Vous êtes sur la page 1sur 5

Assalamo-alaikum

Dear brother/sister,
Please read, print and publish this salaam for blessings. This salaam contains 92 lines.
The number 92 is a holy number called as “Adad” of the holy name of our beloved
Prophet ( PBUH ). So as if this salaam is granted by our beloved Prophet. The holy
quran’s aayat ‘ ya aiyohallajina aamanu salloo alayhe wa sallemoo taslimaa ‘ clearly
states to say salaam to beloved prophet respectfully from anywhere and anytime as there
is no restriction said and this aayat is read everywhere everytime and hence we must obey
the order laid by Allah-the almighty. The word ‘salloo’ is for durud and ‘wasallemu’ is for
salaam.

Salaam to Prophet ( PBUH )

Aei Aamena ke lal hamaara salaam lo


Halima ke laadle hamaara salaam lo

Chaand do tukde huwa, ungli ke isaare se


Suraj bhi palat aa gaya, ungli ke isaare se
Do jahaan ke taajdaar hamaara salaam lo

Allah khud bheje tum par durodo salaam


Malaaikaa tamaam bhi padhe tum par durodo salaam
Jibril ke aei aakaa hamaara salaam lo

Do jahaan mein tumharaa koi , shaani hua nahin


Arse barin par koi, sivaa tumhare gayaa nahin
Meraaj ki saanwale hamaara salaam lo

Hajar aur sajar tumko sajada adaa kare


Makhluk har tumhari gulaami mein raha kare
Do jahaan ke aei mukhtaar hamaara salaam lo

Aadam ke saamne jab farishton ko jukaayaa


Aadam mein noor tumhara unki samaj mein na aayaa
Do jahaan ke raazdaar hamaara salaam lo

Tum ho bashar ke beshamein aur ho kheirul bashar


Khud noor ho aur noori hai tumhara saaraa paikar
Be saayaa noori bashar hamaara salaam lo

Saaya nahin hai fir bhi, saayaa tumhara jahaan bhar


Har sai chamak rahi hai, jahaan mein idhar udhar
Aaka chamkanewale hamaara salaam lo

Saayaa tumhare paikar kaa kabhi hua nahin


Saayaa tumhare noorka hai ham par har ghadhi
Aei noorim min noorillah hamaara salaam lo

Kamli mein humko apni, chhupao mere aakaa


Gulaami ki apni ham par, mohar lagao aakaa
Mehmood makaamwale hamaraa salaam lo

Imaam Ambiyaa aur auliya ke ho


Hasnein Ali Fatema ke pyaare tumhi to ho
Ham aashikon ke dilbar hamaara salaam lo

Shaah hai husein aur badshaah bhi hai husein


Deen hai husein aur deen ki panaah husein
Pyare husein aur naana jan hamaara salaam lo

Teen din aur raat ke bhuke pyaase jo rahe


Shamshir ke saaye mein sajada adaa jo kare
Shabbir ke aei waali hamaara salaam lo

Mushk se bhi pasinaa aapkaa behtar hua kare


Pasine se aapke saara Madina mehkaa kare
Aei gulshane do jahaan hamaara salaam lo

Ilm kaa Madina aap hai aur baab hai Ali


Allah ne khud dars dekar banaaya ummi nabi
Aei ummi lakab wale hamaara salaam lo

Momin ke gam mein gam shoodaa, kher ke liye haath uthaa hua
Haaziro shaahid har jagaah , gaib na koi baaki rahaa
Aei naaebe aalimulgaib hamaara salaam lo

Taaha kahe Yasin kahe, khudaa tumhe kyaa kyaa kahe


Sanaa tumhari khudaa kare, ham nachiz bhalaa kyaa kahe
Aei raham tal lil aalamin hamaara salaam lo

Kausar khudaa ataa kare, chiz kyaa koi baaki rahe


Sab khazane ataa huwe, kyon na ham mukhtaar kahe
Aei aainaye khud khudaa hamaara salaam lo
(Aei qasim-e-khazana-e-khuda hamara salam lo)

Hoton par baat aayi na thi ke kiblaa badal gayaa


(Aapake dilmein khayaal hi tha ke kiblaa badal gayaa)
Ham aashikon ko apnaa thikaana mil gayaa
Aei kaabaa ke kaabaa hamaara salaam lo

Quran mein khudaa yun kahe, atiullah wa Rasool


Keise bhalaa koi judaa kare Allah se Rasool
Allah ke aei mehboob hamaara salaam lo

Warafa’ana laka jikrak se, Allah ne saan badhai hai


Sab se aala wa oolaa tumhare dar ki rasaai hai
Ham gadon ko nibhanewale hamaara salaam lo

Ham par hamaara zor nahin, ya Rasool aap koi gair nahin
Wapas aanaa hai tumhare ghar , Tum khudaa se judaa nahin
La makaan ke aei makin hamaara salaam lo

Gunaahon se ham ( Babu ) sharmindaa hai, Aap hamaare shafi’ hai


Bakhsish ki ummid lagaaye hai, salwaat wa salaam kehte hai
Aei shafiul mujnabi hamaara salaam lo

