Vous êtes sur la page 1sur 182

Aakhri Tasweer

( A Horror Love Story )


By
Durrani6
Pyaar kya hai ?? Agar Hamara Pyar Hamse
Dur bhi to Uske Pyar ka Ehsass Hamare Pass
Hi hota hai. Bina kisi Profil Ya Lalach
ke,Samne wala Person ke Expectation ko
Samajhane ki Koshish karta hai... koi kehta
hai pyar waste of time hai koi kehta hai pyar
boht badi cheez hai , but mein kehta hu k
pyar woh ehsaas hota hai jo samne wale
shakhs ko shuruaat mein samajhne ki
khuahish hoti hai ...

Agar Koi ladki Kisi ladke ko dekhkar hasti hai


to Iska matlab Love se nhi nikala ja sakta hai.
Kyu Insaan ka Hasna aur Rona Normal hota
hai. Ye Sab us samay ki situation Par Depend
karta hai.
Love ko true love me Convert karne k liye
Dusre Partner Ki Respect aur Feeling ko
Samajhna Jaruri hota hai. Aur Hamare Point
of View ke according Samane wala Lover
Humse Jyada Love karta hai.

Ab jo kahani mein likhne jaa raha hu ye


Maqbool Jahangir ki likhi kahani hai , jo
mein padh chuka hu mujhe boht pasand aya
to socha k aap logon k sath bhi share karu ,
isliye mein ne is kahani ko simple aur sada
alfaz mein likha hai aap sab k liye But the
credit goes to real Writer ...
Update 1

Teen so saal purani who tasweer aaj bhi


humare ghar mein maujood hai , iska rang
roghan , kaaghaz aur lakdi ka who besh
qeemti frame bhi waisa hi hai jaise teen so
saal pehle tha .. itna arsa guzarne k bawjood
tasweer ko kuch nahi hua tha ..

Aise maaloom hota hai jaise painter ne abhi


thodi dair pehle banaya ho, aur agar humare
pas qadeem kaghzat na hote to ye sabit
karna mushkil ho jata k ye tasweer mughal
shahinshah shah jahan k zamane k painter
Bilal Shams ne banaya hai ..
Mein jis tasweer ka zikar kar raha hu who
Bilal Shams ki akhri tasweer thi is tasweer k
baad usne painting chorh di .. kehte hai is
tasweer ko banana k bad usne apne tamam
brush , qalam aur rang o roghan zayah kar
diye aur marte dum tak koi tasweer na
banane ki qasam kha lit hi ..

Iske doston aur qadardaanon ne boht


koshish ki Bilal Shams apni qasam torhne per
razamand ho jaye , iske liye who isey har
who cheez dene k liye tayyar the jjo Bilal
Shams in se talab kar sakta tha lekin be
sood …
Dunya ki badi se badi qeemti cheez , zar o
jawahir aur har Aarayish is ke nazdeek koi
qeemat nahi rakhti thi , isne kaha k who Bilal
Shams jo tasweer banaya karta tha who mar
chukka hai ..

Iska dil thandi raakh ban chuki hai jis mein


hararat ki aik chinkari bhi nahi hai ,
Bilal Shams ne painting kyu chorhi iske
peeche aik dardnaak daastaan pheli hui hai ..
aisi daastaan jo abhi tak seeno me dafan thi ,
lekin ab teen sadiyan guzarne k baad mein
isey sunane ki koshish kar raha hu ..
Ye kahani mere par dada k par dada ko Bilal
Shams ne khud sunayi thi aur ye tasweer bhi
khud unhein ata kit hi , sar sari taur par
dekha jjaye to isme koi khaas baat nazar nahi
ati magar joo joo nazar gehri hoti hai , tab
tab tasweer k khaal o khat ubharte hai ,
aahista aahista tasweer ka mahol jandar
hone lagta hai ..

Lakeer , daayire , zaaviye aur rang bhi saans


lete mehsoos hote hai aur tamashayi khud is
jeete jagte mahol ka aik hissa samajhne par
majboor hota hai aur yehi is tasweer ki
khoobi hai ..
Update 2
Is tasweer me aik aalishan haweli ka sajaya
kamra , farsh par qaleen bicha hua , aur
darwazon aur khidkiyon par reshmi pardey ,
chhat k beech intihayi qeemti jhhaarh latka
hua .. daaye baaye dewaaron par fanoos , aur
kamre k aik side pe aik pari si shakal ladki sar
se paaon tak safed kapde pehne khadi hai ..
iski umar 19 20 saal ho gi .. is par haya aur
maasumiyat k sath sath ghabraahat k aasar
numayan hain..

Dil fareb chehre par aik jaali ki naqab hai jis


me se iska chehra nazar ata hai .. haseen
labon par painter ne boht ache se
kapkapahat ka who jazba bhi hamesha k liye
qaid kar diya hai jisey dekhne k liye bareek
nazar ki zaroorat hoti hai is haseen ladki k
hath me chhotasa nazuk sa chiragh hai aur
iski roshni sidhi is k chehre pe padh rahi hai
kuch faasle par aik lambe qad ka burha aur
ajeeb shakal ka adami kale kapde pehne
maujood hai .

. iski aankhein intihayi chamakdar , hont


kabootar k khoon ki tarah laal aur naak tote
k choonch ki tarah murhi hui hai Sar par
chhoti si siyah pagdi hai jis ke beech me aik
heera laga hua hai .. is haibat naak shakhs k
daye pehloo me talwar latki hai aur is k hath
talwar k daste par hai aur iske andar se saf
pata chalta hai k who talwar kheench k bahir
nikalna chahta hai aur ghor se dekha jaye to
talwar kis qadar khinchi hui bhi nazar ati hai
Is shakhs k gale me motiyon aur heron k kayi
haar bhi pade hai .. aisa maaloom hota hai
jaise ye shakhs koi boht bada badshah hai ..
dekhne wala pehli nazar mein hi faisla de de
k ye aaik aise shakhs ka chehra hai jo
darindagi aur be rehmi me apni misaal aap
hai ...

ye bhi un badshahon ki tarah lagte hai jo


apne jeet k yadgar k taur par logon k
khopdiyon se mehel k meenar banaya karte
the aur jin ke dil me rehem , hamdardi ,
shafqat aur muhabbat k alfaz kabbhi shamil
nahi rahe ¡* Painter ne apne pure art ko is
shakhs k tasweer banane me waqf kiya hai
jiski wajah se aisa lagta hai jaise ye shakhs
samne hi khada ho .. kitni hairat ki baat hai k
is haseen ladki ko dekh kar dekhne wale k
zehn me jo pakeeza aur ache jazbaat peda
hote hai, is doosre shakhs ki tasweer par
nazar dalte hi hawa ho jate hai aur in ki
jagah nafrat k jazbaat ubharne lagte hai ..

koi bhi shakhs is tasweer par ziada dair nazar


jamaye nahi reh pata .. Aur ye haseen ladki
Fatima thi , Tabrezi khan painter ki haqeeqi
bhaanji , jisey us ne baap aur maa ban kar
pala tha .. jis zamane me qeheth saali hui aur
log rotiyon ko tarasne lage tab tabrezi khan
ka sara khandan is marz ka shikar ho gaya
aur aik aik kar k sab rukhsat kar gaye .. Bhare
pade ghar mein sirf do log hi reh gaye ,
Fatima aur tabrezi khan Fatima un dino boht
chhoti thi , tabrezi dil o jan se apne is nanhi
bhaanji ko chahta tha .. is ne bade naaz se
iski parwarish ki aur taaleem o tarbiyat bhi
di ..
Fatima jawan hui to jaise qayamat apne sath
le kar ayi ¡* Bade bade jaagirdar , aur nawab
is ko pane ki khwaab dekhne lage .. yaha tak
k shahi khandan k shahzadon ne bhi fatimaa
ka zikar suna aur darbari parinter on ne is ki
khubsurat se khubsurat tasweer bana kar
mehel me pahunchayi .. Lekin tabrezi bhi koi
aam aadmi na tha us zamane k sab se bade
aur izzat dar painter the aur sab se badi baat
us zamane k badshah k sath uthna bethna
hota tha uska ..

agar usne kisi ki shikayat badshah se kr di to


badshah us shakhs ko kabhi zinda nahi
chorhega ,is dar se log chup bethte the ..
Tabrezi janta tha abhi Fatima maasoom hai ,
is dunya ki oonch neech ache bure ki tameez
nahi hui usey .. thodi badi ho jaye tab iski
shadi kar di jayegi , yehi soch thi tabrezi ki ,
lekin usey kya khabar thi k fatima ka dil to
kab ka ghayal ho chukka aur tabrezi khan k
nojawan shagird Bilal Shams ko who rooh ki
gehrayion se ziyada chahne lagi hai kuch
yehi kefiyat bilal shams ki bhi thi .. isne boht
koshish kiya k who Fatima ki taraf attract
naho , is ki tasweer , iske khayal apne zehn se
nikal de par namumkin tha ye sab , iski har
koshish buri tarah nakam ho chuki thi ..

Who khoob janta tha k tabrezi khan apne


bhaanji ki shadi kisi aise shakhs se kar de ga
jis ki koi haisiyat ho .. is haseen ladki k liye
oonche maldaar gharanon k ache se ache
nojawanon ki kami na thi , phir ye kaise
mumin hai k tabrei khan fatima ka hath bilal
shams k hathon me de de , jiske pas na
khane ko kuch tha , na pehenne ko aur who
apni zaroorat k liye har tarah se apne ustaad
ka muhtaaj tha .. Haan ye alag baat hai k
khud bilal shams mardana husn ka behtareen
namuna tha , khush ekhlaaq aur ache painter
bhi the , haan agar who ghareeb na hote to
who be shak Fatima k liye behtareen shohar
sabit ho sakta tha , lekin daulat mand banne
aur naam paida karne k liye bhi badi mehnat
ki zaroorat thi ..

woh apne kaam me kho jata ¡* din raat


tasweer banata .. Kayi aur shagird bhi tabrezi
se painting sikhne iske aalishan makan par
ate lekin jitney adab aur izzat se bilal shams
apne ustaad se pesh ata , inme se koi bhi
shagird aise pesh na ata .. yehi wajah thi k
boht jald hi tabrezi khan is par bharosa karne
laga ..isey maaloom ho gaya k bilal shams
shareef nojawan hai , Is par bharosa kiya ja
sakta hai aur isey kam sikhne ka bhi shauq
hai , isliye is ne bilal shams ko apni haweli ka
aik kamra diya aur is ki tamam zaroriyat is ko
dene laga ...

Update 3

Phir who din bhi aa gaya jab bilal aur Fatima


ki aankhein chaar hui .. aik na bujhne wali
aag thi jisme who dono jalne lage ..
mulaqatein barhne lagi aur hamesha sath
jeene aur marne k qasme khane lage .. sab
kuch janne aur samajhne k bawjood aik
doosre se muhabbat kiye chale ja rahe the
aur in ki muhabbat ka ilm khuda k siwa kisi
ko na tha …

Din tezi se guzar rahe the .. Fatima aur bilal


ka ishq urooj par aya , lekin is me kisi qism
ka jismani taaluq na tha who ghanto
aikdusre k samne beth k baatein karte
rehte ..

Bilal shams us sham akele apne tasweer


khane me maujood tha aur aik tasweer
banana me aise kho gaya tha k usey dunya ki
koi khabar na thi .. who darasal aik mughal
shahzadi ki tasweer kayi dinon se bana raha
tha aur ajeeb ye thi k hamesha tasweer mein
kahi na kahi aisi ghalti ho jati k puri tasweer
kharab ho jati aur nayi banana padhti ..

Ab tak 4 5 bar tasweer kharab ho chuki thi


aur 6wi bar tasweer banana me laga hua
tha .. boht der baad usey pata chala k dar
asal who ghalti kaha kar raha hai ..hota ye
tha k who jab bhi tasweer k aankh , peshani
aur hont banata to shahzadi ki shakal bilkul
Fatima se millti to who dar k qalam phenk
deta …

Iski samajh me nahi ata tha k har baar Fatima


ki tasweer kyu ban rahi jabke iske pas hi us
mughal shahzadi ki tasweer padi hui thi jisey
kisi aur painter ne banaya tha , lekin ye
tasweer shahzadi ko pasand na ayi aur
shahanshah ne tabrezi khan ko hokum diya
tha k who is ki piyari beti ki nayi tasweer
banaye …

Tabrezi khan ne ye kam bilal shams k zimme


kar diya tha aur jitni muhlat isey di gayi thi ,
who bs khatam hi hone wali thi ,lihaza bilal
shams apna pura tawajjuh se tasweer banane
laga , Fatima ka khayal dilse nikal k ..

Isey khabar tak na hui k kab tabrezi khan k


dusre shagird rukhsat ho gaye aur kab suraj
ghuroob ho gayi aur kab haveli ka who
burha mulazim chiraagh roshan kar ke waha
rakh kar chal gaya .. is dauran aik bar bhi
Fatima ka khayal bilal shams k zehn me na
aya tah

Akhir kar shahzadi ki tasweer tayar ho chuki


thi aur shahzadi ki shakal Fatima se bhi nahi
mil rahi thi , ye shahzadi thi to boht
khubsoorat magar Fatima jitni nahi thi ..

Bilal shams ne qalam neeche rakha aur aik


piyali aur choti si brush uthaya .. is piyali me
gulaabi rang tha aura b tasweer me rang
bharne ka aghaaz karne wala tha .. abhi isne
3 4 bar brush chalaya hi tha k peeche se kisi
k ane ki aahat hui ,who chonka aur jaldi se
peeche murh k dekha ..
Bilal ka khayal tha k ye dabe paon kamre
mein ane wali harkat Fatima k siwa koi aur
nahi kar sakta hai ,, aksar aisa hota tha k
sham ko suraj k chupne k baad chand
lamhon k liye Fatima bilal k kamre me ati thi
aur who bhi us waqt jab tabrezi haveli me na
ho …

Apne maamu k maujoodgi me uski majal na


thi k who haveli k mardane hisse me bagher
ijazat k qadam bhi rakh sake ,ye aur baat thi
k tabrezi khan ne isey kabhi bilal shams se
parda karne ka hokum na diya tha … aksar
aisa bhi hota k tabrezi khan bilal shams ko
ghar k andar bulaya karta aur teeno raat ko
khana aik hi dastarkhwaan par beth kar
khate tabrezi khan ko apne naujawana
shagird par kuch aisa hi bharosa tha …

Bilal shams ne joon hi murh kar dekha .. uska


badan jaise pathar ka ho gaya ho .. Fatima k
bajaye iske saamne aik old age ka badshakal
sa shakhs sar se paaon tak kala kot pehne
khada tha ..iske aankhein be had
chamakdaar , mote mote hont surkh aur
gaalon k haddiyan ubhri hui thi .. iske sar par
siyah pagdi thi jis ke beech me besh qeemti
heera laga hua tha jo jagmaga raha tha …
Daye pehloo me talwar latka hua tha , ye
ajnabi kon hai ? aur ye is kamre mein kaise
aya ? ye the who sawal jo bilal shams k zehn
me us waqt aa rahe the us shakhs ko dekh
kar , iske shakal aur libaas se pata chal raha
tha k koi mughal sardar ya koi bada uhde
daar hai ..

Us ajnabi se nigaah do chaar hone k baad


bilal shams ko yu mehsoos hua jaise is ke
badan ka sara khoon uske khopdi me jamah
ho gaya hai .. dehshat ki aik intihayi sard
leher uske redh ki haddi me utarti chali
gayi ..
Ajeeb baat ye thi k haveli ka main darwaza
aur baqi chote darwaze ,khidkiyan hamesha
andar se band rehti hai aur koi parinda bhi
par nahi maar sakta .. phir ye shakhs kaha se
aya ???

Bilal Shams ne ghabra kar moon pher liya ..


is me mazeed aankhein chaar karne ki
himmat na thi ,, who shakhs waise hi apne
jagah pe khada raha bagher hile ..bilal shams
wapis apne kaam me mashghool hua ab us
shakhs ki nazar us tasweer pe padi jis me
bilal shams rang bhar raha tha ..
“ janab kya aap aaqa tabrezi se milne aye
hai ??” bilal shams ne bade adab se poocha ..

