Vous êtes sur la page 1sur 14

Hazrat ALi R.

A "Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai" Hazrat Ali R.A. Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhy, yeh tumharay haq main behtar hai, bajaye is k k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay. Hazrat Ali (R.A) Wo gunah jo tumhare dil mein ranj paida kare, us naiki se behtar hai jo tumhare dil mein ghuroor paida kar de. Hazrat Ali ( R.A ) barish ka qatraha seepee aur saanp dono k muh main girta hai. Seepee ussay moti bana deti hai aur saanp zehar bana deta hai. Jis ka jaisa zarf waisi us ki takhleeq hoti hai. Hazrat ali (R.A) Koi GUNAH Lazzat k lye mat karna q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega , Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege! Hazrat ali (R.A) "Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo K koi haqeqat main tumhara ban jaye Hazrat Ali R.A Ibn-e-adam! Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai HAZRAT ALI (R.A.)

Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo... Hazrat ALi R.A Sab se buri Kamai sod ki kamai, Sab se buri Mazrat wo, jo mot k waqt ki jaey, Sab se bura Khana yatim ka maal khana he. Hazrat Ali R.A "Allah ki shan ye nahe k DUA ka darvaza kholay aur QUBOLIAT ka band kr day Ya TAUBA ka darvaza kholay aur MAGHFIRAT ka darvaza band kr day". Hazrat Ali (R.A) Tum Kisi Ko Chaho Or Wo Tumhen Thukrade, To Ye Us Ki Bad Nasibi Hai Or Us k Bad Tum Usko Zabar Dasti Apnana Chaho To Ye Tumhari Nafs Ki Zillat Hai HAZRAT ALI (R.A.) Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo... HAZRAT ALI (R.A) "Insan ki izzat aur us se mohabbat karo,kyun k har insan ke andar khuda ki koi Na koi sift maujood Hoti hai." "Hazrat ali R .A" "Mash'ra zulm k sath to reh sakta hai per na insafi k sath nae reh sakta" Hazrat Ali(R.A) log dukh nahi detay, un say wabasta umeedain dukh dayti hain. Hazrat Ali(R.A) Mujhy jannat Sy Zyada Masjid May Bythna Acha Lgta Hai Kyon

K jannat May Mera Naffs Khush Ho Ga jab K Masjid May Mera RAB Khush Ho Ga Hazrat Ali (R.A): Ghulab Ka Phool Bano! kyun K Yeh Phool Us K Haath Me Bhi Khusboo Chor Daita Hai Jo Isey Masal Kar Phaink Daita Hai. HAZRAT Ali(R.A) : 1) Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta! 2) Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai.! HAZRAT Ali(R.A) : "Jiska raabita khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota" "Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon" HAZRAT Ali(R.A) : ''Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein" Ek dooor se.., or Doosra gharoor se..." HAZRAT Ali(R.A) : Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye. Lekin... Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye. HAZRAT Ali(R.A) :

Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen" HAZRAT Ali(R.A) : LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega. HAZRAT Ali(R.A) : "Jab main dastar khuaan par 2 rang k khane dekhta hoon, to Laraz jata hoon! k Aaj phir kisi ka haq mara gaya hay" HAZRAT Ali(R.A) : "Khush mizaji hamesha khoobsurti ki kami ko poora kr deti hai, Laykin Khoobsurti khush mizaji ki kami ko poora nahi kr sakti " HAZRAT Ali(R.A) : "Jis shakhs k ache DOST hon, woh kabhi ghareeb nahi hota" HAZRAT Ali(R.A) : Agar tum Mout ki Raftar ko Daikh Laity to tum Zaroor Ummeedo'n Or Umango'n Sy Nafrat krty Or hrgiz in Me Maghroor Na hoty ..... __________________
Last edited by Crown Prince; Sunday, May 31, 2009 at 04:07 PM. Reason: Prior to posting one should devote some time to keep the sentecnes in order.

