Vous êtes sur la page 1sur 14

Dekho bachchon iss dharati par,

vriksh hare leharaatein.


iss par baithe pakshi meethe
meethe raag sunaate.
inke niche roj savere,
chhoti hirani charati.
rang birangi dharati bachcho,
rang birangi dharati.

Unche-unche parvat nadiyaan,
sabki baat niraali.
inaki shaan badha deti hai,
jangal ki hariyaali.
buddhi naani iss jungal ki,
hardam raksha karti,
rang birangi dharati bachcho,
rang birangi dharati.

Jangal ka dharti se bachchon,
bada puraana naata.
Baagh, Singh, Gainde, Haathi ko,
saara jangal bhaata.
paani aur hawaa jangal ki,
sabki peeda harati.
rang birangi dharati bachcho,
rang birangi dharati.

Hare-bhare leharaane waale,
jangal ko mat kaato,
maar janglee jeevon ko tum,
maut na sabko baanto.
jeev, janglon ke mitate hi,
saari duniya marati,
rang birangi dharati bachcho,
rang birangi dharati.

god ne hame ek beautiful environment diya hai hame is khubsurat nature se payar karna hoga. jab
aap apni dharti, nadi, ped, talab, panchhi, janwar, prakriti ki koi v bastu ko nukshan nahi karte us se
payar karte hai tab aap is earth ek bahut hi khubsurat inshan ban jate hai

parkriti..se pyaar kare. ise god ne bhaut khubsurat banaya hai..apne nature ko krib se janne ki koshish
kare..AC ko chhor khuli hawa me aayeTV ko chhor parwat, nadi, jangal ko dekhe, western music ko
chhor kabhi birds ki madhur aawaj ko sune yakin manye agar aap nature se pyaar karte hai to aap pr
dhuk aur gum kabhi hawi nahi ho payega
aur aap hamesa parkriti ki tarah haste rahege.

Parvat se hi nikal rahi hai,
saras neer ki dhaar nadi.
pashu-pakshiyon, ped maanav se,
karti sachcha pyar nadi.
kal-kal chhal-chhal karati rehati,
chhede meetha raag nadi.

Sabhi phalon ka raja aam,
achha lagata taaza aam.
waah! aam ke naam anek,
nyaare swaad ek se ek.malihaabaadi, langada aam,
chhota koi tagada aam.
aamra, rasaal, amrit,
Hindi Poems on Nature



Parvat se hi nikal rahi hai,
saras neer ki dhaar nadi.
pashu-pakshiyon, ped maanav se,
karti sachcha pyar nadi.
kal-kal chhal-chhal karati rehati,
chhede meetha raag nadi.
varsha ke mausam mein karti,
kaisi bhaagambhaag nadi.




***************



Aasmaa ke deepak pyaare,
thirkein-naache jhilmil taare.
Bhaanti-bhaanti ke nabh par saare,
daud lagaate hilmil taare.
hanste rehate ban ujiyaare,
khela karte khil-khil taare.
aate-jaate rehate saare,
neel gagan mein mil kar taare.
dikhtein hai sab ek-se pyaare,
chalte hain jab ghulmil taare.




***************



Mara bas ma agar hota
Hata ka chand taron ko

Ma neela asmanon per tari ankhain
Shajar hota to tara nam

Likh likh kar patoon per
Tara shehar ki janib hawaon ma utra data




************



Kitab sada raha gi kab tak
Kabhi to agaz bab ho ga

Jinho na basti ujar dali
Kabhi to un ka hisab ho ga

Woh din gai jab har sitam ko
Ada-i-Mehboob keh ka chup tha

Utha gi ham pa eent koi
To us ka pathar jawab ho ga
Sakoot-i-Sehra ka basna walo
Zara rooton ka mizaj samjoo

Abhi to itni ghutan barha gi
Ka sans lana azab ho ga




************



Woh sahil sa agar aa kar
Zara bhi muskara deta

Bhanwar ghabra ka mujh ko
Khud kinara per laga deta

Khabar hoti agar ya jaal ha
Kismat ki sazish ka

Tu apna hath ki
Sari lakerain khud mita deta




************



hame es summer vacation ne badal diya
paane ki jis boond se ham bhaga karte the

na nahane kay liye jo bahana banaya karte the
40 degree ke taapmaan ne hamare dil ko pigla diya

hamare na nahane kay faisley ko badal diya.
woh bhi ka din the jab hamare gharwale hame data karte the

roz subah nahane ke liya hame prerna diya karte the
kuch baat bante nahi thi to bacha samaj ke chod diya karte the.