“ haan isi liye aya tha “ ajnabi ne bhari awaz


me kaha “ lekin is waqt who yaha haveli me
nahi hai kyat um usey mera pegham de sakte
ho “

“ Irshad farmayie .. apka pegham mein un


tak pohoncha dunga “ bilal shams ne gerdan
jhuka kar kaha “aap mujh par pura bharosa
kar sakte hai .. mein aqaa e tabrezi ka khaas
shagird bilal shams hu “
“hoon ??” us shakhs ne bade ghuroor aur
takkabburi k sath aik baar bilal shams ko
dekha phir usi takabburana lehje mein kaha
“ keh dena usey subedar jalal abad tashreef
laye the aur kal isi waqt who apne havelo ma
hazir rahe me dubara aunga .. aik ehm
muamle me tabrezi se baat karna chaahte
hain “

Ye bolne k baad who murha aur kamre se


bahir chala gaya .. aik niraali baat ye thi k
jate hue uske qadmon ki awaz ki ahat bilkul
paida nahi hui.. kuch der tak bilal shams aise
hi but bane khada raha .. aise pur israr
aadmi , jaise ye jalal abad ka subedar tha ,
pehle kabhi na dekha tha bilal shams ne ..
usne jaldi se haveli k lawn me khulne wali
khidki khola aur jhaankne laga .. yaha se
main darwaza ba khubi nazar ata tha .. bilal
shams ka khayal tha k who us shakhs ko jate
hue dekhega , lekin pura lawn weeran pada
tha …

Main darwaza bhi band tha aur isey kholna


aik aadmi k bas ki baat bhi na thi , phir who
subedar jalal abad gaya kaha se .. bilal shams
ne jaldi se dusri khidki kholi jo haveli se
bahir ki taraf thi waha se bahir ka pura gali
nazar ata tha magar maze ki baat ye thi ki
pura gali veeran pada tha , door door tak kisi
ka koi pata na tha ..
Khuda hi behtar janta hai usey asmaan kha
gayi ya zameen nigal gayi ?? who khud se
kehne laga .. kisi bhi surat who mere nazar se
bach k bahir nahi ja sakta , phir kaha gaya ??
is sawal ne bilal shams ko hairan o pareshan
kar diya tha .. mumkin hai haveli me koi
khufiya rasta ho jahan se subedaar jalal abad
gaya ho .. us ne socha , haan aisa hi hoga
warna who kaha jaa sakta hai ..

Aise purane aur azeem ushhaan haveli on me


aksar tehh khane aur surange banaye jate hai
taa ke nazuk waqt me waha se bhaag sake ya
panah liya jaa sake aur subedar jalal abad
yaqeenan aise hi kisi khufiya raste se zaroor
agah taham ye kitni gher munasib baat hai k
koi shakhs yu chup chupate haveli me dakhil
ho …

Update 4

Who apne tasweer khane se bahir aya .. us ne


darwaza band kar ke lohe ka bhari tala
darwaze pe lagaya aur chaabiyan apne lambe
kot k jeb me rakha , phir haveli k lawn ka
baghor muaayina karne laga .. usne har
diwar ko hath laga kar dekha k kahi koi
khufiya rasta to nahi hai magar be sood usey
kahi aisa koi khufiya rasta na mila .. who
main darwaze ko dekhne laga jo boht
ooncha aur steel se banaya gaya tha purane
mughal badshahon k daur ka aur boht bhari
bhi thi 3 4 log mil kar usey khol sakte the
isliye aksar ye main darwaza band rehta tha
aur logon k ane jane k liye chote darwze
hote the ..

Tabhi afzal baig haveli k zanana hisse se


nikal kar mardana hisse me aya .. is ne bilal
shams ko main darwaze k samne khade dekh
kar qareeb aya aur poocha ..

Afzal baig : kya baat hai barkhurdar , kuch


pareshan se nazar aate ho .. kher to hai ??
Bilal Shams : kuch nahi baba me dekh raha
hu is haveli me in darwazo k ilawa ane jaane
ka koi aur rasta bhi hai ya nahi ..

Afzal baig ne ghoor kar bilal shams ko


dekha .. uske boodhe wafadar aankhon
meshak o shubhe k asar nazar ane lage

Afzal Baig : koi aur rasta ?? .. kya kehte ho


bilal shams ?? .. akhir tumhe is waqt ye soojhi
kya hai ??

Bilal shams ne baat ko taalte hue kaha


Bilal Shams : ooh kuch nahi kuch nahi .. bs
yunhi

Isne socha k jalal abad k pur israr subedaar


ka qissa aqa e tabrezi k ilawa kisi aur ko
kehna munasib nahi , isliye usne kaha

Bilal Shams : ye batao baba jan k aaqa haveli


tashreef laye k nahi ??

Afzal Baig : who aaj zara dair se ayenge .. kisi


ameer k haan unki daawat hai , keh gaye the
k dastarkhwaan par inka intzar na kiya jaye ..
Fatima ki tabyat bhi kuch kharab ho gayi
hai , usne keh diya k who khana nahi
khayegi , aap khana andar khayenge ya
bahir ??

Bilal shams pareshan ho gaya Fatima k


tabyat ka sun k , usne poocha

Bilal Shams : kya ?? Fatima ki tabyat kharab


hai ?? aur kab se ??

Afzal Baig : abhi kuch adha ghanta pehle se


kharab hai .. who beth k koi kitab padh rahi
thi tabhi is par kap kapi tari ho gayi aur
kehne lagi , baba mujhe kambal orha do ..
me ne usey kambal orhaa diya .. kap kapi
phir bhi na gayi tab me ne aik aur kambal us
par dal diya , uska rang peela padh chukka
tha aur baar baar keh rahi thi , k baba mujhe
kya ho raha hai , mera dil betha jar aha
hai ..me waha se aa kar tumhe btana chahta
tha , lekin Fatima ne mujhe apne paas se
hilne bhi na diya phir who apne aap se
barhbarhane lagi .. baba khuda k liye mujhe
akela mat chodo .. agar tum chale gaye to
who yaha aa jayega .. is waqt who haveli me
maujood hai .. who boht khaufnaak hai
baba .. mujjhe usse boht dar lagta hai ..
mujhe tanha mat choro .. Fatima ki ye halat
dekh kar me behad khauf zada ho gaya ..
uske andar se koi aur hi awaz aa rahi thi ..
aur phir who pur sukoon ho gayi aur kap
kapi jati gayi aur phir usne kambal hatakar
pare phenki , phir thodi dair me theek hone
k baad naraz hote hue kaha k ye dehekti
kambalein kon laya hai yaha inhein jaldi se
hatao yaha se .. mein ne uske hokum ki
taameel ki ab who besood so rahi hai ..

Bilal shams but bane ye kahani suntan raha ..


burhe afzal baig k har jumle k sath isey apne
dil dhadhkan band hoti hui mehsoos hui ..
koi iske dil k gehrayion se pukaar raha tha ..
Fatima …. Fatima …. Fatima ….

Afzal baig k sath who pehli baar Fatima k


kamre me dakhil hua , to uska tamam badan
mare haibat k paseene me tar ho gaya .. aik
chadar orh k palang par uski mehbooba so
rahi thi aur uske chehre pe sukoon thi aur
kisi khushgawar khwaab k zer asar uske lab
muskura rahe the … bilal shams mutmayin
ho kar dabe paaon apne kamre me laut aya...
Update 5

“ Subedaar jalal abad “ aqa e tabrezi ne bilal


shams k kamre me tehelte hue 10 bar ye
naam duhra chukka tha phir kaha

Tabrezi : subedar jalal abad ?? lekin me kisi


aise subedaar ko nahi janta … kya huliya
bataya bilal tumne ?? …. Mujhe yaad nahi
padhta k mein kabhi aise shakhs se mila
hun … bilkul yaad nahi aa raha … isne bataya
nahi k akhir kis maqsad se who mujhse milna
chahta tha … kher mein uska yehi intzar
karta hu ..

Bilal Shams : janab mujhe ye samajh nahi aa


raha k who kyu milna chahte hai aap se

Tabrezi : shayad who apne ya apne kisi azeez


ki tasweer banwana chahte ho .. yehi baat
hogi , isse ziyada ehm baat who mujhse kya
karenge ?? mein wazeer na ameer , na koi
bada uhde dar aik aam sa painter aur koi
kam to ho nahi sakta …
Bilal Shams ne dono khidkiyan khuli chodi
thi aik who jo gali me khulti hai aur dusri jo
haveli k lawn me khulti hai , who bari bari
dono khidkiyon se jhank raha tha k subedar
jalal abad aye to usey pata chale aur fauran
apne ustaad ko khabar kare .. lekin har bar
nigahein nakam lautti .. akhir kar sham k 7
baj gaye aur subedaar jalal abad ne bhi 7
baje ane ka kaha tha .. magar subedar jalal
abad ka kahi ata pata na tha .. tabrezi ne
thak haar kar kaha

Tabrezi : bhayi who shakhs ayega bhi k


nahi ?? kyat um ne dekha nahi k 7 baj chuke
hai ??
Who dubara khada hua aur kamre me
tehelta hua bilal shams k banaye hue
tasweeron ko dekhte hue kaha

Tabrezi : jalal abad ka subedar ! kon shakhs


hai ye … hairat hai me khud kabhi jalal abad
nahi gaya phir who mujhe kaise janta hai …
usne apna koi nam nahi bataya kya ..

Bilal Shams :- nahi mein usse aur kuch


poochta usse pehle hi who tashreef le ja
chuke the , who apne chal dhal , libaas aur
guftugu se waqi muazzaz aur achi haisiyatk
nazar ate the .. unke pagdi me jo heera tha ,
mein ne aaj tak itna bada aur qeemti heera
nahi dekha .. mera khayal hai janab is heera
ka ….

Bilal bol hi raha tha k tabhi uske kamre ka


darwaza bgher awaz k khula aur jalal abad
ka subedaar andar dakhil hua .. magar ajeeb
baat ye thi k woh na bahar k gali se aya tha
aur na lawn se ate hue bilal ko nazar aya
tha .. bilal ne jaldi se dono ka tarauf karte
hue kaha

Bilal Shams :- janab muazzaz mulaqati


tashreef le aye hain ( Subedaar se ) ye hain
muhtaram aqa e tabrezi jin se aap mulaqat
karna chahte the

Dono ne aik dusre ki taraf dekha .. tabrezi


apni jagah but bane khada tha .. is ne hath
milane k liye hath bhi age nahi kiya tha itna
bhi jurrat nahi hua usey .. subedar ne dehekti
hui aankhein tabrezi par daali .. bilal shams
ne dekha k in aankhon se chingariyan si
phhoot rahi hain .. chand lamhein kamre me
bhayanak khamoshi chhayi rahi , aisi
khamoshi jisme ustaad aur shagird , dono aik
dusre k dil ki dhadkanein bakhubi sun rahe
the
Subedar jalalabad ne bhaari aur rob daar
awaz me kaha

Subedaar Jalalabad :- tabrezi mujhe tumse


aik zaroori baat karni hai

Tabrezi ne bade izzat aur dare hue lehje me


kaha

Tabrezi :- farmaiye janab me sun raha hu ,


magar kya ye acha nahi hoga k hum dusre
kamre me bethe jahan aap ke liye acha
intzam kiya gaya hai
Subedar jalalabad :- nahi who baat yehi hogi
aur bethne k liye mere pas waqt nahi …
mujhe fauran wapis jana hai .. samjhey ???

Tabrezi ne thar thar kaanpte hue kaha

Tabrezi :- samajh gaya janab … farmayie me


har hokum ki takmeel k liye tayyar hu ..

Chand hi lamhe me iski haalat kharab ho


chuki thi .. ab who subedaar k samne aik
ghulaam ki tarah haath bandhe khada tha ,
halanke aqa e tabrezi who shakhs tha jo
shahenshah k ilawa kisi k samne jhukna janta
hi nahi tha .. bade bade aadmiyon ko apne
darwaze se ye keh kar bhej deta tha k
mulaqat ka tym nahi hai .. waise bhi apne
zamane ka awal number painter tha , magar
ab wohi tabrezi aik maamuli subedaar k
samne paltu kutte ki tarah dum hila raha
tha ...
Update 6

tabrezi ne gerdan jhuka kar kaha


Tabrezi :- huzoor kya pehle bhi aap se
mulaqat hui hai meri ??
Subedar ne muskura kar kaha

Subedar :- nahi ye pehla mauqa hai k tum


humsey mil rahe ho .. hum chahte to
tumhein bhi apne ilaaqe me bhula sakte the
magar phir socha k hum hi mil le tumse ..

Subedaar ka andaz aisa tha jaise who apne


khareede hue ghulaam se baat kar raha ho ,
tabrezi ne kaha

Tabrezi :- meri khushnaseebi hai janab k aap


mere ghareeb khane me tashreef laye .. be
takleef irshad farmaiye me aap ki khidmat
me kya kar sakta hu ..

Subedaar ne bilal shams ki taraf dekha jo dar


ke mare apne ustaad k peeche khada tha ,
subedaar ne dehekte hui aankhon se usey
dekha aur kaha

Subedaar :- Tabrezi kya ye ladka qabil e


aitmaad hai ..
Tabrezi :- be shak sarkar , ye mera nihayat
honhar shagird bilal shams hai aur har tarah
se bharose k qabil hai ..

Subedaar ne apne jeb me hath dal kar aik


medium size ka dabba jo hathi daant se bana
hua tha nikala aur bilal shams ko dete hue
kaha

Update 7

Subedaar :- boht khoob .. isme kuch jawahir


aur zewar hai .. is naujawan ko hokum do k
abhi ye dibba ksi ache johri k pas le jaye aur
in tamam zar o jjawahir ki maalliyat ka
andaza karwa kar wapis laye .. jitni qeemat
hogi who kaghaz pe likh k sath laye ..

Bilal shams ne who dabba bagher khole hi


apne coat k jeb me rakha aur gerdan kham
kar ke darwaze se bahir nikal gaya .. iske
hath ,per kaanp rahe the ..is kefiyat par
qaabu pane ki har koshish nakaam ho rahi
thi .. aisa lagta tha jaisa koi badrooh iske
taaqub me ho … haveli se bahar nikal k iske
hosh o hawas iske qaabu me aye aur zehen
kam karne k qabil hua … who hairan tha k
sube daar jalal abad kya aisi ehm baat k liye
tabrezi k pas aya hai ? akhir apne is zaro
jawahir ki qeemat khud bhi kisi johri se laga
sakta tha .. phir isne aaqa tabrezi ko is kam k
liye muntakhib kyu kiya ? Bilal shams jitna is
sawal jitna is sawal par sochta , itna hi
pareshan hone lagta .. ye aisa muamla tha jo
is ke liye na qabil e fehm sabit ho raha tha …

Do teen bazaron se nikal kar who aik chhoti


si gali me dakhil hua jahan fanooson aur
mashghalon ki roshni mein goya din nikla
hua tha .. sheher ka sarafa bazaar tha aur
naqi garami johriyon k dukan yehi the .. in
me se kayi johri isey achi tarah se jante
pehchante the .. kyu k who inke tasweerein
bana chukka tha .. apne janne wale aik johri
k dukan par pohonch gya aur who dabba
nikal k iske samne rakha.. johri ne is dabbe
ko dekha aur kaha
Johri :- aao miyan kaise ana hua ?is dabbe
mein kya laye ho ?

Bilal shams ne phula saans ko drust karte


hue kaha

Bilal Shams :- mujhe koi khabar nahi isme


kya hai ? . aqa e tabrezi k pas aik muazaz
mehman tashreef laye hai ye dabba unka hi
hai aur who farmat hai k iske andar jo kuch
bhi hai iski maaliyat aik kaghaz par likhwa
kar laye ..

Johri ne ehtiyat se dabe la dhakkan khola aur


hairat se iske aakhein phel gayi .. dabba
upper tak sone aur jawahir se bhara tha .. tez
roshni in jawahir par padi to ye chamakne
lage ..

Johri :- Khuda ki panah .. in ki qeemat ka


mein kya andaza lagau .. mera khayal hai k
hazrat shehenshah k jawahir khane me bhi
aise nadir aur nayab pathar na honge bahar
hal inki qeemat ka sarsari andaza kayi laakh
rupey k lag bhag hoga ..

ye dabba bajaye khud khasi qeemat ka hai


aur mein dekhta hu be had purana bhi ,
taaham isey badu hifazat se ab tak rakha
gaya hai ..
Johri aik aik heera uthata aur dewaana war
uchalta aur iski taareef karta , johri ko
istarah nachta dekh kar bilal shams ne
dheere se kaha

BIlal Shams :- mujhe wapis bhi jana hai kya


aap inki maaliyat tehrir kar ke denge
Johri :- kyu nahi abhi deta hu

Johri ne apni tijori khol kar usme se khas


kaghaz nikala aur zara si der me hisaab
kitaab kar k bilal shams k hawale kiya ..

Bilal shams ne bade ahtiyat se sare zar o


jawahir wapis us dabbe me dala aur usey
apne coat k jeb me rakha aur salam kar k
rukhsat hone laga to johri ne kaha ..
JOhri :- Dekho mian agar is maal ko bechne
ka irada ho , to seedhe yaha ana , inka dam
thoda badh sakta hai , mein tumhe dusro se
ziada daam dunga in ka ..

