Académique Documents
Professionnel Documents
Culture Documents
By Jagadish
Scene 1
Govinda: yaha ke bache padte hi nahi aur tu padne ke liye pure do kilometer jata hain kyon
Govinda: khet khalyan dekh, khana yahi se milta hain shehar walo ko
Shahrukh khan: dosti karni hain shehar walo se ki paisa ped par kyon nahi ugta hain aur zameen pe kyon
Govinda: itna bhi phar phara mat, gir jayega, shehar wale chor hain , chor
Shahrukh khan : baap , shehar jaane se rok raha hain, darte hain shehar walo se
Shahrukh khan: chori ho gayi thi unki jeb se, poori raat hawalat mein the
Shahrukh khan: Angrezi nahi aati bapu ko, anap shanap bake, police wala nashe mein tha, to hawalat
mein daal diya
Shahrukh khan: shehar walo ko pata hota hain, gaav walo ko nahi
Amir khan: itna pad ke kya karega, mere saath ghoomne nikal, duniya dekh
Shahrukh khan: teacher ji kehte hain, duniya dekhne ke liye hi padayi ki jaati hain
Amir khan : wo kyon, Salman khan to aise hi chal diya, bori bistar baandh ke
Shahrukh khan: main Salman khan nahi hun, jo aise hi bori bistar baandh ke chala javu sheher ki taraf,
are PhD karni hain to soch samajh kar ki jaati hain
Shahrukh khan : padayi kar, dimag lada, kuch yaad kar, tab duniyadari seekh, samajh mein aa jayegi
Scene 2
Boman irani: duniya mein paisa sab kuch kar deta hain jo hum soch sakte hain
Boman irani : cancer se lekar aids tak ke sare bimariyon ka raaj, paisa tha
Boman irani: jab paisa samay par ho to sare mareez kabhi mar hi nahi sakte
Boman irani : nahi , kuch log paiso ka durupyog bhi karte hain
Boman irani : haa , par paisa jab theek tarah se istamal kare to bahut kuch seekhne ko milti hain
Boman irani : bache , bade bado is cheez par fail ho gaye hain
Boman irani: paisa jab aata hain, to hosh awaaz insaan kho deta hain, jo handle kar sakne ki shamta
rakhta hain , use samrat ka darza diya jata hain is duniya mein
Shahrukh khan : example
Boman irani: ek decision of finance , karodo log following, richest man on earth
Boman irani: bharat desh ne itni Unnati nahi ki jitni America ne ki , isliye
Shahrukh khan: oh!!!! To mein agar shehar jau, to seekh sakta hun, right guruji
Scene 3
Deepika Padukone: swami yeh Shahrukh khan, bahut vichitra type ka hai
Deepika Padukone: kuch bata sakte hain is vichitra manav ke bare mein, mere shiva
Deepika Padukone: kyon swami, aisa kya hone wala hain, is manushya ke saath
Jagadish: sabr ka phal meetha hota hain , priye, jo is bhoomi par janm leta hain, wah sab tarah ke daur
se guzarte hain , sabr kar aur is prani ki durdasha par taras jarroor karna
Deepika Padukone: mujhe kuch samajh mein nahi aaya, kareeb aadha ghanta hua hain
Jagadish: waqt aadheen mein hain, to iska matlab ulanghan nahi priye
Jagadish: waqt jitna humare jeevan mein mehatva deta hain, utna mehatva manav jeevan par bhi lagoo
hota hain, jo is waqt ko jaanne ki koshish karega, usi ko shrest jeevan mana jayega
Jagadish: waqt aisi cheez hain jo uska laabh kar samay ke saath saath chalega wohi is waqt ka gyani
kehlvayega , waqt insaan ko barbaad bhi karta hain aur fayde ki baat yeh hain ki waqt kabhi labh ki
cheez hain hi nahi
Jagadish: jitni raftar se zindagi insaan ki chalegi aur bina soche samjhe waqt niklega , budapa aane par