The Following 10 Users Say Thank You to sara soomro For This Useful Post:

emmjay (Saturday, June 20, 2009), israrahmed (Tuesday, July 07, 2009), Mumtaz Hayat Maneka (Wednesday, June 03, 2009),RAKSHAN (Monday, August 17, 2009), Raz (Sunday, May 31, 2009), saitzaz (Tuesday, June 02, 2009), supersonic dexter (Wednesday, June 10, 2009), Syed Ali Rizvi (Wednesday, September 16, 2009), Zarlasht (Tuesday, September 08, 2009), Zoyee (2 Weeks Ago)
#2 Sunday, May 31, 2009 Join Date: Jan 2008 Location: pakistan Posts: 650 Thanks: 89 Thanked 554 Times in 315 Posts

sara soomro
Senior Member

Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khubiyon me izafa kre 'Hazrat Ali (R.A) Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha: "Dost aur bhai main kya farq hai?" Aap ne farmaya: "Bhai sona hai aur dost heera hai." Us aadmi ne kaha: "Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?" To aap ne farmaya: "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.' ----------Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga ( Hazrat ALI R.A ) Hazrat ALI R.A Ka Frman Hy:"Bura Dost Aag Ki Manind Hy" "Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega" "Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega" Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum Per ALLAH Ki Enyat Hai. (Imam Hussain R.A)

Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn k is main meri marzi hai aur Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn k ye ALLAh ki marzi hai ( Hazrat ALI R.A ) IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT aisi cheezain hain jin k milnay say log badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI R.A ) ---------Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he. (Hazrat Ali R.A) -----------Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta, K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta, K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai... Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon... K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai....... ( Hazrat ALI R.A ) ----------Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha, Q: Qarib Kya Hai? A: Qyamat Q: Or Qareeb Ter? A: Maut Q: Ajeeb Kya HAi? A: Duniya Q: Aur Ajeeb Tar? A: Talib-e-Duniya Q: Wajib Kya Hai? A; Toba Q: Or Wajib Tar? A: Gunah K Forun Bad Toba Q: Mushkil Kya Hai? A: Qaber Mein Utrna Q: Or Mushkil Tar? A: Amal K Bagair Utrna ----------Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI R.A ) -----------"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"( Hazrat ALI R.A ) ----------"2 cheezein saari zindagi kaam ayengi, 1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo! 2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!

( Hazrat ALI R.A ) Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy, Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy. Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.. ( Hazrat ALI R.A ) Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI R.A ) ----------Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye! Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI a.s ) ----------"Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta, yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..." ( Hazrat ALI R.A )

4 Batain Elim Ka NIchour Hain, 1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay. 2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho.. 3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,, 4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!! ( Hazrat ALI R.A ) kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat ALI R.A ) -----------Bay shak dunya or akhrat ki misal asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian hon 1 ko razi karta ha to dosri roth jati ha HAZRAT ALI(R.A)
Last edited by Crown Prince; Sunday, May 31, 2009 at 04:09 PM.

The Following 3 Users Say Thank You to sara soomro For This Useful Post: Raz (Sunday, May 31, 2009), supersonic dexter (Wednesday, June 10, 2009), Syed Ali Rizvi (Wednesday, September 16, 2009)
#3 Tuesday, June 02, 2009

Predator
Senior Member

Join Date: Aug 2007 Location: Karachi Posts: 2,019 Thanks: 558 Thanked 905 Times in 475 Posts

__________________ The difference between a successful person and others is not a lack of strength,not lack of knowledge, but rather in a lack of will. "Imagination is more important than knowledge. For knowledge is limited to all we now know and understand, while imagination embraces the entire world, and all there ever will be to know and understand." Albert Einstein