************



Ek Naya Mausam Aaj Phir Aaya Hai
Aaj Phir Kisi Ne Aankhon Se Ashk Bahaaya Hai

Chhup Gaye Aansoo Aaj Phir Baarish Mein
Dil Mein Phir Gham Ka Sailaab Aaya Hai

Chhupaaye Chal Diye Hum Toh Baarish Mein
Koi Hamein Kabhi Kya Samajh Paaya Hai

Aansoo Ban Kar Aayi Yaad Jo Teri
Ussi Yaad Ne Hamein Hansaaya Hai

Bas Kaash Agar Saath Hote Tum
Toh Mausam Yeh Bhi Sau Rang Laaya Hai




************



nae gagan men,
naya sooraj jo chamak raha hai,
ye vishal bhookhand,
aaj jo damak raha hai,

meri bhi aabha hai isamen !




************



din kee fursat ke failav-bich uge
ek ped ke tane se

pith tika kar
jab tum ek prem-patra likhana shuroo karate ho

kuchh sochate aur muskurate hue
tumhen achanak lagata hai

koee tumhen pukar raha hai
kaun hai - kidhar, is sooni dopahar men

tum mudakar vritha dekhate ho
ki koee haule se tumhara kandha thapathapata hai

aur tum dekhate ho tanik chaunke-se
ped hai, ek patte kee anguli se chhoota tumhen.

ek shararati dostana tahoka
aur tum us ped ko shamil hone dete ho apane sambaodhan men

sambaodhan chinh kee jagah.




************



sooraj kee kirane,har sham,
apani aakhari sasen ginati hain,

apane hare bhare jag ko,
sundar ped, sundar sadak,

aur tript vatavaran ko,
dekhati hai virah duhkh ke sath.

samapt ho jatin hai tab,
meri sari adhoori ichchhaen,

aur hota hai mujhe,
kshanik,

kshanabhangura
sukh ka ehasas.




************

Posted by : MOHIB TAHIRI on 29-Dec-2012 Total Views : 446

AY MAALIK MERE, AY DAATA MERE
YE ZAMEEN AASMA,CHAND,TARE TERE
IS KAAYENAT KA EK KHALIQ TUHI
HUM INSAANO KA HAI MAALIK TUHI
ZARRA ZARRA ME TU,TAPTI SAHRA ME TU
IN HAWAAON ME TU,IN FIZAAON ME TU
HAR TARAF HAI AYAAN TERI HI NEAMATEN
BAHR O BAR ME NEHAAN TERI HI NEAMATEN
KOYAL KI GEET ME TERI HAMD O SANA
PARWANE KI PREET ME TERI HAMD O SANA
BAADLON KI GARAJ,BIJLIYON KI CHAMAK
CHAND TAARE AUR SURAJ ME TERI DAMAK
YE CHARINDO PARIND BHI KARE TERI BAYAN
TERE HUKM SE HAR EK KI ZINDAGI RAWAN
IN PAHADON ME TU,AABSHARON ME TU
BAYABAANO ME TU,GULISTANO ME TU
PAANI KI MOUJON ME HAI TERI HI SAD
PAANI ME BHI TUJHHI SE KAI ZINDAGI BAQA
RANG BIRANGE IN PHOOLON ME TERI MAHAK
IN MOTIYON AUR JUGNUON ME TERI CHAMAK
AB MAIN BHI KARU HAR PAL TERI SANA
MUJHKO TAUFEEQ DE, NEK BANDAH BANA



khul gaya hoon main ,
dhup men dhan ke khet kee tarah

harsh se hara-bhara,
bhitar-bahar lahara.

mujhe dekhata hai,
mera hi virodhi vyaktitv,

lalachi nigahon se,
katakar le jane ke lie,

hata men bechakar,
paise kamane ke lie




************



yah jagah vahi hai
jahan kabhi mainne janm liya hoga
is janm se pahale

yah mausam vahi hai
jisamen kabhi mainne pyar kiya hoga
is pyar se pahale

yah samay vahi hai
jisamen main bit chuka hoon kabhi
is samay se pahale

vahin kahin thahari rah gayi hai ek kavita
jahan hamane vada kiya tha ki fir milenge

ye shabd vahi hain
jinamen kabhi mainne jiya hoga ek adhoora jivan
is jivan se pahale.




************

Vous aimerez peut-être aussi