Bilal Shams :- janab abhi tak iske bare mein


socha nahi hai kyu k inka malik who
mehman hai so ab me chalta hu shukriya..

Bilal shams waha se rukhsat hone k bad


wapis haveli me aya to dekha k tabrezi aur
subedar uske kamreme bethe kuch baat kar
rahe hai ..woh waha gaya aur bade adab se
who dabba subedar ko diya aur phr who
kaghaz bhi diya jispe inki maliyat likhi thi ..
subedar ne be parwahi se who dabba aik
taraf rakha.. phir kaghaz ki taraf nigah dali
aur who kaghaz tabrezi ki taraf badhaya ..
tabrezi ne isey padha , iske chehre per khauf
k phele hue asaar k sath sath ab hairat k
asaar bhi shamil ho gaye …

Bilal shams ne waha se rukhsat lena chaha


magar tabrezi ne usey wahi rukne ka hokum
diya , zahir hai aisa ba aitmaad naujawan se
koi baat chhupayi nahi ja sakti thi , who aik
janib ja ke khada ho gaya ..

Tabrezi :- janab e wala aap ne abhi tak ye


nahi bataya k aap is khadim ( Naukar ) k
ghareeb khane tak ane ki asal wajah kya
hai .. zahir hai zar o jawahir ka dam malum
karwane to nahi ayenge aap ..
Subedar :- beshak mere ane ka aik khas
wajah hai ..

Bilal shams usey dekh raha tha k who bagher


palakein jhapkayein tabrezi se baat kar raha
tha aur uske me ajeeb taqat thi .. bilal shams
ko aisa lag rha tha k usko dekhne ki wajah se
who kamzor padh raha hai , tabrezi ne kaha
Tabrezi :- bayan farmaiye me sun raha hu ..

Subedar :- Suno ! koi char mah pehle ka zikar


hai tum humare jaagir jalalabad k qareeb se
guzre the … pata nahi tum humare qasbeh k
andar dakhil nahi hue warna humare aadmi
tumhe fauran humse mila dete … hum ne
tumhari tareef suni hai tum boht ache
Mussawwar ( painter ) ho .. kher tumhara
qaafla qasbeh k bahir hi ruk gaya tha.. aik
khaas wajajh k baayis hum tumse milne aa
na sake .. tum namaz padhne k liye wahi pe
aik weeran pade masjid me gaye the .. mein
ne wahi tumhe tha aur tumhari bhanji
fatima .. hum ne fatima ko dekha aur pasand
kar liya .. who husn o jamal me yakta hai aur
is qabil hai k kisi bade ghar me biyahi jaye ,
agarche hum bade jageerdar nahi lekin tum
dekhte ho k humare pas badshaho se kahi
guna ziada maal o daulat hai , agar tum
Fatima ko humare nikaah me de do to who
har tarah se khus rahegi .. Fatima ka nikah
tum kab tak mere sath kar sakoge … me
pukhta waada chahta hu aur is silsile me koi
taakheer ya tal matol pasand nahi karunga ..
Aqa e tabrezi per is taqreer aur be jaa
mutable per jo guzri so guzri , naujawan
mussawar ( painter ) bilal shams ka mare
ghusse k bura haal ho gaya .. is ka bas chalta
to who us khabees aur badsurat budhe
subedar ka sar paash paash kar deta .. kya
who pathar k chand chamakdar tukdon k
badle Fatima ko khareedna chahta hai aisa
kabhi nahi ho sakta .. har giz nahi ho sakta ..
is ka chehra laal ho gaya tha jaisa badan ka
sara khoon khinch kar chehre aur aankhon
me simat aya ho ..

who samajh raha tha k ab aqa e tabrezi k


sabar ki intiha ho chuki hogi.. jalalabad k is
ehmaq subedar ko iski maut hi yaha kheench
layi hai .. kis gustakhi aur be baki se Fatima
ka sauda kar raha hai … koi bhi ghairat
manda aadmi isey bardasht nahi kar sakta ..
lekin ll is ne dekha k aqa e tabrezi isi tarah
be his o harkat betha raha .. iske moon se
mukhaalfat ya inkar ka aik bhi alfaz na nikal
saka .. albata is ke chehre per pheli hui hairat
k asaar ab aur bhi gehre ho gaye the .. khud
isey bhi subedar jalalabd se is qisam k
mutable ki tawaqquh na thi

Update 8

albata is ke chehre per pheli hui hairat k


asaar ab aur bhi gehre ho gaye the .. khud
isey bhi subedar jalalabd se is qisam k
mutable ki tawaqquh na thi .. akhir is ne had
o darjah nidamat aur inkisaar ameez lehje
me kehna shuru kiya
Tabrezi :- Aali jaah me ne aap ka irshad sun
liya .. meri ye khush qismati hai k aap ka
intikhab meri bhaanji Fatima hai .. yaqeenan
isey aap se behtar shauhar nahi mil sakta
afar mere ekhtiyar me ho to me abhi isi waqt
haan kar deta , lekin aap jante hai k me ne
aaj tak Fatima par apni raye ya marzi
musallath nahi ki , hamesha isey apne
muamlat me azadi se sochne aur amal karne
ki ijazad di ha aur ye to iski zindagi ka sab se
ehm muamla hai is se mashwara kiye bagher
me koi wada kaise kar sakta hu ..

Ye sun kar subedar ko boht ghussa aya ,


aankhein ghusse ki wajah se aur bhi laal ho
gayi , isne gharraya to iski awaz haveli k
dewaaron se takra takra kar goonj rahi thi
jaise senkdon bad roohein chilla rahi ho

Subedar :-bahane banana ki koshish mat kar


tabrezi .. me sab samajhta hu tumhare in
chaal baziyon ko .. tum hi uske sarparast
ho .. bolo kya me ghalat keh raha hu .. agar
tum chaho to sab kuch mumkin hai .. Fatima
ko tumhare hokum na manne ki majal hi
nahi hai aur mujhe Fatima pasand aa gayi hai
to me usey hasil kar ke rahunga ..

Tabrezi :- mujhe is rishte se koi inkar nahi


hai .. me to is muaamke me sirf Fatima k raza
mandi hasil karne ki kar raha tha .. ap daulat
k zariye Fatima ko sari khushiyon denge
lekin rishte nate karne me sirf daulat hi to
nahi dekha jata , hasb nasb bhi koi cheez hai
aur hum is muamle me kafi sakht hai ..
mujhe abhi tak aap k hasb nasb k bare me
kuch bhi janne ka mauqa nahi mila ..

Subedar muskuraya aur apne siah Libada


( long coat ) k andar hath dal kar purane
kaghaz nikale aur tabrezi ki taraf phenk kar
kaha

Subedar :- mujhe pata tha tum yehi sawal


karoge , isliye apne shajre ( family
baground ) k kaghzaat sath hi le aya..

Tabrezi ne khuk kar who kaghaz uthaye aur


aik nazar dekhne laga aur kuch sochne laga
usey itminan ho gaya aur who kaghaz wapis
dete hue kaha

Tabrezi :- mujhe itminaan ho gaya hai aali


jaah k aap boht aala hasb nasb k malik hai ..

Tabrezi age kuch bolne hi wala tha k subedar


ne kaha

Subedar :- bas to phir takheer na karo

Aur apne libaade ( long coat ) k jeb se aik aur


kaghaz nikala aur tabrezi ko diya aur kaha
Subedar :-ye humare aur tumhare darmiyan
aik muahida ( dealv) hai jis ke tehet me apna
zar o jawahir se bhara hua ye dabba tumhare
paas chodh k jaa raha hu .. iski wusooli ki
raseed mujhe do aur kaghaz pe likho k
Fatima ki shadi mujhse kar do ge .. me ziada
dhoom dhadaka pasand nahi karta … ye kam
bilkul khamoshi se hona chahiye … ab fauran
is par dastakhath kar k mere hawale karo ..

Tabrezi :- magar .. huzoor .. itni jaldi .. mujhe


kuch ghaur karne ka mauqa to dijiye ..

Subedar ne ye sun kar qehqeha laga kar kaha


SUbedar :- mauqa ! mein ne har tarah
tumhari tassali kar di hai aur tum ho k
barabar bahane bana rahe ho .. jald
dastakhath karo .. mera khayal hai aik din ki
muhlat kafi hogi ..

Isne phir apne libaade ( long coat ) me hath


dal kar qalam nikala aur kaha

Subedar :- agar tumhare pas qalam nahi hai


to ye lo mere pas hai ..

Tabrezi ne qalam siyahi me dala aur kaanpte


hathon se dastakhath kiya …

Subedar :- idhar aao naujawan tum bhi bator


e gawah dastakhath karo..
Aik khareede hue ghulam ki tarah bilal
shams ne bhi us kaghaz per dasatakhath kiya
jiske teheth sirf aik din baad jalalabad ka
subedar hamesha k liye Fatima ka malik ban
jane ka haq rakhta tha ..dastakhath hote hi is
ne muahide ka kaghaz lappet kar apne
libaade (long coat) k jeb me rakh liya aur
darwaze k qareeb jate hi bola

Subedar :- tabrezi me kal raat theek 9 baje


tumhare makan per pohonch jaunga aur ye
kehne ki zaroorat nahi k humare darmiyan jo
tehreeri muahida hua hai , tum har tarah iski
pabandi karoge ..
Ye kehte hi rukhsati salam aur musahfa
( hath milana ) k bagher who darwaze se
bahir nikal gaya .. bilal shams lapak kar gaki
ki janib khulne wali khidki me jaa khada
hua .. gali sunsan padi thi aur isey pura
yaqeen tha k ab who us subedar ko is raste
se jate hue zaroor dekhega magar waqt
guzarne laga subedar gali me dakhil hi na
hua .. na who haveli k main darwaze se bahir
gaya .. balke who to haveli k kisi darwaze se
bahir jate hue nahi dikhe ..

Update 9
gali sunsan padi thi aur isey pura yaqeen tha
k ab who us subedar ko is raste se jate hue
zaroor dekhega magar waqt guzarne laga
subedar gali me dakhil hi na hua .. na who
haveli k main darwaze se bahir gaya .. balke
who to haveli k kisi darwaze se bahir jate hue
nahi dikhe ..

ye aik aisi dehshat angez daryaft thi , jis ne


naujawan musawar ( painter ) ko hila k rakh
diya tha .. who sochne laga ye subedar kon
hai ? kahi insane shakal me koi bhoot , prêt
ya koi jin to nahi ? phir usne apne aaqa ko
dekha jo gum sum apni jagah khade the ..
bilal shams ko wapis ate dekh kar usne
thandi sans bhar kar kaha
Tabrezi :- mujhe to lagta hai ye shakhs sanki
hai .. yehi jalal abad ka subedar … lekin isme
koi shak nahi k aadmi daulat mand aur
khandani hai … mein hairan hu k isne Fatima
ko kaise dekha ? waqi 4 maah pehle me
hazrat khwaja mueen uddin k roze ki ziyarat
k liye gaya tha aur Fatima mere sath thi ..
mujhe yaad nahi aa raha me jalal abad nam k
koi jageer bhi ayi thi , lekin who to yahan se
khaasi door hai .. kya khayal hai tumhara
bilal … Fatima ki shadi aise aadmi se theek
rahega ..

Kaash ! kaash ! aqa e tabrezi ko in dono k


muhabbat k bare me pata hota , tab who ye
sawal bilal shams se na karte .. naujawan ne
badi mushkl se apne aansu rok rakhe the ,
lekin is bardasht k bawjood is ke dil dil ki
gehrayion se aik sard aah nikal hi gayi …who
ladkhadya aur agar tabrezi age badh kar isey
na sambhaalte to who aundhe moon farsh
per gir jate ..

Tabrezi aur bhi pareshan ho gaye aur pooche

Tabrezi :- tumhari tabyat to theek hai na ??


tum ne aaj khana bhi nahi khya ..

Bilal shams ne khud ko sambhal kar kaha

Bilal shams :- mujhe aaj bhook lagi hi nahi


janab .. bas waise hi aik chakkar aa gaya
tha .. ab aap apne mehel me tashreef le jaye
mujhe le jaye aur mujhe ijazar dein .. aik
zaroori kam se mujhe bahir jana hai me raat
ko shayad wapas na aa sakunga .. baba afzal
baig se keh dijiyega mera intzar na karein …

Who darta tha kahi is ke aur Fatima k


muhabbat ka raz fash na ho jaye .. yaqeenan
jazbat k hathon majboor ho kar who koi aisi
harkat kar bethega jis se ye raaz khul sakta
tha .. lihaza haveli se chale jana hi munasib
tha …

Tabrezi hiron aur jawahiron se bhara who


dibba sath liye aur Fatima k sone k kamre me
gaya .. isey pura bharosa tha k Fatima iski
baat nahi talega .. tabrezi ne Fatima se kaha
Tabrezi :- Fatima beti kaise ho ??? tabyat
kharab lag rahi tumhari ..

Fatima :- ab to theek hu mamu jan .. aap kal


apne us tabeeb ( doctor ) dost ko bulwa lijiye
jisne pehle bhi mera ilaaj kiya tha .. kal se
mera jee ghabra raha hai aur kaleja betha
jata hai .. sar me chakkar aate hain aur ajeeb
tarah k darawne khawab nazar ane lage
hain ..

Tabrezi ne uske sar pe hath pherte hue kaha

Tabrezi :- acha ! kisi ne mujhse zikar nahi


kiya is bare me … kher tabeeb (doctor) bhi
kal aa jayega .. ab tum aik khushkhabri
suno … beti tumhe pata hai na tum mujhe
dunya k har cheez se ziada azeez aur piyari
ho … mein ne tumhare liye aik aisa aadmi
chuna hai jo tumhe pasand karta hai aur
mujhe yaqeen hai who tumhe hamesha
khush rakhega .. iske pas maal o daulat ki bhi
koi kami nahi … aaj who mere paas aya
tha … ye dekho … tumhare liye who kitne
qeemti heere aur kaise umda zewar laya
hai … who jalal abad ka subedar hai
beti …me uski shakhsiyat se boht mutasir
hua hu …

Ye keh kar us ne who dibba khol kar heeere


dikhane laga , magar Fatima ne nazar utha
kar aik martaba bhi is dabbe ki taraf na
dekha , balke aik dum isne dono hathon se
apna chehra dhaanp liya aur buri tarah rone
lagi … ye to is ne kabhi socha bhi na tha k is
tarah is k jazbat kuchal diye jayenge aur yu
daulat k badle uske jism o jan ka sauda hoga.
Tabrezi ne ye dekh kr kaha …

Tabrezi :- mein ne ye sab kuch tumhare


shandar mustaqbil k liye kiya hai beti …kahi
na kahi aakhir tumhari shadi to karni hi thi
aur me samajhta hu aisa shauhar tumhe na
milta … who tumhe boht pasand karta hai
aur me ne is bharose par k tum apne mamu
tabrezi ko zaleel hote dekhna na chahoge ,
haan kar di … ab who kal sham 9 bajje
ayega , isi waqt tumhara nikah hoga aur phir
tum rukhsat ho jaoge …

Fatima ne koi jawab na diya .. jawab dene ka


mauqa tha bhi kaha .. sab kuch to tabrezi ne
keh diya tha .. uske haseen khuwaab chikna
choor ho chuke the … bilal shams se jo iski
shadi nahi ho rahi thi .. who ghareeb tha jo
shayad aik naya jorha bhi Fatima ko khareed
kar na de sakta tha … magar Fatima ko to
kuch nahi chahiye uske pyar k siva … aur
Fatima ko na zevar … heeere … jawahirat aur
kisi subedar me dil chaspi thi … tabrezi ne
iske aarzuon , umeedon aur khuwahishon ka
ghalat andaza kiya tha ..

Update 10
Agle roz bhi tabrezi waqt ka bada hissa
Fatima ko samjhane aur mustaqbil k roshan
tasweer dikhane me lagaya .. Fatima ne is
dauran aik lafz bhi mu se na nikale aur na
kuch khaya piya tha .. aik din meis ke chehre
ka rang roop sab ghayab ho gai …
Dopeher ko bilal shams haveli me dakhil
hua … usey dekh kar lag raha tha k who boht
roya hai sari raat aur soya bhi nahi hai uske
chehre pe aansuon k nishan ban gaye the ..
baal bikhre hue the aur kapde bhi mele aur
gande … ye dekh kar tabrezi ko bada jhatka
laga aur age badh kar usne bilal shams ka
hath pakda .. to usey pata chala k bilal shams
ka badan aag ki tarah garam hai .. tabrezi ne
chilla kar kaha

Tabrezi :- tumhe to boht tez bukhar hai


bilal .. me abhi tabeeb (doctor) ko bulata
hu .. do din se Fatima ki bhi tabyat theek
nahi hai kehti hai sar chakrata hai ..
Naujawan ne ruk ruk kar aur nihayat adadb
se iltija (request) kiya ..

