Vous êtes sur la page 1sur 3

Dadhi Jaldi Badhane ke 5 Aasan Upay aur Gharelu Tarike

Hindi Mein
kyakyukaise.com /dadhi-jaldi-badhane-ke-upay-beard-growth-gharelu-tarike-tips-hindi/

By Govind

Dadhi Jaldi Badhane ke Upay: Men ka saaf suthra aur clean face jada attractive lagta hai par aaj kal dadhi
badhana aur ghana karna young ladko mein bahut popular hai. Kuch ladke khud ko mature dikhane ke liye bhi
muchh aur dadhi badhate hai. Kuch boys ki dadhi ke baal jaldi ug jate hai, kuch logo ki dadhi ke baalo ki growth
slow hoti hai aur kuch ladko ko ye shikayat hoti hai ki unke pure face par dadhi nahi aati. Beard grow karne ke liye
normally shaving karna bhi ek upay hai par pure face par dadhi na aane ki problem shave karne se dur nahi ho pati.
Chehre ke baal ugane ke liye kuch log cream aur oil istemal karte hai. Kya Kyu Kaise ke is lekh mein hum much
dadhi badhane, sundar stylish dadhi pane aur ghana karne ke gharelu tarike aur desi nuskhe janenge, faster beard
growth natural tips in hindi.

Jane Safed Dadhi Much Kala Karne ke Nuskhe

Dadhi Jaldi Badhane ke Upay aur


Gharelu Nuskhe

Faster Beard Growth Tips in Hindi

Dadhi muchh ke baal aana aapki age, harmons aur


genetic karno par depend karti hai aur agar aap ko ye
shikayat hai ki chehre par dadhi nahi aati, bahut kam
aati hai ya fir pure chehre par dadhi nahi aati to yha likhe
gharelu upay padhe aur sahi tarike se follow kare.

1. Aanwla se dadhi kaise badhaye

Dadhi ke baal ugane ke liye aanwla kafi faydemand hai. Dadhi Ghana karne aur badhane ke liye har roj 15 se 20
minute tak aanwle ke tel se chahre ki malish kare aur baad mein thande paani se dho le. Chehre ki massage karne
se dadhi ke balo ko poshan milta hai aur blood circulation bhi improve hota hai.

2. Dadhi much ugane ke liye Sarson ki Patti

Sarson ki patti ko pees kar paste bana le aur isme 1-2 bunde aanwle ka tel mila kar dadhi par lagaye. 15 se 20
minute ke liye is paste ko lga rehne de fir dho le. Jaldi beard grow karne ke liye is upay ko hafte mein 2 se 3 baar
kare.

1/3
3. Daalchini aur Nimbu

Nimbu ka ras daalchini powder mein mila kar paste bana le aur dadhi wale hisse par lga kar 15 minute ke liye chod
de aur iske baad thande paani se dho le. Is nuskhe se dadhi ke baal ghane hote hai aur chehre ki nami bhi bani
rehti hai.

4. Shaving se dadhi kaise laye

Agar aapki dadhi ke balo ki growth dhere ho rhi hai to shaving karna acha upay hai. Natural tarike se dadhi
badhane ke liye hafte mein 2 se 3 baar shave kare.

Dadhi jaldi badhane ke liye ulti shave karna bhi effective tarika hai. Isse dadhi ki growth teji se hoti hai.

5. Triming

Triming karne se chehre ke anchahe balo se chutkara to milta hi hai par iske sath trimming karne se dadhi ghani bhi
hoti hai.

Jane Chehre ke Anchahe Baal Kaise Hataye

Chehre ke Baal Ugane ke Gharelu Tarike

Baal ugane ke liye protein jaruri nutrition hai. Teji se dadhi badhane ke liye khane mein protein wali cheje khaye.
Daal, anda, machli, hari sabjiya, soyabean mein protein adhik hota hai. Protein ke ilava vitamin B bhi baal jaldi
badhane mein asardar hai.

Chehre ki skin ko healthy aur fresh bnaye rakhne ke liye achi neend le, har roj 7 se 8 glass paani piye aur khud ko
tension free rakhne ki koshish kare.

Dadhi ko Ghana Banane ke Upay

Dadhi muchh badhne ke baad ise stylish sundar ghana banane ke liye conditioning treatment ka sahara le
sakte hai, isse dadhi ke baalo ko trim karne ki jarurat nahi hogi.

Baal badhane aur dadhi ko sahi directon mein grow karne ke liye aap castor oil ka paryog kar sakte hai, ise
aap dadhi ugane ka oil bhi keh sakte hai. Castor ka tel ke ilava aap nariyal tel, jaitun ka tel bhi istemal kar
sakte hai isse dadhi ke balo ko poshan milta hai.

Dadhi Badhane ke Tips in Hindi

Smoking karne ka bura asar facial growth par padta hai, isse dadhi aur munch Ghana karne mein mushkile aa sakti
hai. Cigrete pine aur tambacoo khane se blood circulation slow hota hai aur ye body ke nutritions ko bhi sokh leta
hai aur hair loss hone lagta hai. Agar aap dadhi badhana chahte hai to smoking se dur rahe.

Sundar dadhi much pane ke liye sahi tarike se iske dekhbhal karna bahut jaruri hai, isliye apni skin ko clean rakhe.

2/3
Rang Gora Karne ke Gharelu Nuskhe
Pichke Patle Gaalo ko Mota Karne ka ilaj

Dosto Much aur Dadhi Jaldi Badhane ke Upay aur Nuskhe, Faster Beard Growth Tips in Hindi ka ye lekh aapko
kaisa lga hame comment karke bataye aur agar aap ke pass chehre ke baal ugane ke gharelu tarike hai to
hamare sath share kare.

3/3

Vous aimerez peut-être aussi