Donon jahaan ke hai baadshaah, ghar mein khajoor aur chataai hai
Be misl hai tumhaari saadgi, shaaho ne kheiraat payi hai
Aei shaaho ke baadshaah hamaara salaam lo

Gaaliyaan sunkar bhi, unko duayen tumne di


Bhooke khud rehkar bhi bhookon ki bhuk mitaa hai di
Aei garibon ke waali hamaara salaam lo

Aap ki jubaan hai khudaa ki jubaan, Aap ka haath hai khudaa ka haath
Silsilaa ba silsilaa, hamne pakdaa hai aap ka haath
Aei daste kudrat wale hamaara salaam lo

Arsh par tum, fars par tum, Jibril ki akal ho gayi goom
Ye jahaan hai chij kyaa, Loho kalam ke maalik ho tum
Aei fanafillah wa bakaabillah hamaara salaam lo

Aatish aur loha milnese, loha aatish banataa hai


Khudaa aapako milnese, Khudaa ka jalawaa banataa hai
Allah ke aei jalawaagar hamaara salaam lo

Anjeer ki jaitoon ki, kasamein khudaane Makkah ki khaai


Aapaki adaa Khudaa ko pyaari, Kasamein aapake nisbat ki khaai
Hamaare aei niraale nabi hamaara salaam lo

Aapakaa har ek fael to, hamaare liye misaal hai


Misaalmein kabhi bemisaalmein aapaka dars kamaal hai
Hamaare aei bemisl nabi, hamaara salaam lo.

Samiun ho Bashirun ho, Alimun aur Nazirun ho


Khabarein hamaari, salaam hamaaraa, aei pardaanashin tum sunate ho
Kabhi pardaa hataakar aei hamaare nabi, hamaaraa salaam lo.
Request to Prophet ( PBUH )

Jalwaa apnaa dikhaao, ya Rasool, Jalwaa apnaa dikhaao


Paawan hamko banaao, ya Rasool, Paawan hamko banaao

Ham to fase hai andheron ke ban mein, Raah na suje andheron ke ban mein
Ujaalon mein hamko laao, ya Rasool, ujaalon mein hamko laao

Nafas ki jaal mein ham hai fase, Saitaan ham par khoob hasen
Saitaan se hamko chhuraao, ya Rasool, Saitaan se hamko chhuraao

Sidhi raah par chalte jayen, fir na kabhi bhi bhatak ne paye
Haath hamaara pakdo, ya Rasool, Haath hamaara pakdo

Duniyaa ne mooh mor liyaa hai, Bich bhanwar hamein chhod diyaa hai
Paar nayyaa lagaao, ya Rasool, Paar nayyaa lagaao

Durudon ke phool aap par dale, Mushkile sab hal ho jaaye


Sadkaa nawaason kaa ataa ho, ya Rasool, Sadkaa nawaason ka ataa ho

Kamli mein apni chhupaalo, Kaali kamli ke odhanwale


Rehmat ki ghataa mein bithalo, Kali kamli ke odhanwale

Aap ke dar pe tadap rahe hai, Haath feilaaye khade rahe hai
Bhik hamko de do, ya Rasool, bhik hamko de do

Gunahon ke dal dal mein doobe, Maaf khudaa kare aap jo maaf kare
Maaf hamko kar do, ya Rasool, Maaf hamko kar do

Ham hai katraa aur aap samandar, Ham hai katraa aur aap samandar
Katre ko samandar mein milaa do, ya Rasool, Katre ko samandar mein milaado

Dono jahaan ki sair kare ham, Baala se baala tar mein doobe ham
Madawaa aisi pilaado, ya Rasool, Madawaa aisi pilaado

Duniya mein laaj rakhna hamaari ( Babu ki ) , Mehshar mein laaj rakhnaa hamaari
( Babuki )
Laaj hamari rakhlo, ya Rasool, Laaj hamaari rakhlo

Har dukh dard ki dawaa tum ho, Har marj kaa ilaaj tum ho
Shifaa hamko de do, ya Rasool, Shifaa ham ko de do

Itnaa karam ho, Itnaa karam ho, Dekhen aapko bhool ke sab ko
Apne hi rang mein rang do, ya Rasool, apne hi rang mein rang do
Kun fayakun ki kunchi tum ho, Tumhi sab kuchh hamaare liye ho
Kaam hamaara kar do, ya Rasool, Sab kaam hamaara kar do

Kamjori tumhe maaloom hamaari, Majboori tumhe maaloom hamaari


Bigdi ko hamaari banado, ya Rasool, Bigdi ko hamaari banaa do

Khauf hamaaraa door karo tum, gam bhi hamaaraa door karo tum
Khauf se hamako bachaao, ya Rasool, gam se hamako bachaao

Kheiruddin ke dar se lipte, Chistiya chaadar odhe huwe hai


Dil mein apne basaalo, ya Rasool, Dil mein apne basaalo

Ham ne apnaa sar hai zukaayaa, hamne apna manwaa sunaayaa


Ye Dua ko kar lo kabool, ya Rasool, Ye Dua ko kar lo kabool.

From
Ismail alias Babubhai Patel Manchwi
Gulam-e-Khairuddinshah Chistee, Qadari, Soharwardi, Naqshbandi and Rifaai

Vous aimerez peut-être aussi