bhi kehte hai jo mahilao ko hone wali ek bimari hai. Is
bimari mein girls ke private part se badbudar safed paani aane lagta hai jisse body mein infection hone ka khatra
badh jata hai. Ye samasya married aur unmarried kisi bhi girl/women ko ho sakti hai par jadatar ye pareshani
shadishuda mahilao mein hoti hai jo kuch hafto se kuch mahino tak reh sakti hai jis waah se sharir mein kamjori
aane lagti hai. Is article mein hum likoria ka ilaj ke gharelu upay janenge, home remedies for likoria problem
treatment in hindi.
Jane Periods Problem ke Desi Nuskhe

Likoria Kya Hai


Periods (masik dharm) ke samay par thoda safeed
rang ka strav hona normal hai par jab ye reesav hara,
gadha neela ya peele rang ko ho to ise safed paani
aane ki samasya (likoria problem) bolte hai.

Likoria Hone ke Karan : Causes


Jada physical work na karna.
Jada sambhog karna.
Private part ki thik se safayi na karna.
Bar bar abortion karana.
Urinary tract infection (UTI) hona.

Likoria ke Lakshan : Symptoms


Kamar mein dard rehna aur guptang par khujli hona lakoria kea am lakshano mein se hai. Iske ilava kuch aur
lakshan bhi hai jo likoria ki bimari hone par dikhte hai.
Chakkar aana
Kamjori mehsus hona
Aankho ke niche kale ghere banna
Hath pairo mein dard hona
Kamar ke niche dard rehna
Yoni mein khujli hona aur badboo aana

1/3

Likoria ka ilaj ke Gharelu Upay aur Desi Nuskhe


Likoria Problem Treatment in Hindi
Agar aap safed pani ki samasya se pareshan hai aur iska ilaj gharelu tarike se karna chahti hai to yha likhe hue
kuch upay kar ke likoria se chutkara pa sakte hai.
1. Ek chammach shahad ko 1 chammach pyaaj ke ras mein mila kar le, is nuskhe ke nirantar paryog se shvet
pradar thik hone lagta hai.
2. Pakka hua kela le ise beech mein se kaat kar isme 1 graam kachhi tkari bhar de aur din mein 1 bar khaye, is
upay ko rojana karne par 7 se 8 dino mein likoria ki problem se rahat milegi.
3. Ek pakka hua kela le aur ise makhan ya r ghee ke sath khaye, is upay ko din mein 2 baar bhi kar sakkte hai.
Likoria ka desi ilaj mein pakka hua kela ka paryog ka asardar hai.
4. Gupatang ki safayi ke liye ise tkari ke paani se din mein 2 bar yoni ko dho sakte hai.
5. Do chammach shahad mein 1 chammach aanwla powder mila kar lene se bhi white discharge problem dur hoti
hai.
6. Ek litre paani mein 100 graam bhindi ko 15 minute tak ubaal le aur thanda hone par ise chaan kar isme shahad
milakar iska sevan kare. Is upay ko kuch din niyamit karne par shavet pradar se rahat pa sakte hai.
7. Ek chammach tulsi ke ras mein 1 chammach shahad mila kar lene se bhi fayda milta hai.
8. Amrud ke patto ko aadhe ghante tak paani mein ubaale aur thanda hone par chaan le. Din mein 2 bar is paani se
yoni ko dhone se khujli aur white discharge dono mein aaram milega.
9. Gulab ke paate pees kar iska aadha chammach doodh ke sath din mein 2 bar lene par safed pani nikalne se
chutkara milega.
10. Likoria ke rogi ko har roj bhune hue chane khana chahiye, isse safeed paani ki samasya se rahat milti
hai. Khane mein aese food khaye isse sharir ko jaruri poshak tatav mil sake.
Jane Peshab Mein Jalan ke Upay

Khooni Likoria ka Ayurvedic Upchar


Khooni likoria ho to safed jeera, daalchini, ilaychi ke beej aur ashok chaal ko paani mein ubaal kar kadha bna le aur
thanda hone par chaan le. Is kaadhe ko din mein 2 se 3 baar pine par khooni pradar thik hone lagta hai.
Neem ki chaal pees kar powder bna le aur shahad mein mila kar din mein do bar iska sevan kare, is desi nuskhe se
blood aana band hoga.

Likoria ka ilaj Baba Ramdev ke Nuskhe


Likoria ke upchar ke liye shisham ke patto ka paryog utam upay hai. Shisham ke 8 se 10 patte pees le aur paani
mein milakar piye. Is nuskhe ko karne ke liye taaje patte hi paryog kar aur agar aap ko har bar taje patte nahi mile to
patto ko chaya mein sukha kar pees le aur inka powder bana kar paryo kare.

2/3

Kya Nahi Khaye : Parhej


Jo mahilaye/girls shvet pradar ki bimari se pareshan hai unhe khane mein jada mirch masale wali cheeje nahi
khani chahiye iske ilava tale hue fast food se bhi parhej kare.
Jada meetha khane se parhej kare jese mithayi, pestri, icecream.
Dibba band khane se dur rahe.
Chai aur coee ka sevan kam se kam kare.

Safed pani ka ilaj karne ke liye sabse pahle gupatango ko saaf rakhna jaruri hai aur agar kisi mahila
ko ye rog hua hai to ise chipaye nahi balki ise apne ghar mein kisi badi mahila se share kare aur
doctor ya kisi ayurvedic chikitsak ki salah se iska treatment shuru kare.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Rajiv Dixit Ayurvedic Upchar
Dosto Likoria ka ilaj ke Gharelu Upay, Likoria Problem Treatment in Hindi ka ye lekh aapko kesa lga hame comment
ke jariye btaye aur agar aapke pass safed pani ka upchar ke desi nuskhe hai to hamare sath share kare.

3/3

Vous aimerez peut-être aussi