Bilal shams :- aap barah e karam mere liye


tabeeb ko bulane ki zehmat na karein.. mein
is qisam k bemariyon ka aadi hu , albatta aap
se ye darkhwast kar sakta hu k filhal aap
Fatima k liye bhi tabeeb ko na bulaye … aap
subedar k sath kiye hue wade ki tayari
karein … agar tabeeb ki wajah se isme ziada
waqt laga to subedar naraz ho jayega …

Tabrezi ne khush hote hue kaha

Tabrezi :- sach kehte ho .. sach kehte ho ..


abhi tum apne negrani me haveli ki safai
waghera karwa do , naukar ate hi honge ..
iske baad bade kamre mein muazzaz
mehmanon k bethne ka intzam karo … raat k
khane per tum bhi humare sath shirkat
karoge … bahir se kisi ko bulane ka mera koi
irada nahi hai …

Naujawan ne apne ustaad k hokum per pure


haveli ko aayine ki tarah chamka diya aur
bade kamre me naye qaleen bicha diya gaya
aur aik taraf shandar sofa Dulhe k liye
banaya gaya .. shahi rakabdaron ( cheff ) se
kayi khane pakwaye gaye aur inhein
muazzaz mehman k ane se pehle hi rukhsat
kar diya gaya …

9 baje me abhi chand hi mins baqi the …


haveli me is waqt nikah karane wala qazi ,
iske do shagird , tabrezi , baba afzal baig aur
bilal shams k siva koi na tha .. qazi se tey paa
chukka tha k nikah ka rasam hote hi who
tashreef le ja sakte hain ..

Jaise hi 9 baj gaye to haveli per aik haibat


naak sukoot tari hua .. haveli me maujood
har aik shakhs k dil me khauf chha gaya
tha .. tabhi beruni darwaze k khulne ki awaz
ayi aur dono bhari darwaze gadgadahat k
sath alag hone ki awaz ayi aur phir sehen me
qadmon k awaz ayi … phr kamre me subedar
jalalabad apne sari aan baan liye dakhil
hua … hasb e maamool uska libaas sar se
lekar paaon tak kaala , hathon per charhe
hue dastaane , joote aur jarabein bhi kale ..
jo chharhi iske daye hath me thi who bhi
kaali …
Tabrezi lapak kar iske istiqbaal ko age badha
aur usko uske jagah per bithaya .. subedar ne
joote utarne tak ki bhi zehmat na ki ..
haqarat ki nazar se idhar udhar dekha aur
bhaari awaz me kaha

Subedar :- tabrezi mere paas ziada waqt nahi


hai fauran nikah ki rasam ada honi chahiye …

Tabrezi :- boht behtar janab .. sab log hazir


hai …

Us ne bilal shams ko ishara kiya … who dusre


kamre se nikah khwaan aur uske do
shagirdon ko bula laya.. inhon ne ate hi
muazzaz mehman ko salam kiya .. qazi ne
nikah ka rasam shuru kiya , aik laakh ashrafi
mahar k badle Fatima ki nikah subedar k sath
ho gayi ..is tamam arse me aik baar bhi
subedar ne palak nai jhapkayi .. aisa lag raha
tha jaise iske palkein masnuyi ( fake ) hai aur
inme jhapakne ki hiss nahi hai ..

Aik pur israar si haibat tamam haazireen per


chhayi hui thi .. nikah ka rasam khatam hote
hi subedar ne apne jeb me hath dala aur
kuch ashrafiyan nikal k qazi ki taraf phenk
diye .. aik baar phir ekhlaaq aur adab k
marhale tey hue aur qazi sahab apne
shagirdon ko le kar rukhsat ho gaya…
subedar ne kaha

Subedar :- tabrezi dulhan rukhsati k liye


tayar hai ???
Tabrezi :- jee aali jaah … lekin aap khana to
khaa lijiye ..

Subedar :- nahi … humey boht jaldi hain ..


tum jante ho jalalabad yahan se khasi door
hai aur raste me dakuon , luteron ka khatra
bhi hai , isliye hum ziyad der pasand nahi
karenge .. haveli se bahir humari ghoda gadi
hai … fauran dulhan ko hamare sath kar do ..

Update 11
Ab yaha se shuru hota hai is dastan ka who
hissa hai jo Bilal Shams ne khud mere dada
ko sunaya tha k kaise who apne muhabbat
ko wapis hasil karne k liye gaya …

Fatima aur subedar k shadi se Bilal shams ki


dunya wiraan ho gayi , aafreen hai iske sabar
per k isne aik lafz bhi moon se shikayat k na
nikala …tabrezi phir bhi apne roz marrah ki
masrufiyat me gum ho gaya … isey ehsaas na
tha k bilal shams k dil o dimagh per kya beet
rahi hai .. aur who aik aisi aag me jal raha hai
jo is ki maut k sath hi thandi ho sakegi ……
Bilal shams ne apne aap ko mussawiri
( painting) k fun me dubo dene ki koshish
ki .. who 16 16 aur 20 20 gante apne tasweer
khane me masroof rehne laga .. iski halat roz
bar oz bigadhti jaa rahi thi magar isey hosh
tak na tha .. haveli ka budha chokidar afzal
baig isey kabhi kabhar samjhata bujhata ,
lekin be faida .. Bilal shams per ab ksi nasihat
ka asar nahi ho raha tha .. iski jaan chiraagh
ki tarah ahista ahista bhujti ja rahi thi ..

Waqt apni raftaar se guzarne lagi … aik


mahina … do mahine .. teen mahine … is
tamam arse me Fatima ki koi khabar tak na
ayi aur na hi iske shauhar ne tabrezi k nam
koi khath bheja ..tabrezi ne boht khath bheje
magar koi jawab na aya ..
Akhirkar tabrezi ne socha k jalalabad jaa ke
usse mil liya jaye aur phir bilal shams ko le k
jalalabad ki taraf rawana hua , logon se
pooch pooch kar tabrezi aur bilal shams
jalalabad ke Nawah ( sarhadi ilaaqa )
pohonche magar is waqt raat ho chuki thi
who aik ghar k bahir khade the …

Qareeb hi shandar nasal k do gode bandhe


hue the.. aur thodi door ghoda gadi ki baghi
khadi thi .. jisey dekh kar tabrezi fauran
pehchan gaya k ye wohi ghode aur gaadi hai
jo jalalabad ka who purisraar subedar raat k
9 baje apne sath laya tha aur isi me who
Fatima ko bitha kar le gaya tha ..
Dono ne apni apni talwaarein nikale .. inka
khayal tha k shayad yaha subedar k aadmi
ho aur koi fitna fesaad barpa karein .. magar
chand lamhe baad 70ya 80 saal ka aik budha
makan k andar se bahir aya aur inhein dekh
kar kehne laga

Budha :- aap kon hai aur kya chahte hai ??

Tabrezi :- mujhe subedar jalalabad se milna


hai … bade miyan kya aap in ka patah bata
sakte hai ??

Budha :- subedar jalalabad …?? Mein nahi


janta who kon hai aur kaha rehta hai
Ye sun kar tabrezi ko ghussa aya aur usne
chilla kar kaha

Tabrezi :- tum jhoot bol rahe ho …kya ye


gode aur gadi usi ki nahi hai ??

Budha :- janab ! aap itminaan se meri baat


sunein , to arz karu … barah e karam apne ye
talwarein niyam me dalein mera koi irada
aap ke sath jang karne ka nahi hai .. ayiye
kamre me tashreef laiye ..

Who inhein aik saaf kamre me le gaya , jahan


aik taraf bistar padhe hue the aur aik taraf
kursiyan rakhe hue the , who bistar per
bethte hue kaha
Budha :- in ghodon aur bagghi ki dastaan
bhi ajeeb hai janab ..

Update 12

Tabrezi aur bilal shams bhi kursiyon per beth


gaye , budhe ne age bolna shuru kiya

Budha :- mera nam zegham hai aur me is


ilaaqr me 50 saal se abad hu .. aisa ajeeb o
ghareeb waqiya mujhe pehle kabhi pesh na
aya .. ye koi aik saal pehle ki baat hai .. suraj
ghuroob ho chukka tha .. mere bête aur pote
aik taqreeb me gye hue the aur me yaha
tanha tha ..is ilaqe me suraj ghuroob hone ka
manzar boht haseen hota hai aur me isey
bade shauq se dekhne ka adi raha hu , to me
tehelte tehelte apne makan se zara door is
sadak per nikal aya jo sidha jalalabad k
abadiyon ki taraf jata hai …

Abhi me suraj ko doobte hue dekhne me


khoya hi tha k mujhe is raste se ate hue aik
shandar ghodon ki gadi dikhi .. dekhte
dekhte gadi mere qareeb aa kar ruki .. ghode
pasine se naha rahe the pata chal raha tha k
boht door se aa rahe hai .. aur ghoda gadi
me kaala libas pehne , hathon me lamba sa
chabuk thaame aik mazboot jism ka aadmi
tha …who chhalang laga kar neeche utra ..
pehle usne dono ghodon k gerdanon per
hath phera .. mein ne dekha ghode na
maaloom dehshat se kaanp rahe the .. aur
phir is aadmi ne hath gadi k andar badhaya
aur aik haseen o jameel ladki ko sahara
dekar bahir nikala … mein ne aisi khubsoorat
aurat zindagi me pehle kabhi nahi dekhi ..
who shadi k kapdon me thi , lekin ye dekh
kar mujhe boht hairani hui k who zaar o
Qatar ro rahi thi

Tabrezi k ankhon se aansoo girne lage aur


uske zabaan se ye alfaz nikle

Tabrezi :- Fatima … meri Fatima … mujhe


muaaf karna fatima mein ne tum per boht
bada zulm kiya

Budhe zegham ne poocha

Zegham :- kya who ladki tumhari koi azeeza


ya beti thi ??
Tabrezi ne ghum se nidhal hote hue kaha

Tabrezi :- haan who meri haqeeqi bhaanji


hai .. mein usi ki talash me mara mara phir
raha hu .. jisko tum ne uske sath dekha who
khud ko jalalabad ka subedar bata raha tha
aur me ne apne bhanji ki shadi uske sath
karadi … kher tum age sunao ..
Zegham :- ladki uske panje se azad hone k
liye hath paaon mar rahi thi aur uske rone ki
awaz mazeed buland ho gayi .. mujhse raha
na gaya .. me ne awaz de kar kaha .. “ kon ho
tum aur is bechari se aisa sulook kyu kar
rahe ho “ jawab me us shakhs ne is zor se
thappadh mara k me zameen per gira aur pir
mujhe apne tan badan ka kuch hosh na
raha … aankhein khuli to me abhi tak usi
jagah padha tha .. aasman par tare jhilmila
rahe the .. me ne gerdan utha kar daye baye
dekha .. ap mere hairat ka andaza nahi laga
sakte jab me ne ghoda gadi ko usi jagah
khada paya … khuda jane who purisraar
shakhs us ladki ko lekr kaha ghayab ho gaya
tha .. uske thappadh se mere gerdan aur
jhabre buri tarah se dukh rahe the .. qissa
mukhtasar me ne uth kar gadi k pas gaya aur
andar dekha to paya andar koi na tha ..phir
me ghoda gadi ko lekar apne makan k pas
laya .. mere bête aur pote k ane pe mein ne
sara qissa unhein bataya to who meeelon tak
k khandar aur jalalabad chhan mara , na who
purisraar shakhs kahi mila aur na hi who
ladki ..

Update 13
Is dastaan ne tabrezi aur bilal shams dono
per ajeeb asar dala .. aik ki ankhein tar thi
aur aik ki khushk .. aik Fatima ka sab kuch
tha aur aik kuch bhi nahi .. aik ka ghum
zahiri tha aur aik ka andruni .. jab who wapis
aali shan haveli me pohonche to murdon se
bhi badtar the ,,, is safar me tabrezi per ye
haqeeqat bhi zahir hui thi k bilal shams k
tasawuraat aur khayalat per kis ki hokumrani
hai …

Kayi mahine guzar gaye .. tabrezi apni


bhaanji aur is ke pur israar shohar ki talash
aye din mara mara phirta , lekin kahin se koi
suraagh na milta … talash ki har aisi muhim
( planning ) me bilal shams iske sath hota ..
sardiyon k din the , ustaad aur shagird dono
raat k khane se farigh ho kar aatish dan k
qareeb gardanein jhukaye bethe the .. tabhi
sadar ( main ) darwaze ki janib se musalsal
dastakon ki awazein sunayi dene lagein ..
who dono chonk kar aik dusre ki taraf takne
lage .. budha chokidar jaldi se darwaze ki
taraf daudha .. ye dono abhi kamre se nikal
kar haveli k sehen me aa gaye ..

Dastakein barabar dee ja rahi thi .. junhi


chhota darwaza khula , koi andar aya …
tabrezi aur bilal shams dono ki nigahein aik
hi waqt me ane wale par padhi .. aur in k
badan me khoon ki gardish tez ho gayi .. ye
Fatima thi .. iska libas phata hua aur chitdhe
se latka hua tha .. phool sa chehra kamla
gaya tha , aankhein zard aur andar ko dhansi
hui … who dhadam se farsh per giri aur
behosh ho gayi …

Tabrezi aur bilal shams dono be akhtiyar


usko uthane k liye lapke .. inhon ne usey
kamre me la kar atish dan k pas litaya ..
Fatima ka jism yakh ( thandi ) ho raha tha
aur hont neele padh chuke the .. chand
lamhon baad is ne hosh me akar aankhein
khili aur kaanpti hui awaz me boli …

Fatima :- pani .. pani .. khuda k liye mujhe


pani pilao.. pyaas se jan nikli ja rahi hai ..
Unhon ne jaldi se usey pani pilaya .. saans
liye bagher hi pura piyala pee gayi .. pata
nahi kab ki pyaasi thi ..

Fatima :- ab mujhe kuch khane ko de do ..


fauran .. warna me mar jaungi …

Kitchen se isi waqt bhune hue gosht ka aik


bada sa tukda laya gaya .. bilal shams ne isey
kaat kar Fatima ko khilana chaha , lekin isme
sabar ki itni bhi tab na thi , isne nawjan k
hath se jhapat kar gosht ka tukda cheena aur
danton se kat kat kar chabaye bagher
nigalne lagi , phir who apne hawas me ayi
aur isne pehli bar apne maamu tabrezi aur
apne mehboob bilal shams ka pehchana ,
phir sharam se chehra hathon me dhanp kar
rone lagi … tabrezi ne kaha ….

Tabrezi :- Fatima beti ye kya hal hai ? aur


who tumhara shohar kaha hai ?

Fatima :- who … who .. mamu jan .. khuda k


liye uska zikar na kiiye .. mein badi mushkil
se apni jan bachakar ayi hu .. who to najane
kon hai …

Tabrezi :- is waqt who kaha hain ? mein usey


tumhe tang karne ka maza chakhaunga ..

Fatima :- aah .. mamu jan der na kijiye .. jaldi


kisi ko bhejiye .. yaha shehr me koi acha sa
aamil zaroor hoga .. usey bulwa lijiye , warna
who mujhe kabhi nahi chodhega …

Tabrezi :- aamil ka yaha kya kam Fatima


beti .. mein us badmash se nipatne k liye
akela hi boht hu .. agar who ziada tezi
dikhaye ga , to shahenshah se keh kar usey
saza dilwa dunga ..

Fatima :- haye maamu jan .. aap samajhte


kyu nahi ..woh aadmi nahi , aik shareer jin
hai jis ne insani ism me akar ye shetani chaal
chala rakha hai … jald kisi aamil ko bulaye
aur haan mujhe aik lamhe k liye bhi akela na
chodha jaye .. ye sakhti se hidayat karti hu ..
agar aap ne mujhe tanha chodh diya .. to
who mujhe phir pakadh kar le jayega …
Update 14

Tabrezi aur bilal shams heart se Fatima k ye


ukhde ukhde aur be maani jumle sun rahe
the .. shareer jin .. shetani chaal … aamil ..
bilal shams ki nigahon k samne subdar
jalalabad ka bhayanak chehra aur jism aa
raha tha .. band darwaze se is ka aik dam ana
aur ghayab hona ..aahat kiye bagher chalna ..
phir itne qeemti heeere aur jjawahirat .. kya
dunya me aisa jinnati wujood bhi mumkin
hai jo haseen o jameel insaani ladkiyon se
shadi karein , isey apne sath le jaye .. akhir
kyu ? .. tabhi tabrezi ne kaha
Tabrezi :- ghabrao nahi Fatima .. ab who
khabees is havelo me dakhil hone ki jurrat
nahi karega … mujhe pehle bhi ye shak tha k
who koi boht bada jin ya bhoot hai .. mein
abhi afzal baig ko bhejta hu .. yaha shehr me
aik buzurg e amliyaat o taawezaat k fan me
aamil hai .. umeed hai in k amal se jin ka asar
khatam ho jaye ..

