Vous êtes sur la page 1sur 4

Ek Samvednapoorna Kavya Rachna, Samvednaheen Muslim

Bandhuvon Kee Seva Mein

Prastuti: Pandit Shankar Dayal Mishra, Raipur

Mere Muslim bandhuvon! Kuchh arz meri bhi suno


Thodi kadwi, kuchh Kasili, kuchh khari khoti suno,

Deerdhakalin adhyan hum ne kiya Islam ka


Ek hi Ishwar ki pooja paddhati ke naam ka,

Aastha bas ek prabhu mein hai iska tantra-mool


Is se hat kar raah chalna dharm ke hai pratikool,

Peer, paighambar, wali sab Ishwar ke hain ghulam


In se darna, maangna, aashayein karma hai haraam,

Hai disha vipreet kintu aapki, us raah se


Paayi Aadarniye Muhammad Ji (SAW) ne jo Allah se,

Doosron par vyangya karma to bahut aasan hai


Kintu hathdharmee mein rahna jaahilon ki shaan hai,

Hindu to Islam ki drishti mein kaafir hain sabhi


Jhaank lijiye aap bhi apne girebaan mein kabhi,

Ek hi prabhu ki pooja ve agar karte nahin


Ek hi chaukhat pe maatha aap bhi dharte nahin,

Hinduon ki aastha ka Kendra dev-sthan hai


Aap ki shraddha ka markaz bhi to qabristan hai,

Jitne kankar, utne Shankar, Hinduon par vyangya hai


Jitne murde, utne sajde, Aap ka bhi rang hai,

Hinduon mein shirk ki koi paribhasha hi nahin


Ek rab mein aastha ki unse kuchh aasha nahin,

Kintu hairat hai ki tum Tauheed ka bharte ho dam


Lakhon murde pooj dale honge tumne kam se kam,

Hinduon ke devtaaon ko agar hai ikhtiyar


Aap ke waliyon ki taaqat ka nahin hai kuchh shumaar,

Kasht mein kahte hain ve “raksha karo bajrang bali”


Aap kehte hai “mere mushkil kusha Maula Ali”
Hindu mannat maangte hain Krishna ki aur Ram ki
Aap Hazrat Ghaus aur Khwaja piya ke naam ki,

Ve yadi karte bhajan mein devtaaon ka bakhan


Aapki qawwaliyon mein hoti hai waliyon ki shaan,

Dekhkar rangeen qabron ko machal jaate ho tum


Unki pooja archana karke bahal jaate ho tum,

Desh mein Urson ka aisa ban gaya hai network


Jis mein tum Islam ka karte ho khud hi beda-ghark,

Hindu mandir mein chadhate doodh aur paani ki dhaar


Tum mazaaron par chadhate murgh va chadar shaandar,

Bhole Shankar ke bhajan par naachte hain ve agar,


Jhoomte ho tum bhi qawwali pe Khwaja ki magar,

Chahe Shiv ki vandana ho ya Salaate Ghausiya


Dono mein Islam ki drishti se kuchh antar hai kya,

Panj-Pyare ka hai Sikhon mein bahut ooncha maqam


Panjtan ka smaran karte ho tum bhi subho-shaam,

Hindu to nau deviyon tak hi rahe seemit yahan


Aap ne jad li magar dus Biviyon ki daastan,

Hinduon mein terahwi, barsi ka hai pramukh rivaaj


Teeja aur chaaliswan karta hai kyon Muslim samaj,

Hinduon ka har tareeqa aapko hardil azeez


Chahe shaadi ki ho rasmein ya ho chaaliswan lazeez,

Kitna wonderful hai Muslim bandhuvon ka ye usool


Dadiyaan chehre se ghayab, dil mein hai ishqe rasool,

Deen ki khatir uthate hain bahut kam log kasht


Balki aksar maulvi tak ho chuke hain path-bhrasht,

Itne agyaani nahin hain mool shikshaon se ye


Vaastavikta ko chhipa lete hain roti ke liye,

Siddhh baba swayam ki pooja karate hain agar


Dus qadam un se bhi aage peer sahib hain magar,
Swarg ka theka purohit le to hanste ho miyan
Kintu jannat ka reservation hai peeron ke yahan,

Thag hain Mathura aur Kashi ke sabhi pande agar


Sau qadam unse adhik sare mujawir hain magar,

The musalman sab Nabi ji (SAW) ke samay mein bhai-bhai


Jaati pratha Hinduon ko dekh kart tum mein bhi aayee,

Ganpati ko ve ghumaate saare Hindustan mein


Taaziyon ko tum uthate apni jhooti shaan mein,

Jal visarjan Ganpati bappa ka ve karte agar


Taaziyon ko tum dubo dete ho unko dekh kar,

Ishwar avatar leta hai yadi har desh mein


Tum ne bhi samjha Khuda ko Mustafa ke vesh mein,

Moorti-poojak hain Hindu isliye kaafir hain ve


Tum mazaaron, Taaziyon ko pooj kar Muslim rahe,

Hinduon se aap mein kya ab bhi kuchh antar raha


Koun se boote pe bante ho Ghulam-e-Mustafa,

Kul mila kar aap hain Hindutva ke behad qareeb


Naam ka antar hai keval, ve hain Shankar tum Habeeb,

Ram ka aashiq bechara jaaye dozakh mein zaroor


Aur Khwaja ke pujari ko mile jannat mein hoor,

Vo kare jo skirk to eindhan jahannam ka bane


Tum karo jo shirk to jannat tumhein phir bhi mile,

Ye kahan ka faisla hai aur kahan ka hai nyay


Ek kaafir paye jannat, doosra dozakh mein jaaye,

Ve bhi jannat mein rahenge aap hain gar jannati


Varna dozakh mein unhi ke saath honge aap bhi,

Tum kahin hote Muhammad Sahab (SAW) ke yug mein agar


Dhoondni padti tumhein Islam se hat ke dagar,

Kehta hai belaag tumse aaj ye Shankar Dayal


Apna munh darpan mein dekho, phir karo hum se sawal.

Vous aimerez peut-être aussi