The Following 4 Users Say Thank You to Predator For This Useful Post: Raz (Tuesday, June 02, 2009), Red Flower (Monday, June 08, 2009), supersonic dexter (Wednesday, June 10, 2009), Syed Ali Rizvi (Wednesday, September 16, 2009)
#4 Tuesday, June 02, 2009 Join Date: May 2009 Location: city of windsPosts: 45 Thanks: 74 Thanked 21 Times in 17 Posts

supersonic dexter
Member

"Hazrat ali R .A" "Mash'ra zulm k sath to reh sakta hai per na insafi k sath nae reh sakta" This quotation needs slight correction. actually it says "Muashara kufr ke saath to reh sakta hai, lekn zulm or nainsafi k saath nahe rehsakta" . hopefully the quotation would be read correctly, because there is no or least space , to change or modify the sayings, particularly these ones by the AMMEERUL MOUMINEEN HAZRAT ALI IBN E ABU TALIB AS.thanks __________________ " O LORD! THEE POSSESS BEAUTIFUL ATTRIBUTES, AND MANY IN NUMBER. IF ONE REFLECTS UPON THEE ,THOU ART THE BEST UPON WHOM TO REFLECT AND IF ONE HOPES IN THEE, THOU ART THE BEST IN WHOM TO PLACE HOPE"HAZRAT ALI IBINE ABU TALIB A.S ---------------

The Following User Says Thank You to supersonic dexter For This Useful Post: sara soomro (Tuesday, June 02, 2009)
#5 Monday, June 08, 2009 Join Date: Apr 2009 Location: In The Garden Posts: 891 Thanks: 234 Thanked 580 Times in 358 Posts

Red Flower
Senior Member

__________________ ````````````````````````````````````````````` Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall. ````````````````````````````````````````````` Laughing faces don't mean that there is absence of sorrow but they mean that there is the ability to deal with it. `````````````````````````````````````````````

The Following 4 Users Say Thank You to Red Flower For This Useful Post: masif2681 (Wednesday, July 08, 2009), Raz (Monday, June 08, 2009), supersonic dexter (Wednesday, June 10, 2009), Syed Ali Rizvi (Wednesday, September 16, 2009)
#6 Friday, June 19, 2009 Join Date: Apr 2009 Location: In The Garden Posts: 891 Thanks: 234 Thanked 580 Times in 358 Posts

Red Flower
Senior Member

Danishmand insan khud ko neecha kr ky bulandi hasil karta hy. HAZRAT ALI R.A.A.A

__________________ ````````````````````````````````````````````` Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall. ````````````````````````````````````````````` Laughing faces don't mean that there is absence of sorrow but they mean that there is the ability to deal with it. `````````````````````````````````````````````

The Following 2 Users Say Thank You to Red Flower For This Useful Post: supersonic dexter (Tuesday, September 08, 2009), Syed Ali Rizvi (Wednesday, September 16, 2009)
#7 Tuesday, July 07, 2009

Predator

Senior Member

Join Date: Aug 2007 Location: Karachi Posts: 2,019 Thanks: 558 Thanked 905 Times in 475 Posts

** O son of Adam, when you see that your Lord, the Glorified, bestows His Favors on you while you disobey Him, you should fear Him (take warning that His Wrath may not turn those very blessings into misfortunes). ** He who is greedy is disgraced; he who discloses his hardship will always be humiliated; he who has no control over his tongue will often have to face discomfort. ** Avarice is disgrace; cowardice is a defect; poverty often disables an intelligent man from arguing his case; a poor man is a stranger in his own town; misfortune and helplessness are calamities; patience is a kind of bravery; to sever attachments with the wicked world is the greatest wealth; piety is the best weapon of defence.
__________________ The difference between a successful person and others is not a lack of strength,not lack of knowledge, but rather in a lack of will. "Imagination is more important than knowledge. For knowledge is limited to all we

now know and understand, while imagination embraces the entire world, and all there ever will be to know and understand." Albert Einstein

