Vous êtes sur la page 1sur 1

Teeron ke musalle par wo sajdaye shukrana Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa 1 Ek teer Ali Asgar ki garden pe laga

aakar x2 Masoom ka has dena aur maut ka ghabrana Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa 2 Kuch is tarah laash aayi ek raat ke byahe ki x2 Afsos ke maadar ne bete ko na pehchana Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa 3 Socho to Musalmano ye baat koi kum hai x2 Ahamed ki nawasi ka darbar me aa jana Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa 4 Haider ke shuja'at ka andaaz nazar aaya x2 Wo sham-e-garibaa me Zainab ka naa ghabrana Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa 5 Maula ki wasiyat thi Abbas Dilawar ko Talwar nahi khechi Aqa ka kahaa mana Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa 6 Nasir ka ye dava hai banta hai Husain ayse Saache me Imamat ke Quran ka dhal aana Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa

Vous aimerez peut-être aussi