Vous êtes sur la page 1sur 2

BISMILLAAH

 Kyun musalmaanon mein hai daulat-e-Duniya nayaab


Teri Qudrat to wo hai jis ki had hai na Hisaab.

 Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood,


Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood?

Waza mein tum ho nasaara, to tamuddan mein Hanood,


Yeh musalmaan hain? Jinhen dekh ke sharmain Yahud!

Yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho


Tum sabhi kuch ho, batao to musalmaan bhi ho?

 Munfiat ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek,


Ek hi sab ka nabi, deen bhi, eemaan bhi ek,

Haram-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek,


Kuchh badi baat thi hote jo musalmaan bhi ek!

Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.


Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?

 Har musalmaan rag-e-baatil ke liye nashtar tha


Is ke aaina-e-hasti me Amal jauhar tha

Jo bharosa tha ise quwwat-e-baazu par tha


hai tumhen maut ka dar, usko Khuda ka dar tha

Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho,


Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho?
 Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai,
Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai?

Haidari Faqr hai, ne daulat-e-Usmaani hai


Tum ko aslaaf se kya nisbat-e-Ruhaani hai?

wo zamaane me Mu'azziz the Musalmaan ho kar


Aur tum khwar huve taarik-e-Quraan ho kar

 Tum ho aapas me ghazabnaak, wo aapas me rahim


Tum khatakaar-o-khata been, wo khata posh o karim

Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem,


Pahle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim!

Takht-e-Faghfoor bhi un ka tha, sareere ke bhi


yun hi baaten hain tum me ke wo hamiyyat hai bhi?

 Khud kushi Shewa tumhara wo Ghuyur-o-Khuddar


Tum ukhuwwat se gurezan, wo ukhuwwat pe nisar

Tum ho Guftaar sarapa, wo sarapa Kirdar


Tum taraste ho kali ko wo gulistaan bakinar

Ab talak yaad hai Qaumon ko hikayat unki


Naqsh hai safha-e-hasti pe sadaqat unki

 Aaj bhi ho jo Ibraheem ka eeman paida


aag karsakti hai andaaz-e-gulistaan paida

Vous aimerez peut-être aussi