The Following User Says Thank You to Predator For This Useful Post: supersonic dexter (Tuesday, September 08, 2009)
#8 Tuesday, July 14, 2009 Join Date: Apr 2009 Location: In The Garden Posts: 891 Thanks: 234 Thanked 580 Times in 358 Posts

Red Flower
Senior Member

* Dosti aik aisa rishta hai jisay admi khud parwan charhata hy. * Adab lazawal kamal hy aur khairaat sab sy bari naiki hy. * Maut aik baykhabar sathi hy. * Naikion par gharoor kar ky insane naiki ko zaiya kr deta hy. * Khawahishian insan ko maar deti hain aur buri adatain insane ki taqatwar dushman hain. * Aqalmandi fikr main mubtala kr deti hy. * Fasiq ko bura kehna burai main shamil nahi. * Apni zuban ko qaboo main rakhnay wala hamesha faiday main rehta hy. * Ghareeb wo hy jiska koi dost nahi. * Tajarbay aqal main izafa kartay hain. * Muaf karnay main jaldi karna behtareen sharafat ka saboot hy. * Lalach rizq ka dushman hy. * Ilm maal sy behtar hy, kyon ky ilm hi behtareen muhafiz aur dost hy. * Sharafat aqal aura dab sy milti hy. * Jo shakhs kisi ky aaib talash karta hy, wo aaib khud us main paida ho jatay hian. * Beemari aur muflisi ko apny oper ghalib nahi aanay dena chahiyay. * Jo apny ap ko muhtaaj banata hy wo hamesha muhtaaj hi rehta hy. * Jo Allah ko faramosh kr deta hy, Allah usko bhula deta hy. * Bayqarari main sawab aur ajr mit jata hy. * Apny sy ziyada ilm walon sy ilm hasil karo. * Kanjoos duniya main gadagaron ki zindagi basr krty hain. * Hamsaye ka bura chahnay wala burai ka shikar ko jata hy. * Agr kisi par ehsan karo to usay dosron sy bhi chupa kr rakh. * Momin wo nahi jiski mehfil paak ho, Momin wo hy jiski tanhai paak ho. __________________ ````````````````````````````````````````````` Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall. `````````````````````````````````````````````

Laughing faces don't mean that there is absence of sorrow but they mean that there is the ability to deal with it. `````````````````````````````````````````````

The Following User Says Thank You to Red Flower For This Useful Post: supersonic dexter (Tuesday, September 08, 2009)
#9 Tuesday, September 08, 2009

Predator

Senior Member

Join Date: Aug 2007 Location: Karachi Posts: 2,019 Thanks: 558 Thanked 905 Times in 475 Posts

Some Quotes of Hazrat Ali (RA).

* A greedy man will always find himself in the shackles of humility. * There are people who worship Allah to gain His Favors, this is the worship of traders; while there are some who worship Him to keep themselves free from His Wrath, this is the worship of slaves; a few who obey Him out' of their sense of gratitude and obligations, this is the worship of free and noble men. * Silence will create respect and dignity; justice and fairplay will bring more friends; benevolence and charity will enhance prestige and position; courtesy will draw benevolence; service of mankind will secure leadership and good words will overcome powerful enemies. * The best deed of a great man is to forgive and forget. * Oppression and tyranny are the worse companions for the Hereafter. * Avarice dulls the faculties of judgment and wisdom. * If a friend envies you, then he is not a true friend.

* One who takes account of his shortcomings will always gain by it; one who is unmindful of them will always suffer. One who is afraid of the Day of Judgment, is safe from the Wrath of Allah. One who takes lessons from the events of life, gets vision, one who acquires vision becomes wise and one who attains wisdom achieves knowledge.
__________________ The difference between a successful person and others is not a lack of strength,not lack of knowledge, but rather in a lack of will. "Imagination is more important than knowledge. For knowledge is limited to all we now know and understand, while imagination embraces the entire world, and all there ever will be to know and understand." Albert Einstei

Vous aimerez peut-être aussi