Inhon ne Fatima ko is ke khwaab gah me


pohonchaya .. who itni ghabrayi hui thi k
tabrezi ko iske pagal ho ne ka shak paida ho
gaya … who bar bar yehi kehti k isey akela
bilkul a chodha jaye .. inhon ne jhat pat
kamre k sare lightein jala di aur har khidhki
aur har darwaze ko achi tarah se band kar
diya ..
Abhi who is karwayi se farigh nahi hue the k
Fatima ne nihayat dare hue awaz me jaise koi
sargoshi karta hai , ye kaha

Fatima :- khuda ki panah .. who haveli me aa


gaya hai .. who haveli me aa gya .. mamu jan
isey rokein .. who mujhe lene aya hai … me
iske sath hargiz na jaungi … dekho .. dekho ..
woh raha .. ab who sehen se guzar kar mamu
jan k kamre me jaa chhupa hai ..

In alfaz k sath hi iske badan me tharthari


chhoot gayi , aankhein ubal padhi .. honton k
kinare jhaag se bhar gaye aur who be his o
harkat ho gayi ..
Bilal shams ne tabrezi ko wahi rehne ka
ishara kiya aur khud talwwar kheench kar
bahir nikala .. usey yu laga jaise aik insani
saya sehen se hota hua aqa e tabrezi k kamre
ki taraf chala gaya .. bilal shams daudha , is
ne kamre ka aik aik gosha achi tarah dekha ,
magar waha koi na tha .. albatta who ye
kehne k liye tayar tha k usne aik insane saya
ko tabrezi k kamre me jajte dekha .. dehshat
se bilal shams ka badan kaanpne laga .. aisa
lagta hai jaise is azeem ushan haveli me kisi
jagah koi nadeedah wujood zaroor hai aur in
ke tamam harkaton ka bakhoobi jayiza le
raha hai ,..

Bilal shams ne rumal nikal kar chehre per is


sardi me aya hua pasina poncho aur dubara
Fatima k khwaab gah me aya ..tabrezi ne
sawaliya nazron se bilal shams ki taraf
dekha .. id dauran Fatima bhi hosh me aa
chuki thi aur palak jhapkaye bagher hi bilal
shams ki taraf dekh rahi thi.. bilal shams ne
kaha

Bilal shams :- janab me ne haveli ka aik aik


kon chhaan mara , waha to koi nahi .. aisa
maalom hota hai Fatima begum koi darawna
khwaab dekh rhi thi , shayad ye isi ka asar
hai ..

Fatima :- har giz nahi… mein ne khud usey


haveli me dakhil hote dekha hai ye oonchi
oonchi aur bade bade darwaze uske raah me
rukawat nahi ban sakte .. mein usey achi
tarah janti hu … aah .. ab who is kamre me
aa gya hai .. who dekho .. who mere samne
khada hai ..

Us ne buri tarah cheekhna chillana shuru kar


diya .. tabrezi aur bilal shams dono talwar le
k idhar udhar phirne lage .. inhein who pur
israar subedar dikhai to na de rha tha lekin
uski maujoodgi mehsoos kar sakte the ..
Fatima ne dubara kaha

Fatima :- haye … isey bahir nikalein maamu


jan .. mein mar jaungi , khuda k liye mujhe
akela na chodhein .. warna who mujhe
ghaseet kar le jayega ..

Iske sath hi Fatima ne uth kar tabrezi ka hath


pakadh liya aur kaha
Fatima :- mein aapko yaha se bahir jane nahi
dunga maamu jan .. ap yehi rahenge .. isi
kamre mein .. warna yad rakhiye aap phir
kabhi meri surat na dekh payenge ..

Unhon ne boht mushkil se dubara Fatima ko


bistar per litaya .. uski halat lamha ba lamha
kharab hoti ja rhi thi aur jinno ka asar urooj
per nazar aa rha tha .. itne me aik safed posh
buzurg jiske chehre se nuraaniyat nazar aa
rha tha , afzal baig k sath andar dakhil hue ..
in k ate Fatima khamosh ho gayi aur kehne
lagi ..
Fatima :- who bhaag gaya .. is kamre se chala
gaya .. lekin is haveli se bahir jane ka irada
nahi rakhta ..

Tabrezi aur bilal shams ne buzurg ko adab se


salam kia .. phir tabrezi ne mukhtasar andaz
me subedar aur Fatima ka qissa buzurg ko
sunaya .. is buzurg ka nam syed akmal banuri
tha , aalimiyat me mutaz maqam rakhte the ,
in ke bare me mashhoor tha k inke chehre ko
dekh k hi bhoot , prêt aur shareeer jin bhaag
jate hai ..

Syed sahib ne kuch padh kar Fatima per dam


kiya , phir aik taweez dekar kaha k isey iske
gale me dala jaye .. aur iske inhon ne lohe k
chand keelein talab ki .. inpe kuch padh k
dam kiya aur kaha k inehein haveli k charon
aur thok diya jaye …

Jab tak syed sahib waha rahein Fatima per


sukoon nazar ayi , lekin in k rukhsat hote hi
isne aankhein khol di aur dubara cheekhne
chillane lagi .. itne aadhi raat hone ka ailaan
hua .. ailan khatam hone k sath hi haveli me
bepanah shor utha jaise aandhi aa gyi ho..
darwaze aur khidkiyan khud hi khulne aur
band hone lagi , tasweerein dewaaron se gir
kar tootne lagi .. bartan aur furniture aapas
me takra rahe the .. aik aik kar k haveli k sare
lightein bujh gaye .. haveli me qabar ki si
tareeki phel gyi .. is shor me Fatima k
cheekhne ki awaz barabar sunayi de rhi thi ..
Fatima :- maamu jan … bilal shams .. jald
roshni karo.. who andhere me war kare ga
jaldi roshni karo .. andhera khatarnak hai ..

Who dono Fatima k kamre me uske pas


bethe the dono chiraagh jalane k liye aik hi
waqt pe uthe .. inke bahir jate hi kamre se
holnak awaz k sath Fatima k khwaab gah ka
darwaza ap hi ap band ho gaya .. phir inhon
ne Fatima k cheekhein suney .. who dono
kamre ki taraf daude magar der ho chuki
thi , ye khatarnak aandhi ruk chuki thi .. afzal
baig shamma dan roshan kar ke laya ..
Fatima k khwaab gah ka darwaza band tha ..
inhon ne isey kholne k liye boht zor lagaya
magar be sood .. aisa lagta tha jaise koi
nadeeda quat is darwze k peeche hai ..
Fatima k cheekhne ki awaz musalsal inke
kaanon me pighle hue lohe ki tarah utar rhe
the , lekin who dono kuch bhi nahi kar sakte
the .. phir inhon ne is kamre me who khidhki
khulne ki awaz suni jo gali ki taraf thi ..is ke
sath hi Fatima ki aakhri awaz suni .. tabrezi
ne chillakar kaha

Tabrezi :- jaldi karo .. bilal shams .. udhar


jao ..woh shayad Fatima ko waha se le jane ki
koshish kar rha hai

Update 15
Bilal shams ye sun kar dodhte hue jab
chakkar laga kar us darwaze k samne
pohoncha to dekha khidhki khuli hui thi aur
tez hawa ki wajah se apne aap hi khul rhi thi
aur band ho rhi thi aur jab who wapis andar
aya aur darwaze todhne ki koshish ki to
darwaza khud ba khud khul gya .. who
diwaanon ki tarah kamre me dakhil hue ..
Fatima ka bistar khali padha tha .. inhon ne
khidhki se bahir jhanka .. magar gali sunsan
aur veeran padhi thi ..

Ye waaqya aisa na tha k chupa rehta .. boht


jald aag ki tarah Fatima k ghayab hone ki
khabar phel gayi .. shehenshah ne tabrezi ko
talab kar k sara waqya suna aur hairat ka
izhar kiya .. phir shehenshah k hokum se
jasoos pure mulk me phel gaye ….
Lekin sari koshishein nakam sabit hui .. Bade
bade aalimon ki khidmaat hasil ki gayi aur
inhon ne bhi senkdon jatan kiya magar laa
hasil … tabrezi isi ghum me sook kar kanta
ho gya aur ghul ghul kar mar gaya … marne
se pehle isne apni sari daulat aur jaidad bilal
shams ko sonp di thi , lekin bilal shams Is
daulat ka kya karta ? isey apna kuch hosh na
tha .. Dewaanon ki tarah chaak e gareban ,
deedah e garyan aur seena e baryaa , gali
kochon , shehron aur qasbon me awara
phirta k shayad kahin us mehbooba e dil
nawaz ki aik jhalak dikhayi de .. koi taras kha
kar khane k liye kuch de deta to kha leta
warna bhooka hi padha rehta ..
Isi tarah ghoomte ghoomte who jalalabad k
nawah me usi jagah ja nikla jahan uski aur
tabrezi ki mulaqat budhe zaeef se hoyi thi …
zaeef mar chukka tha , lekin is k bête aur
pote is khandar haveli me maujood the ..
bilal shams ko who siyah ghode aur baggi
yaad ayi … zaeef k beton ne is ko bataya k
aik raat kisi shakhs ne inke haveli k darwaza
khatkhataya .. darwaza khola gaya … To
safed kapde sar se lekar paaun tak odhe aik
udhedh (old age) umar aadmi khada tha ..
Raat k tareeki me sirf iski aankhein chamak
rahi thi aur aisi chamak rhi thi jaise do
qandeelein ho … iske daye pehloo me talwar
latak rahi thi .. Isne poocha zegham kaha
hai ? zegham is waqt boht bimar tha , taham
is ajnabi k hokum per usey bahir laya gaya…
zegham ne junhi uski surat dekhi thar thar
kanpne laga .. Ajnabi ne karakht awaz me
kaha

Ajnabi :- O budhe ! humare ghode aur


bhaggi kidhar hai ??

Zegham :- janab aap ki amanat is khadim k


pas har tarah mehfooz hai ..

Ajnabi :- jaldi hazir karo ..

Chunancha ghode gadi me jodh diye gaye


aur who usey le kar chal diye .. haan , jate
jate us ne budhe zegham ko aik thaali di jis
me sone ki aik so ashrafiyan thi …
Bilal shams ko jalalabad k nawah me badi
rahat milti thi .. yehi veerana hi veerana tha ..
kahi kahin qadeem imaaraton k khandar
the .. purane waqton ka aik qabristan bhi
dikhayi diya jis me boht bade bade jhaadiyan
thi .. is qabristan k akhiri kinare per khaasi
purani masjid k asar bhi bilal shams ko
dikhayi diye ..

Najane bilal shams ko kya josh aya .. who


kunwe se pani nikala aur wuzoo kar k namaz
padhne beth gaya aur der raat tak khuda k
huzoor sajde me raha aur rota rha … hairat
angez tor per iske rooh aur badan ko sukoon
pohonch rha tha .. dheere dheere isko neend
ane lagi aur wahi masjjid k farsh per let gaya
aur neend ki aghosh me chala gaya ..
Najane kitni der who wahi sota raha , phir
kisi ne uska bazu hila kar jagaya .. bilal
shams ne jab ankhein khole , to use aik safed
safed saye wala insane apne qareeb nazar
aya .. ye koi aurat nazar aa rhi thi .. jisne
safed chadar apne jism per odh rakhi thi .. is
ka chehra naqab se Dhaka hua aur baye hath
me chota sa shammah dan tha .. who bilal
shams se thodi hi doori per khadi thi ..

Update 16

Is ka chehra naqab se Dhaka hua aur baye


hath me chota sa shammah dan tha .. who
bilal shams se thodi hi doori per khadi thi ..
bilal shams uth kar beth gaya aur uska dil
dhadakne laga aur bilal shams ne poocha ..

Bilal shams :- kon ho tum ??

Us aurat ne koi jawab na diya , aur masjid se


bahir nikal kar aik taraf ko chal di .. phir usne
ruk kar bilal shams ki taraf dekh k ishara kiya
k mere peeche aao .. Bilal shams bhi iske
peeche ho liya .. aurat aik tedhi medhi
pakdandi per chali ja rahi thi .. ye pakdandi
isi qadeem qabristan me se guzar rahi thi ..
charon taraf maut ki si khamoshi chayi thi
aur bilal shams in qabron k beech se
ladkhadata , bal khata , phalangta hua
barabar aurat k peeche chala ja raha tha ..
Door aik siyah imaarat ka khandar dikhayi
diye .. jiske ird gird oonche oonche darakhto
ka Ghana hund tha .. Bilal shams na pehchan
saka k ye darakht kis qism k hain … who
aurat k qadmon per nigah rakhe hue tha .. in
dono ka darmiyani faasla das bara hath se
ziyada na tha .. kabhi kabhi mudh mudh kar
who dekh letik bilal shams aa raha hai ya
nahi , phir mutmayin ho kar aage chal
padhti ..

Imarat k qareeb pohonch kar who ruk gayi ..


bilal shams is ke bilkul nazdeek pohonch
gaya .. shammah dan abhi tak aurat k hath
me tha .. daye hath se is ne aik dam siyah
naqab ulat di .. Bilal shams k halaq se ghuti
ghuti cheekh nikli
Bilal shams :- Fatima !!!

Fatima :- ssshhh … khamosh …

Fatima ne honthon per ungli rakh k usey


chup rehne ka ishara kiya .. bilal shams k
zehn me hazaron sawal ubharne lage .. lekin
who kuch bhi na keh saka .. Fatima ne isey
chup rehne ka hokum jo diyatha … phir
Fatima ne phoonk mar kar shammah
bujhayi .. dhue ki aik patli si lakeer bujhi hui
shammah se nikli aur hawah me ghayab ho
gayi …
Bilal shams sirf ye samajh saka k ye imarat
kisi badshah ka maqbara hai jo purane
zamane k khandaro me tabdeel ho gaya …
lekin sawal ye thi k Fatima yaha kya kar rhi
hai ..ab who phir chal padhi thi .. who sehen
me ja pohonchi ..

yaha bhi qabre hi qabre aur bade bade


jhaadhiyan thi .. is se pare aik gol chabutra
sa bana hua tha .. chabutre k upper raat ki
tareeki me kisi haibat naak jin k sar ki
manind aik gend sa dikhayi diya .. Fatima
chand sidhiyan chadh kar chabutre per
gayi .. aik goshe me sunehri rang bistar laga
hua tha aur uske ird gird siyah rang ki
chaadrein tani hui thi …
Bistar k qareeb pohonch kar usne bilal shams
ko ishare se nazdeek bulaya , phir parde ko
aik side se pakadh kar uthaya … Bilal shams
ne badhi mushkil se cheekh roki .. kyu k
subedar jalalabad bistar per so raha tha ..
Bilal shams ne isey pehchanne me zara der
bhi na lagayi .. abhi who ye bhayanak sarapa
dekh hi raha tha k subedar ne aankhein
kholi ..

Update 17

abhi who ye bhayanak sarapa dekh hi raha


tha k subedar ne aankhein kholi .. bilal
shams behosh ho kar gir padha ..
Subah udhar se guzarne wale chand
kisaanon ne bilal shams ko waha se uthaya ..
Hosh me ane k baad who paaglon ki tarah
idhar udhar daudhta raha .. who ye yaqeen
karne ko kisi tarah bhi tayar na tha k isne koi
khwaab dekha hai .. woh badi se badi qasam
khane k liye tayar tha k who sab bedari me
hua hai na ki khwaab me aur Fatima yehi
kahi kisi khandar me qed hai , lekin kis
khandar me ? waha to melon tak shikasta
imaraton k khandar phele hue the …

Iska dil gawahi de rha tha k Fatima mari


nahi, zinda hai aur jalalabad ka who
purisraar subedar daulat khan , jo na jane
kon tha , Fatima ko yehi zamaana e qadeem
k in khandaron me kahi chupaya hua hai …
Bilal shams ki halat un dewaanon ki si thi
jinko apne tan badan ki koi hosh nahi rehta ..
aur jo apni dhun me dunya se be parwah aik
aisi manzil ki janib rawa dawa rehte hai jis ki
khabar khud unhein bhi nahi hoti k kaha
hain ..