Rondi surat banayega
Jagadish : prati din seekhne ki koshish mein agar waqt ka upyog kare to bhavishya mein laabh jaroor mil
sakta hain, par log uska durupyog kar, achi cheezo ke badle mein, durupyog cheeze jo shareer ke liye
hanikarak ho usme bitate hain
Deepika Padukone : haa , wo to sahi hain , is duniya mein koi bhi cheez buri nahi hain agar kam istamal
kare to, par jab jyada kare to nuksaan
Jagadish : priye , Shahrukh khan ka waqt ab shuru hota hain, wo sheher ki taraf Ravana hua haain
Jagadish ; om
Scene 4
Arshad Warsi: paise hain Jane ke liye, ya aise hi ghumne ka irada hain
Shahrukh khan: pure bees hazar rupaye aur sona bhi hain biwi ka, kya samjhe
Arshad Warsi: bhai, paas mein mandir hain, bus ek ghante ke baad chalegi to thoda manat karke aao
Shahrukh khan: Katrina kaif bag sambhal, main shivji ke mandir hokar aata hun
Katrina kaif nayi nayi shaadi huyi hain, bache aane wale hain
Arshad Warsi: haa , aap khade kyon hain, bus mein baithiye, pati aane pe time lagega, thoda jal paan
kijiye, tension nahi lene ka
Scene 5
Police station
Manoj Bajpai : haa Shahrukh ji, kya madad kar sakte hain aapki
Naseeruddin Shah: safar se pehle kho jati hain , wow , aajkal ke naujwano ne naya tareeka doond liya
hain kya
Naseeruddin Shah: bhai court kacheri mein hum vishwas nahi rakhte
Manoj Bajpai: agar FIR nahi bani to kya hua , doondna humara kaam hain
Naseeruddin Shah; bhai jo humko kehna tha keh diya, aage aapki marji
Shahrukh khan : par sir, FIR darz karna police ka pehla kartavya hai
Manoj Bajpai: kya hain Shahrukh ji, FIR banayi to do baate hogi, ya aap court ke chakkar katenge ya
humari, kyon jhanjat Lena
Naseeruddin Shah: waise bhi aapke anusar bag mein kuch tha bhi nahi, bas bees hazar
Manoj Bajpai: sona , aajkal ki rakh mein to bahut kaum, bees gram ka sona tha
Naseeruddin Shah: dhyaan se soch kar aayiye ki FIR banni hain ya nahi
Manoj Bajpai: yaad rakhna, bina FIR ke bhi jaanch hum karte hain
Deepika Padukone: aapne theek hi kaha tha, aaj ki gatha bahut vichitra thi
Deepika Padukone: samay sab ulat pulat kar deti hain swami, jo sochte hain wo hota hi nahi
Jagadish: jo achayi ke raste par chal kar kuch pane ki koshish karta hain, use bhi mushkilo ke daur se
gujarna padta hain
Deepika Padukone: swami, aisa nahi ho sakta ki , achayi ko kabhi musibate aye hi nahi aye aur burayi har
waqt harti hi rahe
Jagadish: yeh duniya bahut kathor hain, jo jeene ki chahat rakhta hain , uske dost hote hain, dost baat
karte hain aur raah dikhate hain, raah par anjaan log milte hain, isliye mushkilo ka samna karna padta
hain
Jagadish: aisa koi reh hi nahi sakta, jo is duniya mein aata hain, kuch banna chahta hain, uske dost to
hona swabhavik hain, duniya rishtedari se banayi gayi hai priye, akele ki zindagi mein marna likha hain
Jagadish: ek Aadmi pura din parikshram kare to bhi doosre ki madad ke bina apna pet pal hi nahi sakta
kyonki log ek doosre se jalte hain agar aisa hua to, to apni savdhani baratne ke liye aur jeene ke liye bina
maut ka saya na hone ke liye duniya ne ek doosre ka saath na chodne ka wada kiya hai
Alone death
Cooperation wealth
Deepika Padukone: dekh rahi hun is vipad avasta mein is bande ka khazana kaha par hain
Jagadish : om
Scene 7