Haan aik hi surat is k samne har dam raqs


karti rahti aur who surat Fatima ki thi .. who
khub janta tha k fatima ko faramosh kar
dena is k liye na mumkin hai .. baaz aurat
khud faramosh k aises lamhaat bhi bilal
shams per ate rehte k usey ye bhi yaad nahi
rehta k who kaha hai aur kya kar raha hai ..
taham is aalam me bhi is ki rooh me se
Fatima Fatima ki awazein uthi reht thi …
Bilal shams ki khwaahish thi k isi tarah aik
baar phir Fatima usse mile aur who usse
poohche k subedar ka thikana kaha hai …
aur tumhe uske shetani panje se kaise
chudhaya ja sakta hai … isi dhun me who
veeranon k chakkar kaatta rehta .. thak jata ,
to kisi bauseeda se qabar k pas let kar so
jata .. koi rahgeer idhar se guzarta to nadir
zaman per rehem kha kar isey khane k liye
kuch deta .. is koshish me boht kam log
kamyaab rehte .. who kisi se sawal karta na
kisi k ghar jata aur na kisi se baat
karta ..ahista ahista gard o nawah me iski
shuhrat aik pohonche hue faqeer ki haisiyat
se per laga kar udhne lagi …

Iske zubaar me hairat angez taseer aa gayi


thi .. aalam e behoshi me jo kuch uske
zubaan se nikalta , pura ho jata .. Dunya k
sataye hue aur apni khuahishon k mare hue
be shumar log din raat isey ghere hue rehne
lage .. koi hajat mand iske pas paaon
dabata , koi pankha jhulata , koi iske liye
umdah mithaiyan aur lazeez khane lata aur
koi zar o jawahir nichawar karne k liye har
waqt tayar rehta … lekin ye shakhs aisa
nirala tha k aankh utha kar bhi in cheezon ki
taraf nahi dekhta .. agarche is ke badan per
cheethde latak rahe the , sar k baal aur darhi
k baal badh kar aik ho gaye the … hath
peron per khaak dhool ayi thi , lekin chehre
per jalal ki who kefiyat thi k kisi ko is se
aankhein milane ki jurrat na hoti ...

Update 18
Who har waqt gerdan jhukaye aap hi aap pur
israar awaz aur anokhe lehke me kisi
nadeeda hasti se baateon karta dikhayi
deta … aqeedat mand sochte k na jane
faqeer kis maqam par hai ..aqeedat itni badh
gayi k din raat ka koi lamha aisa na tha jab
do chaar hajjat mand aur apni muraadein
puri karane wale bilal shams k gird dast
basta na khade ho …

Us raat bhii yehi kefiyat thi .. bilal shams ne


aik martaba apne ajeeb o ghareeb muraaqbe
se chaunk kar jhur jhuri si li .. aankhein
kholi .. to ird gird chand agraad adab se
halqa bandhe khamosh bethe dikhayi diye ..
faqeer ne junhi aankh kholi sab ne hath jodh
diye aur apni apni ram kahani kehne lage ..
bilal shams ne apna phata purana kambal
jism per lappeta aur kisi se kuch kahe bagher
aik taraf chal padha ..

Logon ne uske peeche ane ki koshish ki


magar usne karakht awaz me unko daant
dapat kar sab ko bhaga diya , gher marrayi
taqat usey na jane kidhar liye jaa rahi thi ..
aasman per gehre badel chaa rahe the aur
maghrib ki janib se tez hawa ka tufaan ane hi
wala tha..

Jab who qabristan se guzra to yakayak aik


siyah rang ki aik boht badi billi aik shikasta
qabar me se uchal kar nikli aur jabdha khol
kar buri tarah se gharrane lagi .. bilal shams
ne itni badi billi pehle kabhi na dekhi … who
fauran ruk gaya .. billi chand gaz door
musalsal ghaarra rhi thi .. iske safed nokeele
dant andhere me chamak rahe the aur sabz
aankhein mashaalon ki manind roshan thi ..
aahista aahista is ki cheenkhein aur
gharrahatein tez hone lagi aur in bhayanak
awaz se zameen larazne laga .. bilal shams
apni jagah but bane khada tha .. billi age
badhi , iske aankhon se shale baras rahe the
aur bilal shams per hamla karne k liye tayar
thi .. bilal shams k pas apne hifazat k liye koi
hathyar na the .. isne aik pathar uthaya aur
pure taqat k sath billi k khopdi pe de mara ..
pathar lagte hi billi k sar se khoon ka fawara
nikla aur peeche ko bhaag gayi …

Der tak iske larzah khez awazon se qabristan


goonjta raha .. Bilal shams k badan par
kapkapi tari ho gayi aur who bagher soche
samjhe aik taraf bhaagne laga .. aasman me
bijli kadakni shuru ho gayi aur jald hi
mosledar barish shuru ho gayi ..

Bilal shams pani me bheegta hua aur thand


se kaanpta hua panah ki talash me bhagta
raha .. na jane kitni bar who thokrein kha kar
zameen per gira , utha aur phir daudha .. ab
who qabristan se nikal kar aagre ko jane wali
sadhak per daudh raha tha .. Fatima k talash
me who kayi baar is raaste pe aya tha aur is
raaste k chape chape se waqif tha …

Tabhi usey apni samne aik jhonpdi dikhayi di


jisme chiraagh jal raha tha .. woh wahi
thithak kar khada hua aur hairat se sochne
laga k ye jhonpdi kiski hai aur is khaufnaak
tufaan me ye kaisa chiraagh hai jo barabar
roshan hai aur bujhti nahi .. who had darja
hairat k sath ahista ahista jhonpdi ki taraf
badha .. qareeb pohoncha hi tha k andar se
aik pur jalal awaz ayi ..

Awaz :- Bilal shams ! andar chale aao

Ye awaz sunte hi uska kaleeja moon ko aya


kyu k is awaz me aur subedar k awaz me
ziyada faraq nahi tha ..

Update 19
Awaz :- daro nahi bilal shams .. be khauf
hokar andar aa jao ..

Usne phir bhaagne ka socha magar usey aisa


lga jaise zameen ne uske paaon thaam liye
hai .. thodi der me usne apne aap ko jhonpdi
me paya .. aik nihayat hi purane boriye per
boorha buzurg gerdan jhukaye do zaano
bethe the .. inki daarhi safed aur naaf tak
badhi hui thi .. palkein bhi ande ki tarah
safed thi .. qareeb hi aik pathar per diya
roshan tha .. In peer mard k umar ka koi
andaza bilal shams ko na ho saka .. is ke
andar dakhil hote hi buzurg ne gerdan
uthayi … inke aankhon me haibat k bijliyan
hi kond rahi thi .. Bilal shams be ekhtiyar
uske qadmon me gir padha aur siskiyan le
kar rone laga .. isey mehsoos hua k rone se
chhaati per rakha hua be andaz bojh halka
ho raha hai ..jab who ganga jamna baha
chukka tha , to buzurg ne uske sar per
shafqat se hath phera aur kaha

Buzurg :- Bilal shams kya tum khuda ki


rehmat se mayoos ho gaye ? mard ko yu
rona zeb nahi deta …

Ghareeb shikasta haal shikasta dil musawwar


( Painter ) ne phir un peer mard k paaun
pakde aur aqeedat se bosa de kar bola

Bilal shams :- huzoor per mera haal sab


roshan hai .. mein apni zubaan se kya bolu ..
Buzurg :- nahi tum khud bayan karo … Hum
koi sahib e kashf nahi …Hum ne tumhara
zikar logon se suna hai aur aik aadh martaba
yaha se guzarte dekha bhi hai … Jab is
tufaani rath me hum ne kisi insane k dodhne
ki awaz suni to mein ne andaza laga kar
tumhe awaz di aur mera andaza sahi bhi
nikla … hum kisi had tak tumhare musibat se
agah bhi hai … per mein tumhari zubani
tafseel se sunna chahta hu ..

Aur tab bilal shams Aahon, aansuon aur


siskiyon k sath apni puri kahani
sunayi …Peer mard chup chap sunte rahe ..
aik do baar apne surkh aankhon se usey
dekhe phir muskura kar gerdan jhuka kar
bilal shams ki who alam naak kahani sunta
raha … Aakhir me jab bilal shams ne
qabristan wali billi ka zikar kiya to who
chonk kar kahein

Buzurg :- Iska matlb who khabees ab bhi


jalalabad k nawah mein hai …

Bilal shams :- kyaa apka murad subedar


jalalabad se hai ??

Buzurg :- Haan … who boht shareer jin hai


aur boht arse se waha reh rha hai ..Isse pehle
bhi who kayi baar insane bhes me aa ke
haseen ladkiyon ko le ja chukka hai .. Iske
pas baaz taaqatein aisi hai jo in shaitani
kamon me iski madad karte hai .. Kali billi k
shakal me wohi tha .. tum ne acha kiya jo
pathar uske khopdi pe mara … Ayinda who is
shakal me aye to be parwah usey mar dena ..

Ye keh kar peer mard ne apne boriye k


neeche hath daal kar aik khanjar nikala aur
bilal shams ko dete hue dubara apni baat
shuru ki …

Buzurg :- Isey apne paas rakho .. who dubara


kisi na kisi roop me dubara ayega .. aur
mauqa milte hi isey uske jism me ghonp
dena .. khuah who kisi bhi shakal me ho billi
ki ya insane … Tumhara wasta jis jinn se hai
who boht bada aamil hai , aur yehi wajah hai
k maamuli amal isey kuch nahi bigad sakte …
pehle who dukan ki janib pahadon me kisi
ghaar me rehta tha lekin Hazrat Muhammad
gesu daraz waha tashreef le gaye .. to unke
qadmon k barkat se waha se bhaag gaya ..
aur jalalabad k nawah me aa kar purane
masjid k pas kahi rehta hai … auratein isse
boht tang the .. magar ab iska hausla itna
badh gaya hai k ye insane shakal me aa kar
haseen auraton ko utha kar le jata hai …
Fatima isi k qaid me hai aur jab tak who
maregi nahi ye usey nahi chodhega .. ye
khabees kahi arson se in shaitani harkaton
me masruf hai … magar ab lagta hai iska
aakhri waqt aa gaya hai …

Bilal shams :- hazrat kya koi aisa tareeqa


nahi jisse Fatima ko azad kiya jaa sake ??
Buzurg :- Tareeqa sirf ye hai k is makhlooq
( creature ) per jjis ka hokumat hai usey sara
waqya sunaya jaye aur usi k hokum se ye
Fatima ko chodh dega … Hum sirf isse
mulaqat ka qaaida tumhe bata sakte hai ..
baqi kam tumhe karna hoga .. lekin ye soch
lo k isme jaan ka khatra har waqt lahaq
hai … Agar zara bhi apne hifazat me ghafil
hue ya is amal me nakam rahe jo hum tumhe
batayenge ..to ye shareer jin tum par hawi
hoga aur tum iske rehm o karam per hoge....

Update 20
In alfazon me barkat itni thi k bilal shams k
dil me jurrat o himmat ki bujhi chingari
roshan ho gayi .. Fatima k liye who apni jaan
per khelna maamuli baat samajhta tha ..
lihaza usne dubara us buzurg k peron pe
bosa diya aur isne kaha k who amal bataye ..
who har mumkin koshish kar k is per pura
khara utrega …
Peer mard ne ye sun kar kaha k iski pehli
shart ye hai k har dam paak aur saf suthra
rehna hoga … taa ke shareer jin aur
badruhein tumhare qareeb na aa sake…

Phir iske baad tumhe jalalabad k pas purani


masjid me beth kar ism e zaat 3 raaton me
sawa laakh martaba padhna hoga … Jo is
maqsad k liye bataya jjayega .. phir tum is
maqsad k liye tayar ho jaoge ..Isme kamyabi
ka rasta asan hai … Is amal ko kharab karne
ki puri koshish jinnat ki taraf se hogi .. aur
who aamil ko bhi tarah tarah k dhoke de k
hisaar ( gol daayire ) se bahir lane ki koshish
karenge … lekin aamil ko inki koi parwah na
karni chahiye aur hisaar me hi rehna hai …
JInnat hisaar me dakhil hone ki jurrat nahi
karenge .. Jab amal pura hoga to shah e
jinnat se raabta qayam karna mushkil na
hoga ..

In buzurg ka nam syed salah tha aur umar


125 thi … Bilal shams isi jhonpdi me rehne
laga aur syed salah se is amal k tamam
qaayide achi tarah maloom kar ke yaad
kiya … Is dauran in me aik ajeeb kam ye hota
hai k jab tak who jhonpdi me rehta isey koi
khauf na hota .. lekin jab who jhonpde se
bahir qadam rakhta to qisam qisam k
waswase , wehem aur darawne khayalat is
per hawi ho jate …

Hawa me pur israar awazein sunayi dene


lagte aur kabhi kabhi aisa lagta jaise koi
nadeeda dushman iske daye baye maujood
hai .. jo bilal shams k har harkat per nazar
rakhe hue hai .. Aise waqt me who syed salah
ka diya hua who khanjjar nikal kar hath me
leta ..

Syed salah k hidayat per isne apne sar aur


daarhi k gher zaroori baal kaat diye aur
hamesha paak saaf rehne laga … Aakhir who
raat aa hi gayi jab isey jalalabad k pas purani
masjid me theek 12 baje jaa ke apna amal
shuru karna tha ..

Bilal shams ne mere par dada turktaz khan


ko apni aakhri tasweer k sath sath kaghazon
ka aik bhari palandah bhi diya tha .. ye
palandah barson se aik kothri me pada rha
aur aik roz me ne ye nikal k padha … ye bilal
shams ka roz namcha tha .. Jisme bilal shams
ne boht hairat angez aur holnak tareeqe se
apni dastan bayan ki thi .. kher ab bilal
shams k zabani hi sonata hu uski kahani …
Syed salah ki jab se mujhe ziyarat hui hai …
meri zindagi me ajeeb sa inqilaab aya hai ..
ye shakhs uloom e zahri o baatni ka boht
maahir hai aur is ki umar ka bada hissa ser o
siyahat me basar hua hai … me ne shekh ki
zubani intihayi ajjeeb kahaniyan suni hain ..
jo lafz ba lafz bayan karu to aik nayi alif lela
tayar ho sakti hai … Shekh salah na sirf aarif
e kamil hai .. balki boht bada kimiya gar bhi
hai .. agarcha who is fun ko mardood qarar
de kar turk kar chukka hai … lekin isne aik
roz mujhe is kham ko kandan me badal kar
dikhaya .. Iske ilawa absi qabeel k baqiya
char uloom ko bhi janne wala hai jinhein
Limiya , rimilya aur simiya kaha jata hain …
shekh ka bayan hai k ye panchon uloom aise
hai jin se dunya ki kaya palti ja sakti hain ..
magar in ka janna .. seekhna .. aur in par
amal karna har insane ka kaam nahi hai …
aur ye ilm har kisi ko ata nahi kiye jate hai ..

In uloom me se aik shekh ne mujhe sikhane


ka irada kiya hai … jo k aik rooh ko dusre
rooh me muntaqil kar na hai .. Iska amli
muzahira bhi shekh sahab ne mere samne
kiya per me badi mushkil se apne dil pe
qaabu kiya … Itni dehshat mujh pe tari rahi k
me hi janta hu .. Shekh ne aik raat apni rooh
apne paaltu tote k jism me muntaqil kar
diya … Is dauran shekh ka jism aik jagah be
his o harkat betha raha aur tota shekh ki
zuban bolta raha …Phir mujhe unhon ne
amal k liye jane ki ijjazat de di …

Update 21
Raat sakht darawni aur tareek thi … asman
per koi bhi taara jhilmilata hua nahi dikh
raha tha .. Aisa lagta tha jaise fiza kisi k sog
me veeran hai .. Mein shekh k us ba barkat
jhonpdi se nikal kar jalalabad k us purane
masjid ki taraf jaa raha hu .. jo qabristan k
pas maujood hai … Aur jiske chhaton me
chimkadarhon ( bats ) ne apna ghar bana
rakha tha …

Mein chalte chalte dekha k aik pauda mere


samne simta aur phir uncha uthne laga aur
phir naag ban kar apna jorha phan phelaya
aur jhoomne laga … is ki zubaan bhi lehrati ..
tadhapti hui me ne dekhi aur nanhi nanhi
surkh aankhein angaaron ki manind payi ..
Mein ne uski phunkaar bhi suni per mere
upper uska zara bhi khauf ka asar na hua ..
Mein shekh ka diya hua khanjar haath me
liye age badh raha tha .. me age badh kar us
Naag k pas gaya aur khanjar k aik waar se hi
uska phan kaat diya … Phir who naag dubara
paude ki shakal me aa ke aik taraf ho gayi
aur mein age badha …

Mein adha faasla hi tey kiya tha k mere daye


taraf k pahadh k tele k peeche se bache k
rone ki awaz ayi … mein hairan ho gaya k is
raat bacha yaha kya kar rha hai … mein is
bache k awaz ko nazar andaz kar ke tezi k
sath age badhne laga… magar bache k rone
aur cheekhne ki awaz badhti jaa rahi thi ..
Mein ne dekha k mujhse koi 10 ya 20 qadam
age aik bacha khada ro raha hai … bacha ro
ro kar keh raha tha

Bacha :- Mujhe ghar le chalo … mujhe ghar


le chalo … Mujhe ghar le chalo ..