Amir khan: abhi tak gaav mein atke huye ho Shahrukh khan
Shahrukh khan : haan , matlabi duniya mein gujarna hain to kuch paiso ka intezam karna to padega
Amir khan: dosti rakha kar hamse aur duniya walo se fayde mein rahega
Shahrukh khan: shehar jana hain, paise to ghum ho gaye, ab taraki kaise Karoo
Amir khan: mukhiya se baat karke kuch intezaam kar lo, fayda hi fayda hain
Shahrukh khan : bhai , mukhiya dar lagta hain, bahut baar vad vivad ho gaya unse
Amir khan: isliye kaha tha, logo ko apna samjho aur kum vad vivaad karo to rasta mushkil nahi padta
Amir khan: faulad tan ka chauda seena bhi pighal Jane ke liye dosti nibhate hain, dosti kar
Amir khan: bhai holi a rahi hai to jashn manane ke liye biwi se keh kuch pakwan bana, khila dena
mukhiya ko, mukhiya khush to tu bhi khush, kya kehte ho
Scene 8
Amitabh Bachchan: holi aapko mubarak, bahut mahine beet gaye aapko dekhkar, naraz hain kya humse
Shahrukh khan: nahi mukhiya ji, bas shehar jaana chahte the, gaav pe rukna pada
Amitabh bachan: aapke bolne aur batane mein farak mehsoos ho raha hai
Amitabh bachan: aapko pata hona chahiye ki shehar mein naukri milna aajkal mushkil ka kaam hain, aur
akhbar jo padta hain, wo yehi sochta hain, ki jana to hain, par ab nahi
Amitabh Bachan: yehi to , kaksha pass hone se samajhdari nahi ban jate is duniya mein
Shahrukh khan : uddesh mera acha hai mukhiyaji, khamakha aap mera fijul mein sabke samne Jaleel kar
rahe hain
Amitabh bachan : samajhdari bujurg se baat karne par aati hai, jawani ki josh har waqt budape ko
neecha deekhane par lagi rehti hain
Shehar ke log ab koi budapa nahi dekhte, seedhe kal kothri matlab old age homes mein bhej de rahe
hain, pata hain aap ko, aaj bhi gaav is far better than city
Mein agar shehar wasi hota to jaroor batata ki bujurg jab saath mein hote hain to taraki jawan beta aur
beti youn kar dikha dete hain, yeh soch tabhi aati hain jab saath rehne ka wada ek dusre se karte hain
Amitabh bachan : beshak , bank mein cashier ki naukri kar sakte ho to ek mahine baad ana
Shahrukh khan: actually main soch raha tha ki koi bujurg honge, experienced par yaha par akar dang reh
gaya
Shahrukh khan: aisi baat nahi, par aaj kal jab sex is rampant, Maine socha nahi ki management ladkiyon
ko bhejegi gaav mein kaam karne ke liye
Kangana Ranaut: wo to sahi hain, management rules are management rules aur jab tankhvah har
mahine aur experience chahiye to job mein adjustment kar leni chahiye
Shahrukh khan: mujhe to kaha gaya tha ki cashier left the village
Anupam Kher: company yani banking ki policy hain ki naya jab tak apne bal butepar khara utarta nahi
hain purana seekhata rehta hain jabki job theek tarah na samajh le
Scene 10
Paresh Rawal: aapki baat manni thi , manmani ki , bhugat raha hoon
Amir khan: company mein kaam kar raha tha, machinery se haath kat gaye , khudkhusi kar li Salman
khan ne
Shahrukh khan: kya kare hamare jaiso ki naukri machinery mein hi job milti hain shehar mein
Paresh rawal : ulta company ne hum par mukadma dayar kiya ki galti salman khan ki hain , ek hafte
pehle hi uska phone aya tha, hasta hua bola , tofa lekar aunga sheher ki ladki aapki daughter in law
banne ko razi ho gayi hain
Kiron kher : dekhna chahti thi kaun thi wo mere salman khan ko bha gayi, kudrat ka khel ki wo bhi