Isne dono hath phela diye … aur yakayak


dono hath lambe ho ke meri taraf ane lage …
aur mera gerdan dabojne k liye harkat karne
lage … Mein ne khanjar se war kiya to dono
bazu muli ki tarah kat kar neeche gir gaye ..
Iske sath hi who purisraar bacha jo subedar
jalalabad ka bheja hua sharer jin tha
cheekhta chillata hua veerane me bhaag
gaya …
Ab me dorh k masjid ki taraf jane laga ..
magar mein masjid se thodi doori pe
pohoncha tha k mujhe masjid k pas 10 12
chiraagh roshan dikhayi diye aur who harkat
kar rahi thi … aur jab me pas jaa ke dekha to
mere khushi ka koi intiha na raha …

Kyu k yaha Fatima khadi thi apne usi purane


husn o jamal k sath … aur uske hath me aik
thaali hai jisme ye chiraagh rakhe hue hai …
Fatima ne kaha

Fatima :- Aao bilal shams … Mein kitni der se


tumhara intzar kar rhi hu … aur ye tumhare
hath me khoon aalud khanjar kaisa … phenk
do isey aur mujhe apne baahon me lo
janeman .. me tadhap rahi hu tumhare
baahon me ane k liye …

Mein :- Fatima tum yaha kya kar rahi ho is


veraane me ?? … jaldi batao who khabees
subedar kaha hai ?? Ab who mujhse bach kar
nahi jaa sakta ..

Fatima ki mutarannam hasi fiza me goonji ..


ye khad o khal , ye chehre ki lakeerein ,
aankhon kar rang , sab kuch Fatima ka tha
per pata nahi kyu mujhe andar se iske liye
nafrat hone lagi aur me ne kalam e ilahi
padh kar phoonk mari to tamam chiraagh
bujh gaye .. aur iske sath hi mujhe aik
makrooh qahqaha fiza me goonjti sunayi di ..
aur me jald hi pehchan gaya k ye subedar
jalalabad tha aur iska ye fareb bhi nakam ho
gaya …

aur mein jaldi se masjid me ghus gaya … har


taraf sannata tha … Fiza mujhe jo nadeeda
makhlooqon k bolne aur cheekhne chillane
ki awazein sunayi deti thi … ab lagta hai
unko saanp soongh gaya ho … Mein ne
shekh k hidayat k mutabiq masjid k aik
kache farsh per apne khanjar se aik waseeh
dayira kheenchta hu .. aur mujhe isi me beth
kar apna amal shuru karna tha aur suraj k
nikalne tak karte rehna tha ..
Update 22

Hisaar ( gol daayire ) k andar beth kar mein


ne chiragh jalayi .. Iski roshni me masjid ka
sehen .. andruni hissa .. aur darwaza sabhi
bakhubi dikhayi de rhe the … Khanjar apne
samne rakh k kar me ne apne chughe ( Long
coat ) se tasbeeh nikal kar amal shuru kiya …
Hidayat k mutabiq mujhe pure amal k
dauran aankhein khuli rakhni thi … Chiraagh
ki roshni me mera saya samne wali dewaar
per parh rhi thi aur jab me mamooli si bhi
harkat karta to ye saya thar tharata tha …
aur masjid k oonche oonche dewaaron ki
wajah se hawa ka dabau bhi yaha kam tha …
Mein ne apni tawajjuh waha se hata kar apne
amal ki taraf ki … joo joo mere amal me tezi
aa rahi thi .. too too mere ird gird ajeeb o
ghareeb awazein paida ho rahi thi .. aisa
maaloom ho raha tha jaisa kisi pur hujoom
bazaar mein hu .. aur log tarah tarah ki
baatein aik dusre se kar rhi hai .. Mein un
awaz on ko nazar andaz kar ke dubara apne
amal ki taraf mutawajjuh hua.. aur jald hi
who awazein bhi band ho gayi .. Ab aisa
lagne laga tha k jaise nazar na ane wale
jismein mere ird gird hai .. aur mein unke
saanson ki awazein sun raha tha .. Phir yaka
yak meri nazar samne dewaar per thar
tharati mere hi saye per padhi .. aur ye dekh
kar meri saans hi ruk gayi k ye saya daye
dewaar se baye dewaar per muntaqil ho
chuki thi … dekhte dekhte mera saya insani
shakal ekhtiyar karta hai .. aur dewaar se
utar kar mere samne magar hisaar se bahir
beth jata hai .. Ye aik dusra bilal shams hai jo
mujhe dekh dekh kar hans raha hai .. jab me
uski taraf mutawajjuh na hua to uski surat
badal kar boht bhayanak ho gayi … Aankhon
se shale ubal rahe the aur sar ka aik aik baal
khada ho gaya tha .. Mujh per haibat tari ho
rahi thi .. mujhe aankh band karne ki ijazat
na thi isliye aankhein khole in tamashon ko
dekhna tha aur khud pe qabur rakhna tha …
Lekin gala khushk ho raha tha .. aur amal
padhne me sakht aziyat ho rahi thi .. Chand
lamhon baad halat ye ho gayi k zaban se
alfaz nikalna dushwar ho gaya .. mein chehra
dusri taraf ki to phir who mere samne tha ..
kuch der tak yehi kefiyat rahi .. magar phir
who manhoos chehra ghayab ho gaya .. Iske
baad suraj nikalne tak me itminaan k sath
apna amal padha … phir chiraagh bujha kar
hisar se bahir aya …

Shekh salah mujhe masjid k bahir hi mile ..


mujhe dekh kar gale lagaya aur mubarakbad
di k pehle imtihaan me kamyab ho gaye ..
Khuda ne chaha to ane wali raatein bhi
kamyab guzrenge ..

Dusri raat me shekh ki jhonpdi se nikal kar


masjid ki taraf chala .. adhe raste tak kisi ne
mujhe pareshan na kiya .. khush hu k balaye
tal rahi hai aur amal pura hone k baad
Fatima mujhe mil jayegi .. aur mein us sharer
jin ka qissa hamesha hamesha k liye khatam
kar dunga … Mein masjid k pas pohoncha hi
tha k mashriq ( East ) ki taraf se aik
chimkadarh ( Bat ) boht tezi se meri taraf aa
rahi thi .. usey dekhne se laga k who mujh pe
hamla karega .. isliye mein ne khanjar nikal
kar tayar hua .. to who khanjar dekh kar
cheekh nikalte hue maghrib ( west ) ki taraf
udh gaya ..

Masjid me jaa ker usi jaga hisaar ( gol


daayira ) kheencha aur beth kar amal shuru
kar di .. Kal ki nisbat aaj mujh pe ziyada
khauf tari na thi .. mujhe yaqeen tha k hisaar
k andar koi cheez nahi ayegi .. lihaza be fikri
amal jari rakha .. abhi ye tasawurat mere
zehn me the k masjid k roshandan se koi
parindah pharh pharhata hua andar aya .. Aik
arse tak me bhi gher yaqeeni tor per gerdan
ghuma kar dekhta raha .. Ye parindah nahi
mere hi shakl o surat ka aik aadmi hai ..
dekhte dekhte who do ho gaye … phir
teen … phir char .. in sab ki suratein aik jaisi
thi ..Woh meri taraf dhiyaan diye bagher aik
dusre se baatein kar rahe the … Phir zor zor
se gerdan hila hila kar hansne lage aur
qehqeha lagane lage .. Inke bhayanak aur
makrooh awazon se masjid goonjj rahi thi ..
mere amal per aik do lamhe k liye asar kiya ..
Uske baad mein ne unki taraf dhyan diye
bagher hi amal jari ki .. Jab who mujhe
darane lagte hai aur mein dar jata hu .. to
khanjar utha kar unko darane lagta hu .. who
khaufzada ho kar hisaar se door ho jate hai
aur phir apas me baatein shuru karte hai ..

Yaka yak beruni darwaze se aik lambe aur


mazboot qad ka habshi ( kaala ) shakhs
andar aya … Uske peeth pe boht bada aur
bhari lohe ka Kadhahi tha .. who apne laal
laal aankhon k sath safed daant dikha kar
mujhe dekha aur phir who kadhaahi masjid k
sehen me patakh deta hai .. aur phir dusra
habshi masjid me dakhil hua jis ke haathon
me boht sare lakdiyan the .. Who lakdiyon ka
ye gatha masjid k sehen me phenk kar wapis
chala gaya .. Mere shaklo surat k who aadmi
jaa k lakdiyan jamah karte hain aur phir aag
lagate hai .. Shaale aasman se baatein kar
rahe the aag itni badh gayi thi .. Aur phir
who kadhaahi us aag k upper rakh di jati
hai .. aur usme tel bhar di jati hai .. aag ka
lappet hisaar tak pohonch gayi thi ..

masjid k dar o dewaar tapte hue dikhayi de


rahe the .. phir who sab suratein ghayab ho
gaye … aur inki jagah subedar jalalabad
namudar hua .. iska libaas waisa hi tha jaisa
mein usey pehli baar dekha tha .. who bade
itminaan se apni jagah khade mujhe ghoorta
rah a aur phir ghazab naak lehje me bola ..

Subedar Jalalabad :- Ay Naujawan ! ab bhi


waqt hai … ye dhong chodh de aur apni jaan
salamat le kar yaha se nikal ja .. shayad tu
mere taqat se agaah nahi .. aise aise senkdon
amal me khud janta hu .. aur in sab ka todh
bhi mere pas hai .. agar kahe to tamasha
dikhau ?

Mein khamosh raha .. dil hi dil me apna amal


barabar padh raha tha .. aur khanjar per bhi
nigah daal raha tha waqfe waqfe se ..
Subedar ne tali bajayi .. aur mujhe aisa laga
kisi ne lohe se mere sar pe war kiya ho ..
Palak jhapakte hi mein ne dekha k who
habshi Syed salah ko ghaseette hue masjid
me laya .. jiske kapde phate hue the .. aur
badan lahu lahan tha .. In ki halat sakht abtar
thi . .. amal bhool kar inki taraf hairat se
takne laga .. Shekh salah ne be had dheere
awaz se kaha

Shekhs :- Bilal sham … mein tumhe hokum


deta hu .. ye amal rok do isi me tumhari
bhalayi hai me apni har tasleem kar chukka
hu .. subedar ka hokum hai k agar tum ne
aisa na kiya to na sirf who mujhe mar
dalega .. Balke hamesha hamesha k liye
Fatima ko bhi tum se chheen le ga ..

Update 23
Agar khuda ki rehmat shamil e haal na hoti
to me is fareb me dub hi gaya tha .. Gher
shaoori taur per me ne khanjar uthayi ..
Khanjar uthana tha k subedar ne chilla kar
kaha shekh ko kholte tel me daal do .. ye
alfazabhi khatam hue hi the k me ne shekh
ko tel me paya .. is ka badan jal kar koyla ho
gaya tha .. subedar ne qehqeha laga kar bola
“ ab is be waqoof musawwar ( painter ) ka
bhi yehi hasher karo .. Habshi qadam
badhata hua meri taraf aya .. aisa laga jaise
isne aik paun hisar me daal diya ho .. Mein
ne khanjar puri taqat se iske paun pe mara ..
aik holnak awaz k sath sab kuch ghayab ho
gaya .. na kadhaahi raha na aag k shale na
subedar jalalabad aur na who makrooh surat
habshi .. me badastoor apne hisaar me betha
tha aur chiraagh roshan tha ..
Aaj is amal ki teesri aur aakhri raat hai ..
guzishta subah jab me masjid se bahir nikla
to shekh ko bahir paya .. Inhon ne farmaya ..
“ bs ab kamyabi samjho… tumhari himmat
aur istiqlaal per .. tum ne in ka har daaw
nakaam bana diya .. ab puri tawajjuh aur
hawas ki tamam bedari k sath amal padhna ..
Mumkin hai jinnat aaj raat tumhe
warghalane aur amal se hatane k liye koi
naya tarkeeb azmaye .. who khwaah kuch
karein .. tum har giz har giz waqt e
muqarrara se pehle hisar na chodhna … me
ne shekh se waada kiya k aisa hi hoga aur koi
shaitani taqat mujh per ghalib na aa sake
gi ..
Shekh ne aik taaweez bhi mere gale me
baandha .. ye raat pichli do raaton se kahi
ziyada wehshat angez aur tareek thi . qadam
qadam per yu lagta jaise hazaron andekhe
jismein mere taaqub me hain .. me inke
qadmon ki aahatein aur awazein bhi sun pa
raha tha .. Lekin nazar koi nahi ata .. joo joo
masji ki janib badhta gaya .. too too un pur
israar aur na dikhne wale jimson k hone ka
ahsaas ziada hota chala gaya .. phir mere
kanon me rone ki darawne awazein ane
lagi .. sendkon auraton k matam karne ki
awazein sunayi de rahe the ..

Ye awazein nahi .. nadeeda parchayian the jo


mere dil me kabhi kabhi ati thi .. ye shor
mere daye baye , age peeche itne zor se
hone laga k mere kaanon k parde phatne ko
hue aur aankhon k age sitare se naachte
nazar aye .. mein ne unchi awaz me kalam e
ilahi padhna shuru ki aur tezi se age badha ..
der tak chalne k bad bhi masjid nazar nahi
ayi .. rone aur matam karne ki awazein ab
bhi mera dimaagh kharab kar rhi thi … mein
aankhein phaadh phaadh kar idhar udhar
dekha .. ye aisa raasta tha jaha me kabhi aya
hi nahi tha .. ab pehli bar mere rongthe
khade hue .. mein ne socha k shayad sharer
jin aur shaitaanon ne mujhe raste se bhatka
diya hai ..Aik jagah ruk kar mein ne apna
hosh o hawas drust kiya aur shekh ka ata
karda taaweez gerdan me tatola .. isey
choote hi ajeeb tarah ki taskeen dil ko hui
aur khof ki halat jati rahi .. yaka yak mein ne
aik roshan saye ko bayaaban me harkat karte
dekha .. Gher iradi tor per me uske peeche
chalta raha ..
Thodi dair baad mein ne khud ko masjid k
darwaze per paya .. dekhte hi dekhte who
masjid k andar gaya aur sidha us jagah jaa ke
khada hua jahan me hisaar banaya karta
tha .. Mujhe is saye se koi darn a laga .. khud
ba khud dil me aya k ye mere hifaazat aur
negrani k liye aya hai .. abhi me chiraagh
roshan kar k khanjar se hisaar banane hi wala
tha k larza khez cheekh masjid me goonji aur
me ne dekha k subedar jalalabad aundhe
moo waha padha hai .. is ka jism zanjeeron
se jakdha hua tha aur aag ka aik dayira is ke
ird gird bana hua tha .. subedar k moon se
ajeeb ajeeb se cheekhein nikal rahi thi jaise
who boht aziyat me ho .. Ye manzar dekh kar
me pathar ho gaya aur ye bhool gaya k
hisaar bandha k nahi .. magar tabhi ksi ne
mere kaan me kaha “ bilal shams kya ghazab
kar rahe ho … hisaar bandho warna dushman
waar karne me der na karega “ .. mein ye
awaz jjald hi pehchan gaya .. ye awaz mere
ustad Aqa e tabrezi kit hi ..