naseeb nahi hone diya bhagwan ne
Scene 11
Anil Kapoor: haa Paresh Rawal ji, kaise ana hua hamari gali main
Anil Kapoor: company ke kuch oosool tumhare bete ne tode hain , to agar aap is kagzaat par sign kar de
to mein aapki rakm de sakta hoon
Anil Kapoor: haa kagzaat, bhai kuch nahi, company aapke bete ki laparvahi bardaash nahi kar sakti so
without confusion from both sides aap is kagazaat par sign karke apni ek lakh le jayiye without court
interference , main yeh court aur kacheri mein fijuul mein chakkar nahi katna chahta
Paresh rawal : par sar baat tay huyi thi panch lakh ki
Anil Kapoor: you mean 5 lakhs, are you out of your mind, ek lakh lijiye aur dafa ho jayiye , laparvahi
aapke bete ki hain , humari jimmedari nahi
Anil Kapoor : security remove this guy , main socha aap samajhdar pita hain
Paresh rawal couldnt file a suit case against the company because he was poor villager and lost even
the 1 lakh which was coming his way
Scene 12
Jagadish: paisa aisi cheez hain jo kareeb se dekhna chahe to maut ka saya banti hain , salman khan gaya
to shehar par kabhi laut ke nahi aya, Shahrukh khan jana to chahta hain par kismat ne saath nahi diya
Kismat agar saath diye to bhi, main to yahi kahoonga, jitna bhi mile paisa bachana jaroor, na Jane kis
mod par uski avshyakta pad jaye
Shehar aisi cheez hain jo sab safar karna to chahte hain par koi samajhne ki koshish nahi karta ki gaav
bhi dangerous, shehar bhi dangerous, aur in sab ki protection logo se baatcheet karte rehna hain to be
safe
Koi bhi kaam chota bada nahi hota, na use paiso ke bhaav se tola jata hain , dikhte amir hain kai log par
vastav mein sab gareeb, tension tension tension aur is tension se door jane ke liye
Shehar wale gaav ki taraf Ravana hote hain aur gaav wale shehar ki taraf
Kaun Sacha kaun jhootha sabit karna bahut mushkil ka khel hain
Isliye khush rehna bahut chunauti ka kaam hain, reh sake to happy day , na reh sake to waqt dhoka de
jata hain
Kuch pal jiyo, kuch pal haso aur dukh agar sataye to raste me mile dosto se madad mangne mein burayi
nahi hain par samajhdari se
Jagadish: soch raha hoon ki vardaan du is Shahrukh ko aur amir bana doo
Akshay Kumar: ghor anarth karne ja rahe hain aap, aap ki jo marzi mein aya vardan diya aur jo marji
mein kya kiya
Jagadish: sab ka palan karta shoonya hain, main kaun hota hun, jo samajh mein aayi karne ki abhilasha
rakhi
Akshay Kumar: hamara kartavya hain ki jo kaam kare use paiso ka vardaan de , jo kaam nahi karta aur
apni raksha khud nahi kar sakta aur logo ke beech mein nahi reh sakta use vardaan dena hi nahi chahiye
Deepika Padukone: aapne uchit hi kaha Aaradhya dev, swami bhatak gaye un logo ki chinta dekh kar
Akshay Kumar: mate chinta is necessary , jo chinta doosro ki nahi karta wo paisa nahi mang sakta , jo
doosro ke liye jiye aur kuch unka bhala kare tabhi paisa diya jana chahiye
Deepika Padukone: accepted , ab is Shahrukh khan ka kya kare jo mere swami ki drushtikone mein aya
hain
Akshay Kumar: maate sansaar jaisa hain waise hi chalne de , apni soch ke hisab se aur kartavya ke hisab
se aur apne bal bute par khara jo utar saka use hi shoor vir aur daulatmand ka khitab milna chahiye
OM TAT SAT