Aqa e tabrezi to mar chukka hai .. phir ye


awaz .. mein ne jaldi se hisaar bandha aur
uske andar beth gaya .. hisaar k andar jane ki
deri thi k subedar ki cheekhein aur tez ho
gayi .. dar o dewaar larazne lage aur hujre k
boseeda chhat yu gadhgadha rahe the jaise
abhi mere sarper aa girenge .. aag ka dayira
ghayab ho gaya aur zanjeer bhi toot gayi jin
me subedar jalalabad jhakdha hua tha …

Mein ne apna amal shuru kiya aur subedar


ne rona chillana shuru kiya .. who buri tarah
cheekh raha tha aur keh raha tha k ye amal
band karo warna me jal jaunga .. Jis tarah
tum chahte ho me waisa karne k liye tayar
hu .. agar Fatima ko chahte ho to me usey
abhi azad kiye deta hu .. usey apne sath le
chalo aur me qasam kha kar kehta hu k
dubara usey ya tumhe aur kisi ko tang na
karunga .. who aajzi aur inkisari se tauba kar
raha tha k mujhe is per rehem ane laga .. dil
k kisi door goshe se awaz ayi k .. Bilal shams
tumhe Fatima se matlb hai agar ye keh rha
hai k who dubara tang nahi karega to is k
bare me socho .. aik lamhe k liye me ne amal
chodh kar subedar ki taraf dekha .. uska jism
lahu lahan tha .. jaise koi nadeeda taqat usey
musalsal zakhmi kar rha tha …

Tabhi who roshan saya dewaar se utra aur


hisaar k qareeb aya … ye aur koi nahi aqa e
tabrezi tha … who tabrezi jo kayi mahine
pehle mar chukka tha .. fana ho chukka tha ..
ab dubara mere samne maujood tha .. Mein
ne dekha subedar jalalabad ka rona chillana
band ho gaya aura b us per waisi hi haibat
tari thi jaisi pehli bar subedar ko apne haveli
me dekh kar aqa e tabrezi per tari hui thi …
tabrezi k wajood ya roshan saye se awaz nikli

Tabrezi :- Tahweel jin shayad tumhara aakhri


waqt aa gaya hai .. tum ne sadiyon tak
insanon ko aziyatein di hain aur tum apni
badkari me is had tak age badhe k dhoke aur
fareb se hamare bahu betiyon ko bhi insani
bhes me aa kar le jane lage .. tumhein khuda
ka zara bhi khauf na raha .. jisne tumhe
paida kiya .. Tumhe bada ghuroor tha na
apne ilm pe .. ab apne ilm se khud ko
bachao .. Tumhari maut ab qareeb hai ..
behtar hai k insane roop se bahir aao aur
apne asal roop me samne aao …

Ab mujhe pata chala k is jin ka nam tahweel


hai .. aqa e tabbrezi k roshan saye ne ahista
ahista jin ki taraf qadam badhaye aur who
khauf k mare sukadhne laga .. Sukadh
sukadh kar who aik nanha chooha ban
gaya .. usey bhaagne ka rasta nahi mil raha
tha .. masjid k kono me panah lene k liye
who idhar udhar bhaag raha tha .. aur
tabrezi ka saya uske peeche peeche tha ..
Thodi dair me dono ghayab ho gaye .. Mein
ne itminan se baqi amal pura kiya .. Udhar
suraj mashriq se nikli aur idhar me hisaar se
bahir aya … mera amal kamyaab h chukka
tha ..

Update 24
Bilal shams k khushi ka koi thikana na tha ..
manzil e maqsood pas thi .. aur Fatima ko
pane k liye betaab tha .. shekh usey apne
jhonpdi me le gaya .. bilal shams ne tabrezi k
saye aur tahweel se uske guftugu k bare me
shekh ko bataya .. Shekh ghaur se suntan
rha .. uske jhuriyon aur safed daarhi wale
chehe pe hairat tha .. inhon ne bilal shams ko
kaha k agar dubara tabrezi ka saya mile to
usse Fatima ka haal zaroor pooche .. Tahweel
aise me Fatima ko jalalabad k nawah se kahi
aur le jane ki koshish karega magar hum
usey aisa karne nahi denge .. shekh ne apne
pur israr ilmon me se aik ko azmane ka
socha .. aur gosht k lauthre per kuch padh
kar dam kiya .. Phir usey bilal shams ko dete
hue kaha ..
Shekh :- ye lo lauthdha apne thele me rakho
aur maghrib ki taraf rawana ho jao .. teen
kos k fasle per be shumar pahadh aur ghar
paye jate hain .. Inke bare me mashhoor hai
k yaha jinnat rehte hai .. raat to kya .. din ko
bhi waha koi nahi jata .. suraj jab nisf asman
per ho .. to is medan k ain darmyan khade ho
kar 8 martaba ashaab e kehef k kutte
qamteer ko awaz dena .. junhi tum 8we bar
ye nam pukaroge har taraf tumhe kutton k
bhonkne ki awaz ayenge .. khabardar in
awazon se darna mat .. thodi der me aik
safed kutta namudar hoga .. fauran gosht ka
ye lauthra us k age dal dena .. jab who isey
kha chukkega .. to khud ba khud aik taraf
rawan ho jayega .. tum be khauf iske peeche
chale jana .. iske baad khuda ki qudrat ka
tamasha dekhna ..
Bilal shams ne in hidayat per amal kiya ..
theek us waqt jab suraj sar par tha aur bilal
shams ka saya iske qadmon me aa gaya tha ..
who chattaanon se ghare hue is medan me
dakhil hua .. yaha per holnak sannata tari
tha .. aisa lagta tha k hazaron baras se is
ilaqe me kisi insane ne qadam nahi rakha ..
yha k chattanon me aksar ghaar bane hue
the .. Bilal shams ne waqt zaya kiye bagher hi
8 bar ashaab e kehef k kutte qamteer ka nam
lliya .. iSki awaz chattaanon me goonjti hui
door hoti gayi .. Phir chand lamhe baad aisi
hi awazein sunayi dene lagi .. ye qamteer ko
pukar rahi thi ..

Jab ye awaz ruki to har taraf se kutton k


bhonkne ki awazein ane lagi .. ye aise
bhayanak awaz the k bilal shams ka khoon
jamne laga .. aisa laga jaise hazaron , laakhon
kutte chattanon k peeche se bhonkte aur
lapakte hue chale aa rahe hai .. is per hamla
karne k liye .. Lekin ahista ahista ye shor
thamta gaya aur aik bar phir is bayaban me
holnak sannata chha gaya .. yakayak aik ghar
se safed rang ka bada sa kutta bahir aya aur
daudhta hua bilal shams ki taraf aya .. iski
khaal dhoop me khoob chamak rahi thi ..
aisa khubsoorat aur bade qad ka kutta bilal
shams ne pehle kabhi na dekha tha .. sar se
le kar paaon tak ande ki manind safed .. is ka
qad aik aam gadhe k barabar hoga .. junhi
who nazdeek aya bilal shams ne thele me se
gosht ka lauthra nikal kar uske age phenk
diya ..
Kutte ne dum hilayi .. aur thodi dair
muhabbat ki nigah se bilal shams ko dekha ..
Phir itminan se gosht khane me masroof ho
gaya .. Gosht khane k baad 3 bar dakaar liya
aur aik janib rawana ho gaya .. Bilal shams
iske peeche kuch chalte , kuch bhaagte aur
kuch lambe lambe qadam lete hue jane
laga .. kutta waqfe waqfe se peeche mudh
kar bilal shams ko dekhta .. aur ye itminaan
hone k bad k who aa raha hai .. phir age
badhta ..

Boht jald who bilal shams ko chattaanon k


peeche le gaya yaha andheri ghaarein boht
ziada the .. zameen itni bhar bhari aur
khushk thi k junhi koi pathar bilal shams k
paun k neeche ata pis kar reza reza ho jata ..
usey aisa laga jaise zameen se nikal kar kisi
aur hi sayare me aya ho ..

Tabhi kutta theher gaya .. ab who aik ghaar k


samne tha .. jiski unchayi bilal shams k
andaze k mutabiq delhi k qutub minaar se
kam na thi .. aur is chattan per chadhna kisi
insane ki bas me na tha .. bilal shams sochne
laga k agar is per chadhna hai to ye na
mumkin hai .. waise bhi aik aise shakhs k liye
jiska adha zindagi rangon aur brushon me
guzra ho .. chattanon aur pahadhon ki
chadhayi aik dushwar guzar amal hai .. abhi
who yehi sab soch raha tha k safed kutta
zameen khodne laga ..
Bilal shams hairat se ye sab dekhta raha ..
Kutta badi tezi se zameen khod raha tha ..
dekhte dekhte waha aik darwaza sa dikha
aur kutta uske andar ja kar ghayab ho gaya..
Bilal shams bhi uske peeche peeche andar
chala gaya … Ghaar k andar ja kar uske
ehsaasat aur taasurat kya the behtar hai me
usi k roznamche se madad lu ..

Jab me safed kutte k peeche peeche khuda


ko yad karta hua us darwaze me dakhil hua
to zinda wapis ane ki sari tawaqquhat
khatam ho chuki thi .. mein jinnat ko basti
me jaa raha tha aur waha shekh ka koi amal
na chalta .. ab tak me isi k aamaal k barkat se
in sharer jinon aur shaitani ruhon se
mehfooz raha tha ..
shayad me bhi hamesha k liye Fatima ki
tarah is khaufnak jin ka qaidi ban jata .. jo
sadiyon se apne in makrooh azaayim
( plans ) me kamyab hua aya hai .. jinhein
rokne wala koi na tha .. ghar me dakhil hote
hi mere dekhne ki taqat jawab de gayi ..

Aankhein phadhphada kar dekhne pe bhi


mujhe kuch nazar na ata .. sirf itna mehsoos
hota k mere qadmon k neeche ret wali
zameen hai .. jahan tak mere hath pohonch
sakte the me ne hath laga kar haal janne ki
koshish bhi ki .. magar na kam raha .. mere
hathon ne kisi cheez ka lamz mehsoos na
kiya .. safed kutta na jane kaha ghayab ho
gaya .. shayad iska farz itna hi tha .. k mujhe
Is tareek qabar me pohoncha de jis ke
wusaaton ka koi andaza nahi .. tab mujhe
yad aya k me ism e zaat ka aamil hu aur jo
aise azeem ism ka aamil ho uske liye kya
dushwari hai ..

Mein ne dil hi dil me ism e azam padhna


shuru kiya .. Joo joo me ism e azam padhta
gaya too too who ghaar roshan hone laga ..
aur itna roshan hua k mujhe saaf saaf dikhne
laga ..

Kya bayaan karu k me ne kya dekha ? har


taraf sone aur chandi k anbaar lage the ..
ashrafiyan aur zar o jawahir .. mein ne is
azeem dher me se chand ashrafiyan aur sikke
uthaye aur is hale ki roshni me inhein ghaur
se dekha .. ye mukhtalif zamanon aur purane
daur k sikke the .. bade .. chhote .. bhari ..
halke har tarah k sikke maujood the .. inme
aksar Mehmood gahznawi k daur k the .. In
ke ilawa lodhiyon aur rajpoot badshahon k
istimal me ane wale sone k bartan jinki
taadaad ka koi andaza na tha .. ye sab dher
mere nazron k samne tha .. joo joo me age
badhta gaya .. israar ki nayi se nayi dunyaein
samne ati gai .. aik kone me insaano aur
haiwaanon k haddiyon ka anbaar laga hua
tha .. Mujhe yaad aya k haddiyan jinnat ka
khana hai ..

Mein daulat ka ye be andaz khazana dekhne


me masroof tha .. jis ki misaal me kisi bade
se bade badshah ka khaza bhi kuch nahi ..
har she per gard o ghubaar ka aik dher tha
aur yu maaloom hota tha jaise ye khazana
saddiyon se isi jagah padha hai .. is me bech
qeemat heere jawahir bhi the .. Phir mujhe
hathi daant ka who dibba yad aya jo subedar
jalalabad ne aqa e tabrezi ko diya tha …
Usme bhi aise hi nayab jawahir the ..

Dil me aya k jitney utha sakta hu utne thele


me dal du .. magar tabhi mujhe Fatima ka
khayal aya to nafrat ki nigah unpe daal kar
age badha … ab dil ki dhadkan tezho rahi thi
aur me aas pas nadeeda jismon ki naql o
harkat mehsoos kar raha tha ..

Aik bar isa bhi hua k kisi ne mujhe peeche se


dhakka diya aur agar me khud ko na
sambhalta to ondhe moon gir jata .. aur aik
do dant zaroor toot jate .. me ne oonchi
awaz me ism e zaat padhna shuru kiya aur
usi waqt ye pur israar naql o harkat ruk
gayi … Kuch faasle per aik purani imaarat k
asar dikhayi diye .. aur me usey dekh kar
hairan ho gaya ..

Ye wohi imaarat thi jis me aik bar Fatima


mujhe le gayi thi aur jahan me ne aik bistar
per subedar ko soya hua dekha tha .. wohi
chaboothra tha .. aur aik kone me kali kali
intein saaf nazar aa rahi thi … maqbare k
upper kale rang ka gunbad .. yaqeenan ye
kisi badshah ka maqbara tha .. me be
tahasha us taraf daudha .. aah …… maqbare
k andruni sehen me wahi manhoos bistar
bicha hua tha jis k charon aur parde latke
hue the .. mein ne age badh kar aik parda
noch dala ..Hairat se mere aankhein phel
gaye .. Aur phir jaise hosh ne sath chodh
diya ..
Update 25

maqbare k andruni sehen me wahi manhoos


bistar bicha hua tha jis k charon aur parde
latke hue the .. mein ne age badh kar aik
parda noch dala .. phir jaise hosh ne sath
chodh diya .. bistar per khoon hi khoon tha ..
taaza .. gehra surkh khoon … waha do
laashein padhi thi .. aik laash subedar jalal
abad ki aur dusri Fatima kit hi .. in ke sar tan
se juda the .. bazu aur tange alag alag .. who
maqbara tezi se ghoomta hua mehsoos hua ..
phir mujhe kuch hosh na raha ..
Nadir zaman ki jab aankh khuli to who khud
ko shekh salah k jhonpde me padhe paya ..
who der tak shekh ka chehra takta raha ..
phir be ekhtiyar ho kr rone laga .. shekh ne
isey sabar ki talqeen ki aur bataya k us sharer
jin ne jiska nam tahweel tha .. apne sath
Fatima ko bhi maar dala .. who apni haar
bardasht kar na saka .. bilal shams k nazron
me ad dunya kuch na tha ,, kuch arse tak
who shekh salah k suhbat me raha aur is se
kasb e ilm hasil karta raha .. jab shekh ka
wisaal ( maut ) ho gaya .. to woh aagre wapis
aya .. aqa e tabrezi ki haveli veeran padhi
thi .. baba afzal baig zindagi ki aakhri
ghadiyan gin raha tha .. bilal shams k ate hi
iske dil ko sukoon mila .. aur jald hi manzil e
haqeeqi ki taraf rawana hua .. ( yaani k ye
bhi mar gaya ) .. logon ko jab bilal shams k
wapsi ki khabar hui to aik aik kar ke aye
magar ispe dewaangi taari thi .. isne kisi se
baat na ki balke boht logon ko pehchanne se
bhi inkar kar diya .. din bhar ape tasweer
khane me band rehta .. inhi dinon isne apne
zindagi ki aakhri tasweer banayi .. '

Aik sham mere par dada shahenshah k


hokum se bilal shams se milne haveli me
gaye .. to inhon ne dekha k bilal shams
tasweer banana me masroof hai .. tasweer
mukammal kar ke isne itminaan ka saans
liya .. phir pehli bar turktaz khan ko apni
zindagi ki alamnak aur nihayat hairat angez
kahani sunayi .. turktaz khan ne khayal kiya
K musawwar ka dimagh kharab ho gaya hai ..
Lekin jab bilal shams ne apna likha hua
roznamcha dikhaya aur inhon ne isey shuru
se akhir tak padha .. to inhein yaqeen hua ..
Inhon ne bilal shams se boht kaha k
shehenshah k darbar chale aur ye dastan
khud apni zubani sunaye .. magar who be
niyazi se muskura kar kaha ..

Bilal Shams :- nahi .. ab me kahi aur jane ki


tayariyan kar raha hu .. ye tasweer aur ye
kaghazat tumhare supurd karta hu .. Haveli
aqa e tabrezi ne marte marte mere naam
kiya tha .. ye bhi mein tumhare supurd karta
hua aur dekhna is me hathi daant ka aik
chhota dabba bhi hai .. jis me dunya ka besh
qeemat khazana band hai .. isey farokht kar
ke tamam daulat ghareebon me taqseem kar
dena ..

Is waqiye k 3 din baad khabar mashhoor hui


k bilal shams wafat paa gaya .. us raat jo log
uske qareeb the aur jinhon ne usey aakhri
saanse lete dekha .. in ka bayan hai k who
kisi aurat se baatein kar raha tha.. aur bar
bar is se kehta k ghabrao nahi .. me aa raha
hu … me aa raha hu .. aur yehi kehte kehte
isne hamesha k liye aankhein band kar di …

Bilal shams ka janaza jab qabristan me le


jaya gaya aur isey qabar k havale kar k log
wapis palte .. to inhon ne aik haseen o
jameel aurat ko dekha … who qabar k pas
kuch der tak khadi rahi … phir ahista ahista
hawa me ghayab ho gayi …

~The End~

Vous aimerez peut-être aussi